Sunday, March 1, 2009

Ahal-e-jahan ke saath wafa ya jafa karon

Ahal-e-jahan ke saath wafa ya jafa karon ?Meri samajh main kuch nahin aata hai kiya karoon
Ye dard-e-dil to haasil-e-umar-e-daraaz haiMain iss ko apnii zaat se kiyo ker juda karoon
Duniya yehii keregii, to duniya se peshterMajrooh kiyo na khud he main apnii ana karoon
Duniya main kon hai jo nahin hai mere khilaafIk tum he reh gaye ho tumhain bhii khafa karoon
Her zaaviye se zeest ne ruswa kiya mujheKis rukh se apnii zaat ka ab saamna karoon
Ihsaan jo uthaaye hain oaron ke wastayOaron pe hain wo qarz magar main ada karoon
Aankhon ko neend kii bhii rafaaqat nahin naseebMain shama to nahin ke sahar tak jala karoon
Hasrat he reh gaii ke bahaaron ke dermiyanTere baghair bhi to kabhi khush raha karoon
Be-gangii ko chor ke fitrat bhi hans pareyAadam ke naam per koii aisii khata karoon
Jiss karb-e-aagahii main hoon laiss aaj kalUss karb-e-aagahii se kisay aashna karoon?*******************

No comments:

Popular Posts