Monday, March 2, 2009

Main jo din ko kahon raat, wo iqrar kare

Main jo din ko kahon raat, wo iqrar karyMujh ko hasrat hai koi youn bhi mujhy payar karyMere khatir wo sahy dunya k taany, dhakkyNangy pairoon sy wo saihraoon k kanty chakhyMujh ko paany k layee june k rozy rakhyMain hoon deewana, wo deewano sa izhar karyMain jo din ko bhi kahon raat, wo iqrar karyMujh ko hasrat hai koi youn bhi mujhy payar kary

Ghum Ki Barish

Ghum Ki Barish
Ghum Ki Barish Ne Bhe Tera Naqsh Ko Dhoya NahiTu Ney Mujh Ko Khoo Diya Mainay Tujhe Khoya NahiNeend Ka Halka Gulabi Sa Khumaar Ankhon Main ThaYoon Laga Jaise Woh Shab Ko Deir Tak Soya NahiHar Taraf Dewar-O-Dar Or In Main Aankhon K HajoomKeh Sakay Jo Dil Ki Halat Woh Lab-e-Goyaa NahiJaanta Hoon Ik Aise Shakhs Ko Main BheGhum Se Pathar Ho Gaya Lakin Kabhi Rooya Nahi

Chalo Muhabbat Ki nayi Bunyad Rakhtay Hain,

Chalo Muhabbat Ki nayi Bunyad Rakhtay Hain,Khud Paband Rehtay Hain Tumhien Aazad Rakhtay Hain
Hamaray Khoon Main RAB Ne Taseer Hi Aesy Rakhi Hai,Burian Bhool Jatay Hain Acchiyan Yaad Rakhtay Hain.
Yeah soch ker ke gustakhi na ho jaye muhabbat main,Is Liye Apna Her Qadam Teray Qadam Ke Baad Rakhtay Hain.

Tujhe ishq ho khuda Karay

Tujhe ishq ho khuda Karaykoi usko tujh se juda karayteray hont hasna bhool jayeteri ankh num raha karay
to uski baatain kiya karayto uski baatain suna karayto us ko dekh ker ruka karaywo tujhe dekh ker chala karay
tujhe hijar ki Aisy chari lagayto milan ki her pal dua karayto tarpay uske ishq mainwo tujhe bhoolnay ki dua karay
tujhe ishq ho phir yaqeen hoto use tasbeehon main parha karaymain kaho ke ishq to dhong haito nahi nahi kaha karay
teray samnay tera ghar jalaytera bas chalay na bhuja sakayteray moun se yahi dua niklayna ghar kisi ka jala karay

Hama-waqt ranj-o malal kia jo guzar gaya so guzar gaya

Hama-waqt ranj-o malal kia jo guzar gaya so guzar gayause yaad ker ke na dil dukha, jo guzar gaya so guzar gaya
Na gila kia, na khafa Howay, yoonhi raastay main juda huwayna tu be-wafa, na main be-wafa, jo guzar gaya so guzar gaya
Woh ghazal ki aik kitaab tha, woh gullon main aik gulaab thazara dair ka koi khuwab tha, jo guzar gaya so guzar gaya
Mujhe pat-jharon ki kahaniyan , na suna suna ke udaas kertu khizan ka phool hai muskura, jo guzar gaya so guzar gaya
Woh udas dhoop samait ker, kahin wadion main uter chukause ab na de mere dil sada, jo guzar gaya so guzar gaya
Yeah safar bhi kitna taweel hai, yahan waqt bhi kitna qalil haikahan laut ker koi aye ga, jo guzar gaya so guzar gaya
Woh Wafaien thien ke Jafaien thien, yeah na soch kis ki khatien thienwo tera hai us ko galay laga, jo guzar gaya so guzar gaya
Tujhe aitbaar-o yaqeen nahi, nahi dunya itni buri nahina malal ker mere saath Aa, jo guzar gaya so guzar gaya

Janay kion shiksat ka azab liye phirta hoon

Janay kion shiksat ka azab liye phirta hoon
main kiya hoon aur kia khuwab liye phirta hoon
us ne ik bar kiya tha sawal_e_Muhabbat
main her lamha wafa ka jawab liye phirta hoon
us ne poocha kab se nahi soye
main tab se rut jagon ka hisab liye phirta hoon
us ki khuwahish thi ke mery ankhoon main pani dikhay
main us waqat se Ansoon ka sailaab liye phirta hoon
AFSOOS KE WO PHIR BHI MAIRA NA HUWA *FARAZ*
MAIN JIS KI ARZOO KI KITAB LIYE PHIRTA HOON

Sitaroon Ko Bholanay Say Mohabbat Kam Na Hogi

Sitaroon Ko Bholanay Say Mohabbat Kam Na HogiYeah Naghmay Gungunanay Se Muhabbat Kum Na HogiMain Teri Chund Yadoon Ko Gazal Ka Roop De DoongaTumharay Aazmanay Se Muhabbat Kum Na HogiDuaoon Ke Tabassum Se Ghataoon Ka Jigar PiglayMager Yoon Muskuranay se Muhabbat Kum Na HogiNashemun Zindagi Ka Noor Se Bhi Khoob Roshan HaiSumander Ke Lutna Se Muhabbat Kum Na HogiFaraq-o-Wasal Ki Batien To Touheen -e- Muhabbat HainKisi Ke Door Janay Se Muhabbat Kum Na HogiCharaag -e- Aarzoo Roshan Rahay Ga Her Ghari Her DumKe Teray Yoon Satanay Se Muhabbat Kum Na Hogi

Kuch Din To basoo mairy ankhoon main

Kuch Din To basoo mairy ankhoon mainPhir khawab ager ho jaoo to kia
Koi rang to do mairay chehray koPhir zakhum ager mehkaoo to kia
Jub hum hi na mehkay phir sahibTum bad-e-saba kehlaoo to kia
ik Aiyna tha so toot gayaAb khud se ager sharmaoo to kia
Tum Aas Bandhanay walay thayAb tum Bhi hamien thukraoo to kia
duniya bhi wohi aur tum bhi wohiPhir tum se Aas lagaoo to kia
main tanha tha main tanha hoonTum aao to kia na aao to kia
jub dekhnay wala koi nahibujh jaoo to kia gehnaoo to kia
ik wahem hai yeah duniya is mainkuch khoaoo to kia aur kuch paoo to kia
hai yoon bhi Zaiyan aur yoon bhi zaiyanjee jaoo to kia mur jaoo to kia

Popular Posts