Sunday, March 1, 2009

Raz-e-ulfat chupa k dekh liya

Raz-e-ulfat chupa k dekh liya Dil buhot kuch jala k dekh liya
Aur kya dekhne ko baqi hai Ap se dil laga k dekh liya
Wo mere hok bhi mere na hue Unko apna bana k dekh liya
Aj unki nazar main kuch hamne Sabki nazren bacha k dekh liya
'Faiz', taqmil-e-gam bhi ho na saki Ishq ko azma k dekh liya
As us dar se tutati hi nahin Ja k dekha, na ja k dekh liya..

No comments:

Popular Posts