Wednesday, April 29, 2009

Main gham k raastay mein chup chaap bikhar jata

Main gham k raastay mein chup chaap bikhar jata
Ik din bhi agar apni tanhai se darr jata
.
.
Main tark-e-talluq par zinda hoon,so mujrim hoon
Kaash us k liye jeeta,apnay liye mar jata
.
.
Us raat koi khushbu qurbat mein nahin jaagi
Main warna sanwar jata,aur woh bhi nikhar jata
.
.
Us jaan-e-takallum ko tum mujh se tau milwatay
Taskheer na kar paata,hairaan tau kar jata
.
.
Kal samnay manzil thi,peechhay mere aawaazain
Chalta tau bichharr jata,rukta tau safar jata
.
.
Main shehr ki ronaq mein gum ho k buhat khush tha
Ik shaam bacha leta,ik roz tau ghar jata
.
.
Mehroom fizaaon mein,maayoos nazaaron mein
Tum AZM nahin thehray main kaisay thehr jata...

Popular Posts