Sunday, March 1, 2009

beetay dino ke dasht se aati sada hoon main

beetay dino ke dasht se aati sada hoon mainujrray gharon main ghoomti pagal hawa hoon main
hoon to tere jism ka saya hi kia huabas zindagi ki sham talak hi juda hoon main
kia jaanay kab bigaarr de ye sar phiri hawabeeti hui bahaar ka ik naqsh-e-paa hoon main
yoon to mere bhi rang hain kuch an ginat magarhar ik ko aik rang nazar aaraha hoon main
jaanay wo aik lamha bhi kia kia badal gayakiun baar baar apni taraf dekhta hoon main
ik din teri talaash ki manzil bhi aay giab tak to apne aapko hi ddhoonddta hoon main
lipttay hon jaise "SHAM" ki chaadar main baam o darkuch yoon tere khayal main dooba hua hoon main

No comments:

Popular Posts