Sunday, March 1, 2009

ikk baar hii chahat ki saza kyu'n nahee'n daitey

ikk baar hii chahat ki saza kyu'n nahee'n daiteyzinda hoo'n tau marne ki dua kyu'n nahii daitey
ikk aag jo bujhti na bharhkti hai ziyadauss aag ko daman ki hawa kyu'n nahii daitey
bichhrhey huwe lamhe bhi kabhi laut k aaye?bichhrhey huwe lamho'n ko bhula kyu'n nahii daitey
darya mai pukare chaley jate ho hameshasehrao'n mai sawan ko sada kyu'n nahii daitey
dekho naa! kayee yaar boht khauf zada hainpal bhar ko charago'n ko bujha kyu'n nahii daitey

No comments:

Popular Posts