Wednesday, April 29, 2009

Mohabaton ka hisaab tha na adawaton ka shumar tha

Mohabaton ka hisaab tha na adawaton ka shumar tha
Kabhi uski zaat azab thi kabhi rroh ka who qarar tha,

Meri piyas itni barh gai k siraab jitney milay mujhe
Hoa dhuka jis pay ghulab ka who sulagta jalta sharer tha,

Usay main nay mur k sada na di k palat gaya tha who rah say
Main khizan hoa tu pata chala meri zaat ka who nikhar tha,

Tu bhi dor hy main bhi dor hon kiun alag hoe yeh rasty
Teri chahaton ka gurez tha ya meri ana ka hasar tha,

Who agar kisi ko milay kahin tu koi bata day usay zara
Mere faan shair ki by-khudi tere ishq ka hi khumar tha……..!!!

Popular Posts