Sunday, March 1, 2009

Aatish-e-ishq main jal jaon tujhey is say kiya

Aatish-e-ishq main jal jaon tujhey is say kiyaMousam ki tarah badal jaon tujhey is say kiya
Chot khaon ya zakham lagay, ya ahsas-e-ghum mein tarponMein gir jaon ya sanbhal jaon tujhey is say kiya
Mussartaon ko daikh ker bay qarar ho jaonYa tofan-e-ghum say behal jaon, tujhey is say kiya
Hansta daikh ker hans paron, rota daikh ker ro paron,Halat k sanchay mein dhal jaon, tujhey is say kiya
Zararot nahin ab kisi hamsafar ki saaqi,Janib-e-manzil tanha nikal jaon, tujhey is say kiya..

No comments:

Popular Posts