Sunday, March 1, 2009

khush thay kuch aisay teri rafaqat k shauq main

khush thay kuch aisay teri rafaqat k shauq mainmanzil ganwa di ham ne musaafat k shauq main
nafrat hi pehr e daar mili har makaam parjis darr pe ham gaey hain mohaabat k shauq main
ham baargah e ishq main maqbool youn huekhud se bichar gaey teri qurbat k shauq main
lautay hain ab tou saath hai ranj o alam ki bheerniklay thay ghar se ik musarrat k shauq main
apnay chaman se raabta bilkul nahi rahasehra norad ho gaey daulat k shauq main
daaman main hasraton k siwa kuch nahi aey dostaisay lutay hain ham teri chahat k shauq main !!!

1 comment:

zoobia said...

Amazing, hila dainay wali poetry, read kartay wakt daard mehsoos hoti hai!

Popular Posts