Sunday, March 1, 2009

kuchh to ehasaas-e-ziyaaN thaa pehle

kuchh to ehasaas-e-ziyaaN thaa pehledil kaa ye haal kahaaN thaa pehle
ab to manzil bhii hai Khud garm-e-safarhar qadam sang-e-nishaaN thaa pehle
safar-e-shauq ke far-sang na puuchhvaqt beqaid-e-makaaN thaa pehle
ye alag baat ki Gam raas hai abis men andeshaa-e-jaaN thaa pehle
yuuN na ghabraaye huye phirte thedil ajab kunj-e-amaaN thaa pehle
ab bhii tuu paas nahiin hai lekinis qadar duur kahaaN thaa pehle
Dere Daale hain bagolon ne jahaaNus taraf chashm-e-ravaaN thaa pehle
ab vo dariyaa na bastii na vo logkyaa Khabar kaun kahaaN thaa pehle
har Kharaabaa ye sadaa detaa haimain bhii aabaad makaaN thaa pehle
kyaa se kyaa ho gayii duniyaa pyaaretuu vahiin par hai jahaaN thaa pehle
ham ne aabaad kiyaa mulk-e-suKhankaisaa sun_saan samaaN thaa pehle
ham ne baKhshii hai Khamoshii ko zubaaNdard majbuur-e-fuGaaN thaa pehle
ham ne roshan kiyaa maamuur-e-Gamvarnaa har simt dhuaaN thaa pehle
Gam ne phir dil ko jagaayaa 'Nasir'Khaanaa_barbaad kahaaN thaa pehle

No comments:

Popular Posts