Sunday, March 1, 2009

Mari zindagi tu farak hai

Mari zindagi tu farak hai, tu azal se dil ma makeen sahi Wo nigah shok se door hain, rag e jaan se lakh karin sahiHmain jaan dani hai aik din, wo kisi tarah wo kahin sahiHmain aap kheenchaye daar par, jo nahi koi tu hami sahiSar e toor ho, sar e hashar ho, hmain intizaar kabool haiWo kabhi milain, wo kahin milain, wo kabhi sahi, wo kahin sahiNa ho in pay jo mara bas nahi, ye aashiki hai hawis nahiMa in hi ka tha, ma in hi ka hon, wo maray nahi tu nahi sahiJo ho faisla wo sunaye, isay hashar pay na uthayeJo karain gay aap sitam wahan, wo abhi sahi wo yahin sahiUsay dakhnay ki jo lo lagi tu naseer dakh hi lain gay humWo hazar aankh se door ho, wo hazar parda nasheen sahi

No comments:

Popular Posts