Sunday, March 1, 2009

Jisam tarpa khak per tanha

  • Jisam tarpa khak per tanhaRooh karti rahi safar tanha
    Nend valo’n ko khabar kya iss kiKon jaga hy raat bhar tanha
    Log soe kahi’n band kamro’n maiChand bhatakta hy dar-badar tanha
    Sath deta hy kon manzil takSath chalti hy rahguzar tanha
    Shehr ka shehr bujha jata hyJa raha tha vo apne ghar tanha
    Ae gham.e.zindagi k raat k chandDhoond mujh ko nagar nagar tanha
    Vo jo hansta tha ehl.e.dil pe kabhiRo para khud ko dekh kar tanha
    Bhool kar apne husan k aadabMere dil mai kabhi utar tanha
    Ye khudao’n ka dor hy iss maiReh gaya faqat bashar tanha
    Yad ae hazar shehr mujheJab b dekha koi khanda’n tanha
    Iss bhare shehr mai MOHSINAnjuman tha koi magar tanha__________________

No comments:

Popular Posts