Sunday, March 1, 2009

Suna hai log use ankh bhar ke dekhtay hain

Suna hai log use ankh bhar ke dekhtay hainSo us ke sheher main kuch din thahr ke dekhtay hain
Suna hai rabt hai us ko kharab haloon seSo apnay aap ko barbad ker ke dekhtay hain
Suna hai dard ki gahak hain chushm-e nazuk us kiSo hum bhi us ki gali se guzer ker dekhtay hain
Suna hai us ko bhi hai sher-o shayari se shagafSo hum bhi mojazay apnay huner ke dekhtay hain
Suna hai bolay to batoon se phool jharatay hainYeah baat hai to chalo baat ker ke dekhtay hain
Suna hai raat use chand takta rehta haiSitaray baam-e falak se uter ker dekhtay hain
Suna hai hasher hain us ki gazal si ankhainSuna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhtay hain
Suna hai din ko use titliyan satati hainSuna hai raat ko jugno thahar ke dekhtay hain
Suna hai raat se barh ker hain kakulan us kiSuna hai sham ko saye guzer ke dekhtay hain
Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamat haiSo us ko surma farosh ankh bhar ke dekhtay hain
Suna hai us ke laboon se gulab jalte hainSo hum bahar per ilzaam dhar ke dekhtay hain
Suna hai Aiyna tamasal hai jabeen us kaJo sada dil hain ban sanwer ke dekhtay hain
Suna hai jab se hamail hain us ki gardan mainMizaj aur hi lal-o gauhar ke dekhtay hain
Suna hai chashm-e tasavur se dasht-e imkan mainPalang zawaiya us ki kamar ke dekhtay hain
Suna hai us ke badan ke tarash aisay hainKe phool apani qabayain qater ke dekhtay hain
Wo saroqad hai magar begul-e muraad nahinKe us shajar pe shagufay summar ke dekhtay hain
Bas ik nigah se lutata hai qafila dil kaSo rahrawaan-e tamannaa bhi dar ke dekhtay hain
Suna hai us ke shabistan se mutasil hai behishtMakin udhar ke bhi jalway idhar ke dekhtay hain
Rukay to gardishain us ka tawaf karti hainChalay to us ko zamanay thahar ke dekhtay hain
Kisay naseeb ke be pairhun usay dekhayKabhi kabhi dar-o deewaar ghar ke dekhtay hain
Kahaniyan hi sahi sab mubalaghay hi sahiAger woh khwab hai tabir ker ke dekhtay hain
Ab us ke sheher main thahrian ke kouch ker JaienFaraz aao sitaray safer ke dekhtay hain

No comments:

Popular Posts