Sunday, March 1, 2009

hamain achchhaa naheen lagtaa!

Jhapatatey paas aatey ho: hamain achchhaa naheen lagtaa!Bahaanoun sey bulaatey ho: hamain achchhaa naheen lagtaa!
Hamaarey dost, ham par fabtiyaan kastey hain; jaltey hain;Unhain fir-fir jalaatey ho: hamain achchhaa naheen lagtaa!
Kahaan tak sitaarey gin-gin, uneendey khwaab deykheyn ham?Wahee sapney dikhaatey ho: hamain achchhaa naheen lagtaa!
Musalsal feihrishteyn hai: kareyngey yah, kareyngey wah;Bahut baateyn banaatey ho: hamain achchhaa naheen lagtaa!
Tumhaarey saath jaayen bazm mein? Toubaa! Na jaayengey!!Baraabar gul khilaatey ho: hamain achchhaa naheen lagtaa!
Tumhaarey saath rahtey huye, rahtey paas; fir bhi tum,Bahut nazdeek aatey ho: hamain achchhaa naheen lagtaa!
Tumhaaraa kyaa, khisak jaatey ho gupchup baardaateyn kar?Sabhi khillee urhaatey hain: hamain achchhaa naheen lagtaa!
Arey kyaa ho gayaa hai? Kareyngey, jo bhi kahogey tum!Zaraa mein roothh jaatey ho: hamain achchhaa naheen lagtaa!!
Chalo ab maan jaaou! Roothhtey hain ham bhi: yah sach hai!Chhalaawoun sey sataatey ho: hamain achchhaa naheen lagtaa!!
Tumhain jab ham manaatey hain: chahak uthhtey ho man hi man!Magar jab tum manaatey ho: tumhain achchhaa naheen lagtaa!!
‘Abd’, yeh dil ki baateyn hain: raheyn dil mein to hain mouzoon;Tunak jab barhbarhaatey ho: hamain achchhaa naheen lagtaa!!

No comments:

Popular Posts