Wednesday, April 29, 2009

Mera yaqeen kabhi tor ker nahin jana

Mera yaqeen kabhi tor ker nahin jana
Ager jana hey tu kuch chor ker nahin jana
Badal gay ho tu sab kuch badal k jana tum
Ab aisay jao k phir lawt ker nahin aana
Mohabbtoon ko mein nay teray naam likh dala
Thay khali haath mager iss terha nahin jana
Mujh se apni nishaniyan bhi maang lein tu nay
Ab iss k baad khayaloon mein bhi nahin aana 
Sisaktay khawab paray hein meray darwazay per
Inhein ronday bina dehleez se nahin jana
Tapish se in ki teray haath jal na jaien kahin 
In ansoon ko kabhi ponchnay nahin aana 
Hansi k lamhay tu saray shumaar ker bethay 
Koi bhi aahh yahan chor ker nahin jana 
Mera naseeb nahin hoo tu jan loo ya bhii
Yahan pe doosra hum sa kabhi nahin aana 
Sameet la jo tujhay ab who bewafa hi nahin
Tu kirchiyon ki terha se bikher nahin jana

Popular Posts