Thursday, September 10, 2009

Muqaddar K Sitaron Par

Muqaddar K Sitaron Par
Zamano K Isharon Par
Udasi K Kinaro Par
Kabhi Veeran Shehron Main
Kabhi Sunsan Raston Par
Kabhi Heran Ankhon Main
Kabhi Bejain Lamhon Par
Tumhari Yad Chupkay Say
Kabhi Ser-Goshi Karti Hay
Yeh Palkain Bheeg Jati Hain
To Aansoo Toot Girtay Hain
Ham Palkon Ko Jhukatay Hain
Bazahir Muskuratay Hain
Faqat Itna Hi Kehtay Hain
Mujhay Kitna Satatay Ho
Mujhay Tum Yad Aatay Ho
Mujhay Kitna Rulatay Ho

Pthar Bana Diya Mujhe Rone Nahin Diya

Pthar Bana Diya Mujhe Rone Nahin Diya
Daman Bhi Tere Gham Main Bhigone Nahin Diya

Tanhaian Tumhara Pata Pochti Rahin
Shab Bhar Tumhari Yad Ne Sone Nahin Diya

Dil Ko Tumhari Yad K Aansoo Aziz The
Dunya K Koi Gham Samone Nahin Diya

Nasir Yon Us Ki Yad Chali Hath Tham Ker
Mele Main Is Jahan K Khone Nahin Diya

Jis Kisi Ko Bhi Chaho Woh Bewafa Ho Jaata Hai

Jis Kisi Ko Bhi Chaho Woh Bewafa Ho Jaata Hai
Sar Agar Jhukao To Sanam Khuda Ho Jaata Hai
Jabh Talak Kaam Aate Raho, Humsafar Kehlaate Raho
Kaam Nikal Jaane Par Humsafar, Koi Doosra Ho Jaata Hai
Gham Nahi Tha Humko Kabhi Zamaane Ki Ruswaaion Ka
Takleef Hoti Hai Jabh Koi Apna Khafa Ho Jaata Hai
Dil Ki Khalish Aksar Jaan Leva Ho Jati Hai Lekin
Dar-E-Dil Ek Hadh Ke Baad Dard-E-Dawa Ho Jaata Hai
Hara Bhara Hai Gulshan-E-Yaar, Yeh Bahar Ke Din Hai
Khizan Aane Par Dekho Ek Ek Patta, Kaise Juda Ho Jaata Hai
Yahi Sachchai Hai, Haqeeqat Hai, Yahi Dastoor-E-Zindagi Hai
Kuch Der Milte Hai Humraahi,Phir Aadmi Tanha Ho Jaata Hai

Muskaan tere chehre ki dil mera lubhati hai

Muskaan tere chehre ki dil mera lubhati hai
Nam ho to teri nazar dil mera dukhati hai

Tere mizaaj se milta nahi koi bhi mausam
Har ek rang me sab se juda nazar aati hai

Teri galyon se jab ye guzar ke aati hai
Khushboo teri saba apne sath laati hai

Hazar naghmon se bhala lagta hai wo geet
Tanhayi me aksar jo tu gungunati hai

Ek ehsaas ki tarha tu mujh me bus gayi hai
Har naye din meri rooh me utarti aati hai

Mein tanhaiyon me bhi tanha nahi hota
Tu bus tu hi meri khalwaton ki sathi hai.

Wafa k kadi Khaano mein Sazain Kabbadlti hain

Wafa k kadi Khaano mein Sazain Kabbadlti hain
Badalta DIL ka mosam hain, Hawaen kab badlti hain

Libada orh kar gham ka nikal jaty hain sehra ko
Jawab aye k na aye sadaen kab badlti hain

Meri sari duaen tum hi se mansoob hain
Mohabat ho agr sachi tu duaen kab badlti hain

Tumhen jo yaad rakha hai yeh hi apni ibadat hai
Ibadat jis traha ki ho ibadatain kab badlti hai

Tumhi ko chahty hain hum tumhi ko pyar karty hain
Yehi barson ki adat hai aur adaatian kb badlti hain


Koun hai kaisa, kal socheN ge

Koun hai kaisa, kal socheN ge
Jhoota sachcha, Kal socheN ge

Aaj ki raahoN se to guzar leiN
Kal kya hoga, kal socheN ge

Abhi to mehfil meiN haiN yaaro
Tanha-tanha, kal socheN ge

Ab tak jo socha achcha tha
Aur bhi achcha kal socheN ge

Apne naam hooN do bas lamhe
Waqt hai kiska, kal socheN ge

Tuut gaya dil yaaro ik din
Ab kyuuN tuuta kal socheN ge

SaZa Pe Chor Diya Kuch Jaza Pe Chor Diya,

SaZa Pe Chor Diya Kuch Jaza Pe Chor Diya,
Har Ek Kam Ko Hum Ne Khuda Pe Chor Diya,

Woh Humko Yaad Rakhta Ya BHula Deta,
Uska Kam Tha Uski Raza Pe Chor Diya,

Ab Uski Marzi Bujha De Ya Phir Jala Rakhe,
Chiragon Ko Hum Ne Jala Kar Hawaon Mein Chor Diya,

Ab Usay Baat Bhi Kartay Toh Kis Tarah Kartay,
Yeh Masla Aana Ka Tha, Aana Pe Chor Diya,

Is Liye Toh Woh Kehtay Hain Bewafa Hum Ko k,
Humne Sara Zamana wafa Pe Chordiya....!!!
-----------------------------

Popular Posts