Sunday, March 1, 2009

ye mojaza bhi muhabbat kabhi dikhaye mujhe

ye mojaza bhi muhabbat kabhi dikhaye mujhek sang tujhpe gire aur zakhm aye mujhe
wo maharaban hai to iqrar kyun nahin kartawo badguman hai to sau bar azmaye mujhe
main apne paon tale raundata hun saye kobadan mera hi sahi dopahar na bhaye mujhe
main ghar se teri tamanna pahan k jab niklunbarhana shahar mein koi nazar na aye mujhe
wo mera dost hai sare jahan ko hai malumdaga kare wo kisi se to sharm aye mujhe
main apni zat mein nilam ho raha hun 'Qateel'gham-e-hayat se kah do kharid laye mujhe

No comments:

Popular Posts