Sunday, March 1, 2009

tum aisa karna k koi jugnoo koi sitara sanbhal rakhna

tum aisa karna k koi jugnoo koi sitara sanbhal rakhnamere andhero'n ki fikr chhorho bas apne ghar ka khayal rakhna
dayar e ulfat mai ajnabi ko safar hai darpesh zulmaton kakahee'n wo raho'n mai kho na jaye dareechey apne ujaal rakhna
ujharh mausam mai rait dharti pe fasl boi thi chandni kiab uss mai ugney lagey andhere tau kaisa jee mai malal rakhna
bichharne wale ne waqt e rukhsat kuchh iss nazar se palat k dekhak jaise wo bhi ye keh raha ho tum apne ghar ka khayal rakhna
ye dhoop chhao'n ka khail hai ya khiza'n baharon ki ghat mai hainaseeb e subho urooj ho to nazar mai sham e zawal rakhna
kisey khabar thi k kab ye mausam urha k rakkh de ga khak AAZARtum ahtyatan zamee'n k sar par falak ki chadar bhi dal rakhna

No comments:

Popular Posts