Sunday, March 1, 2009

Mere lab o qalam ke ajz ko

Mere lab o qalam ke ajz ko koi aisa hunar e kamal deJo meri khwahishoN ke jhund ko takmeel ke darje ma dhal de
Meri khilwatoN ke ay razdaaN, meri jalwatoN ke rafiq sunKissi se kuch bhi gharaz nahi, mujhe apna aks e khayaal de
Kabhi yooN bhi ho ke wo choom kar mere in laboN ko payar seMeri rooh ke zakhm samait le, mujhe jaaN'kani se nikaal de
Teri chahatoN ke dais ma mere roz o shab tamam hoNTere bichaRne ka koi dar na ho mujhe aise maah o saal de
Meri be'basi ko zubaaN mile, meri kam'nigaahi ujaal deKe jahaaN se kuch na talab rahe, mujhe aisa izn e sawal de
Mujhe um'r bhar naseeb ho, meri zindagi pe moheet hoJo kabhi bhi khatm na ho sake, mujhe aisa koi wisaal de

No comments:

Popular Posts