Sunday, February 21, 2010

Tanha na apnay aapko ab payey janaab


Tanha na apnay aapko ab payey janaab,
Meri ghazal ko saath liyey jayey janaab !


Nagmon ki baarishon mein kahin beegnay chalay,
Mausam ki aarzoo ko na thukrayey janaab !



Rishton ko bhool jana to aasaan hai magar,
Pehlay khud apnay aapko samjhayey janaab !



Aisa na ho thamay huey aansoo chalak padey,
Rukhsat kay waqt mujko na samjhayey jaanab !



Main saaz hoon yeh yaad rahey isliyey kabhi,
Meray hi sher mujko suna jayey janaab !



Tanha na apnay aapko ab payey janaab,
Meri ghazal ko saath liyey jayey janaab ! 


***************************************

Jab meri haqeekat ja ja kar, unko jo sunayee logon nay


Jab meri haqeekat ja ja kar, unko jo sunayee logon nay,
Kuch sach bhi kaha kuch jooth kaha, kuch baat banayee logon nay !


Dayain hain hamesha zulm-o-sitam, duniya nay mohabaat waalon par,
Do dil ko kabhi milnay na diya, deewaar uthayee logon nay !



Aankhon say na aansoo poch sakey, hothon pay khushi dekhi na gayee,
Aabaad jo dekha ghar mera, to aag lagayee logon nay !



Tanhayee ka saathi mil na saka, rusvai mein shaamil shaher hua, faysal
Pehlay to mera dil tod diya, phir Eid manayee logon nay !



Is daur mein jeena mushkil hai, ae `Ashq' koi aasaan nahin,
Har ik kadam par marnay ki, ab rasam chalayee logon nay !

Mujko to sirf aapka farmaan chahiyey


Mujko to sirf aapka farmaan chahiyey
Maujood jaan bhi hai agar jaan chahiyey !



Do phool hi chada dein, woh aa kar mazaar par,
Kuch to shaeed-e-ishq ki pehchaan chahiyey !


Kuch bhi raha na dil mein, teri yaad kay siva,
Is ghar kay vaastay, yahi mehmaan chahiyey !



Hoorain mili ba-e-ishq mein mujko to kya mila,
Insaan kay liyey koi insaan chahiyey !



Mujko bhura, rakeeb ko acha samajh liya,
Achay bhuray ki kuch unhay pehchaan chahiyey !





*************************************

Kabhi to aasmaan say chaand utray, jaam ho jayey


Kabhi to aasmaan say chaand utray, jaam ho jayey,
Tumharay naam ki ik khoobsoorat, shaam ho jayey !



Ajab haalaat they yun dil ka sauda ho gaya aakhir,
Mohabaat ki hawali jis tarah neelaam ho jayey !



Main khud bhi ahtiyatan us taraf say kum guzarta hoon,
Koi maasoom kyon meray liyey badnaam ho jayey !



Mujhay maaloom hai uska thikana phir kahan hoga,
Parinda aasmaan choonay mein jab naakaam ho jayey !



Ujaalay apni yaadon kay hamaray saath rehnay do,faysal
Na jaanay kis gali mein zindagi ki shaam ho jayey !



Kabhi to aasmaan say chaand utray, jaam ho jayey,
Tumharay naam ki ik khoobsoorat, shaam ho jayey !

Na jee bhar kay dekha na kuch baat ki


Na jee bhar kay dekha na kuch baat ki,
Badi aarzoo thi mulakaat ki !



Kayee saal say kuch khabar hi nahin,
Kahan din guzara kahan raat dee !



Main chup tha to chalti hawa ruk gayee,
Zuban sab samjhtay hain jazbaat ki !



Sitaron ko shaayad khabar hi nahin,
Musaafir nay jaanay kahan raat dee !


*******************************

Chaahat ka ik meetha meetha dard jaganay shaam daley


Chaahat ka ik meetha meetha dard jaganay shaam daley,
Teri yaadain aa jaati hain mujko rulanay shaam daley !



Teri zulfain in kaandon par tera chehra haathon mein,
Mainay bhi dekhay hain kitnay khawab suhanay shaam daley !



Har din humsay vaada kar kay yun hi agar tadpaogay,
Ik din yun hi ho jayengay hum bhi deewaanay shaam daley !



Din kay ujalon mein to mana loon laakh yatan say behla loon,
Lekin dil ka paagal panchi ek na maanay shaam daley !

Rangat teri zulfon ki gataon nay churayee


Rangat teri zulfon ki gataon nay churayee,
Khushboo teray aanchal say hawaon nay udaayee !


Paimanay ka dil toot na jayey to kahoon main,
Hai cheez gazab ki jo nikhaon nay pilayee !



Qaidi teri zulfon ka hai aazaad jahan say,
Mujko yeh rihayee to sazaon nay dilayee !



Maana ki baharon nay khilaaya hai gulon ko,
Ulfat ki kali dil mein wafaon nay khilayee !



Tham-tham kay barasna kabhi jham-jham kay barasna,
Saawan ko ada yeh meray ashkon nay sikhayee !



Manzil pay pahunch kar `faysal' ahsaaas hua hai,
Jis rah say pahuncha woh khataon nay dikhayee !



Rangat teri zulfon ki gataon nay churayee,
Khushboo teray aanchal say hawaon nay udaayee !

*********************************************

Ay husnay-be-parba tujhay shabnam kahoon shola kahoon


Ay husnay-be-parba tujhay shabnam kahoon shola kahoon,
Phoolon mein bhi shokhi to hai, kisko magar tujsa kahoon !



Gaysoon uday mehki fazan, jadoo karein aaankhay teri,
Soya hua manzar kahoon, ya jaagta sapna kahoon !



Chanda ki tu hai chaandni, lehron ki tu hai raagni,
Jaan-e-tammna main tujhay, kya kya kahoon kya na kahoon !



Ay husnay-be-parba tujhay shabnam kahoon shola kahoon,
Phoolon mein bhi shokhi to hai, kisko magar tujsa kahoon !

*********************

Aawaara hain galiyon mein, main aur meri tanhayee


Aawaara hain galiyon mein, main aur meri tanhayee,
Jayay to kahan jayay, har mod pay rusvayee !



Yeh phool say chehray hain, hastay huey guldastay,
Koi bhi nahin apna, begaanay hain sab rastay,
Rahain bhi tamashayee, rahee bhi tamashayee !


Armaan sulagtay hain seenay mein chita jaisay,
Qaatil nazar aati hai duniya ki hawa jaisay,
Roti hai meray dil par bajti hui shehnayee !



Aakash kay maathey par taaron ka charagan hain,
Pehloo mein magar meray zakhmon ka gulistan hain,
Aaankho say lahoo tapka daaman mein bahaar aayee



Aawaara hain galiyon mein, main aur meri tanhayee,
Jayay to kahan jayay, har mod pay rusvayee !

**************************

Badnaam meray pyaar ka afsaana hua hai


Badnaam meray pyaar ka afsaana hua hai,
Deewaanay bhi kehtay hain ki deewaana hua hai ! 


Rishta tha tabhi to kisi be-dard nay toda,
Apna tha tabhi to koi be-gana hua hai !



Baadal ki tarah aa kay baras jaayey ik din,
Dil aapkay hotay huey veeraana hua hai !



Bajtay hain khayalon may teri yaad kay ghungroo,
Kuch din say mera ghar bhi pari-khana hua hai !



Mausam nay banaaya hai nikhaon ko sharaabi,
Jis phool ko dekhoon wahi paimana hua hai !



Badnaam meray pyaar ka afsaana hua hai,
Deewaanay bhi kehtay hain ki deewaana hua hai !

****************************

Khuli jo aankh to woh tha na woh zamaana tha


Khuli jo aankh to woh tha na woh zamaana tha,
Dehakti aag thi tanhayee thi fasaana tha !



Gamon nay baant liya hai mujhay yun aapas mein,
Ki jaisay main koi loota hua khazana tha !



Yeh kya ki chand hi kadmon pay thak kay baith gayey,
Tumhay to saath mera door tak nibhana tha !



Mujhay jo meray lahoo mein bigo kay guzra hai,
Woh koi gair nahin yaar ik purana tha !



Khuli Jo aankh to woh tha na woh zamana tha,
Dehkti aag thi tanhayee thi fasaana tha !

**************************

Kaisay sakoon paoon, tujhay dekhnay kay baad


Kaisay sakoon paoon, tujhay dekhnay kay baad,
Ab kya ghazal sunaoon, tujhay dekhnay kay baad !



Aawaaz dey rahi hai meri zindagi mujhay,
Jaoon main ya na jaaon, tujhay dekhnay kay baad !



Kaabay ka ahteraam bhi meri nazar mein hain,
Sar kis taraf jukaoon, tujhay dekhnay kay baad !


Teri nigah-e-mast nay makhnoor kar diya,
Kya maikaday ko jaaoon, tujhay dekhnay kay baad !


Nazron may taab-e-deed hi baaki nahi rahi,
Kis say nazar milaoon, tujhay dekhnay kay baad !



Kaisay sakoon paoon tujhay dekhnay kay baad,
Ab kya ghazal sunaoon tujhay dekhnay kay baad ! 


************************

Yeh bhi kya ehsaan kam hain dekhiyey na aapka

Yeh bhi kya ehsaan kam hain dekhiyey na aapka,
Ho raha hai har taraf charcha hamara aapka !



Chaand mein to daag hain par aap mein woh bhi nahin,
Chaudvi kay chaand say bad kay hai chehra aapka !


Ishq mein aaisay bhi hum doobay huey hain aapkay,
Apnay chehray pay sada hota hain dokha aapka !



Chaand sooraj dhoop subah kehkashan taaray shama,
Har ujaalay nay churaaya hain ujaala aapka !



Yeh bhi kya ehsaan kam hain dekhiyey na aapka,
Ho raha hain har taraf charcha hamara aapka ! 
 

***********************************

Mil bhi jaatay hain to katra kay nikal jaatay hain


Mil bhi jaatay hain to katra kay nikal jaatay hain,
Hai mausam ki tarah dost badal jaatay hain !



Hum abhi tak hain giraftaar-e-mohabbat yaaro,
Thokrain kha kay suna tha ki sambhal jaatay hain !



Woh kabhi apni jafa par na hua sharminda,
Hum samajtay rahey pathar bhi pigal jaatay hain !



Umar bhar jinki wafaon pay bharosa keejay,
Waqt padnay pay wahi log badal jaatay hain !



Mil bhi jaatay hain to katra kay nikal jaatay hain,
Hai mausam ki tarah dost badal jaatay hain ! 


***********************************

Chaand say phool say ya meri zuban say suneyay


Chaand say phool say ya meri zuban say suneyay,
Har taraf aapka kissa hai jahan say suniyey !



Sab ko aata nahin duniya ko saja kar jeena,
Zindagi kya hai mohabbat ki zuban say suniyey !



Meri aawaaz parda hai meray chehray ka,
Main hoon khamosh jahan mujko wahan say suniyey !



Kya zaroori hai ki har parda uthaya jayey,
Meray haalaat bhi apnay makaan say suniyey !



Chaand say phool say ya meri zuban say suneyay,
Har taraf aapka kissa hai jahan say suniyey ! 


**********************

Itna to hua ae dil, ik shakhs kay jaanay say


Itna to hua ae dil, ik shakhs kay jaanay say,
Bichday huey miltay hain, kuch dost puranay say !


Ek aag hai jungle ki, rusvai ka charcha hai,
Dushman bhi chalay aayey, milnay kay bhanay say !



Ab mera safar tanha, ab uski juda manzil,
Poocho na pata uska, tum meray thikanay say !



Roshan huey viraanay, khush ho gayee duniya bhi,
Kuch hum bhi sakoon say hain, ghar apna jalanay say !



Rusvai to vaisay bhi taqdeer hai aashiq ki,
Zillat bhi milee humko, ulfat kay fasanay say !



Itna to hua ae dil, ik shakhs kay jaanay say,
Bichday huey miltay hain, kuch dost puranay say ! 


***************************

Teri taareef kartay hain to ismay kya burayee hai


Teri taareef kartay hain to ismay kya burayee hai,
Khuda nay apnay haathon say teri soorat banayee hai !



Hazaron ki tarah sun lay teri rusvaee kay dar say,
Teri tasveer humnay kitabon mein chupayee hai !



Teri masoom surat ki yahi taareef hai sun ley,
Zaban pay hai yahi sabkay khudai hai khudai hai !



Marz yeh ishq ka aisa laga ki phir nahin choota,
Dua bhi humnay ki `Rahi' dava bhi aazmayee hai !



Teri taareef kartay hain to ismay kya burayee hai,
Khuda nay apnay haathon say teri soorat banayee hai !
**************************

Hajoomay gham may meray saath chal sako to chalo


Hajoomay gham may meray saath chal sako to chalo,
Kadam kadam pay hai mushkil sambhal sako to chalo !



Hamaray beech hain rasom-rivaj ki deewaar,
Tum usko tod kay aagay nikal sako to chalo !



Yeh rah-e-ishq nahin aag ka samundar hai,
Lapakti mauj mein ghar tum sambhal sako to chalo !



Tumhari kashti-e-ulfat hai gham kay toofan mein,
Meri tarah rukh-e-toofan badal sako to chalo !



Hajoomay gham may meray saath chal sako to chalo,
Kadam kadam pay hai mushkil sambhal sako to chalo !
***********************

Hum hi mein thee na koi baat


Hum hi mein thee na koi baat, yaad hi na tumko aa sakey,
Tumnay hamein bhula diya, hum na tumhay bhula sakey !



Tum hi na sun sakey agar, kisa-e-gham sunayga kaun,
Kis ki zubaan khulagi phir, hum na agar suna sakey !



Shauk-e-visaal hain yahan, lab pay sawaal hain yahan,
Kis ki majaal hain yahan, hum say nazar mila sakay !



Hum hi mein thee na koi baat, yaad hi na tumko aa sakey,
Tumnay hamein bhula diya, hum na tumhay bhula sakey !

*********************

Apnay haathon say yun chehray ko chupatay kyon ho


Apnay haathon say yun chehray ko chupatay kyon ho,
Mujh say sharmatay ho to saamnay aatay kyon ho !



Tum kabhi meri tarah kar bhi lo ikraar-e-wafa,
Pyaar kartay ho to phir pyaar chupatay kyon ho !



Ashq aankho mein meri dekh kay rotay kyon ho,
Dil bhar aaata hain to phir dil ko dukhatay kyon ho !



In say vaabasta hai jab mera muqaddar phir tum,
Meray shano say yeh zulf hatatay kyon ho !



Roz mar mar kay mujhay jeenay ko kehtay kyon ho,
Milnay aaatay ho to phir laut kay jaatay kyon ho !



Apnay haathon say yun chehray ko chupatay kyon ho,
Mujh say sharmatay ho to saamnay aatay kyon ho !

Thandi hawa kay jhonkay chaltay hain halkay halkay


Thandi hawa kay jhonkay chaltay hain halkay halkay,
Aisay mey dil na todo vaaday karo na kal kay !



Chaltay hain woh bhi humsy tevar badal badal kay,
Jinko sikhaya humnay chalna sambhal sambhal kay !



Saqi nay aaj mujko aaisee nazar say dekha,
Mausam hua gulabi rangeen jaam chalkay !



Bistar ki silvato say yeh mahsoos ho raha hai,
Toda hai dam kisi nay karvat badal badal kay !



Thandi hawa kay jhonkay chaltay hain halkay halkay,
Aisay mey dil na todo vaaday karo na kal kay !

Humko kiskay gham nay maara, woh kahaani phir sahi

Humko kiskay gham nay maara, woh kahaani phir sahi,
Kisnay toda dil hamara, woh kahaani phir sahi !



Dil kay lutnay ka sabab poocho na sabkay saamnay,
Naam aayega tumhara, woh kahaani phir sahi !



Nafraton kay teer kha kar doston kay shehar mein,
Humnay kis kis ko pukara, woh kahaani phir sahi !



Kya batayein pyaar ki baazi wafa ki rah mein,
Kaun jeeta kaun haara, woh kahaani phir sahi !



Humko kiskay gham nay maara, woh kahaani phir sahi,
Kisnay toda dil hamara, woh kahaani phir sahi !

******************************

Hamay koi gham nahin tha, gham-e-aashqi say pehlay


Hamay koi gham nahin tha, gham-e-aashqi say pehlay,
Na thi dushmani kisi say, teri dosti say pehlay !



Hai yeh meri badnaseebi tera kya kasoor ismay,
Teray gham nay maar daala mujhay zindagi say pehlay !



Mera pyaar jal raha hai aray chaand aaj chup jaa,
Kabhi pyaar tha hamay bhi teri chaandni say pehlay !



Main kabhi na muskarata jo mujhay yeh ilm hota,
Ki hazaron gham milengay mujhay ik khushi say pehlay !



Yeh ajeeb imtehaan hai ki tumhi ko boolna hai,
Milay kab they is tarah hum tumhay bedilli say pehlay !



Hamay koi gham nahin tha, gham-e-aashqi say pehlay,
Na thi dushmani kisi say, teri dosti say pehlay !



~*~*~*~*~*~*~*~*~*~ *~*

Tumharay shehar ka mausam bada suhana lagey


Tumharay shehar ka mausam bada suhana lagey,
Main ek shaam chura loon agar bhura na lagey !



Jo doobna hai to itnay sakoon say doobo,
Ki aas paas ki lehron ko bhi pata na lagey !



Tumharay bas mein agar ho to bhool jao hamain,
Tumhay bhulaanay mein shayaad hamain zamaana lagey !



Hamaray pyaar say jalnay lagi hai ik duniya,
Dua karo kisi dushman ki bad-dua na lagey !



Tumharay shehar ka mausam bada suhana lagey,
Main ek shaam chura loon agar bhura na lagey !

lagta nahiN haiN dil mera ujhre dayyar meiN


lagta nahiN haiN dil mera ujhre dayyar meiN
kiski bani hai aalam-e-napaaydar meiN



keh do inn hasratoN se kahiN aur ja baseN
itni jagah kahaN haiN dil-e-daagdar meiN



umr-e-daraaz maang kar laaye the chaar din
do aarzu main kat gaye do intezaar mein



kitna haiN badnaseeb 'faysal', dafn ke liye
do gaz zameen bhi na mili koo-e-yaar main






~*~*~*~*~*~*~*~*~*~ *~*

Ya to mit jaiye ya mita deejiye


Ya to mit jaiye ya mita deejiye,
Keejiyee jab bhi sauda, khara keejiye !



Ab jafa keejiye ya wafa keejiye,
Aakhri waqt hai bas dua keejiye !



Apnay chehray say zulfain hata deejiye,
Aur phir chaand ka saamna keejiye !



Har taraf phool hi phool khil jayengay,
Aap aisay hi hastay raha keejiye !



Aap ki yeh hansi jaisay gungroo bhajay,
Aur qayamat hai kya yeh bata deejiye !



Ya to mit jaiye ya mita deejiye,
Keejiyee jab bhi sauda, khara keejiye !

Kuchh na kuchh to zaroor hona hai

Kuchh na kuchh to zaroor hona hai,
Saamna aaj unsay hona hai !



Todo fainko rakho karo kuch bhi,
Dil hamara hai kya khilona hai !



Zindagi aur maut ka matlab,
Tumko paana hai tumko khona hai !



Itna darna bhi kya hai duniya say,
Jo bhi hona hai woh to hona hai !



Uth kay mehfil say mat chalay jaana,
Tumsay roshan yeh kona kona hai !



Kuchh na kuchh to zaroor hona hai,
Saamna aaj unsay hona hai !



~*~*~*~*~*~*~*~*~*~ *~*

Kabhi aansoo kabhi khushi baychee


Kabhi aansoo kabhi khushi baychee,
Hum gareebon nay bekasi baychee !


Chand saansay khareednay kay liyey,
Roz thodi see zindagi baychee !



Jab rulanay lagey mujhay sayey,
Mainay ukta kay roshni baychee !



Ek hum they ki bik gayey khud hi,
Varna duniya nay dosti baychee !



Kabhi aansoo kabhi khushi baychee,
Hum gareebon nay bekasi baychee !
***********************************

hum haiN mataa'-e-koochah-o-baazaar kee terah


hum haiN mataa'-e-koochah-o-baazaar kee terah
uThtee hai har nigaah Khareedaar kee terah



iss koo-e-tiSHnagee meiN bohat hai ke aik jaam
haath aa gaya hai dolat-e-baidaar kee terah



* wo to haiN kaheeN aur magar dil ke aas paas
phirtee hai koi SHae nigah-e-yaar kee terah



seedhee hai raah-e-shoq pe yooNhee kabhee kabhee
Kham ho gaee hai gaisoo-e-dildaar kee terah


ab jaa ke kuch khulaa hunar-e-naakhun-e-junooN
zaKhm-e-jigar hooay lab-o-ruKhsaar kee terah



* 'majrooh' likh rahay haiN wo ahl-e-wafa kaa naam faysal
hum bhee khaRay hooay haiN gunah-gaar kee terah




~*~*~*~*~*~*~*~*~*~ *~*

dair lagi aaney meiN tum ko


dair lagi aaney meiN tum ko, shukr hai phir bhi aaye to
aas ne dil kaa saath na choda, waisey hum ghabraay to



shafaq, dhanak, mahtaab, ghataaiN, taaraiN, naghmay, bijlee, phool
uss daaman meiN kya kya kuch haiN, wo daaman haath meiN aaye to





chaahat ke badley meiN hum ne baich dee apni marzee tak
koiee miley to dil kaa gaahak, koi hameN apnaay to



suni sunaaee baat naheeN ye apney ooper beetee haiN
phool nikaltay haiN, sho'loN se, chaahat aag lagaay to



naadaanee aur mujbooree meiN yaaro kuch to faraq karo
ik bay-bus insaan karay kya toot ke dil aa jaay to


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~ *~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~ *~*

Huzoor aapka bhi, ahtraam karta chaloon


Huzoor aapka bhi, ahtraam karta chaloon,
Idhar say guzra tha saucha, salaam karta chaloon !



Nikha-o-dil ki, yahi aakhri tamanna hai,
Tumhari zulf kay, saayey mein shaam karta chaloon !



Unhay yeh zid ki, mujhay dekh kar kisi ko na dekh,
Mera yeh shauk ke, sabsay qalaam karta chaloon !



Yeh meray khabon ki, duniya nahin sahi lekin,
Ab aa gaya hoon, to do din qyaam karta chaloon !

Kya khabar thi is tarah say woh juda ho jayega


Kya khabar thi is tarah say woh juda ho jayega,
Khawab mein bhi uska milna haadsa ho jayega !



Zindagi ki qaid-e-gham say kya nikalogay usay,
Maut jab aa jaayegi to khud riha ho jayega !



Dost bankar usko chaha yeh kabhi socha na tha,
Dosti hi dosti mein woh khuda ho jayega !



Uska parda hoga kya jiska ki parda noor hai,
Jo bhi usko dekh lega woh fida ho jayega !



Kya khabar thi is tarah say woh juda ho jayega,
Khawab mein bhi uska milna haadsa ho jayega !

Manzil na dey charagh na dey, haunsla to dey


Manzil na dey charagh na dey, haunsla to dey,
Tinkay kaa hi sahi, tu magar aasra to dey !



Mainay yeh kab kaha ki meray haq mein ho jawaab,
Lekin khamosh kyon hain tu, koi faisla to dey !
Manzil na dey charagh.......................



Barson main teray naam pay khaata raha pheraib,
Meray khuda kahan hain tu, apna pata to dey !
Manzil na dey charagh.......................



Beshaq meray naseeb pay rakh apna ikhteyaar,
Lekin meray naseeb mein, kya hai bata to dey !
Manzil na dey charagh.......................



Manzil na dey charagh na dey, haunsla to dey,
Tinkay kaa hi sahi, tu magar aasra to dey !

Zindagi toonay lahoo leykay diya kuch bhi nahin


Zindagi toonay lahoo leykay diya kuch bhi nahin,
Teray daaman mein meray vaastay kya kuch bhi nahin !



Meray in haathon ki chaho to talashi ley lo,
Meray in haathon mein lakiron kay siva kuch bhi nahin !



Humnay dekha hai kayee aisay khudaon ko yahan,
Saamnay jinkay woh sachmuch ka khuda kuch bhi nahin !



Ya khuda ab kay yeh kis rang mein aayee hai bahaar,
Zard hi zard hain pedon pay hara kuch bhi nahin !



Dil bhi ik zid pay ada hai kisi bachay ki tarah,
Ya to sab kuch hi isay chahiyey ya kuch bhi nahin !



Zindagi toonay lahoo leykay diya kuch bhi nahin,
Teray daaman mein meray vaastay kya kuch bhi nahin !

paseene paseene huey jaa rahe ho

paseene paseene huey jaa rahe ho
yeh bolo kahaN se chale aa rahe ho



hameN sabr karne ko keh tho rahe ho
magar dek lo, khud hi ghabra rahe ho



yeh kiski boori tumko nazar lag gayee haiN
baharoN ke mausam meiN murjha rahe ho



yeh aaina haiN yeh tho sach hi kahega
kyoN apni haqeeqat se katraa rahe ho

Tum nahin gham nahin sharaab nahin


Tum nahin gham nahin sharaab nahin,
Aisee tanhayee ka jawaab nahin !



Gahey gahey isey pada kijey,
Dil say behtar koi kitaab nahin !



Jaaney kis kis ki maut aayee hai,
Aaj rukh pay koi naqaab nahin !



Woh karam ungaliyon pay gintay hain,
Zulm ka jinkay kuch hisaab nahin !



Tum nahin gham nahin sharaab nahin,
Aisee tanhayee ka jawaab nahin ! 

***************************************

Aankh say aankh mila baat banaata kyon hain


Aankh say aankh mila baat banaata kyon hain,
Tu agar mujhsay khafa hai to chupaata kyon hain !



Gair lagta hai na apno ki tarah milta hain,
Tu zamanay ki tarah mujko sataata kyon hain !



Waqt kay saath khayalaat badal jaatay hain,
Yeh haqeeqat hai magar mujko sunaata kyon hain !



Ek muddat say jahan kafilay guzray hi nahin,
Aisee rahon pay charagon ko jalaata kyon hain !



Aankh say aankh mila baat banaata kyon hai,
Tu agar mujhsay khafa hai to chupaata kyon hai !

Wo jo hum mein tum main qarar tha tumhain yaad ho ke na yaad ho


Wo jo hum mein tum main qarar tha tumhain yaad ho ke na yaad ho
Wohi wada yani nibah ka tumhain yaad ho ke na yaad ho

Wo jo lutf mujh pay thay paish-tar wo karam ke tha mairay haal par
Mujhay sab hai yaad zara zara tumhain yaad ho ke na yaad ho

Kabhi baithay sab main jo ru-baru to isharoon hi say guftagoo
Wo bayan shauq ka barmala tumhain yaad ho ke na yaad ho

Wo naiy gilay wo shikayatain wo mazay mazay ki hikayatain
Wo har ik baat pay roothna tumhain yaad ho ke na yaad ho

Kabhi hum main tum main bhi chah thi kabhi hum se tum ko bhi raah thi
Kabhi hum bhi tum bhi thay aashna tumhain yaad ho ke na yaad ho

Wo bigarna wasal ki raat ka wo na man’na kisi bhi baat ka
Wo nahi nahi ki har aan ada tumhain yaad ho ke na yaad ho

So zikar hai kai saal ka kia ik aap nay wada tha
So nibhanay ka to zikar kia tumhain yaad ho ke na yaad ho

Jisay aap gintay thay aashna jisay aap kehtay thay bawafa
Main wohi hoon Momin mubtala tumhain yaad ho ke na yaad ho!!

Main Nazar Se Pi Raha Hoon Ye Samaan Badal Na Jaye

Main Nazar Se Pi Raha Hoon Ye Samaan Badal Na Jaye
Na Jhukao Tum Nigahain Kahin Raat Dhal Na Jaye,

Abhi Raat Kuchh Hai Baaqi Na Utha Naqab" Saqi
Tera Rind Girty Girty" Kahin Phir Sanbhal Na Jaye,

Meri Zindgi K Maalik Mere Dil Pe Haath Rakhna
Tere Aany Ki Khushii Mein Mera Dam Nikal Na Jaye,

Mere Ashk Bhi Hain Is Mein Ye Sharaab Ubal Na Jaye
Mera Jaam Chhoony Vaaly Tera Hath Jal Na Jaye,

Main Bana To Loon Nasheman Kisi Shakh-e-Gulsitan Pe
Kahin Saath Aashiyan K Ye Chaman Bhi Jal Na Jaye,

Mujhe Phoonkny Se Pehle Mera Dil Nikaal Lena
Ye Kisi Ki Hai Amanat Mere Saath Jal Na Jaye !

tasqeen-e-dil mahzooN na hui


tasqeen-e-dil mahzooN na hui, vo sai-e-qaram farma bhi gaye
is sai-e-qaram ko kya kahiye, bahla bhi gaye tarpa bhi gaye





ik arz-e-wafa bhi kar na sake, kucch keh na sake, kucch sun na sake
yahan hamne jabaN hi khole thi, vahan aankh jhuki sharma bhi gaye



aashuftage-e-vahshat ki qasam, hairat ki qasam, hasrat ki asam
ab aap kahen kucch ya na kahen, hum raaz-e-tabassum pa bhi gaye



roodad-e-gham-e-ulfat unse hum kya kahte, kyon kar kahte
ik harf na nikla hothoN se aur aaNkh maiN aansoN aa bhi gaye

Jawan hain raat sakiya, sharaab la sharaab la

Jawan hain raat sakiya, sharaab la sharaab la,
Zara si pyaas to bhuja, sharaab la sharaab la !



Teray shabab par sada karam rahey bahaar ka,
Tujhay lagay meri dua, sharaab la sharaab la !



Yahan koi na jee saka, na jee sakega hosh mein,
Mita dey naam hosh ka, sharaab la sharaab la !



Tera bada hi shukriya pilayey ja pilayey ja,
Na zikr kar hisaab ka, sharaab la sharaab la !




*************************************************

Aaftab Wohi Per Roshni Nai


Aaftab Wohi Per Roshni Nai
Alfaaz Wohi Per Mayni Nai
Shamma Wohi Per Mehfil Nai
Parwana Wohi Per Aashqui Nai

Mohabbat Wohi Per Jazbat Naye
Baat Wohi Per Waade Naye
Himmat Wohi Per Iraade Naye
Gulshan Wohi Per Phool Naye

Dost Wohi Per Dosti Nai
Phool Wohi Per Khushboo Nai
Khawab Wohi Per Tabeer Nai
Shakal Wohi Per Tasveer Nai

Karwan Wohi Per Rahi Naye
Baraat Wohi Per Barati Naye
Chand Wohi Per Chandni Nai
Eid Wohi Per Khushiyan Nai

Sonch Wohi Per Sawal Naye
Zindagi Wohi Per Saal Naye
Pyar Wohi Per Ahsaas Naye
Kwahish Wohi Per Khayal Naye

Khailnay kay vaastay, ab dil kisi ka chahiyey

Khailnay kay vaastay, ab dil kisi ka chahiyey
Umar aisee hai, ki tumko ik khilona chahiyey !



Mujko kahiyey, haath mein mehndi lagana hai agar,
Khoon-e-dil doon ya, ki phir khoon-e-tamana chahiyey !



Bazm mein aao kisi din, kar kay tum solahan singaar,
Ik qayamat waqt say pehlay bhi aaana chahiyey !



Tum kaho to mar bhi jaoon main, magar ik sharat hain,
Bas kafan kay vaastay aanchal tumhara chahiyey !



Kal talak tha dil zaroori rah-e-ulfat mein '',
Aaj kay is daur mein chandi-o-sona chahiyey !

Kya kaam surahi say paimano say kya lena


Kya kaam surahi say paimano say kya lena,
Woh aankh salamat hai maikhano say kya lena !



Mujko to teray dar par sar apna jukaana hai,
Masjid say garaz kya hai but khano say kya lena !



Marzi hai patango ki aayey ki nahin aayey,
Shama ko to jalna hai, parwaano say kya lena !



Miltay hi nazar unsay armaan machaltay hain,
Par unko meray dil kay armaano say kya lena !



Deewana `' usnay khud humko banaya hai,
Ab khud hi woh kehta hai deewaano say kya lena !



Kya kaam surahi say paimano say kya lena,
Woh aankh salamat hai maikhano say kya lena !

**************************************************************

Kuch aur to khuda say nahin chahtay hain hum,


Kuch aur to khuda say nahin chahtay hain hum,
Tum say juda na ho yeh dua maangtay hain hum !



Is mein bala jahan say darnay ki baat kya,
Hum har jagah kahengay tumhay chahtay hain hum !



Lagta hai yeh ki jheel ki gharayee kuch nahin,
Unki haseen aankh mein jab jaanktay hain hum !



Maangay agar woh jaan bhi haazir hai doston,
Unki koi bhi baat kahan taaltay hain hum !



Vaada hai unka raat mein aanay ka ae `'
Har raat is khayaal say ab jaagtay hain hum !



Kuch aur to khuda say nahin chahtay hain hum,
Tum say juda na ho yeh dua maangtay hain hum !
***********************************************

Mera dil bhi shauk say todo, ek tajurba aur sahi


Mera dil bhi shauk say todo, ek tajurba aur sahi,
Lakh khilonay tod chukay ho, ek khilona aur sahi !



Raat hai gham ki aaj bhuja do jalta hua har ek chirag,
Dil mein andhera ho hi chuka hai, ghar mein andhera aur sahi !



Dam hai niklta ik aashiq ka, beeed hai aa kar dekh to lo,
Lakh tamashay dekhay hongay, ek nazaara aur sahi !



Khanjar ley kar saunchtay kya ho, qatl `' bhi kar daalo,
Daag hain sau daaman pay tumharay, ek izaafa aur sahi !

Sochte The Kabhi To Karenge Izhar-E-Mohabbat


Sochte The Kabhi To Karenge Izhar-E-Mohabbat
Magar Afsos! Yehi Khayal Unka Bhi Tha

Ham Tadapte Rahe Unki Pyaarbhari Ek Nazar ko
Haye Kismat! Yehi Haal Unka Bhi Tha

Jab Aaye The Wo, Meri Doli Ko Uthane
Aankho Me Malal Unka Bhi Tha

Intazar Kar Rahi Thi Jab Hamari Ruh Unka
Kya Pata Tha Ye Intazar Unka Bhi Tha

Jab Mile Aamne Samne Janaze Hamare
Aaj Chehra Khushal Unka Bhi Tha

Jo Na Puchh Paye The zindagibar Unhe Ham
Aaj Wohi Sawal Unka Bhi Tha

Zulm Ke Andere Mitane Ki Koshish Karta Hon


Zulm Ke Andere Mitane Ki Koshish Karta Hon
Unko Roz Bhulane Ki Koshish Karta Hon

Din Bhar Unki Yaddon Mein Tadapte Hue
Suraj Na Dhalne Ki Dwa Karta Hon

Kaise Kisi Ko Ye Paigaam Pahonchaoon
Ke Aaj Bhi Unke Deedar Ka Intezzar Karta Hon

Ye Kaisi Mahobbat Hai Meri Ye Kaise Junoon Hai
Unki Bewafa-E-Ko Yaad Karke Muskuraya Karta Hon

Ye Unki Qata Thi Ye Meri Kismath Ka Tagaza Hai
Har Pal Apne Aap Se Yehi Sawal Karta Hon

Tera Koi Intezaar Kare Ya Na Kare “faysal”
Per Mere Kaam Yehi Hai Ke Main Unka Intezaar Karta Hon

Neend say aankh khuli hai, abhi dekha kya hai


Neend say aankh khuli hai, abhi dekha kya hai,
Dekh lena abhi kuch der mein, duniya kya hai !



Baandh rakha kisee saunch nay ghar say humko,
warna apna dar-o-deewar say rishta kya hai !



Ret ki eent ki pathar ki ho ya miti ki,
Kisi deewar kay sayey ka barosa kya hai !



Apni daanist may samjhay koi duniya,
Varna hathon mein lakiron kay ilaava kya hai !



Neend say aankh khuli hai, abhi dekha kya hai,
Dekh lena abhi kuch der mein, duniya kya hai !

gham ka khazana tera bhi hai mera bhi


gham ka khazana tera bhi hai mera bhi
yeh nazrana tera bhi hai mera bhi



apne gham ko geet bana kar gaa lena
raag purana tera bhi hai mera bhi



tu mujhko aur main tujhko samjhaoon kya
dil deewana tera bhi hai mera bhi



shehar mein galiyon galiyon jiska charcha hai
woh afsana tera bhi hai mera bhi



maikhane ki baat na kar mujhse faysal
aana jaana tera bhi hai mera bhi

Jahan jahan mujhay sehra dikhayee deta hai



Jahan jahan mujhay sehra dikhayee deta hai,
Meri tarah say akela dikhayee deta hai !



Yeh ek abr ka tukda kahan kahan barsay,
Tamam dasht hi pyasa dikhayee deta hai !



Yeh kis muqaam pay layee hai justjoo teri,
Jahan say arsh bhi nicha dikhayee deta hai !



Jahan jahan mujhay sehra dikhayee deta hai,
Meri tarah say akela dikhayee deta hai !

Popular Posts