Sunday, March 1, 2009

ae ishq humien barbad na ker

ae ishq na cherde Aa Aa ke humienhum bhoole howoon ko yaad na kerpehlay hi bohut nashad hain humto aur humien naashad na kerqismat ka sitam hi kum nahien kuchyeah taza sitam ijad na keryooN zulim na ker bedad na kerae ishq humien barbad na ker
jis din se mile hain donon kasab chain gaya aaram gayachehroon se bahaar-e-subah gayeAnkhoon se faroG-e-shaam gayahaathoon se Khushi kaa jaam chootahontoon se haNsi ka naam gayaGamgeen na bana naashad na kerae ishq humien barbad na ker
Raatoon ko uTh uTh rote hainro ro ker Duien kerte hainAnkhoon main Tasawur dil main Khalishsir dhunte hain ahien bharte hainae ishq yeah kaisa rog lagajeetay hain na zaalim marte hainyeah zulim to ae jallad na kerae ishq humien barbad na ker
yeah rog laga hai jab se humienranjida hoon main bimaar hai woher waqt tapish her waqt Khalishbe-Khawab hooN main bedar hai wojeenay se idhar bezar hooN mainmarnay pe udhar tayar hai woaur zabat kahay fariyad na kerae ishq humien barbad na ker
bedard zara insaf to keris umar main aur maghmoom hai wophehloon ki tarah nazuk hai abhitaaroon ki tarah masoom hai woyeah husan sitam yeah ranj Ghazabmajaboor hooN main mazaloom hai womazaloom pe yooN bedaad na kerai ishq humien barbad na ker
ae ishq Khudara dekh kahienwo shoKh haseen badnaam na howo maah-e-laqa badnaam na howo zohra jabeen badnaam na honaamoos ka us ko paas rahewo pardaa-nasheen badnaam na hous parda nasheen ko yaad na kerae ishq humien barbaad na ker
ummeed ki jhooty jannat kerah rah ke na dikhala Khawaab humienAienda ke farzi ishrat kewaade se na kar betaab humienkahata hai zamana jis ko Khushiati hai nazar kaamayaab humienchorde aisi Khushii ko yaad na kerae ishq humien barbaad na ker
do din hee main ahad-e-tifali kemasoom zamanay bhool gayeAnkhoon se wo Khushiyan miTt si gaienlab ke wo taranay bhool gayeun paak bahishtii Khawaboon kedilchasp fasaane bhool gayeun Khawaaboon se yooN aazad na kerae ishq humien barbaad na ker
Ankhoon ko yeah kiya azaar huwaher jazb-e-nihaaN per ro denaahang-e-tarab pe jhuk jaanaawaz-e-fuGaaN per ro denabarbat ki sada per ro denamutrib ke bayaaN per ro denaehasas ko Ghum bunyaad na kerae ishq humien barbaad na ker
ji chahata hai ik duusaray koyooN aaTh pahar hum kerienAnkhoon main basayien Khawaboon koaur dil ko Khayaal abaad karienKhilawat main bhi jo jalawat ka saamaaNwahadat ko duwa se shaad karienyeah arazooien ijaad na kerae ishq humien barbaad na ker
wo raaz hai yeah Ghum aah jisepaa jaaye koye to Khair nahienAnkhoon se jab Ansoo bahate hainaa jaaye koye to Khair nahienzaalim hai yeah duniya dil koyahaaN bhaa jaaye koye Khair nahiinhai zulim magar fariyaad na kerae ishq humien barbaad na ker
duniya ka tamaasha dekh liyaGhamgeen si hai betaab si haiummeed yahaaN ik waham si haitaskeen yahaaN ik Khawaab si haiduniya main Khushi ka naam nahienduniya main Khushi nayaab si haiduniya main Khushi ko yaad na kerae ishq humien barbaad na ker

No comments:

Popular Posts