Tuesday, June 15, 2010

Woh Nahi Mera Magar Usse Mohabbat Hai To Hai


Woh Nahi Mera Magar Usse Mohabbat Hai To Hai
Yeh Agar Rasmo Riwajo Se Bagawat Hai To Hai,

Sach Ko Maine Sach kaha Jab Kah Diya Toh Kah Diya,
Ab Zamane Ki Nazar Mein Yeh Hamaaqat Hai To Hai,

Dost Bankar Dushmano Sa Satata Hai Mujhko,
phir bhi Us pathar dil pe marna apni fitrat  Hai To Hai,

Kab Kaha Maine Ki Woh Mil Jaye Mujhko,
Uski Baaho Mein Dam Nikle itni Hasrat Hai To Hai,

jal gaya parvana to usme shama ki kya khata.
yun raat bhar jalna jalaana uski kismat Hai To Hai

Woh Saath Hai Toh Zinda Hoon Main,
Meri Saanso Ko Uski zarurat Hai To Hai


dur the,dur renhenge har dum ye zamein asmaan.
duriyon ke baad bhi dil mein kurbat Hai To Hai


maine kab kaha tu mil hi jaye mujhe.
par gair na ho jaye itni hasrat Hai To Hai

KASH AISE GUZRE YE ZINDAGI

KASH AISE GUZRE YE ZINDAGI

MERA NAFS TERI TEHVEEL MEIN HO

MERI HER DUA TUJHE QABOOL HO

MERI HER DUA MEIN TERI TALEB HO

TERA HER GAAM MERI MANZIL HO

AOR MERI MANZIL TERA HASOOL HO

MERA HER QADAM TERI RAH MEIN HO

MERA HER QADAM TERI CHAH MEIN HO

JO TUU MERA GHAM KHWAR HO

TO KION NA GHAM AZEEZ HO

KASH AISE GUZRE YE ZINDAGI

MAIN TUJE AZEEZ HON

TU MUJE AZEEZ HO

Hoon Ajeeb Kashmakash Mein Hoi Zindagi Parai


Hoon Ajeeb Kashmakash Mein Hoi Zindagi Parai
Meray Passs Teri Yadain Teray Pass Bewafai


 Meray DiL Ko Tu Ne Cheena Meri Preeet Jug Ne Luti
Mera DiL Bhi Ha Paraya Meri Preet Bhi Paraaii


Tujhay Khuwab Hi mein Dekhoon Ye Bahram Bhi Aaj Toota
Teray Khuwab Kaisay Dekhoon Mujhay Nend Hi Na Ayi


Hoon Ajeeb Kashmakash Ma Hoi Zindagi Parai
 Meray Passs Teri Yadain Teray Pass Bewafai

Zindagi kay in faasloN meN Meray hathoN ki

Zindagi kay in faasloN meN 
Meray hathoN ki lakiroN meN
hai kahiN chupi chupi si

FizaoN ki khushboo meN
PhooloN ki bahaaroN meN
meri in nighahoN meN
Ahsaas hai uska

chaand se poochooN
SitarooN se BolooN
Hai kahiN wo raahooN meN
Meri nendoN meN
Meri ankhoN meN
KhwaboN ki tabeer bankar
Hai kahiN aas paas

Ho kahiN bhi 
AsmaaN ke sa'ay meN 
ek Paheli bankar
rooh ki piyaas hai
dil ki aawaaz hai 
Khushboo hai 
Bikhri bikhri si kahiN

kabhi sochooN
kabhi dhooNdooN
justujoo hai teri
ek aas hai teri
dekhooN tujhay
Saayaa tera bankar

LehroN meN samandar ki
bhaNwar meN kahiN
doob ja'ouN kisi din
Pyar meN teray
aarzoo bankar
dhuwaN dhuwaN
UR ja'ouN kahiN badal bankar

diloN kay taar meN 
saazoN kay sitaar meN
ager milja'o kahiN begana bankar
judai ki aag meN
Bahtay paani kay dharay meN
Pa'ouN tujhay...khood se Juda karkay

Labon pe Phool khilte hai kisi ke Naam se pehle

Labon pe Phool khilte hai kisi ke Naam se pehle,
Dilo ke Deep jalte hai Chiragh-e-Shaam se pehle,

Kabhi Manzar badalne par bhi kissa chal nahi pata,
Kahani khatam hoti hai kabhi Anjaam se pehle,

Ye hi Taare Tumhaari Aankh ki Chilman mein rehte the,
Ye hi Suraj nikalta tha Tumhare Baam se pehle,

Hui hai Shaam Jangle mein Parinde laut-te honge,
Ab inko kis tarah roke Nawaah-e-Daam se pehle,

Ye saare Rang Murdaa the Tumhaari Shakl banne tak,
Ye Saare Harf Muhmal the Tumhaare Naam se pehle,

Hua hai wo agar Munsif to Ahtiyatan Hum,
Saza Tasleem karte hai kisi Ilzam se pahle..!!!

Mazi ko mila raha hun mein haal ke saath

Mazi ko mila raha hun mein haal ke saath
Tera khayal ayaa mujhe is khayal ke saath

Bas gayee hai is mein tere nafas ki khushboo
Ek baar liya tha kabhi hathon mein tera haath

Ek gosha-e-dil tere naam ka hai so rahe ga
kiya huwa jo na guzaar sake zindagi hum ek saath

Muhabbat nahin hain naam sirf paa lene ka
BichhaR ke bhi aksar dil dhaRakte hain saath saath

Tere na milna ka gham kam nahi par khushi yeh hai
Aaye ga sada mera naam tere naam ke saath......

TuJHE ZinDaGi kA sHA'Oor Tha TerA kyA BanA


TuJHE ZinDaGi kA sHA'Oor Tha
TerA kyA BanA

Tu kHamOsH kyOun HAi YeH Bata
TerA kyA BanA

Nayi ManziLoun ki TaLasH Thi sO BicHAr GayE

Main BicHRa k TuJH sE BHataK GiA
TerA kyA BanA

MuJHE ELam THa k sHakist MerA NasEeB Hai
Tu UmEeD'wAaR Tha JeEt kA 
TerA kyA BanA

Jo Teri NasEeB sE JunG Thi wO Meri BHi Thi
Main tu KamyAaB nA hO Saka
TerA kyA BanA

Tu kHamOsH Tha Tu MuJHE LaGa k kHusH Hai Tu
Tere BolnE sE Pata cHaLa k
TerA kyA BanA

Sama'at kho chuka tha kiya usay sada daitay

Sama'at kho chuka tha kiya usay sada daitay 
Yahi bohat tha kay yah waqeya bhula daitay 

Humaray ikhtiyaar main hota gar ye sanam 
Tere khatoot kiya teri tasweer bhi jala daitay 

Na dushmni bhi saleeqe say ho saki tum say 
Diya tha aas ka hum ek baar hi bujha daitay 

Yahi bahut hai ke khud ko sambhal kar rakha 
Hum unko mil b jo jatay to woh ganwa daitay 

Jo apni zaat main dhoka aur faraib the chanda
Woh humain kaisay wafa ka koi sila daitay

kuch kami si hai aap bin

kuch kami si hai aap bin
na rang na roshni hai aap bin

waqt apni raftar se chal raha hai
bus dharkan thami thami si hai aap bin

na sulagti aag na barish na dhuaan
phir bhi dil main tapash si hai aap bin

bahot roka hai baadal ko barasne se
phir bhi aankhon main nami si hai aap bin

Yeh Dard mit Gaya To Phir


Yeh Dard mit Gaya To Phir....
Yeh Zakham Sil Gaya To Phir.....
Bichar k Sochta Hon mAin
wo Phir Se Mil Gaya To Phir.....

Main Titlion K Shehar Main
Rahoon To Mujh Ko Fikar hY
Wo Phool Jo Khila Nahi
khil Gaya To Phir.....
Tumhaian B kuch Nahi Mila
Mujhe B kuch Nahi Mila
Tamam Umar K Liye Yeh
Dard Mil Gaya To Phir....
Main Is Liye To Aaj Tak
Sawal B nA Kar Saka
Mere Sawal Ka Agar
Jawab Mil Gaya To Phir...!!!

MERI LAGZHISHAIN NA GINA KARO, meri ghaltiyan na chuna karo

MERI LAGZHISHAIN NA GINA KARO, meri ghaltiyan na chuna karo
yeh qadam qadam ki hudood kiya, mery sath sath chala karo

main khuly mizaj ka shaks hun, main takalufat sy mawara
yeh jo meharbani ka lafz hai issy tum na mujh sy kaha karo

kahin tum na ho jao be-skon, koi bad dua na tumhein lagy
yeh jo khoye khoye sy log hain inhein dekh kar na hansa karo

yeh dua hai RAB-e-karim sy teri tazgi ko khiza na ho
yeh bahar tujh sy jala kary, sada muskuraty raha karo..

Khwahishoon ke jangal mein yoon bathakte rehne se


Khwahishoon ke jangal mein
yoon bathakte rehne se 
manzilien nahi miltien 

kuch khizaaien essi hein

aa ke teher jaien....
phir kali nahi khlti

daastaan sunane se
khud pe muskurane se
vehshatien nahi mittien 

ger koi bathak jaye inn
saraab raastoon mein
khizar se milane ko
phir koi ghali nahi milti 


habbs ka koi mausam
dil mein jab utar aa ye
tu usse mitane ko
phir saba nahi milti 

ishq dil mein bas jaye ya..
kisi mein jagg jaye ye..
aagan muhabbat ki
phir kabhi nahi bujhti
zindagi nahi dikhti!

Apni Tanhi Ki Kahani Kaho To Sunaen Tumko

Apni Tanhi Ki Kahani Kaho To Sunaen Tumko,,
Tum Rooth Q Gaye Ho Kaho To Manaen Tumko,, 

Hum Jo Apni Kahani Sunate Hain Tumhein To Tum,,
Ro Parte Ho Kaho To Na Rulaen Tumko,, 

Meri Baatein Meri Yaadain Tarpati hongi,,
Kaho To In Se Kahein Na Tarpaen Tumko,, 

Tum Jo Humarey Beghair Reh Nahi Saktey Ho,,
Kaho To Aa Jaen Tumarey Pass Ya Bulaen Tumko,, 

Agar Mohabat Hai Humse To Bas Itna Keh Do,,
Ke Ab Agar Hum Ayein To Na Chhor K Jayein Tumko,,

Insaanoo Ki Is Basti Main Kuch Aise Log


Insaanoo Ki Is Basti Main
Kuch Aise Log Bhi Bastey Hain
Jo Gham Sehtey Hain Dunya K
Jo Chupkey Chupkey Hastey Hain

Insaano Ki Is Basti Main
Rehtey Hain Kuch Maseeha Bhi
Jo Kartey Bass Maseehae
Chhup Chhup Kar Wo Rehtey Hain

Insaano Ki Is Basti Main
Bastey Hain Kuch Sanam Aise
Jo Apni Hi Is Pooja Se
Kuch Kuch Dartey Rehtey Hain

Insaano Ki Is Basti Main
Bastey Hain Kuch Farishtey Bhi
Jab Ghalti Ka Imkaan Nahi
To Na Janey Kion Darte Hain?

Insaano Ki Si Basti Main
Kuch Log Baney Hain Shedai
Jo Hulye Se Hain Dewaney
Par Baat Feham Ki Kartey Hain

Insaano Ki Is Basti Main
Kuch Log Ajab Se Rehtey Hain
Kartey Hain Kaam Darindoon K
Aur Khud Ko Insaan Kehtey Hain

Insaano Ki Is Basti Main
Rehta Hai Aik Khudawand Bhi
Usse Ki Marzi K Tabe Hain
Jo Jeetey Hain Jo Martey Hain

Insaano Ki Is Basti Main
Rehta Hai Aik Khudawand Bhi
Jab Ataa Karey To Aise Karey
Sab Malik Bhi Phir Mangtey Hain

Insaano Ki Is Basti Main
Kuch Aise Log Bhi Bastey Hain
Jo Gham Sehtey Hain Dunya K
Jo Chupkey Chupkey Hastey Hain


Insaanoo Ki Is Basti Main
Kuch Aise Log Bhi Bastey Hain
Kuch Aise Log Bhi Bastey Hain

Ab tu mumkin he nahi un sy mulaqat”Wasi”


Ab tu mumkin he nahi un sy mulaqat”Wasi”
Ab tu urooj py puhnchi hai us ki zaat”Wasi”

Wohi waday hain aur rasmon ki zanjeeren haun
Kab badalti hain zamany ki riwayat “Wasi”

Ek wo din thy ky ek doosry ko sochthy thy hum
Ab milty nahi dono ky khayalat”Wasi”

Meri har subha ka agaaz tery naam sy ho
Teri yadoon main katti har ek raat”Wasi”

Tum kahan aur mery pyaar ka miyaar kahan?
Wo kitni sadgi sy kar gia ye baat”Wasi”

Is zindagi main hussn ko nikhaar chahiyye

Is zindagi main hussn ko nikhaar chahiyye 
Ujray hain jo gulshan unhain bahaar chahiyye

Deewano ko ye chahiyye had se barhain na woh 
aur aashiqon ko dil pe ikhtiyaar chahiyye 

Unko nahi tassalliy e dil yaar ki taraf 
Iqraar hogaya hai tu izhaar chahiyye 

Sun kar awaaz yaar ki kehtay hain machal kar 
Kaafi nahi guftaar hi deedaar chahiyye 

Mohabbat ke liye laazim hain kuch ashyaai 
Dil_o_jaa'n chahiyye imaan_o_aitbaar chahiyye 

Ye sab tu hum ne paaya magar ik aur khahish hai 
Jo bewafa na ho hamain woh yaar chahiyye 

Na kabhi kisi se gila kiya

Na kabhi kisi se gila kiya
Mujhey ajab iska sila mila
Muhabbatun ki kitab ka
Har ek warq jala diya

W o jo aarzu ka chiragh tha
Ussey nafratun ne bujha diya
Mujhey zakhm phir ek naya diya
Mujhey is muhabbat ne kya diya

Woh jo kehte they khush raho
Woh jo kehte they meri jan ho tum
Har lamha hansa karo
Mujhey aaj unhon ne rula diya
Mera nishan tak mita diya!!!!

Ek bewafa sy aik mulaqat bohat hai

Ek bewafa sy aik mulaqat bohat hai
Jitna diya humnay tera saath bohat hai

Duniya ko dil k daagh dekhaon to kis tarah
Aye zindagi yeh raaz chupaon to kis tarah

Apni tabahiyoon mein mera haath bohat hai
Jitna bhe diya humnay tera saath bohat hai

Toota jo dil ka aaina tootay sabhe bharam
Hoti hai umar pyaar ke jeenay k liye kamm

Marnay k liye dard ke raat bohat hai
Jitna bhe diya humnay tera saath bohat hai

Ek bewafa sy ek mulaqat bohat hai
Jitna bhe diya humnay tera saath bohat hai...

Khush rhe tu koi gham tujhay na chu paaye

Khush rhe tu koi gham tujhay na chu paaye
Jo bhi dard dard aaye wo mere hisse aaye

Tu mera humraaz bhi ,mera humnawa bhi
Mere aiyteraaf mai hain lipte tere saaye

Wo meri zindagi ka aakhri lamaha hoga
Jo meri soch tujhko kabhi bhool jaye

Tu jaisa chahata hai mujhay manzoor har shey
Mein samjh loongy wo bhi jo tu keh na paaye

Mera hai kya mai ehsaas mein jee loongy 
Shurt ye hai jo tu maujhay kabhi soche, to muskuraye

roshni or bahaarien tumhi rakh lo jana


roshni or bahaarien tumhi rakh lo jana
mere jugnoo mere mausam muje wapas kar do

meri hasrat meri mehromiyan lota do muje
mere ansoo mere matam muje wapas kar do

jane wale se bas itna hi kaha tha mein ne
kuch na lotao mere gham muje wapas kar do

kyon yeh takrar sii hone lagi "mien" ki jana
woh jo ham tum mein tha, ik "ham" muje wapas kar do

jitni khushiyan hein wo rakh lo meri janab se Wasi
meri ankhon mein chupe nam muje wapas kar do

Hijar Ka Tara Doob Chala Hai Dhalny Lagi Hai Raat WaSi


Hijar Ka Tara Doob Chala Hai Dhalny Lagi Hai Raat WaSi
Qatra Qatre Bras Rhi Hai Ashkon Ki Brsat WaSi

Tere Baad Ye Dunya Waly Mujh Ko Pagal Kar Dain Ge
Khushbu K Dais Main Mujh Ko Le Chal Apny Sath WaSi

Yon Hi Chup Ki Mohar Laga Kar Kab Tak Gum Sum Betho Ge
Khamoshi Se Dam Ghut'ta Hai Cheyro Koi Baat WaSi

Aaj tO Us Ka Chehra B Kuch Badla Badla Lagta Hai
Mosam Dadla Dunya Badle Badal Gaye Halaat WaSi

Mere Ghar Khushbu Ka Yeh Raqs Usi K Dam Se Hai
Us K Sath Chali Jaye Gi Phulon Ki Baraat WaSi

Chor Wasi Ab Us Ki Yaden Tujh Ko Pagal Kar Dain Gi
To Qtra Hai Wo Darya Hai Dekh Apni Oqaat WaSi

Aik mudat say jisay daikha nahin

Aik mudat say jisay daikha nahin
Aaj bhi who zahan say utra nahin

Aaj bhi who toot kar aata hai yaad
Aaj bhi main raat bhar sota nahin

Aaj bhi sacha hoon apnay ishq main
Aaj bhi waada mera jhoota nahin

Aaj bhi qaim hoon apnay zabt par
Aaj bhi main toot kar bikhra nahin

Aaj bhi sirf main hoon tou us ka hi magar
Farq abh itna hai kay who mera nahin.

Uski judayi per hum raat bhar rote rahe


Uski judayi per hum raat bhar rote rahe.. 
Uski yaad aayi toh har baat per rote rahe,  

Ek lamhe ko mil kar bichad gaya umar bhar ke liye... 
Us shaks ko soch kar jaane kab tak rote rahe,  

Chand ro baro bethe the hum jaane kab se... 
Kabhi sar jhuka kar, Daman mein munh chupa kar rote rahe,  

Aate nahi hain laut kar log jaane waale... 
Yeh baat samjhate samjhate dil ko hum rote rahe,  

Us shaks ke chale jaane se kitne mere khwab toote... 
Un kirchiyon samette rahe aur yunhi rote rahe,  

Samajh na saka woh mere khuloos ko fiza... 
Hum ek is se baat per umar bhar rote rahe....!!!!

Is dard kay baad koi dard, dard nahin lagta


Is dard kay baad koi dard, dard nahin lagta

Kay shidat-e-dard ki inteha hoti hai mohabat

Nahin uthti who aankhain phir kisi pai

Kay jin aankhon main yeh fana hoti hai mohabat

Umar bhar jin ka azala na kar pai

Bas aik aisi hi khata hoti hai mohabat

Jo mil jai to bas phir kya kahna

Warna aik musalsal saza hoti hai mohabat

Log mujh say har baar yeh hi poochtay hain tum nay us main daikha kya

Main har baar yehi kahta hoon

Bewaja hoti hai mohabat…..

Abb kahan dost milein saath nibhaaney vaaley


Abb kahan dost milein saath nibhaaney vaaley,
Sab nay seekhay hain abb adaab zamaaney vaaley,

Dil jalao ya diye aankhon kay darvaazey par,
Waqt say pehlay tou aatey nhi aaney vaaley,

Ashq bann kay main nigaahon mein teri aaoongaa,
Ai mujhay apni nigaahon say giraaney vaaley,

Waqt badla tou uthaatey hain abb ungli mujh par,
Kall talaq haq mein merey haath utthaaney vaaley,

Waqt har zakham ka marham tou nhi bann sakta,
Dard kuchh hotay hain ta-umar rulaaney vaaley,

Ab jo bikhray to bikharnay ki shikayat kaisi

Ab jo bikhray to bikharnay ki shikayat kaisi
khushk patton ki hawaoon se rafaqat kaisi

main ne her dour main insaan se mohabbat ki hai,
jurm sangeen hai ab is main riayat kaisi

aik patta bhi ager shakh se juda hota hai
kya kahin dil pe guzarti hai qayamat kaisi

Zindagi tujh ko to lamhoon ka safr kehtay thay,
raah main aa gai sadiyon ki musafat kaisi

Barson ki chaht ko ik pal main badaltey dekha hum ne

Barson ki chaht ko ik pal main badaltey dekha hum ne,
Tuut kar chahney walon ko batt se mukartey dekha hum ne,

Naaz kartey the jo apni wafaon pr,
Unhi ko bewafai kartey dekha hum na,

Kaisey saja len sapney apni udaas aankhon mein,
Har khawab ko toot kr bekhrtey dekha hum ne,

Krty thy jo wadey hamesha saath chalne ka
Phir unhi ko rasta badaltey dekha hum ne,

Aitabar nahi raha kisi pr kya karen,
Is aitabar ko kai bar martey dekha hum ne

Meri Zindagi to firaq hai, woh azal se dil main makeen sahi


Meri Zindagi to firaq hai, woh azal se dil main makeen sahi
Woh nigah-e-shoq se door hain, rag-e-jaan se laakh qareeb sahi

Humain jaan deni hai aik din, woh kisi tarah woh kahin sahi
Humain ap khinchiye daar per, jo nahin koi to humi sahi

Sar-e-tur ho sar-e-hashr ho, humain intezaar qubool hai
Woh kabhi milain, woh kahin milain, woh kabhi sahi, woh kahin sahi

Huwa un pe jo mera bas nahin, ke yeh aashqi hai hawas nahin
Main un hi ka tha unhi ka hoon, woh merey nahin to nahin sahi

Jo ho faisla woh sunaiyye, isey hashr per na uthaiyye
Jo karain ge aap sitam wahan, woh abhi sahi woh yahin sahi

Gham-e-zindagi se farar kiya, yeh sukoon kiya yeh qara kiya
Gham-e-zindagi bhi hai zindagi, jo nahin chain to nahin sahi

Usey dekhney ki jo lou lagi, to Naseer dekh hi lain ge hum
Woh hazar aankh se door hon, woh hazar parda nasheen sahi

Wo jo shehar dil tha ujaar gaya

Wo jo shehar dil tha ujaar gaya
wo jo khawab tha bikhar gaya
Kabhi mousamo ki nazer lagi
kabhi wehmon ne dara diya

kabhi manzilon ke saraab ne
hamien rastey mei dagah dia
kabhi zindagi ki kitab se
hamien jisne chaha mita dia

Buss isii liye...
Wo jo ja raha tha to dooor tak
ussay dekhtey he rahey magar
nahi diii sadah...

Usaay roktey bhi to kiss liye ???

Sub tere wadon ka kasur nikla


Sub tere wadon ka kasur nikla
Main apnay ghar say ja bohat dur nikla

Sada day ke chup c lag gye us ko
Woh apnay ilfaz main lipta majbur nikla

Bikhar gya khaak main milta he gya
Jab bhi kisi pathar ka gharur nikla

Mujhay khabar the kay dost badlay ga lekin
Emaan badalna bhi ajab dastur nikla

Main to samja kay chup chap bichar gye dono
Magar ye to qisa bohat mashur nikla

ABHI BARISH NAHI HOGI


ABHI BARISH NAHI HOGI

Abhi musam nahi badla

Abhi bazaar-e-hasti main koi aisa saleebo'n per nahi utra

to phir kaise zameen ke korh per sater shifa utray

Abhi barish nahi ho gi

Samander ka koi paigam badal ko nahi pahuncha 
Ke qasid panio'n ko rait ke dariya se aana tha

Wohi dariya

sar-e-shail wohi bachi, wohi guriya

katay bazu, jalay rukhsaar aur kuch kaanch ka malba

Abhi galion main taaza jis ki mahkaar pheli hai 

Abhi musam nahi badla 

Abhi barish nahi ho gi....!!

Terey Pyaar Pe Ayetebaar Karne Ko Dil Chahne Laga


Terey Pyaar Pe Ayetebaar Karne Ko Dil Chahne Laga,
Phir Se Dil Pe Ek Zakhm Khaane Ko Dil Chahne Laga, 

Maana Ke Tu Mere Hatoon Ki Lakhiroon Mein Nahin Hai,
Phir Bhi Tere Naam Se Badnaam Hone Ko Dil Chahne Laga, 

Zindagi Ke Rang Mujhe Ab Tujhhi Se Lagne Lage Hain,
Har Baar Tujhhi Ko Awaaz Dene Ko Dil Chahne Laga, 

Mehfil Mei Apni Mohabat Ka Iqraar Na Kar Beitein,
Ke Khud Ko Tanhayoon Mein Band Karne Ko Dil Chahne Laga, 

Mohabat Ke Naam Par Dhoke hi Milte Hain Zindagi Mein,
Mujhko Phir Bhi Tumse Mohabat Karne Ko Dil Chahne Laga...

Ahl-e-ulfat ke havaalon pe haNsii aatii hai

Ahl-e-ulfat ke havaalon pe haNsii aatii hai 
lailaa majanuuN ke misaalon pe haNsii aatii hai 

jab bhii taqamiil-e-mohabbat kaa Khayaal aataa hai 
mujh ko apane Khayaalon pe haNsii aatii hai 

log apane liye auron mein vafaa DhuuNDhate hain 
un vafaa DhuuNDhane vaalon pe haNsii aatii hai 

dekhane vaalo tabassum ko karam mat samajho 
unhein to dekhane vaalon pe haNsii aatii hai 

chaaNdanii raat muhabbat mein hasiin thii 'Faakir' 
ab to biimaar ujaalon pe haNsii aatii hai

Sitarey timtimate hain to koi yaad aata hai

Sitarey timtimate hain to koi yaad aata hai
nazarey geet gate hain to koi yaad aata hai

unhain aana nahi wapas magar phir bhi ye hath apne
dua ko jab bhi uth'te hain to koi yaad aata hai

kabni jugnu kabhi tarey kabhi gunchey kabhi badal
hamara dil jalatey hain to koi yaad aata hai

boht koshish se bhi ham uss sitamghar ko nahi bhooley
kaheen bhi dill lagate hain to koi yaad aata hai

abhi ruston mai bikhri hai mehek pehli rifaqat ki
kisi se milne jate hain to koi yaad aata hai

hamari shayri pe abb bhi uski hukmurani hai
ghazal jab bhi sunate hain to koi yaad aata hai

Mujhe Imaan Teri Mohabbato Pe Apne Khuda ki Tarah

Mujhe Imaan Teri Mohabbato Pe Apne Khuda ki Tarah,
Bas Ek Bar Mere Sar Ki Qasam Khao Badal To Na Jaogay.

Tum Jo Door Raho To Manzilain Meri Andhera Hain,
Bas Ek Bar Mujhe Yaqeen Dilao Badal To Na Jaogay.

Aj Tumhari Judai Ka Khoof Maaray Ja Raha Hai,
Faqat Ek Bar Mujko Batlao Badal To Na Jaogay.

Dil Ghuta Ghuta Sa Hai, Ankh B To Purnam Hai,
Mujhe Bas Ek Bar Samjhao Badal To Na Jaogay.

Main kyn na tark-e-ta’aluq ki ibtada karta


Main kyn na tark-e-ta’aluq ki ibtada karta
Wo dur dais ka basi tha, kia wafa karta?

Wo mery zabt ka andaza karny aya tha
Main hans kar zakkham na khata tu kia karta?

Hazaar aina khano main bhi na pa saka
Wo aina jo mjhy khud sy ashna karta

Dar-e-qafs py qayamat ka habs tha warna
Saba sy tera zikar main bhi sun lia karta

Sarey Jahan Ki Khushiyan Uska Naseeb Kar Dey

Sarey Jahan Ki Khushiyan Uska Naseeb Kar Dey 
Hansta Rahe Sada Woh Usey Khush Naseeb Kar Dey 



Kabhi Dil Na Uska Tootey Kabhi *** Woh Na Khaye 
Usko Wafa Ke Ya Rab Itna Qareeb Kar Dey 



Us Ke Labon Par Sada Muskrahtein Hon 
Qismat Mein Us Ke Hansna Mere Habib Kar Dey 



Chal Kar Jahan Bhi Jay Phoolon Ke Raaste Hon 
Manzil Har Khushi Ki Us Ke Qareeb Kar Dey 



Dil Mera Ab Tak Kahan Mutmae'en Hua Hai 
Us Ke Dukhon Ko Ya Rab Mera Naseeb Kar Dey

Usii ek fard k waaste mere dil mein dard hai kis liye

Usii ek fard k waaste mere dil mein dard hai kis liye
meri zindagi ka mutaalba wohi ek fard hai kis liye

jo likha hai mere naseeb mein kahiin tu ne parh tu nhii liya
tera haath sard hai kis liye tera rang zard hai kis liye

woh jo tarq-e-rabt ka ahad tha kahiin tuutne tu nhii laga
tere dil k dard ko dekh kar mere dil mein dard hai kis liye

koii waasta jo nhii raha terii aankh mein yeh nami hai kyuun?
Mere gham kii aag ko dekh kar terii aah sard hai kis liye...!!

khaa’n kho gaii merii zindgii na koii pata na koii khabar


khaa’n kho gaii merii zindgii na koii pata na koii khabar
bhala kya milla humien ishq sey too bhe dar-badar mein bhe dar-badar

wo khizaan key aaney sey paish-tar jhaan baat kartey they baith kar
usii amar-bail xx chaaoun mein koii raah takta hai raat bhar

abhe din charha hai zara zara aey sawaad e shab abhe thehar jaa
abhe kehna chaha tha haal e dil too bhe chal diya mujhey choar kar

na hee dil main hain xxxx chahtien na shikaayatien na adaavatien
to kya yeh aankhien chalak parrien kabhe ho gya jo tera ziker

khaan dhoondtey ho mera pata main wo phool hon jo bikhar chuka
millien ujrrey ujrrey sey baam o dar to yeh sochna key hai mera ghar

tujhe kho key aankhien bahaiyen khoon tujhey pa key bhe na milley sakoon
meri chahatien bhe ajub rahien merey silsiley bhe ajeeb tar

main kahoun xxssi sey to kya khoun hua mujh pey taari ajab fasoun
key sakoot e shab meri zindgii key gham o alam merey humsaffar

jhaan tum they mujh sey khaffa hoye jhaan apney rastey juda hoye
main miloun ga tum ko wohien kahien ussi raah mein ussi moar par

tujhe kya khoun merey hum-nava k bura hua ya bhala hua
kabhe zindgii jo milli mujhey to rahii na baaqii merii umar

bohut mushkil se dil ko ye samjanay niklay hain

bohut mushkil se dil ko ye samjanay niklay hain......
k jin ko apna samja tha wohi beganay niklay hain.......

k jink piyar main humne ,bhula rakha tha duniya ko,
wohi zamany ki khatir hamian thukranay niklay hain........

ab k bar mumkin hay kay, shiad toot jain hum,
hum apne he doston ko aaj azmanay niklay hain.......

rotha he sahi mujse, lakin hay tu wo mera..!
bas yahi soch k ghar se usay mananay niklay hain.......

khabar he nahi jin ko, mohabat kesa jazba hay,
wo qaieday mohabat k hamain seekhanay niklay hain..

hamain maloom hay , lehron ki ravish nahi badli,
mager phir b garonday sahil pe bananay niklay hain......

wo aksar apni khushiyon main masroof rehta hay,
jis k gham main, hum dil-o-jan lutanay niklay hain........

duwa dijiye, humko kay ab k jeet jain hum,
ik mudat bas us shukas ko rulanay niklay hain.........

k jin ko apna samja tha wohi beganay niklay hain........

Aik Lakeer Terey Naam Ki

Aik Lakeer Terey Naam Ki

kuch udaas kuch khamosh 
kuch bebas see lakeerien merey haath ki? 
Dhoondta Rehta hoon aksar in Lakeeron main 
Aik lakeer tere naam ki 
Kuch maloom bhi hey 
Kuch dil bhi janta hey 
Ke in lakeeron main koi lakeer Nahi tere naam ki 
Phir bhi naa jane kion dhondta Rehta hoon 
Aksar ek lakeer tere naam ki 
Aik lakeer terey naam ki....

Agar Kuch Naam Daina Ho


Agar Kuch Naam Daina Ho~~~ 
Agar kuchh naam daina ho
Mujhay insaan matt kehna
Judaa chehray, judaa bay-shak sabhi k naam hotay hai'n
Magar insaaniyat k abb yaha'n per daam hotay hai'n
Mere tum daam matt dainaa
Mujhay ye naam matt dainaa!
Agarr kuchh naam dainaa ho
Mujhay Ehsaas keh dainaa
Magarr Thehro!
Mujhay Ehsaas matt kehnaa
Mera buss naam reh jaay 
Mujhay aisay nahi'n rehnaa
Mujhay Ehsaas matt kehnaa!
Agarr kuch naam dainaa ho
Mujhay Saawan hee keh daina
Magarr thehro!
Mujhay Saawan nahi'n kehna
Barastaa hai magar
Rut kay badaltay, beet jaata hai
Mujhay Saawan nahi'n kehna!
Agar kuchh naam dainaa ho
Mujhay Aansoo hee keh daina
Janam laina kisi ki ki aankh mai'n
Rukhsaar per mernaa
Yehi jis ki haqeeqat hai
Chalo aansso hee keh dainaa
Magarr daikho!
kisi ki aankh mai'n mujh ko kabhi
Aanay nahi'n dainaa
K qeemat aansoo'n ki abb adaa tum se nahi'n ho gee!
Nahi'n tum yu'n nahi'n kehnaa
Mujhay aansoo nahi'n kehnaa
Mujhay aankho'n main'n bastaa ik hasee'n sapna he keh daina
Haqeeqat kuchh nahi'n jis ki
Chalo sapnaa hee keh daina
Ke sapnay aankh mai'n taaro'n ki tarhaa jhilmilaatay hai'n
Magarr thehro!
Mujhay sapnaa nahi'n kehnaa
Ke sapnay toot jaatay hai'n
Mujhay Apnaa Nahi'n Kehnaa
Ke Apnay Rooth jaatay hai'n!

uski yad ka koi lamha sata gaya mujay

uski yad ka koi lamha sata gaya mujay.............
main jo mudaton se chup tha rula gaya mujay.....

ik umer khud se koi bat ki hay maine........
ik umer bad koi mujse mila gaya mujay........

hawaon main urtay urtay,thuk gaya tha shaid...
koi chupke se mari zameen par gira gaya mujay.........

ye kia hoa,sab beetay lamhay lotnay lagay hain....
ye kon mari hi dastan suna gaya muajay.........

main tu apni ana ki qaid main khush bohut tha...
ye kon muj se rehai dela gaya mujay ........

main jo mudaton se chup tha rula gaya mujay.....

jo na hua kabhi ek raat ho gaya


jo na hua kabhi ek raat ho gaya,
chaand ko suraj se payar ho gya,

Chaand niklaa talash main aur kho gya,
chaand k jatay he aasman udas ho gaya,

suraj to jalta he raha intezar me or aag ho gaya
suraj ki khata se chaand k liye andhera ho gaya

chaand ne ki bewafai or tarron k sath ho gaya
silah milah kuch iss tarah dono pe garehan ho gya

Kartay rahay berukhi hamesha k liye
ek bann gya din aur dusra raat ho gya

Kar Na Sake Hum Pyaar Ka Sauda Keemat Hi Kuch Aisi Thi


Kar Na Sake Hum Pyaar Ka Sauda Keemat Hi Kuch Aisi Thi
Jeeti Baazi Haar Gaye Hum Kismat Hi Kuch Aisi Thi

Koi Na Samjhe Koi Na Jaane Kaisi Yeh Majbbori Hai
Paas Hain Ek Dooje Ke Kitne Phir Bhi Kitni Doori Hai

Aankhon Main Aansu Ke Hain Qatre Hoton Pe Khamoshi Hai
Hans Na Sake Hum Ro Na Sake Hum Halat Hi Kuch Aisi Thi

Kar Na Sake Hum Pyaar Ka Sauda Keemat Hi Kuch Aisi Thi
Jeeti Baazi Haar Gaye Hum Kismat Hi Kuch Aisi Thi

Ek Taraf Hai Pyaar Ka Daaman Ek Taraf Hai Farz Mera
Soch Rahi Hoon Kaise Mitaoon Aaey Zindegaani Karz Tera

Dekho Zara Kis Morr Pe Laaye Yeh Zalim Halaat Humain
Hum Ko Mili Na Tum Ki Mili Woh Chahat Hi Kuch Aisi Thi

Kar Na Sake Hum Pyaar Ka Sauda Keemat Hi Kuch Aisi Thi
Jeeti Baazi Haar Gaye Hum Kismat Hi Kuch Aisi Thi

Tum aksar sochtay hogay


Tum aksar sochtay hogay

Ham tujhain yad nahi kartay

Tumhain ham bhool jatay hain

Magar yeh Bhool tumhari Hai

Asal main baat kuch youn hay

Keh Jab Tum Yaad Atay Ho

To kuch bhi yaad nahee rehta

Aur tumhari yaad main kho kar

Batana bhool jatay hain

Hamain tum yaad aatay ho

Tum aksar yaad aatay ho

Kyu Akela Chor Diya ??

Kyu Akela Chor Diya ??

Kyu Rulaate Ho Mujhe ?
Kyu Bhool Jaate Ho Mujhe?
Tere He Sahaare To Jee Rahe Hain Hum..

To Phir Kyu Akela Chor Jaate Ho ?
Har Baat Ko Chupana Ataa Hai Tumko,
Roothon Ko Manana Ataa Hai Mujhe.
Roothe Ho Tum Na Jaane Kis Baat Par Mujh Se…
To Phir Wo Baat Kyu Nahi Bataate Ho Tum Mujhe?

Jaan Jaati Hai Meri
Jab Yaad Aati Hai Tumhari
Tum To Mujhe Bhula Dete Ho
To Phir Kyu Yaad Aate Ho Mujhe?
Hum Jeene Ke Bahaane Marte Rahenge

Pyaar Hum Tumse Karte Rahenge
Pyaar To Tum Bhi Karte Ho Na
To Phir Kyu Yu Sataate Ho Mujhe?
Ya Keh Do Zeher Peene Ko
Ya Kaho Phir Mujhe Jeene Ko

Agar Mere Saath Main Nahi Chalna Tha Tum ko
To Phir Kyu Mujhe Raasta Zindagi Ka Dikhaya ?
Beech Raaste Main Kyu Is Tarah Akela Chodh Diya?
Kaho …
Kuch Tho Kaho
Kyu Akela Chor Diya

tum ne poocha k dukh kia hota hai


tum ne poocha k,
dukh kia hota hai,
to suno,
aisa kern
kabhee kisi ko chahna,
or chahtey hee rehna,
din bhar us ko sochtey hee rehna,
jagtee ankhoon se us k sapney
dekhtey hee rehna,
apney haathon ki lakeeron mein us ka
naam tarashtey hee rehna,
or jab kabhee woh,
in riazaton ka hisaab mangney ko,
saamney aaye to,
tum ana ka haath thaam lena,
agar woh kuch kahay to,
muskura ker anjan ban jana,
or jab woh mayoos ho ker laut jaye to,
apney ander jhaankna,
or khud se poochna,
tub tumhara dil
tumhein bata day ga k,
dukh kisey kehtey hain,
dukh kia hota hai... .. . !!!!!!

Ajnabi c Raho Ka Ek Ajnabi Musafir


Ajnabi c Raho Ka Ek Ajnabi Musafir......
ajnabi ajnabi si rahon ka ek ajnabi musafir ....
mujh se pooch betha hai ...
rasta bata doge ????
ajnabi ajnabi si rahon ke ..
ajnabi musafir sun!!!!
rasta koi bhi ho ...
wasta koi bhi ho ...
manzilein nahi miltiiin ....
manzilein to dhoka hein ..
manzilein jo mil jaein ..
justujoo nahi rehti ..
zindagi ko jeene ki arzoo nahi rehti

dayar-e-gair mein kaise tujhe sada dete

dayar-e-gair mein kaise tujhe sada dete
tu mil bhi jata to tujhe ganwa dete

tumhin ne ham ko sunaya na apna dukh warna
dua wo karte k ham asman hila dete

hamein ye zom raha ab k wo pukarenge
unhen ye zid thi k har bar ham sada dete

wo tera gam tha k tasir mere lahje ki
k jis ko hal sunate use rula dete

tumhen bhulna hi awwal to dastaras mein nahin
jo ikhtiyar bhi hota to kya bhula dete

tumhari yad ne koi jawab hi na diya
mere khayal k ansu rahe sada dete

samton ko main ta-umr kosta Syed
wo kuch na kahte magar honth to hila dete

Bas Ek Waqt Ka Khanjar Meri Talaash Main Hai

Bas Ek Waqt Ka Khanjar Meri Talaash Main Hai
Jo Rooz Bhes Badal Kar Meri Talaash Main Hai

Main Qatraa Hoon Mera Aalag Wajood Tu Hai
Howa Karay Jo Samandar Meri Talaash Main Hai

Main Dewata Ki Tarhan Qaid Apnay Mandir Main
Woh Merey Jism K Bahar Meri Talaash Main Hai

Main Jis K Haath Main Ek Phool Day K Aaya Tha
Ussi K Haath Ka Pathar Meri Talaash Main Hai

soo bar chaman mehka soo bar bahar aayi

soo bar chaman mehka soo bar bahar aayi...
dunia ki wohi ronaq, dil ki wohi Tanhai... 
ik Lehza bahy ansoo, ik Lehza hansi ayi...
seekhy hain naey dil andaz-e-shikebai... 
her dard-e-muhbt se oljha hai gham-e-hasti...
kia kia hmen yad aya jab yad teri aayi... 
chrky wo diey dil ko mehroom-e-kismat ne...
ab Hijar bhi Tanhai or Wasal bhi Tanhai... 
Pheli hai fizaoon mn is trha teri khushboo...
jis simt nazar othi awaz teri aai 
Jalwoon k tmannai...
jalwon ko trasty hain taskeen ko rooen ge jalwoon k tmanai... 
Dekhey hain boht hm ne Hangamy muhbt ke...
Aghaz bhi ruswai, anjam bhi ruswai... 
Ye Bazm-e-Muhbt hai Is Bazm-e-Muhbt main...
Deewany bhi shedai Farzany bhi shedai...

Aik baar ker k aitbaar likh do


Aik baar ker k aitbaar likh do
Kitna hai mujh se pyar likh do

Kat'ti nahi ye zindgi ab binn tere
Kitna karon aur intzaar likh do

Taras rahe hain hum bari Muddatt se
Iss bar apni muhabbat ka izhaar likh do

Deewane ho jayen jisse perh k hum
Kuch aisa tum mere yaar likh do

Zyada nhi likh saktey to mat likho Magar!
Muhabbat bharey Lafz Do, Chaar likh do

Aik baar likho Muhabbat hai mujhe tum se
Phir ye he jumla tum baar baar likh do

kaha tha kis ne ke ahad-e-vafa karo us se

kaha tha kis ne ke ahad-e-vafa karo us se
jo yon kiya hai to phir kyon gila karo us se

ye ahl-e-baz tunak hausala sahi phir bhi
zara fasana-e-dil ibtida karo us se

ye kya ke tum hi gam-e-hijr ke fasane kaho
kabhi to us ke bahane suna karo us se

nasib phir koi taqrib-e-qarb ho ke na ho
jo dil main hon vahi batain kiya karo us se

'Faraz' tark-e-ta'alluq to khair kya hoga
yahi bahut hai ke kam kam mila karo us se

Chaha To Buhat Tha Lakin Wo Mila Hi Nahi


Chaha To Buhat Tha Lakin Wo Mila Hi Nahi
Lakh Koshish Ki Lakin Yeh Fasla Mita Hi Nahi

Na Jany Zamany Ne Majbor Is Qadar Kardiya
Key Wo Meri Kisi Sada Pe Tehra Hi Nahi

Main Tamam Tarr Koshishon K Bawajod HaaR Gaya
Wo Ussey Mil Gaye Jisne Ussey Manga Hi Nahi

Her Ek Se Pocha Tere Na Milny Ka Sabab
Her Ek Ne Kaha Wo Tere Liyeh Bana Hi Nahi

Itni Shiddat Se Chaha Tha Usko
Is Duniya Main Shayad Wafa Ka Sila Hi Nahi

Jo khudh se bhi na keh paayi


Jo khudh se bhi na keh paayi
teri mohabbat ek saza hai
yeh aaj samajh main aayi


Kyun main tujhe khudhse
Juda nahi kar paati

Kyun teri yaadein ab
Dil se door nahi jaati

Kyun meri hansi ab
Labon pe khatum ho jaati
Kyun har umeed mujhe
Teri orr kheench laati

Pyar ki yeh kaisi keemat
Tu mujh se le raha hai
Kya mujh se itni nafrat
Jo har lamha gham de raha hai

Ab tu hi bataa
Keh mera kasoor kya hai
Tujh se mohabbat kar ke
Maine kya jurm kiya hai

Ab To Bas Tujko Bhulna hai


Ab To Bas Tujko Bhulna hai..
kuch b karke bhulna ho ga,
Tumhari Khushi Wo Hai To Meri Khushi bhi wohi ho ghi..
Tum Kuch bhi karo, kuch bhi kaho, main kabhi khafa nei hun gi,
Rishta to hai hi humara, Main isi rishtey main Khush Hun,
Ye Sab kehna Ajib Lag Raha hai, Par Aaj Ye Kehna Zaruri ho gaya,
Tujko bhulne ka tarika yehi hai, 
Main tujse wada karti hun,
Aaj ke baad Main Kabhi beete palon ka zikar nei karun gi,
Jo kuch Hua hai, Main unhey Aapne Aap main Chupa **** gi.. !
Jaise kisi ki lash ko kafan main dal kar dafnate hain
waise hi In Beete Palon ko dafna dun gi..

Tum khafa kyu'n ho..??


Tum khafa kyu'n ho..??

tumhe'n mujh se gilla kiya hay..??

achanak be'rukhi itni..??

batao to huva kiya hay..??

manao'n kis tarah tum ko..??

mujhe itna to batla do

agar ab ho sake tum se

to ye ehsaan farmado

meri manzil MUHABBAT hay

mujhe manzil pe poncha do

tumhari aankh me aanso'n

mujhe ache nahi lagte

tumhare narm honto'n pe

gille ache nahi lagte

tumhare muskurane se

mera DIL muskurata hay

tumhare ruth jane se

mera DIL toth jata hay

main aksar sochta ho'n ye

k tum kyu'n DIL me baste ho..??

koi ti baat hay tum me

jo itne ache lagte ho

WAFA k rang me dekho

jafa achi nahi hoti

kisi se ISHQ me itni

ANNA achi nahi hoti

chalo ab maan bhi jao

boht ab hochuki ranjish

kisi din or karlena

ye puri apni tum khwaish

faqat kehne ki baate'n hay

nabhata kon hay kis ko

chalo ab dekh lete hay

muhabbat kon karta hay...???

KOI MOUL NAHI HAI WAFAOON KA MERI


KOI MOUL NAHI HAI WAFAOON KA MERI
AB HAR AARZOO HAI BIKHRI HOEI MERI

JAB SE HOEI HAI MOHABBAT TUM SE
NUM REHTIEN HAIN ANKHAIN MERI

HAR TARAF MEHSOOS HOTA HAI AIK EHSAAS
RUKI RUKI SI HAIN AB SAANSAIN MERI

CHALTAY CHALTAY RAASTA KHO GAYA HAI
KHAMOSH HOGEI HAI AB MANZIL MERI

SAB MEIN REH KER BHI AKAELI HOON
AB TU ZINDAGI BANI HAI TANHAI MERI.

Hasrat hai tumhari deed karein


Hasrat hai tumhari deed karein

Tum aao to hum bhi Eid karein!!!


Kuch dair to dil ko chain mille

Kuch roz to mann ka phool khile

Kehte hain Eid ki aamad hai

Ab log bhi kuch taeed karein

Tum aao to hum bhi Eid karein!!!


Tum se yeh aik guzarish hai

Yeh apne dil ki khwahish hai

Aik baar milo,aik baar milo

Har baar yahi takeed karein

Tum aao to hum bhi Eid karein!!!


Jab gham ke baadal chaaye they

Uss waqt bhi tum na aaye they

Iss baar bhi tum nahi aaye ho

Sab dushman yeh tanfeed karein

Tum aao to hum bhi Eid karein!!!


Maana ke hum deewane hain

Sab baaton se anjaane hain

Jab apne hi begaane hain

Kya ghairon se umeed karein

Tum aao to hum bhi Eid karein!!!

Kabtak Mere Jazbaat Ko Ruswa Karogey Tum

Kabtak Mere Jazbaat Ko Ruswa Karogey Tum,
Jab Hum Hi Na Hongey To Bolo Kya Karogey Tum?

Jaa Rahi Hoon Door Tumsey Is Yaqeen Ke Saath,
Mera Pata Har Ajnabi Se Poocha Karogey Tum.

Khaogey Jis Dam Fareb Raah-E-Ishq Me,
Wafa Se Lipat Kar Meri Roya Karogey Tum.

Aayee Jo Tumhe Kabhi Beetey Dinon Ki Yaad,
Tanhaee Se Bhi Guftgu Kiya Karogey Tum.

Khwab Ki Ishq Me Ye Shart Kyon Bhala?
Kya Koi Phir Naya Sauda Karogey Tum?

Mat poocho ye mujhse ke kab yaad aate ho


Mat poocho ye mujhse ke kab yaad aate ho
Jab jab saansein chalti hain bahaut yaad aate ho

Neend mein palkein hoti hain jab bhi bhari
Banke khwaab baar baar nazar aate ho

Mehfil mein shaamil hote hain hum jab bhi
Bhird ki tanhayon mein her baar nazar aate ho

Jab bhi socha ke faasla rakhoon main tum se
Zindagi ban ke saanson mein sama jaate ho

Khud ko toofaan banaane ki koshish to ki
Ban ke saahil apni aagosh mein sama jaate ho

Chaha na tha main ne is paheli mein uljhna
Her uljhan ka jawab ban ke ubhar aate ho

Suraj ki roshni,chanda ki chandni
Aasmaan ko dekhta hoon main jab jab

Tumhari kasam bahaut bahaut yaad aate ho
Ab na poochna mujhse ke kab kab yaad aate ho

Kathin andheron ki reh-guzar pe chiragh-e-subha jala jala k

Kathin andheron ki reh-guzar pe chiragh-e-subha jala jala k

Qasam se ankhen bhi thak gai hain,
tumhare ansu chupa chupa k

ye kya khabar thi k 1 chehre se kitne chehre kasheed hon ge 

mey thak gaya hun tmhare chehron ko aeene mey saja saja k

Hum itne saada mizaj kab the,Magar sarabon ki reh-guzar pe

Faraib deta raha zmana,
Tmhari surat dikha dikha k,

Ajab tanasub se zehn-o-dil me khayal taqsem ho rahe hain,

Magar mohabt si ho gai hai,
Tumhein mohabt sikha sikha k

Hounto Pe Hunsi Dekh Li Dil K Ander Nahe Dekha


Hounto Pe Hunsi Dekh Li Dil K Ander Nahe Dekha
Aap Ne Mere Ghamoo Ka Samounder Nahe Dekha

Kitne Khoub Sourat He Ye Duniya Ye Dekha He Aap Ne
Ji Ji K Marney Waloh Ka Manzer Nahe Dekha

Sheeshay Ka Makaan Tu Ne Bana To Liya He Dost
Laiken Waqt K Hath Ka Pahter Nahe Dekha

Rishtovn K Totney Ka Dard Tum Kiya Jano
Wo Lamha Tum Ne Kabhi Ji Kar Nahe Dekha

Bahtkey Roshni Ki Talash Mein Na Jane Kaha Kaha
Afsoos K Apne Rooh K Ander Nahe Dekha

Manzil saamne thi - magar hum ruk gaye

Manzil saamne thi - magar hum ruk gaye
Mil Jaati to shayad thodi Khushi Hoti
Magar Dard Se Gumnam Ka Rishta Purana Hai
Zindgai Ka Kya - Yeh to bus aana Jana Hai
Manzilon Ka Kya - Hume to bus Gumnamiyon mein kho Jaana Hai
Toot te hain jub khwab to Dukh Hota Hai
Magar Ishq ki Deewange mein bhi ek ajeeb sa sukh hota hai
jo sakoon jhundte hain woh ishq nahin karte
Meri Jaan Sacche Aashiqon Ke khwab kabhi nahin marte
Na jaane hum kab se ghum pei rahe hai
Apne zakhmon ko meh se si rahe hain - yeh hamare dil se pucho ke kaise hum jee rahe hain -
Manzil ka kya - yeh to aana jaana hai
Kabhi Khusi Kabhi Dard
Tamana hai mil jaye woh - yeh apna khwab bahut purana hai
Zindagi ka kya - Yeh to bus aana jaana hai

Popular Posts