Sunday, March 1, 2009

Uthay joh dard dheeray say muskuraa dana

Uthay joh dard dheeray say muskuraa dana
Milain joh gham toh mohabbat enhay bana lana
Tumhain khabar nahee es kam fahm zamanay ki
Machaltee arzoo oan ko kahen chupa lana
Hai eskee bazm magar pas ay adab bhe aisa
Naa kuch bhe kehna aur subkuch esay sona lana
Samait kar tamaam dard eskee yaadoon kaa
Puranee kabar pay kutbaa naya lagaa lana
Dil kay sheeshay pay nae zarb laganay kalya
Tum apnay hath main pathar baraa utha lana
Zahaay naseeb kay tum mujhko yaad kartay ho
Warnaa mushkel toh nahe tha mujhay bholaa dana

khush thay kuch aisay teri rafaqat k shauq main

khush thay kuch aisay teri rafaqat k shauq mainmanzil ganwa di ham ne musaafat k shauq main
nafrat hi pehr e daar mili har makaam parjis darr pe ham gaey hain mohaabat k shauq main
ham baargah e ishq main maqbool youn huekhud se bichar gaey teri qurbat k shauq main
lautay hain ab tou saath hai ranj o alam ki bheerniklay thay ghar se ik musarrat k shauq main
apnay chaman se raabta bilkul nahi rahasehra norad ho gaey daulat k shauq main
daaman main hasraton k siwa kuch nahi aey dostaisay lutay hain ham teri chahat k shauq main !!!

Chalo k hum tum nazar ki basti main piyaar apna basa k dekhain

Chalo k hum tum nazar ki basti main piyaar apna basa k dekhainzamanay bhar ki kadoratoun ko muhabbatoun se mita k dekhain
andheri rahon main ban k jugno dikhaaen rasta musafiroun kohar eak dil ko karain munawwar nazar nazar jagmaga k dekhain
chopa hoa hai jo hasratoun main talaash es ki tumhain bhe ho gedoroun-e-dil jo aa gaey hain wo sare par de utha k dekhain
agar muyassar hai chashm-e-bena tu wo nigahoun k saamnay haijo zarray zarray main bas raha hai usay nigahain jhuka k dekhain
wohi tu hai jo kamaal-e-fan se nizaam-e-duniya chala raha haijo uski hasti ko dekhna ho wajoud-e-hasti main aa k dekain
sama k soraj ki roushni main mitaaen duniya se teerge kofalak ki chadar pe ban k tare har ek shab jhilmila k dekhain
ghubar-e-dil ko bana k badal zamen pe barsain tu piyaar ban karnaaey shagofoun ki aankh ban k chaman chaman muskora k dekhain
wajood apna ho patharoun main tu naam apna ho laal-o-marjankabhi samandar main ban k moti sadaf k dil main sama k dekhain
kabhi tu dil se mita k nafrat muhabbatoun ki niyaaz baantaindiiye muhabat k apnay dil main kabhi tu Muzter jala k dekhain

Lamha lamha mera, malaal ka hai

Lamha lamha mera, malaal ka haisilsila ye to mahh-o saal ka hai
saarey lamhy hain hijr key lamheyik lamha terey wasaal ka bhi hai
jeet leta hai dil tu baaton sayye huner bhi tera kamaal ka hai
aur kuch dair tou thaher jaowaqt dekho abhi zawaal ka hai
ye jo husn-e-khayaal hai meraaks ye bhi terey jamaal ka hai
mai khan koi shair kehti hunye karishma terey khayaal ka hai
jaan dey dun mai pal bhar maiMuntazir bas terey sawaal ka hai

Is se pehle ke zamane ko khabar ho jaye

Is se pehle ke zamane ko khabar ho jaye
Khuda kare ke shab-e-gham ki sahar ho jaye

Khula rahe ga ye darwaza tere aane tak
Laot kar aana kahiN shaam agar ho jaye

Abas hai aarzoo karna bhi raoshni ki
yahaN Diya jale to hawaaoN ki nazar ho jaye

Jab bhi aati hai teri yaad liye aati hai
Raat tanha kabhi aaye to basar ho jaye

Tu kabhi chashm-e-tasawwur se unhaiN
dekh zara ManziloN pe jinhaiN dar'paish safar ho jaye

Apne dushman ko bhi palkon pe bitthane waley

Apne dushman ko bhi palkon pe bitthane waleyhaye aaye na hame dhang zamane waley
aankhon hi aankho mai parr lete thai baten dil kiab nahi log wo Ghalib k zamane waaley
ab galey lagne ko kehte hen hamen manzil parbeech rastey mei hamen chhorh k janey waley
rah mei meri jinhe sang bichhate payaye wahi thai mujhe phulon pe chalane waley
tanz k teer wahi raah mai barsate henjo hey dunya ki nigahon se girane waley
dil hi dil mei na kabhi karna mohabbat Mahrookhnahi chaltey yahan chahat k chhupane waley

Marne K Baad Ye Kahani likhna ..

Marne K Baad Ye Kahani likhna ..Kaise Hoye Barbad Meri jawane likhnaMain Rota Tha Uski Yaad Mein Ye Barbade LikhnaMain Us Bewafa Ko Kyun Nahi Bhool Jata Ye Sachaye LikhnaBar Bar Uski Yaad Satati Hai Main Uski Yaad Me Rote Rehta Ho Ye Aankho Se Gire Ek Ek Aansoun Ki Gawahi LikhnaPyaar Sirf Dhoka Hai Ye Sachaiye LikhnaMere Dil Me Itna Dard Kyun Hai Ya Khuda Main Kaise Jiyoun Us K Bina Ye Dewaangi LikhnaKyun Usne Chood Diya Pal Bhar Ka Sath Nibha KarPyaar Ka Ye Khail Khail Ke ye darya Me Dobe Hoye Ye Pyaar Ki KahaneLikhna....Saans Chub Rahi Hai Aisa Lagraha hai Main har Ek Pal Mar raha hon Tothe Har ek saans Ki tadap Ko likhna Marne K Baad Ye Kahani Likhna Kaise Hoye barbad Meri Jawana likhna

Samay samay ki khalish main tera malaal rahy

Samay samay ki khalish main tera malaal rahyJudaiiyon main bhii yun aalam-e-wisaal rahy
Ana kii jang main hum jeet to gaye lakinPhir uss ke baad der tak nidhaal rahy
Raah-e-junoon main ye hii zaad-e-raah hota haiKe justaju barhay deewangii bahaal rahy
Haseen raatain bhii mehkain tumharii yaadon mainKarray dino main bhii pal pal tera khayaal rahy
Tu ek baar zara kashtiyaan jala to sahiiHai kiya majaal ke ek lamha bhii zawaal rahy

Mere lab o qalam ke ajz ko

Mere lab o qalam ke ajz ko koi aisa hunar e kamal deJo meri khwahishoN ke jhund ko takmeel ke darje ma dhal de
Meri khilwatoN ke ay razdaaN, meri jalwatoN ke rafiq sunKissi se kuch bhi gharaz nahi, mujhe apna aks e khayaal de
Kabhi yooN bhi ho ke wo choom kar mere in laboN ko payar seMeri rooh ke zakhm samait le, mujhe jaaN'kani se nikaal de
Teri chahatoN ke dais ma mere roz o shab tamam hoNTere bichaRne ka koi dar na ho mujhe aise maah o saal de
Meri be'basi ko zubaaN mile, meri kam'nigaahi ujaal deKe jahaaN se kuch na talab rahe, mujhe aisa izn e sawal de
Mujhe um'r bhar naseeb ho, meri zindagi pe moheet hoJo kabhi bhi khatm na ho sake, mujhe aisa koi wisaal de

Shehar khaamosh ba'yabaaN khaamosh

Shehar khaamosh ba'yabaaN khaamoshDayaar-e-khird ma gumaaN khaamosh
Lab basta khaRa hooN maqtal maDe raha hooN ma ik azaaN khaamosh
Dil ma aahat thi teri yaadoN kiHo gaya dard ka jahaaN khaamosh
Din ma hangaam-e-lutf-e-karb thaRaat ma dard tha jawaaN khaamosh
DhaRkanoN ka nagar, ye teri galiDil bhi aa kar hua kahaaN khaamosh
Baat kaise baRhe bata faysalWo wahaaN chup to ham yahaaN khaamosh

dil gayaa tum ne liyaa ham kyaa karen

dil gayaa tum ne liyaa ham kyaa karen jaanevaalii chiiz kaa Gam kyaa karen
puure honge apne armaaN kis tarah shauq behad waqt hai kam kyaa karen
baksh den pyaar kii gustaaKhiyaaN dil hii qabuu men nahiin, ham kyaa karen
ek saaGar par hai apnii zindagii raftaa raftaa is se bhii kam kyaa karen
kar chuke sab apnii-apnii hikmaten dam nikaltaa hai ai mere hamdam kyaa karen
dil ne siikhaa shevaa-e-begaanagii aise naamuharim ko muharim kyaa karen
maamlaa hai aaj husn-o-ishq kaa dekhiye vo kyaa karen ham kyaa karen
kah rahe hain ahal-e-sifaarish mujhse "Daag" terii qismat hai burii ham kyaa karen

(BE WAJA)

(BE WAJA) is dard k bad koi dard dard nhi lagtakay shiddat-dard ki inteha hoti hai mohabbatnahe uthte wo aankhen phir kisi perky jin aankhon mai fana hoti hai mohabbatumar bhar jin ka azala na kar paaybas ek awsi hi khata hota hai mohabbatjo mil jay to bas phir kia kehnawarna wk musalsal saza hoti hai mohabbatlog mujh se har bar yehi poochty hain,tum ne aus mai kia dekhame har bar yehi kehta hoon (BE WAJA) hoti hai mohabbat

hamain achchhaa naheen lagtaa!

Jhapatatey paas aatey ho: hamain achchhaa naheen lagtaa!Bahaanoun sey bulaatey ho: hamain achchhaa naheen lagtaa!
Hamaarey dost, ham par fabtiyaan kastey hain; jaltey hain;Unhain fir-fir jalaatey ho: hamain achchhaa naheen lagtaa!
Kahaan tak sitaarey gin-gin, uneendey khwaab deykheyn ham?Wahee sapney dikhaatey ho: hamain achchhaa naheen lagtaa!
Musalsal feihrishteyn hai: kareyngey yah, kareyngey wah;Bahut baateyn banaatey ho: hamain achchhaa naheen lagtaa!
Tumhaarey saath jaayen bazm mein? Toubaa! Na jaayengey!!Baraabar gul khilaatey ho: hamain achchhaa naheen lagtaa!
Tumhaarey saath rahtey huye, rahtey paas; fir bhi tum,Bahut nazdeek aatey ho: hamain achchhaa naheen lagtaa!
Tumhaaraa kyaa, khisak jaatey ho gupchup baardaateyn kar?Sabhi khillee urhaatey hain: hamain achchhaa naheen lagtaa!
Arey kyaa ho gayaa hai? Kareyngey, jo bhi kahogey tum!Zaraa mein roothh jaatey ho: hamain achchhaa naheen lagtaa!!
Chalo ab maan jaaou! Roothhtey hain ham bhi: yah sach hai!Chhalaawoun sey sataatey ho: hamain achchhaa naheen lagtaa!!
Tumhain jab ham manaatey hain: chahak uthhtey ho man hi man!Magar jab tum manaatey ho: tumhain achchhaa naheen lagtaa!!
‘Abd’, yeh dil ki baateyn hain: raheyn dil mein to hain mouzoon;Tunak jab barhbarhaatey ho: hamain achchhaa naheen lagtaa!!

Tumhare bhegtee palkoon say manay bar haa pochaa

Tumhare bhegtee palkoon say manay bar haa pochaa
Kay dil ka khel ma khelnay walay bhe kya jeetay hain
Woh jenkay chashmay khud main overon ko daikha nahe kartay
Bhalaa kes gham kay taar main motee perotay hain
Tumhare bhegtee palkoon say manay bar haa pochaa
Kay kyaa manind a sheshaa pathar main baal ataa hai
Asar angayz hai abtak mohabbat ka wahe jazbaa
Jo asay hosh mandoon ko bhe yon pagal banata hai
Tumhare bhegtee palkoon say manay bar haa pochaa
Mezaajay husn main yon yak bayak kyaa inqilaab ayaa
Sitara daikhna aur daikh kar afsurdaa ho jana
Baree takheer say tumko sitaron ka hesaab ayaa
Tumhare bhegtee palkoon say manay bar haa pochaa
Kay tark rabt par kyaa mujhsay wahshee yaad ataa hain
Taaluk tornaa asaan tha to kyon yah ankh nam hai
Anaa yarwar jafaa pashaa bhe yoon ansoo bahaty hain
Tumhare bhegtee palkoon say manay bar haa pochaa
Kay jalnay aur jalanay main bhalaa kyon lutf ataa hai
Bus ek chotee anaa kay wastay barbaad ho janaa
Khudee kay gham main ensaan kitnay dukh uthata hai

ikk baar hii chahat ki saza kyu'n nahee'n daitey

ikk baar hii chahat ki saza kyu'n nahee'n daiteyzinda hoo'n tau marne ki dua kyu'n nahii daitey
ikk aag jo bujhti na bharhkti hai ziyadauss aag ko daman ki hawa kyu'n nahii daitey
bichhrhey huwe lamhe bhi kabhi laut k aaye?bichhrhey huwe lamho'n ko bhula kyu'n nahii daitey
darya mai pukare chaley jate ho hameshasehrao'n mai sawan ko sada kyu'n nahii daitey
dekho naa! kayee yaar boht khauf zada hainpal bhar ko charago'n ko bujha kyu'n nahii daitey

aaye kuchh abr kuchh sharaab aaye

aaye kuchh abr kuchh sharaab aaye us ke baad aaye jo azaab aaye
baam-e-miinaa se mahataab utrey dast-e-saaqii mein aftaab aaye
har rag-e-KhuuN mein phir chiraaGhaaN ho saamane phir wo benaqaab aaye
umr ke har waraq pe dil ko nazar teray mehr-o-wafaa ke baab aaye
kar rahaa thaa Gham-e-jahaaN ka hisaab aaj tum yaad behisaab aaye
na gaee tere Gam kee sardaaree dil mein yuun roz inqalaab aaye
jal uThe bazm-e-Ghair kei dar-o-baam jab bhii ham KhaanamaN Kharaab aaye
is tarah apanii Khamushee guuNjeegoya her simt se jawaab aaye
'Faiz' thii raah sar basar manzil ham jahaaN pahuNche kaamayaab aaye
-------------

ye kis Khalish ne phir is dil me.n aashiyaanaa kiyaa

ye kis Khalish ne phir is dil me.n aashiyaanaa kiyaa phir aaj kis ne suKhan ham se Gaayebaanaa kiyaa
Gam-e-jahaa.N ho, ruKh-e-yaar ho ke dast-e-uduu salook jis se kiyaa hamane aashiqaanaa kiyaa
the Khaak-e-raah bhii ham log qahar-e-tuufaa.N bhii sahaa to kyaa na sahaa aur kiyaa to kyaa na kiyaa
Khushaa ke aaj har ik mudda_ii ke lab par hai vo raaz jis ne hame.n raa.Nd-e-zamaanaa kiyaa
vo hiilaagar jo vafaajuu bhii hai jafaaKhuu bhii kiyaa bhii "Faiz" to kis but se dostaanaa kiyaa..

TUM AYE HO,NA SHAB-E-INTEZAAR GUZRI HAI

TUM AYE HO,NA SHAB-E-INTEZAAR GUZRI HAITALASH MAI HAI SEHAR,BAR BAR GUZRI HAI
JUNOON MAI JITNI BHI GUZRI,BAKAR GUZRIAGARCHA DIL P KHARABI HAZAAR GUZRI HAI
HUI HAI HAZRAT-E-NASEE SE GUFTAGOO JIS SHABWO SHAB ZAROOR SAR-E-KOYE YAR GUZRI HAI
WO BAAT SARE FASANEY MAI JIS KA ZIKER NA THAWO BAAT INKO BAUHT NAGAWAR GUZRI HAI
NA GUL KHILE HAIN,NA UN SE MILE,NA MAI PII HAIAJEEB RUNG MAI AB K BAHAR GUZRI HAI
CHAMAN P GARAT-E-GULCHEN SE JANE KIA GUZRIKAFAS SE AJJ SABA BE-QARAR GUZRI HAI.....

Dil meiN ab yuN tere bhoole hue gham aate haiN

Dil meiN ab yuN tere bhoole hue gham aate haiN jaise bichRay hue kaabay meiN sanam aate haiN
aik aik ker k hue jaate haiN taare roshan merii manzil kii taraf tere qadam aate haiN
raqs-e-meh tez karo, saaz kii lay tez karo suu-e-meh'khana safiiraan-e-haram aate haiN
kuch hamiiN ko nahiiN ehsaan uthane ka dimaagwoh to jab aate haiN maail-e-ba'karam aate haiN
aor kuch der na guzre shab-e-furqat se kaho dil bhii kam dukhta hai woh yaad bhii kam aate haiN

Dil meiN ab yuN tere bhoole hue gham aate haiN

Dil meiN ab yuN tere bhoole hue gham aate haiN jaise bichRay hue kaabay meiN sanam aate haiN
aik aik ker k hue jaate haiN taare roshan merii manzil kii taraf tere qadam aate haiN
raqs-e-meh tez karo, saaz kii lay tez karo suu-e-meh'khana safiiraan-e-haram aate haiN
kuch hamiiN ko nahiiN ehsaan uthane ka dimaagwoh to jab aate haiN maail-e-ba'karam aate haiN
aor kuch der na guzre shab-e-furqat se kaho dil bhii kam dukhta hai woh yaad bhii kam aate haiN

nahii nigaah me manzil to justajuu hii sahii

nahii nigaah me manzil to justajuu hii sahii nahii visaal mayassar to aarazuu hii sahii
na tan me Khuun faraaham na ashk aaNkho menamaaz-e-shauq to vaajib hai be-vazuu hii sahii
kisii tarah to jamey bazm maikade vaalo nahii jo baadaa-o-saaGar to haa-o-huu hii sahii
gar intezaar katthin hai to jab talak ai dil kisii ke vaada-e-fardaa kii guftaguu hii sahii
dayaar-e-Gair me.n maharam agar nahii ko_ii to 'Faiz' zikr-e-vatan aane ruu-ba-ruu hii sahii

donoN jahan teri mahabbat meiN haar kay

donoN jahan teri mahabbat meiN haar kaywoh jaa raha hai koi shab-e-gham guzaar kay
weeraaN hai mai-kada khum o saaghar udaas haiNtum kya gaye ke rooTh gaye din bahaar kay
ik fursat-e-gunaah mili, woh bhi chaar dindekhay haiN hum nay hauslay parwardigaar kay
duniya ne teri yaad say begana kar diyatujh say bhi dil-fareb haiN gham rozgaar kay
bhoolay se muskura to diye thay woh aaj "FAIZ"mat poochh walwalay dil-e-nakarda kaar kay

Chashm e meegun zara idhar kar de

Chashm e meegun zara idhar kar deDast e qudrat ko be asar kar de
Taiz hai aaj dard e dil SAQITalkhi-e-mae ko taiz tar kar de
Josh e wehshat hai tishna kaam abhiChaak e daman ko Taa'jigar kar de
Meri kismat say khelnay walayMujhay kismat sey bekhabar kar de
Lut rahi hai meri mata-e-niaz Kaash wo is taraf nazar kar de
Faiz takmeel-eaarzoo maloomHo sakey to yun he basar kar de

Ham par tumhari chaah ka ilzaam hi to hai

Ham par tumhari chaah ka ilzaam hi to hai Dushnaam to nahin hai ye ikaraam hi to hai
Karte hain jis pe taa'n, koi jurm to nahin Shauq-e-fuzool-o-ulfat-e-nakaam hi to hai
Dil muddai ke harf-e-malaamat se shaad hai Aey jaan-e-jaan ye harf tera naam hi to hai
Dil na-umeed to nahin, na-kaam hi to hai Lambi hai ghum ki shaam, magar shaam hi to hai
Dast-e-falak mein, gardish-e-taqdeer to nahin Dast-e-falak mein, gardish-e-ayyaam hi to hai
Aakhir to ek roz karegi nazar wafaa Wo yaar-e-khush_khasaal sar-e-baam hi to hai
Bheegi hai raat 'faiz' gazal ebtida karo Waqt-e-sarod dard ka hungaam hi to hai
--------------

Sabhii kuch hai tera diya hua

Sabhii kuch hai tera diya hua sabhii raahatain sabhii kalafatain Kabhi sohabatain kabhi furqatain kabhi dooriyaan kabhii qurbatain
Ye suKhan jo hum ne raqam kiye ye hain sab varq teri yaad ke Koii lamhaa subah-e-visaal ka, kaii shaam-e-hijr ki qurbatain
Jo tumhari maan lain naasihaa to rahe ga daaman-e-dil main kiya Na kisi uduu ki adaavatain na kisi sanam ki muravatain
Chalo aao tum ko dikhaayain hum jo bacha hai maqtal -e-shahar main Ye mazaar ahal-e-safaa ke hain ye hain ahal-e-sidq ki turbatain
Meri jaan aaj ka Gham na kar, ke na jaane kaatib-e-vaqt ne Kisi apane kal main bhi bhool kar kahin likh rakhi ho masarratain

Qarz-e-nigah-e-yaar ada kr chukay hien hum

Qarz-e-nigah-e-yaar ada kr chukay hien hum sab kuch nisar raah-e-wafa kar chukay hein hum
kuch imtihaan-e-dast-e-jafar kar chukay hien hum kuch un ki dastrass ka pata chukay hein hum
ab ehtiyaat ki koi sorat nahi rahi ,qatil say rasm-o-raah siwa kr chukay hien hum
dekhin hay koun koun, zarorat nahi rahi Koaey sitam men sab ko khafa kr chukay hein
ab apna ikhtiyaar hay chahein jahan chalein rahbar say apni raah juda kar chukay hein
un ki nazar mein , karin , pheeka hay ab bhi rang jitna lahoo tha sarf-e-quba kr chukay hein hum
kuch apnay dill ki khuu ka bhi shukrana chahye so bar un ki khuu ka gila kar chukay hein hum
--------------

har haqiiqat majaaz ho jaaye

har haqiiqat majaaz ho jaayekaafiro.n kii namaaz ho jaaye
minnat-e-chaaraasaaz kaun karedard jab jaa.N navaaz ho jaaye
ishq dil me.n rahe to rusavaa holab pe aaye to raaz ho jaaye
lutf kaa intazaar karataa huu.Njor taa hadd-e-naaz ho jaaye
umr besuud kaT rahii hai 'Faiz'kaash afshaa-e-raaz ho jaaye

kabhii-kabhii yaad meN ubharte haiN

kabhii-kabhii yaad meN ubharte haiN naqsh-e-maazii miTe-miTe sevo aazmaaiish dil-o-nazar kii, vo qurbateN sii, vo faasile se
kabhii-kabhii aarzuu ke sehraa meN aa ke rukte haiN qaafile sevo saarii baateN lagaao kii sii, vo saare unvaaN visaal ke se
nigah-e-yaar ko qaraar kaisaa, nishaat-o-Gham meN kamii kahaaN kiivo jab milte haiN to unse har baar kii hai ulfat naye sire se
bahut giraaN hai ye aish-e-tanhaa, kahiiN sabuktar, kahiiN gavaaraavo dard-e-pinhaaN ke saarii duniyaa rafiiq thii jiske vaaste se
tumhiiN kaho rind-e-mustahib meN ho aaj shab kaun farq aisaaye aa ke baiThe haiN mai-kade meN, vo uTh ke aaye haiN mai-kade se

NASEEB AAZMAANAIN KAY DIN AARAY HAIN,

NASEEB AAZMAANAIN KAY DIN AARAY HAIN,QAREEB UN KAY AANAIN KAY DIN AARAY HAIN.
JO DIL SEY KAHA HAI JO DIL SEY SUNA HAI,SUB UN KO SUNANAIN KAY DIN AARAY HAIN.
ABHI SEY DIL-O-JAN SAR-E-RAH RAKH DO,KEH LUTNAIN LUTANAIN KAY DIN AARAY HAIN.
TAPAKNAIN LAGEE UN NIGAHON SEY MASTI,NIGAHAIN CHURANAIN KAY DIN AARAY HAIN.
SABA PHIR HAMAIN POOCHTEE PHIR RAHEE HAI,CHAMAN KO SAJANAIN KAY DIN AARAHEY HAIN.
CHALOO FAIZ PHIR SEY KAHEEN DIL LAGAEN,SUNA HAI THIKANAIN KAY DIN AARAHEY HAIN.

Raz-e-ulfat chupa k dekh liya

Raz-e-ulfat chupa k dekh liya Dil buhot kuch jala k dekh liya
Aur kya dekhne ko baqi hai Ap se dil laga k dekh liya
Wo mere hok bhi mere na hue Unko apna bana k dekh liya
Aj unki nazar main kuch hamne Sabki nazren bacha k dekh liya
'Faiz', taqmil-e-gam bhi ho na saki Ishq ko azma k dekh liya
As us dar se tutati hi nahin Ja k dekha, na ja k dekh liya..

Kat Hi Gai Judai Bhi,Kab Ye Hoa Ke Mar Gaye

Kat Hi Gai Judai Bhi,Kab Ye Hoa Ke Mar GayeTere Bhi Din Guzer Gaye Mere Bhi Din Guzer Gaye
Tu Bhi Kuch Aur Aur Hay Ham Bhi Kuch Aur Aur hainJanay Wo tu Kidher Gya Janay Wo Ham Kidher Gaye
Rahon Main Hi Milay Thy Ham Rahain Naseeb Ban GayinTu Bhi Na Apne Ghar Gya Ham Bhi Na Apne Ghar Gaye
Wo Bhi Ghubar-e-Khak Tha Ham Bhi Ghubar-e-Khak ThyWo Bhi Kahin Bikher Gya Ham Bhi Kahin Bikher Gaye
Koi Kinaary Abjoo Baitha Hoa Hay Sar NigoonKashti Kidher Chali Gai Janay Kidher Bhanwer Gaye

Kahan yah bus main kay hum khud ko hoslaa datay

Kahan yah bus main kay hum khud ko hoslaa datay
Yahee bohat tha kay har gham pay muskura datay
Hawaa ki door ulhajtee jo ungliyon say kabhe
Hum aasman pay tera naam tak sajaa datay
Hamaray aks main hotee jo zakhma a dil ke jhalak
Hum aainay ko bhe apne tarah rulaa datay
Humain bhe jo roshaniyon par jo dastras hotee
Kabhe chiraag jalatay kabhee bhujaa datay
Humaray paon hawaon ki zad main thay warna
Guzartee umar ko ruk ruk kay hum sadaa datay
Abb eskee yaad say eska badan tarashan hain
Woh khwaab bhe toh nahe tha kay hum bhola datay
Yah ese wastay mohsin kahee hai taaza ghazal
Hum eske salgirah pay aur abb kya datay

Jis Ko Tum Chate Ho Use Khodena Kaisa Lagta Hai

Jis Ko Tum Chate Ho Use Khodena Kaisa Lagta Hai
Azeem Hain Yeh Qurbat Ki Doorian BhiSath Reh Kar Bhi Us Ko Na Pana Kesa Lagta Hai
Qismat Main Nahin Phir Bhi Us Ko Chahtay HainPhool Samjh Kar Kantoon Per Chalna Kesa Lagta Hai
Ab To Mehfil Main Bhi Hamaray Liyey Tanhai HaiGham Chupa Kar Mehfil Ko Sajana Kesa Lagta Hai
Mehfil Main Dosron Se Hans Hans Kar Miltay HainTanhai Main Gham K Ansoo Bahana Kesa Lagta Hai
Samjhany Per Bhi Samjhta Nahin Hai Yeh DilUs Ki Yaad Main Ratoon Ko Jaagna Kesa Lagta Hai
Us Ki Berukhi Ne Itnay Diyey Hain Zakham KayZakham Kha Kar Bhi Muskurana Kesa Lagta Hai
Jab Woh Hans Hans Kar Baat Karay Dosroon SeTab Apnay Ansoon Ko Chupana Kesa Lagta Hai
Usay Kho Kar To Meray Pass Raha Kuch Bhi NahinPhir Bhi Khud Ko Ameer Batana Kesa Lagta Hai
Khud Ko Anmol Samjhnay Ka Tha Bara GhumandPhir Bhi Baymool Bik Jana Kesa Lagta Hai
Khaey Hain Dhokay Mouhabbat Main Itnay KayPhir Bhi Is Ko Chahna Kesa Lagta Hai
Maloom Hai Is Dewanay Ki Manzil Nahin Hai KoiPhir Bhi Safer Kartay Rehna Kesa Lagta Hai
Woh To Aa Kar Bhi Kab Kay Ja Chukay HainPhir Bhi Is Ka Intazar Kartay Rehna Kesa Lagta Hai

Hamaarey paas aanaa bhi unhain achchhaa naheen lagtaa!

Hamaarey paas aanaa bhi unhain achchhaa naheen lagtaa!Hamaaraa muskuraanaa bhi unhain achchhaa naheen lagtaa!!
Yahaan ham wasl ko beychain they, khwaaboun ki duniyaan mein!Kareyn kyaa, yeh fasaanah hi unhain achchhaa naheen lagtaa?
Hamaaree raat kat jaatee hai yuun hi jaagtey-rotey;Hamain sapney dikhaanaa bhi unhain achchhaa naheen lagtaa!!
Hamain lagtaa hai, royengey akeyley hi, kaheen chhup kar;Galey milkar, rulaanaa bhi unhain achchhaa naheen lagtaa!!
Na jaaney ham mein aisee baat kyaa hai, chhitaktey hain who?Uthhaa, nazareyn milaanaa bhi unhain achchhaa naheen lagtaa!!
Kisey maaloom thaa, yeh dil-lagee zaalim hai khaaroun-see;Diloun key gul khilaanaa bhi unhain achchhaa naheen lagtaa!!
Bahut mushtaaq they, gaatey suneyngey aaj ham jinko:Hamaaraa gungunaanaa bhi unhain achchhaa naheen lagtaa!!
Bahut maayuus hain; par, giley shikwey kareyn, to kaisey?Hamain ghar par bulaanaa bhi unhain achchhaa naheen lagtaa!!
Kaheen mahshar na aa pahunchey, ki, bas, ham yuun hi mar jaayen?‘Abd’ sey dil lagaanaa hi unhain achchhaa naheen lagtaa!!

kuchh to ehasaas-e-ziyaaN thaa pehle

kuchh to ehasaas-e-ziyaaN thaa pehledil kaa ye haal kahaaN thaa pehle
ab to manzil bhii hai Khud garm-e-safarhar qadam sang-e-nishaaN thaa pehle
safar-e-shauq ke far-sang na puuchhvaqt beqaid-e-makaaN thaa pehle
ye alag baat ki Gam raas hai abis men andeshaa-e-jaaN thaa pehle
yuuN na ghabraaye huye phirte thedil ajab kunj-e-amaaN thaa pehle
ab bhii tuu paas nahiin hai lekinis qadar duur kahaaN thaa pehle
Dere Daale hain bagolon ne jahaaNus taraf chashm-e-ravaaN thaa pehle
ab vo dariyaa na bastii na vo logkyaa Khabar kaun kahaaN thaa pehle
har Kharaabaa ye sadaa detaa haimain bhii aabaad makaaN thaa pehle
kyaa se kyaa ho gayii duniyaa pyaaretuu vahiin par hai jahaaN thaa pehle
ham ne aabaad kiyaa mulk-e-suKhankaisaa sun_saan samaaN thaa pehle
ham ne baKhshii hai Khamoshii ko zubaaNdard majbuur-e-fuGaaN thaa pehle
ham ne roshan kiyaa maamuur-e-Gamvarnaa har simt dhuaaN thaa pehle
Gam ne phir dil ko jagaayaa 'Nasir'Khaanaa_barbaad kahaaN thaa pehle

Murad hooN, magar mangta nahi mujhe

Murad hooN, magar mangta nahi mujheAnaa se baRh ke abhi chahta nahi mujhe
Pas-e-uyoob khoobiyoN ka ik jahan haiWo janta hai tabhi janchta nahi mujhe
Har ik inkar, khuda par yaqeen baRhaata haiKe jo khuda hai kabhi talta nahi mujhe
Meri masnad ke sab kamal sab pe aashkarmagar afsos koi janta nahi mujhe
Ma kaise maan looN wo khud ko bhool baitha haiMa kaise maan looN pehchanta nahi mujhe
Wo janta hai aaine ki nazakat SafdarWo sang-e-ashk kabhi marta nahi mujhe

Aap ki dunya hamare naam thi

Aap ki dunya hamare naam thiAap ke bin zindagi kis kaam ki
Aap ne ham se taalluq toR karGhair se rasm-e-mohabbat aam ki
Umr bhar nisbat rahi jo aap seAik pal ma doosre ke naam ki
Zindagi be'kaar ho ke reh gaiSaans chalti hai bara-e-naam ki
Ab to bas ik maot ki hai arzooAish ki daolat ki na araam ki
Khud se baigana banaya aap neYaad hai Allah ki na Ram ki

beetay dino ke dasht se aati sada hoon main

beetay dino ke dasht se aati sada hoon mainujrray gharon main ghoomti pagal hawa hoon main
hoon to tere jism ka saya hi kia huabas zindagi ki sham talak hi juda hoon main
kia jaanay kab bigaarr de ye sar phiri hawabeeti hui bahaar ka ik naqsh-e-paa hoon main
yoon to mere bhi rang hain kuch an ginat magarhar ik ko aik rang nazar aaraha hoon main
jaanay wo aik lamha bhi kia kia badal gayakiun baar baar apni taraf dekhta hoon main
ik din teri talaash ki manzil bhi aay giab tak to apne aapko hi ddhoonddta hoon main
lipttay hon jaise "SHAM" ki chaadar main baam o darkuch yoon tere khayal main dooba hua hoon main

ye mojaza bhi muhabbat kabhi dikhaye mujhe

ye mojaza bhi muhabbat kabhi dikhaye mujhek sang tujhpe gire aur zakhm aye mujhe
wo maharaban hai to iqrar kyun nahin kartawo badguman hai to sau bar azmaye mujhe
main apne paon tale raundata hun saye kobadan mera hi sahi dopahar na bhaye mujhe
main ghar se teri tamanna pahan k jab niklunbarhana shahar mein koi nazar na aye mujhe
wo mera dost hai sare jahan ko hai malumdaga kare wo kisi se to sharm aye mujhe
main apni zat mein nilam ho raha hun 'Qateel'gham-e-hayat se kah do kharid laye mujhe

Raqs Karne Ka Mila Jo Hukam Deryaoon Main

Raqs Karne Ka Mila Jo Hukam Deryaoon Main Hum Ne Khush Ho K Bhawer Bandh Liye Paoon Main
Jo Bhi Ata Hai Batata Hai Naya Koi IlaajBatt Na Jaye Tera Bemar Masihaoon Main
Jis Berhiman Ne Kaha Hai K Ye Saal Acha HaiUs Ko Dafana Do Mere Hath Ki Rekhaoon Main
Woh Khuda Hai Kisi Toote Howe Dil Main HogaMasjidoon Main Usay Dhoodho Na Kalisaoon Main
Hum Ko Apas Main Muhhabat Nahi Karne DayteEk Yahi Ajeeb Hai Is Shaher Ka Danaoon Main

Ajab junoon-e-musafat mein Ghar se nikla tha

Ajab junoon-e-musafat mein Ghar se nikla thaKhabr nhi k Soraj kidar se nikla tha
Ye kon phr se muje raston me chor gyaAbhi abhi to azab-e-safr se nikla tha
Ye Teer dil me mgr bay-sabab nhi utraKoi to harf lab-e-chara gar se nikla tha
Mein raat toot k roya tu chain se soyaK dil ka Zehar mere chashm-e-tar se nikla tha
Wo '$aQi' ab jisay Majnoo pukartay hain logMeri trah koi dewana Ghar se nikla tha.

beetay dino ke dasht se

beetay dino ke dasht se aati sada hoon mainujrray gharon main ghoomti pagal hawa hoon main
hoon to tere jism ka saya hi kia huabas zindagi ki sham talak hi juda hoon main
kia jaanay kab bigaarr de ye sar phiri hawabeeti hui bahaar ka ik naqsh-e-paa hoon main
yoon to mere bhi rang hain kuch an ginat magarhar ik ko aik rang nazar aaraha hoon main
jaanay wo aik lamha bhi kia kia badal gayakiun baar baar apni taraf dekhta hoon main
ik din teri talaash ki manzil bhi aay giab tak to apne aapko hi ddhoonddta hoon main
lipttay hon jaise "SHAM" ki chaadar main baam o darkuch yoon tere khayal main dooba hua hoon main

HAR KISI KO DUNYA MAI SHOHRATEN NAHI MILTI

HAR KISI KO DUNYA MAI SHOHRATEN NAHI MILTIZINDAGI K LAMHO KI QEEMATEN NAHI MILTI
FATAH KI KHWAISH MAI AMAL B TU LAZIM HAINSIRF KUCH IRADON SE MUSAR-RATEN NAHI MILTI
FAISLEY YE CHAHAT K ASSMAN P HOTAY HAINDO DILON K MILNEY SE QISMATEN NAHI MILTI
DEEN OR DUNYA KO SAATH RAKHNA PARTA HAIMASJIDON MAI REHNE SE JANATEIN NAHI MILTI
MAAN LO IS ZAMANEY MAI OR B HAIN HUM JAISEYHASB-E-ARZOO JINKO CHAHTEN NAHI MILTI.....__________________

Sabhi jazbaat, khayalaat badal jaty hain

Sabhi jazbaat, khayalaat badal jaty hain,Youn mohabat mein yeh din raat badal jaty hain,
Piyar to un ko bhi hum he say hai magar. janay kiun?Hum karain baat to woh baat badal jaty hain,
Aarzo to hai k izhar-e-mohabat kar doon,Lafz chunta hon to lamhaat badal jaty hain,
Kitni nafrat thi kabhi ahel-e- mohabat say humain?Ho mohabat to khayalaat badal jaty hain,
Aik sa waqt mohabat mein kahan rehta hai?Gardish-e-waqt say halat badal jaty hain.

MUJHE QATIL SAMJHOO

MUJHE QATIL SAMJHOO
Samandar ki justuju hai...Mujhe katr-e-dariya samjhoo...
Zindagi ki kitab mein...Mujhe harf ka nukta samjhoo...
Julmoo se reza-reza hun...Mujhe hara hua insaa samjhoo...
Na dekh ajnabi ki tarah...Tera ask hun,ayeena samjhoo...
Na hamsafar,Na dost koi...Mujhe duniya mein Tanha samjhoo...
Khud k armaa khatm kardiye...FAISAL !!! Mujhe qatil samjhoo...

tum aisa karna k koi jugnoo koi sitara sanbhal rakhna

tum aisa karna k koi jugnoo koi sitara sanbhal rakhnamere andhero'n ki fikr chhorho bas apne ghar ka khayal rakhna
dayar e ulfat mai ajnabi ko safar hai darpesh zulmaton kakahee'n wo raho'n mai kho na jaye dareechey apne ujaal rakhna
ujharh mausam mai rait dharti pe fasl boi thi chandni kiab uss mai ugney lagey andhere tau kaisa jee mai malal rakhna
bichharne wale ne waqt e rukhsat kuchh iss nazar se palat k dekhak jaise wo bhi ye keh raha ho tum apne ghar ka khayal rakhna
ye dhoop chhao'n ka khail hai ya khiza'n baharon ki ghat mai hainaseeb e subho urooj ho to nazar mai sham e zawal rakhna
kisey khabar thi k kab ye mausam urha k rakkh de ga khak AAZARtum ahtyatan zamee'n k sar par falak ki chadar bhi dal rakhna

~`~Aysa Kabhie Na Karna~`~

~`~Aysa Kabhie Na Karna~`~
Tum Rooth Jaao Mujh Se, Aysa Kabhie Na KarnaMayn Ik Nazar Ko Tarsson, Aysa Kabhie Na Karna
Mayn Pooch Pooch Haaron So So Sawaal Kar KTum Kuch Jawaab Na Do, Aysa Kabhie Na Karna
Mujh Se Hi Mill K Hansna, Mujh Se Mill K RonaMujh Se Bichhar K Jee Lo, Aysa Kabhie Na Karna
Tum Chaand Ban K Rehna, Mayn Dekhta RahongaKissi Roz Tum Na Niklo, Aysa Kabhie Na Karna
Tum Chhalay Jaao Jab Bhi, Tow Dekhon Tumahar RaastaTum Laut K Na Aao, Aysa Kabhie Na karna

Mari zindagi tu farak hai

Mari zindagi tu farak hai, tu azal se dil ma makeen sahi Wo nigah shok se door hain, rag e jaan se lakh karin sahiHmain jaan dani hai aik din, wo kisi tarah wo kahin sahiHmain aap kheenchaye daar par, jo nahi koi tu hami sahiSar e toor ho, sar e hashar ho, hmain intizaar kabool haiWo kabhi milain, wo kahin milain, wo kabhi sahi, wo kahin sahiNa ho in pay jo mara bas nahi, ye aashiki hai hawis nahiMa in hi ka tha, ma in hi ka hon, wo maray nahi tu nahi sahiJo ho faisla wo sunaye, isay hashar pay na uthayeJo karain gay aap sitam wahan, wo abhi sahi wo yahin sahiUsay dakhnay ki jo lo lagi tu naseer dakh hi lain gay humWo hazar aankh se door ho, wo hazar parda nasheen sahi

Galion ma kaisa shor tha

Galion ma kaisa shor tha kiun bheer si maktal ma thiKi a wasf us shair ma tha kia baat us pagal ma thiAisa sitam kia ho gya aik rah ro tha kho gayaPhir zindagi ki shaam thi aur sham bhi jangal ma thiKia kia hwa chalti rahi ye low magar jalti rahiKia zor us aandhi ma tha kia taab us mashal ma thiShola ba dil aatish bajan phirta raha wo bay amanWarna saba zulfon mai thi warna ghata kajal ma thiTarsi hui aankhon ma kin kin sahilon kay khawab thayPar kashti umr e rawan halaat kay daldal mai thiKhalkat nay awazay kasay taanay dyay fatway jarayWo sakht jaan hansta raha go khud kashi pal pal ma thiApni kashid e jaan se hi pita raha jita rahaNasha kahan saghir ma tha masti kahan botal mai thi

apney saaey sey bhi ashkoon ko chupa kar rona

apney saaey sey bhi ashkoon ko chupa kar ronajub bhi rona ho chiraghon ko bujha kar rona
hath bhi jatey hoyey woh mila kar na gyamain ney chaha tha jisey seeney sey lga kar rona
terey dewaney ka kya haal kya hay ghum neymuskuratey hoyey logon main bhi ja kar rona
log parh leetey hain chehrey pey likhi tehrereinkitna dushwaar hay loogon sey chupa ka rona__________________

Ahal-e-jahan ke saath wafa ya jafa karon

Ahal-e-jahan ke saath wafa ya jafa karon ?Meri samajh main kuch nahin aata hai kiya karoon
Ye dard-e-dil to haasil-e-umar-e-daraaz haiMain iss ko apnii zaat se kiyo ker juda karoon
Duniya yehii keregii, to duniya se peshterMajrooh kiyo na khud he main apnii ana karoon
Duniya main kon hai jo nahin hai mere khilaafIk tum he reh gaye ho tumhain bhii khafa karoon
Her zaaviye se zeest ne ruswa kiya mujheKis rukh se apnii zaat ka ab saamna karoon
Ihsaan jo uthaaye hain oaron ke wastayOaron pe hain wo qarz magar main ada karoon
Aankhon ko neend kii bhii rafaaqat nahin naseebMain shama to nahin ke sahar tak jala karoon
Hasrat he reh gaii ke bahaaron ke dermiyanTere baghair bhi to kabhi khush raha karoon
Be-gangii ko chor ke fitrat bhi hans pareyAadam ke naam per koii aisii khata karoon
Jiss karb-e-aagahii main hoon laiss aaj kalUss karb-e-aagahii se kisay aashna karoon?*******************

Hontoon pe muhabbat ke fasanay nahien atay

Hontoon pe muhabbat ke fasanay nahien ataysahil pe sumunder ke hazanay nahien ataypalkien bhi chamak uthi hain sotay hi humariankhoon ko abhi khawab chupanay nahien ataydil ujri hoi ik saraye ki terha haiab log yahan raat jaganay nahien atayyaro naye mousam neen yeah ahsan kiye hainab yaad samjo durd puranay nahien atayurnay do abhi parindoon ko shoh huwa mainphir lout ke bachpan ke zamanay nahien atayis sheher ke badal tairy zulfoon ki tarha hainyeah aag lagatay hain per bujanay nahien atayehbab bhi ghairoon ki tarha ada sekh gaye hainatay hain mager dil ko dukhanay nahien atay

Aaj dareechay main woh aana bhool gaya

Aaj dareechay main woh aana bhool gayamain bhi apna diya jalana bhool gaya,
aaj mujhe bhi uski yad nahi aayiwoh bhi mere khuwab main ana bhool gaya,
bahaar ne jub se aana chore diyamousam bhi apna phool khilana bhool gaya,
chalte chalte main usko gher lay aayiwoh bhi muj se apna hath chudana bhool gaya,
khat likha hai par khat ke koney parwoh apni ankh ka ansoo mitana bhool gaya
rooth ke dono aik jaga baithey rahey faysalmain usko woh mujko manana bhool gaya......

Aatish-e-ishq main jal jaon tujhey is say kiya

Aatish-e-ishq main jal jaon tujhey is say kiyaMousam ki tarah badal jaon tujhey is say kiya
Chot khaon ya zakham lagay, ya ahsas-e-ghum mein tarponMein gir jaon ya sanbhal jaon tujhey is say kiya
Mussartaon ko daikh ker bay qarar ho jaonYa tofan-e-ghum say behal jaon, tujhey is say kiya
Hansta daikh ker hans paron, rota daikh ker ro paron,Halat k sanchay mein dhal jaon, tujhey is say kiya
Zararot nahin ab kisi hamsafar ki saaqi,Janib-e-manzil tanha nikal jaon, tujhey is say kiya..

Jisam tarpa khak per tanha

  • Jisam tarpa khak per tanhaRooh karti rahi safar tanha
    Nend valo’n ko khabar kya iss kiKon jaga hy raat bhar tanha
    Log soe kahi’n band kamro’n maiChand bhatakta hy dar-badar tanha
    Sath deta hy kon manzil takSath chalti hy rahguzar tanha
    Shehr ka shehr bujha jata hyJa raha tha vo apne ghar tanha
    Ae gham.e.zindagi k raat k chandDhoond mujh ko nagar nagar tanha
    Vo jo hansta tha ehl.e.dil pe kabhiRo para khud ko dekh kar tanha
    Bhool kar apne husan k aadabMere dil mai kabhi utar tanha
    Ye khudao’n ka dor hy iss maiReh gaya faqat bashar tanha
    Yad ae hazar shehr mujheJab b dekha koi khanda’n tanha
    Iss bhare shehr mai MOHSINAnjuman tha koi magar tanha__________________

Palkain teri num Q hain ke baarish nahi howi

Palkain teri num Q hain ke baarish nahi howi,Tootay nahi hain dil koi saazish nahi howi.
Q shor utha hey tere aabad nagar seyKhaamoshiyon ke shehr main halchul nahi howi.
Dil main hi barasti rahi sawan ki ghatayainAankhon ko barasnay ki jo aadat nahi howi
Ghunghroo bajey aor mun main bhi shehna'eeya bajiKhaamoosh ab her saaz ke chan chan nahi howi
Kal raat jo roti rahee shabnum bahaar parphoolon ke bhi sar khum thy shararat nahi howi
Jo phool roz rah ke saathi banay faysalTanhaayi main barhney ki ab himmat nahi howi

ae ishq humien barbad na ker

ae ishq na cherde Aa Aa ke humienhum bhoole howoon ko yaad na kerpehlay hi bohut nashad hain humto aur humien naashad na kerqismat ka sitam hi kum nahien kuchyeah taza sitam ijad na keryooN zulim na ker bedad na kerae ishq humien barbad na ker
jis din se mile hain donon kasab chain gaya aaram gayachehroon se bahaar-e-subah gayeAnkhoon se faroG-e-shaam gayahaathoon se Khushi kaa jaam chootahontoon se haNsi ka naam gayaGamgeen na bana naashad na kerae ishq humien barbad na ker
Raatoon ko uTh uTh rote hainro ro ker Duien kerte hainAnkhoon main Tasawur dil main Khalishsir dhunte hain ahien bharte hainae ishq yeah kaisa rog lagajeetay hain na zaalim marte hainyeah zulim to ae jallad na kerae ishq humien barbad na ker
yeah rog laga hai jab se humienranjida hoon main bimaar hai woher waqt tapish her waqt Khalishbe-Khawab hooN main bedar hai wojeenay se idhar bezar hooN mainmarnay pe udhar tayar hai woaur zabat kahay fariyad na kerae ishq humien barbad na ker
bedard zara insaf to keris umar main aur maghmoom hai wophehloon ki tarah nazuk hai abhitaaroon ki tarah masoom hai woyeah husan sitam yeah ranj Ghazabmajaboor hooN main mazaloom hai womazaloom pe yooN bedaad na kerai ishq humien barbad na ker
ae ishq Khudara dekh kahienwo shoKh haseen badnaam na howo maah-e-laqa badnaam na howo zohra jabeen badnaam na honaamoos ka us ko paas rahewo pardaa-nasheen badnaam na hous parda nasheen ko yaad na kerae ishq humien barbaad na ker
ummeed ki jhooty jannat kerah rah ke na dikhala Khawaab humienAienda ke farzi ishrat kewaade se na kar betaab humienkahata hai zamana jis ko Khushiati hai nazar kaamayaab humienchorde aisi Khushii ko yaad na kerae ishq humien barbaad na ker
do din hee main ahad-e-tifali kemasoom zamanay bhool gayeAnkhoon se wo Khushiyan miTt si gaienlab ke wo taranay bhool gayeun paak bahishtii Khawaboon kedilchasp fasaane bhool gayeun Khawaaboon se yooN aazad na kerae ishq humien barbaad na ker
Ankhoon ko yeah kiya azaar huwaher jazb-e-nihaaN per ro denaahang-e-tarab pe jhuk jaanaawaz-e-fuGaaN per ro denabarbat ki sada per ro denamutrib ke bayaaN per ro denaehasas ko Ghum bunyaad na kerae ishq humien barbaad na ker
ji chahata hai ik duusaray koyooN aaTh pahar hum kerienAnkhoon main basayien Khawaboon koaur dil ko Khayaal abaad karienKhilawat main bhi jo jalawat ka saamaaNwahadat ko duwa se shaad karienyeah arazooien ijaad na kerae ishq humien barbaad na ker
wo raaz hai yeah Ghum aah jisepaa jaaye koye to Khair nahienAnkhoon se jab Ansoo bahate hainaa jaaye koye to Khair nahienzaalim hai yeah duniya dil koyahaaN bhaa jaaye koye Khair nahiinhai zulim magar fariyaad na kerae ishq humien barbaad na ker
duniya ka tamaasha dekh liyaGhamgeen si hai betaab si haiummeed yahaaN ik waham si haitaskeen yahaaN ik Khawaab si haiduniya main Khushi ka naam nahienduniya main Khushi nayaab si haiduniya main Khushi ko yaad na kerae ishq humien barbaad na ker

Jab Se dil Lagaya Hai Tum Se

Jab Se dil Lagaya Hai Tum Se
Sab kuch sahnay ki adat C Ho gaye hai
Intazar kertay hain hum aapka dair tukAap ko na anay ki adat C ho gaye hai
Baat baat pe muskratay thay humAb to ronay ki adat C ho gaye hai
Kabhi Talab kertay thay tumhain humAb to berukhi sahnay ki Adat C ho gaye hai
Kabhi ik hamdard chatay thay hum bhiPer Ab to tanha ghum sahnay ki adat C ho gaye hai
Jab Se Soachna shuroo kiya hai tumkoSari Sari Raat jagnay ki Adat C ho gaye hai
UB TO CHAHYE CHOOR BHI DO HUMAINTUM BIN REHNE KI ADAT SE HO GAYEE HAI
Jise Bhi Chaha hum ne wo hamien chorde ker chala gayaAb to khonay ki Adat C ho gaye hai
Jab se Tum gay ho humien chorde kerTab se chup rahnay ki adat C ho gaye hai
Tum Se na koi shikwa na koi shikayat hai humienBas Khud Se shikayat ki Adat C Ho gaye hai
Maloom hai ke hamray kismat main tum nahiBas kismet se lardnay ki Adat C ho gaye hai
Wo Jahan bhi Rahay Khush rahay “Naeem”Yeah hi Dua mangtay rehnay ki Adat C ho gaye hai

Suna hai log use ankh bhar ke dekhtay hain

Suna hai log use ankh bhar ke dekhtay hainSo us ke sheher main kuch din thahr ke dekhtay hain
Suna hai rabt hai us ko kharab haloon seSo apnay aap ko barbad ker ke dekhtay hain
Suna hai dard ki gahak hain chushm-e nazuk us kiSo hum bhi us ki gali se guzer ker dekhtay hain
Suna hai us ko bhi hai sher-o shayari se shagafSo hum bhi mojazay apnay huner ke dekhtay hain
Suna hai bolay to batoon se phool jharatay hainYeah baat hai to chalo baat ker ke dekhtay hain
Suna hai raat use chand takta rehta haiSitaray baam-e falak se uter ker dekhtay hain
Suna hai hasher hain us ki gazal si ankhainSuna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhtay hain
Suna hai din ko use titliyan satati hainSuna hai raat ko jugno thahar ke dekhtay hain
Suna hai raat se barh ker hain kakulan us kiSuna hai sham ko saye guzer ke dekhtay hain
Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamat haiSo us ko surma farosh ankh bhar ke dekhtay hain
Suna hai us ke laboon se gulab jalte hainSo hum bahar per ilzaam dhar ke dekhtay hain
Suna hai Aiyna tamasal hai jabeen us kaJo sada dil hain ban sanwer ke dekhtay hain
Suna hai jab se hamail hain us ki gardan mainMizaj aur hi lal-o gauhar ke dekhtay hain
Suna hai chashm-e tasavur se dasht-e imkan mainPalang zawaiya us ki kamar ke dekhtay hain
Suna hai us ke badan ke tarash aisay hainKe phool apani qabayain qater ke dekhtay hain
Wo saroqad hai magar begul-e muraad nahinKe us shajar pe shagufay summar ke dekhtay hain
Bas ik nigah se lutata hai qafila dil kaSo rahrawaan-e tamannaa bhi dar ke dekhtay hain
Suna hai us ke shabistan se mutasil hai behishtMakin udhar ke bhi jalway idhar ke dekhtay hain
Rukay to gardishain us ka tawaf karti hainChalay to us ko zamanay thahar ke dekhtay hain
Kisay naseeb ke be pairhun usay dekhayKabhi kabhi dar-o deewaar ghar ke dekhtay hain
Kahaniyan hi sahi sab mubalaghay hi sahiAger woh khwab hai tabir ker ke dekhtay hain
Ab us ke sheher main thahrian ke kouch ker JaienFaraz aao sitaray safer ke dekhtay hain

Kuch Din To basoo meri ankhoon main

Kuch Din To basoo meri ankhoon main 
Phir khawab ager ho jaoo to kia 

Koi rang to do mairay chehray ko
Phir zakhum ager mehkaoo to kia 

Jub hum hi na mehkay phir sahib
Tum bad-e-saba kehlaoo to kia 

ik Aiyna tha so toot gaya
Ab khud se ager sharmaoo to kia 

Tum Aas Bandhanay walay thay
Ab tum Bhi hamien thukraoo to kia 

duniya bhi wohi aur tum bhi wohi
Phir tum se Aas lagaoo to kia 

main tanha tha main tanha hoon
Tum aao to kia na aao to kia 

jub dekhnay wala koi nahi
bujh jaoo to kia gehnaoo to kia 

ik wahem hai yeah duniya is main
kuch khoaoo to kia aur kuch paoo to kia 

hai yoon bhi Zaiyan aur yoon bhi zaiyan
jee jaoo to kia maar jaoo to kia

Us ne phir mera hall poocha hai

Us ne phir mera hall poocha hai 
Kitna mushkil sawaal poocha hai 

Hichkioon ka ajeeb lehja tha
Baat ko taal taal poocha hai 

Tum mujhay chord to na jao gay
Wastay daal daal poocha hai 

Ansoon ki zuban main us nien
Jitna poocha kamal poocha hai 

Kiya kabhi mill sakien gay hum dono
Mujh se maira khiyal poocha hai 

Din guzrta hai kis tarha maira
Kaisay guzray ga saal poocha hai..!

Popular Posts