Monday, March 7, 2011

tum ghamoun ko aangan mein abaad neigh kerna


tum ghamoun ko aangan mein abaad neigh kerna
khushyoun se bahara aangan berbaad neigh kerna

punchie to hawaahoun mein azaad hi orta hai
penjaray ke band punchie azaad neigh kerna

beakar umeedoun per beakar se waadoun per
tum zindagi youn apni berbaad neigh kerna

jab beachaar jaay koi ye loat kay na aay
tab tootay huway dil ko nashaad neigh kerna

duniya ka chalan hai ye dill tor ke hunstie hai
is duniya ke aagay tum feryaad neigh kerna

bisat-e-ishq me muje maat ho jaye gi


bisat-e-ishq me muje maat ho jaye gi...
kise khabr thi k banjr ye zat ho jaye gi...

shayd wo ana me pehchan-nay se inkar ker day...
kabhi jo rah-e-ishq pe mulaqat ho jaye gi...

judai bakhshay gi umer bhar ka adhoura pun...
ya hijr me mukamal meri zat ho jaye gi...

us ka nam tak lene ki ijazat nai ab to...
khayal to yeh tha k kabi kabi bat ho jaye gi...

guman tak na tha is qadar zawal ka aakash...
socha tha k subh hote hi rat ho jaye gi...

Daulat E Dard ko duniya se chupa kar rakho


Daulat E Dard ko duniya se chupa kar rakho
Aankh mein aansu na ho aur dil mein samandar rakho

Meri deewangi pe is qadar hairaan hote ho


Meri deewangi pe is qadar hairaan hote ho
mera nuqsaan to dekho muhabbat gumshuda meri !

Ye faqat showk ki baat thi jo hamne kalam thaam li


Ye faqat showk ki baat thi jo hamne kalam thaam li
warna teri bewafayi ne to hame zinda maar diya tha

Khawahishat saaye ke tarhan insan k badan say lipte rehti hain



Khawahishat saaye ke tarhan insan k badan say lipte rehti hain..

Kabhi humara hath thaam kay hum ko liyeah phirtee hain..

Tu kabhi humara ta'aqub kartee hain..

Kabhi barhti hain tu hadoon say barh jaati hain...

Aur kabhi ghat'tee hain tu kadmoon mein khoo jati hain...

Gharz jab tuk mayoosi ke sayahee har cheez ko nigaal na lay..

Yeah kissi joonk jaisay jism say liptee rehti hain...

Hum chahain bhi tu in say azaadi paa nahi saktay...

Kissi ghulaam jaisay hum is ataat kartay hain...

Yeah kissi mujhay shahsawar jaisay...

Peeth pay baithay humain sar patt dorati phirti hain..

Kabhi moun kay bal girtay hain...

Kabhi badan lahoo lahaan hota hai...

Kabhi rahain manziloon say pehlay kho jati hain..

Tu Kabhi manzilain gard e rah ban jati hain..

Safar magar yeah kab tamaam hoota hai..

Dil Ki Ab Koi Arzoo Hi Nahin


Dil Ki Ab Koi Arzoo Hi Nahin
Ek teri Chahat Palayne Ke Siwa.

Jeene Ka Ab Koi Maqsad Hi Nahin,
Sung Tere Umer Bitanay ke siwa.

Dil Ki Ab Koi Hasrat Hi Nahin,
Ek Teri Jogan Ban Janay Ke Siwa.

Ankhon Mein Ab Koi Sapna Hi Nahin,
Ek Teri Dulhan Ban Janay Ke Siwa.

Mohabbat ki basti main gunah gar thehrey


Mohabbat ki basti main gunah gar thehrey
Sumbhal kar chulay per khata kar thehrey

Va-e-rey kismat ajab khel khela tu nay
Chuptey phirey per ashkaar thehrey

Khultey nahi logh mudaaton baad bhi
Khuli kitaab thay per be-aitebar thehrey

motiyoon kay khuzanay bharey ankhoon main
Nigahon main zamany ki per be-kaar thehrey

Hum hi masoom they kay pehchanay na sazishoon
Ya phir apnoon ki bheer main hi ayaar thehrey!!!

Kuch Dard Liye Iss Duniyaa Main Rehta Parhtha Hay


Kuch Dard Liye Iss Duniyaa Main Rehta Parhtha Hay
Roz Jeena Parhtha Hay Roz Marnaa Parhthaa Hay

Aagahi Kay Azaab Kay Saath Guzarti Hay Zindagi To
Iss Karb-e-Musalsal ko Hamesha Sehna Parhtha Hay

Agarchey Nafs Ki Ghulaami Say Azaad Hobhi Jaye Bashar
Phir Bhi Zarooraton Kay Jehad Ko Larna Parhtha Hay

Bohat Unwaanon Say Ibarat Hotey Hain Iss Jahan Kay Gham
Har Chand Kay Khushi Kay Nisaab Ko Bhi Parhna Parhtha Hay

Iss Umer-e-Raigaan Kay Haadsaat Say Ham Sambhal Hi Gaye
Maslehat Kay Tehat Hi Sahi Yah Kaam Bhi Karna Parhtha Hay

Katthin Aur Dushwaar Raaston Per Chal Kar Milta Hay Wasl
Uskay Liye Hijr Ki PurKhaar raah Say Guzarnaa Parhtha Hay

Saba Taluqaat Jab Banney Lagey Rooh Ka Azaab
Inn Saarey Taluqaat say Phir Mukarna Parhtha Hay

Galat nahi ke zamane main lajawaab hain hum

"Galat nahi ke zamane main lajawaab hain hum
Samajh sake na koi, woh kitaab hai hum"

HER PAL MEHAK AATEY HEY TERi YADOON KI


HER PAL MEHAK AATEY HEY TERi YADOON KI
YOON HI CHALTI HEY DOOR SANSOON KI


SHAHER-E-KHAYAL MEIN HER ROZ MULAQAT HOTI HEY
PHIR BHEE BUJHTEY NAHEYN PIYASS AANKHOON KI


DEYKHOON JO NAIN TERY TO KHAYAL AATA HEY
KITNI MADHAM SI HEY CHAMMAK TAROON KI


KITNEY NEEM JAAN SEY HO GAEY HEYN SHAFA BUSS
IK NAZAR-E-KARAM TERY HUM BEEMAROON KI

Tum kehtay ho to such ho ga


Tum kehtay ho to such ho ga
Aag mein gul khil saktay hongay
mil kar dil kho saktay hongay
kho kar dil mil saktay hongay

Tum kehtay ho to such ho ga
rang-birang  kay saaray panchi
mil jul kar urr saktay hongay
Aan hee Aan mein jeevan sapnay
toot k phir jurr saktay hongay

Tum kehtay ho to such ho ga
Yeh sab kuch ho sakta ho ga
lekin baat ik aur bhee hai
meray ilawa bhee kya koi
tum ko yun such maanay ga?

Sara qasoor mera nahi


Sara qasoor mera nahi
jo abr e mohabat bersa nahi
maiN ne jazboN ko
aanch to di the
tabkheer bhe saari
ho gai the
BoondaiN samaitney meiN
hawa ne dair laga di

teri soch ik titli


teri soch ik titli
jo meray mann kay jungle mein
is tarhaan mandlati hai
jaisay khizan kay mausam mein
koi panchi
kisi saathi ko khoo chuka ho
teri soch
khizaan ka ik umer raseeda patta
jo meray khayal kay jungle mein
sirgadaan hai
kissi gum manzil ke talash mein
teri soch
meray mann ke woh pehli bahar
jis ka mafhoom khushi aur bayhad khushi kay siwa

Tum Hum Se Ye Kehte Ho, Mohabbat NahiN Rahi


Tum Hum Se Ye Kehte Ho, Mohabbat NahiN Rahi
TumheeN Badal Gayey, Ya Woh Ulfat NahiN Rahi..

Har Baat Pe Tanaa Har Andaz MeiN TashheH
KiyoN Saaf NahiN Kehteh Mohabbat NahiN Rahi..

GheroN Pe Karam, ApnoN Pe Sitam Karte Ho
Phir Shaan Se Kehte Ho, Qurbatt NahiN Rahi..

Sehraa MeiN, Tapish Mein, Jab Tum Ne HumeiN Choorraa
Is Husn Ke Baazar MeiN Woh Qeematt NahiN Rahi..

Mana Ke Hum Se Bhi Bohat Ghaltiyan Hoi heN
Shaed Ke Darguzar Ki Tumhein Aadat NahiN Rahi..

Manzar To Wohii HaiN Halaat HaiN Badlay
Shaed Kay Ishq-e-Yaarr Ki Zarrorat NahiN Rahi..!!

mein aksar sochti hoon


"mein aksar sochti hoon
zindagi ka ye kaun sa moor hai
jahan mein ruk si gai hoon
chahoon to hath  barha kar
tumhein chu sakti hoon
sochoon to is rah par
tanha hi hoon
mohabbat ka ye kaun sa rang hai
jis mein ghir gai hoon
dil chahata hai is mein
doob jaoon
dil darta hai
kahin kho na jaoon
khawaboon ki kaisi manzil hai ye
jis ki dehleez par
gham hai to khushi bhi
mein dubti ubharti
janai kis jahan mein hoon"

KIA YA MUMKIN HEY JAB RAAT K PICHLAY PAHER


KIA YA MUMKIN HEY JAB RAAT K PICHLAY PAHER
NEEND AANKHOON SE KOSOON DOOR HOOO
DIL BECHAN HOO ROOOH BESAKOON HOOO
TUMHEIN SOOCHOON
JAB MERI ZINDAGI UDASS HOO
HER PAL MUJHAY AKALAYPAN KA EHSAS HOO
TUMHEIN SOOCHOON
JO MERI ZAAT KO KOI AAS HOO TUMHARI HOOO
MERI ROOH MEIN KOI PYAS HOO TUMHARI HOOO
MERI JUSTAJOO HER AARZOO TUMHARI HOOO
MEIN APNI ZAAT KI TAKMEEL TAK TUMHEIN SOOCHOON
MUJHAY AB TU IKHTIYAR DOO TUMHEIN SOOCHOON

shaam roz aa jati hai meray darwazay par


shaam roz aa jati hai meray darwazay par
meri tanhaye ka tamasha dekhnay kay liye
sooraj roz nikal aata hai
mujhay umeed dikhanay ko
chaand bhi pandra bees dinon tak jhalak dikhata hai
aatay jatay mousam jessay
waswasay or khouf bhi aatay hain
andhera bhi bisaat bhar darata hai
zindagi bhi door khari hunsti hai
kal barish nay bhi darawa diya kabhi na barasnay ka
khizaa;n kay pattay bhi ruswayion say daranay lagay
barf taknay apni sard banhon main panah denay ko kaha
sabhi aaye bari bari
sirf tum nahin aaye

yeh chaahat bhi ajab si hoti hai


yeh chaahat bhi ajab si hoti hai
kuch na hotay huway bhi sab kuch hoti hai


rang birangi kaanch ki chooriyon si hoti hai
pehan lo to shokh khanak
toot jaaye to ik chubhan si hoti hai


phool par thehri shabnam si hoti hai
saja kay ik ik patti
phisalti hui saath chor saa deti hai


fiza mein phaili khusboo si hoti hai
pal bhar ko apni
phir door faasilon mein phaili si hoti hai


badaltay mausam taiz hawaaon si hoti hai
khilay to bahaar jaisay
rukh badlay to khizaan si hoti hai


yeh chaahat bhi ajab si hoti hai
kuch na hotay huway bhi sab kuch hoti hai

Popular Posts