Monday, May 24, 2010

Kehne Ko Mera Usse Koi Waasta Nahi,

Kehne Ko Mera Usse Koi Waasta Nahi, 
AMjad Magar Wo Shakhs Mujhe Bhulta Nahi, 

Darta Hoon Aankh Kholun To Manzar Badal Na Jaye, 
Main Jaag To Raha Hoon Magar Jagta Nahi, 

Aashuftagi Se Uski Use Bewafa Na Jaan, 
Aadat Ki Baat Aur Hai Dil Ka Bura Nahi, 

Tanha Udaas Chaandko SaMjho Na Bekhabar, 
Har Baat Sun Raha Hai Magar Bolta Nahi, 

KhaMosh Ratjagon Ka Dhuaan Tha Chahaar Su, 
Nikla Kab Aaftab Mujhe To Pata Nahi...

Mujhko Shikwa Hia Mere Bhai Ke TuM Jaate Hue

Mujhko Shikwa Hia Mere Bhai Ke TuM Jaate Hue, 
Le Gaye Sath Meri UMr-E-Guzishta Ki Kitaab, 
Is Mein To Meri Bahut KeeMti Tasveerein Thi, 
Is Mein Bachpan Tha Mera, Aur Mera Aihd-E-Shabab, 

Iske Badle Mujhe TuM De Gaye Jaate Jaate, 
Apne GaM Ka Ye DaMakta Hua Khoon Rang Gulaab, 
Kya Karun Bhai, Ye Aizaz Main Kyon Kar Pehnun, 
Mujh Se Le Lo Meri Sab Chaak QaMizon Ka Hisaab, 

Aakhri Baar Hai, Lo Maan Lo Ek Ye Bhi Sawaal, 
Aaj Tak TuMse Main Lauta Nahi Mayoos-E-Jawab, 
Aa Ke Le Jao TuM Apna Ye DaMakta Hua Phool, 
Mujhko Lauta Do Meri UMr-E-Ghazishta Ki Kitaab...

Log Jab Chale Jaate Hai,

Log Jab Chale Jaate Hai, 
Kaun Kehta Hai Yaadein Chhod Jaate Hai, 

Wo To Aadhi Adhuri Baatein Chhod Jaate Hai, 
Kuch Kisse Jo Hum Dohrate Hai, 

Kuch Ankahi Sun Jaate Hai, 
Kuch Ansuni Keh Jaate Hai, 

Pichhe Mud Kar Dekne Ka Wada To Karte Hai, 
Jaane Kab Tak Is Waade Ko Nibha Paate Hai, 

Waqt Ki Chadar Par Chadar Padti Jaati Hai, 
Aur Ek Din Ye Chehra Dhundla Se Jaate Hai...

Ek Ladka Bahut Hi Pagal Deewana Sa



Ek Ladka
Bahut Hi Pagal
Deewana Sa
Apni Hi Duniya Mein Magan Rehta Tha
Jise Koi Tension Na Thi
Par Us
Laobhaali
Nadaan
Pagal
ChaMakti Aankhon Wale Ladkeko
Pyaar Hogaya
Wo Pyar JisMe Mehboob Khuda Nazar Aata Hai
Wo Pyar Jo Galiyon Mein Patthar Khata Hai
Wo Pyar Jo Sooli Pe Chad Jata Hai
Wo Pyaar Jo Dar Se Bedar Kar Jaata Hai
Par In Sab Baaton Se Na Aashna
Ek Hi Dhun Mein
Poristash Karne Laga Wo Apne Pyar Ki
Azeez Tha Mehboob
Parwah Na Ki Dayar Ki
Har Waqt Wo Usse Sochta
Har Waqt Wo Use Poojta
Basa Liya Tha RoM RoM Mein
Pagal Tha
Ye Socha Hi Nahi
Ye Ladkiyan
To Hawa Ka Ek Jhonka Hoti Hai
Wo Jhonka
Jo Ek Pal Mein Guzar Jata Hai
Ye Bhi Hawa Ka Ek Jhonka Hi Thi
Iske Jeewan Mein Bahar Leke Aayi
Bahar Mein To Bahut ChaMak Thi, Bahut Mehek Thi
Khushiyon Ke Gunchon Pe UMMidon Ke Phool Khilaye Usne
Khwaab Dekhe Aur Khwaab Dikhalye Usne
Har Taraf Chehek Thi Mehek Thi
Is Pagal Ladke Ko Ye Khushiyan Raas Na Aayi
Jab Uske Gulshanki Bahar Ne Mann Mod Liya Usse
Uske Gulshanko Bikher Diya Usne
Saare Khwabone UMMidon Ne Sath **** Diya Uska
Uske Gulshan Mein Ab Khizaan Thi
Kuch Sukhe Patteh Aur Bikhre Phool The
JinM Ein Mehek Talash Karne Laga
Udaas Shakhein Aur Besaya Darakht
Jinke Niche Wo Saya Dhund Raha Tha
Kuch Na Mial Use
Jo Khushiyon Ke Geet Aur Pyar Ki Yaadein Uske Paas Thi
Sab Chhin Gayi Usse
Kuch Bhi To Na Raha Uske Paas
Ab Wo Ladka
Aadhi Raatko Uthta Hai Aur Rota Hai
Har Ek Ajnabi Se
Bas Ek Hi Sawal Puchhta Hai Wo
Uska Kasoor Kya Yehi Tha Ke Usne
Us Pagal Ladke Ne
Ek Devi Ko Bahut Chaha Hai
Khuda Ki Tarah Pooja Hai
Uski Khushi
Uski Hansi
Is Pagal Ki Duniya Thi
Par Sab Bikhar Gaya
Ab Us Phool Se
Pagal Ladke Ka
Hansta Muskurata Chehra
Aise Ho Gaya Hai Jaise
Kisine Phool Se Khushbu Chura Li Ho
Uski Aankhein
Wo ChaMakti Aankhein
Jin Mein Shararat Tapka Karti Thi
Ab Aansu Hai Qarb Hai Udasi Hai
Kuch Toote Hue Khwab Hai
Wo Jo Isne Kisiki Godh Mein Sar Rakhke
Hathon Mein Haath ThaaM Ke
Bade Pyar Se
Bade Maan Ke Sath
Apni Ek Chhoti Si Duniya Sajane Ke Liye
Apni Aankhon Mein Sajaye The
Wo Khwahishein
Jo Kabhi Iske Man Mein Uthi Thi
Ab Hasrat Ban Chuki Hai
Sab Aankhon Ke SaMundar Mein Beh Gaya Hai
Par Phir Bhi
Wo Pagal Ladka
Us Jhonke Ko
Us Hawa Ke Pagal Jhonke Ko
Us Pyari Ladki Ko
Jisse Wo Pyar Karta Tha
Bahut Pyaar Karta Tha
Ab Bhi Yaad Karta Hai
Us Bewafa Ki Tasveer Ko
Seene Se Lagaye Phirta Hai
Uski Mohabbat Adhuri Reh Gayi Hai
Par 
Use Aaj Bhi Wo Pagal Ladka
Usi Pyari Ladki Ka Hai
Uski Chahaton Ko
Uski Mohabbaton Ko
Uski Yaadon Ko
Aaj Bhi Wo Bhool Nahi Paya Hai
Aaj Bhi Wo Usse Utna Hi Pyar Karta Hai
Aaj Bhi Wo Usiki Parastish Karta Hai
Aaj Bhi Uske Mann Mein Ek Hi Ladki Hai
Aaj Bhi Usi Raah Pe Khada Intezar Karta Hai
Ke Shayad Wo Aa Jaye
Par Wo Ye Janta Bhi Hai
Jise Wo Pyar Karta Hai
Jise Usne Dhadkan Banaya Hai
Wo Ab Laut Ke Nahi Aayegi
Par Wo Phir Bhi Intezar Karta Hai
Wo Phir Bhi Usi Se Sirf Usi Se Pyar Karta Hai
Kyon?
Shayad Isika NaaM Hi To Mohabbat Hai
Haan Shayad Isika NaaM Hi To Mohabbat Hai...

Badalte MausaM Badal Rahe hain

Badalte MausaM Badal Rahe hain, 
Hazar Raste Nikal Rahe Hai, 
TuMhari Dastak Ki Muntazir Hoon,
TuMhe Sunane Ko Geet Kitne, 
Mere Labon Par Machal Rahe Hai, 
NadeeM Mere
KalaaM Mere KaleeM Mere,
Chale Bhi Aao Thak Gayi Hoon,
Saja Ke Rakhoon Ye Ghar Gharonda
Magar Adhoora Hai Saij Sapna, 
Najane Ye Kaise Ho Raha Hai, 
Wo Door Mujhse Main Door Usse,  
Jo Hai Jahan Bhar Mein Ek Apna
Haseen Mere 
HareeM Mere Makeen Mere
Chale Bhi Aao Thak Gayi Hoon
Har Ek NeMat Ki Ek NeMat
TuMhari Chahat TuMhari Surat
Magar TuMhe Kis Tarah Bataun
Hai Farsh Dil Pe Nazar JaMaye, 
HaMari Chahat HaMari Soorat
Suhag Mere
Haseen Malhar Raag Mere
Chale Bhi Aao Main Thak Gayi Hoon...

Kisi Din Chahte Hai

Kisi Din Chahte Hai, 
Chupke Se HuM Uske Zeene Par
Koi Jalta Diya,
Kuch Phool 
Rakh Aayein,
Ke Apne Bachpane Mein
Wo Andheron Se Bhi Darta Tha, 
Usse Phoolonki Khushbu Sabhi Raghbat Thi, 
Bahut MuMkin Hai Ab Bhi
Shab Ki Tareeki Se Usko Khauf Aata Ho, 
Mehekte Phool Shayad Baais-E-Taskeen Ab Bhi Ho, 
So Is IMkaan Par, 
Ek ShaaM Uske NaaM Karte Hai, 
Chalo Yeh KaaM Karte Hai...

Shaoor-E-Zeest Se Jab HuM KalaM Hote Hai

Shaoor-E-Zeest Se Jab HuM KalaM Hote Hai, 
Fana Ke Bojh Ko HuM Aansuon Se Dhote Hai, 

Khushi Ke Phool Bas Ek Pal Mein Sookh Jaate Hai, 
Chalo Hayat Mein Kuch Talkhiyan Parote Hai, 

HaMari Neend HaMesha Ki Neend Hoti Hai, 
HuM Ahl-E-Dard To Sirf Ek Baar Sote Hai, 

Zara Si Der Mein Mulk-E-AdaM Ke Sannate, 
Riday Waqt Ke Saare Nishan Dhote Hai, 

Wafa Ki Raah Mein Chalta Nahi Hai Saath Koi, 
Kya Rone Wale HaMesha Akele Hote Hai, 

Wo Ja Chuka Hai To Kya GaM Ke Sabko Jana Hai, 
Hasan HuM Isliye DaMan Ko Kyon Bhigote Hai...

GuMnaaM Ko Mujhse Ek Chahat Si Ho Gayi Hai

GuMnaaM Ko Mujhse Ek Chahat Si Ho Gayi Hai, 
Main Udaas Nahi, Udaas Rehne Ki Adat Si Ho Gayi Hai, 

Ye Kaisa Waqt Aaya Hai Ke Subah Bhi So Gayi Hai, 
Qudrat Se Shayad Roshni Hi Kho Gayi Hai, 

Jaane Kyon Wo Mujhse Ajanbi Si Ho Gayi Hai, 
Lagta Hai Aisa Ke Phoolon Se Khushbu Hi Kho Gayi Hai, 

Ye Kaisi Hawa Mere JisM Ko Chhu Gayi Hai, 
Ukhdi Ukhdi Saans Bhi Be-Rubt Ho Gayi Hai, 

Kyon Zindagi Ki Raat Itni Taveel Ho Gayi Hai, 
Mujhse Shayad Pyaar Ki Bhool Ho Gayi Hai, 

Ab To Duniya Bahut Khush Ho Gayi Hai, 
Saans To Chal Rahi Hai Lekin Rooh Saath Chhod Gayi Hai...

Mohabbat Apni Chhupaoge

Mohabbat Apni Chhupaoge, 
To TuM Bahut Pachhtaoge, 
Ek LaMhe Ko Socho To Kya Mere Bin Reh Paoge, 
Jo Mujhko Bhool Sako TuM To Ye Bhi Karke Dekh Lo, 
Mere Bin Khud Ko TuM Adhoora Hi Paoge, 
Zara Ek Dafa Apne Dil Mein Jhank Kar Dekho To, 
Koi Aur Nahi Hai Magar Mujhko Hi Hansta Paoge, 
Khud Ko Masroof Karke Kya Mujhko Bhool Jaoge, 
Ke TuMko Mujhse Pyaar Hai, 
Ke TuMko Mujhse Pyaar Hai...

Kabhi Duniya Se Ghabra Ke, Masaib Se Kabhi Thak Kar

Kabhi Duniya Se Ghabra Ke, Masaib Se Kabhi Thak Kar, 
Bahut Mayoos Si Ho Ke Kabhi Tanha Ho Jaati Hoon, 
Kisiko Sath Na Paa Kar Jo Kabhi Dar Si Jaati Hoon, 
Koi Chupke Se Aa Ke Kaan Mein Mere Ye Kehta Hai, 
"Udaas Mat Ho HaMesha Se Saath Hoon Main TuMhare"
Ye Kaun Hai Jo Mere Sath Sath Rehta Hai!

Ye Sochte Hue Kabhi Ho Main Ulajh Si Jaati Hoon, 
To Apne Aap Se Hi Jhunjhla Ke Puchh Leti Hoon, 
Mujhe Lagta Hai Mujhe Dekhke Wo Muskuraya Hai, 
Main Uski DhiMi Si Muskaan Ko Mehsoos Karti Hoon
Ye Kaun Hai Jo Mere Sath Sath Rehta Hai!

Kabhi Ye Sochti Hoon Wo Meri Sochon Ka Hissa Hai, 
Kabhi Mehsoos Hota Hai Wo Mere Dil Mein Rehta Hai, 
Mere Khwabon Ko Mehkata Meri Aankhon Mein Rehta Hai, 
Mere Sheron Ko Sajata Mere Lafzon Mein Rehta Hai, 
Ye Kaun Hai Jo Mere Sath Sath Rehta Hai!!!

Aaj Phir Barso Baad Mile Ho, Aaj Phir Wapas Jaa Rahe Ho


Aaj Phir Barso Baad Mile Ho, Aaj Phir Wapas Jaa Rahe Ho, 
Aaj Phir TuM Bahut Yaad Aa Rahe Ho, 

Aaj Phir Main Ro Raha Hoon, Aaj Phri TuMko Kho Raha Hoon, 
Aaj Phir TuM Bahut Yaad Aa Rahe Ho, 

Aaj Phri Kuch Dareeche Hai Palte Hai, Aaj Phir Kuch Din Ulte Hai Maine, 
Aaj Phir TuM Bahut Yaad Aa Rahe Ho, 

Aaj Phir Wo ZakhM Purane Yaad Aaye, Aaj Phir Wo Barson Ke Yaarane Yaad Aaye, 
Aaj Phir TuM Bahut Yaad Aa Rahe Ho, 

Aaj Phir Hawa Chal Rahi Hai, Aaj Phir Diye Bujh Rahe Hai, 
Aaj Phir TuM Bahut Yaad Aa Rahe Ho, 

Aaj Phir Saath Tanhayi Hai, Aaj Phir Chaand Raat Aayi Hai, 
Aaj Phir TuM Bahut Yaad Aa Rahe Ho, 

Aaj Phir ShaaM Dhal Gayi Hai, Aaj Phir Raat Machal Gayi Hai, 
Aaj Phir TuM Bahut Yaad Aa Rahe Ho, 

Aaj Phir Ek Hansi Sunayi Deti Hai, Aaj Phir Ek Tasveer Dikhayi Deti Hai, 
Aaj Phir TuM Bahut Yaad Aa Rahe Ho, 

Aaj Phir Aankhein NaM Hai, Aaj Phir In Mein GaM Hai, 
Aaj Phir TuM Bahut Yaad Aa Rahe Ho, 

Aaj Phir Akela Hoon Main, Aaj Phir Tera Hi Hoon Main,
Aaj Phir TuM Bahut Yaad Aa Rahe Ho, 

Aaj Phir LaMbe Tanha Safar Hai, Aaj Phir Maut Hai Mujhko Khabar Hai, 
Aaj Phir TuM Bahut Yaad Aa Rahe Ho, 

Aaj Phir Ek Ehsaas Jaag Raha Hai, Aaj Phir Dil Duniya Se Bhaag Raha Hai, 
Aaj Phir TuM Bahut Yaad Aa Rahe Ho, 

Aaj Phir Main Tujhko Maang Raha Hoon, Baaghi Ho Kar Bhi Bahisht Chah Raha Hoon, 
Aaj Phir TuM Bahut Yaad Aa Rahe Ho...

Kabhi Sab Kuch Keh Kar

Kabhi Sab Kuch Keh Kar, 
Kabhi KhaMosh Reh Kar, 
Kabhi Bahut Door Jaa Kar, 
Kabhi Paas Aa Kar, 
Wo Mujhe Ye Ehsaas Dilata Hai, 
Ke Uski Mohabbaton Ka, Shiddaton Ka Koi ShuMar Nahi, 
Magar Usse Upchho
Bata Kar Hi Ki Jaati Hai?
Kya Mohabbat Jata Kar Bhi Ki Jaati Hai???

Khuda Kare Teri Aankhein Kabhi

Khuda Kare Teri Aankhein Kabhi
Aansuon Ke Zaike Se Aashna Na Ho, 
Khuda Kare Ke Dhoop LaMhon Ki Azyaton Mein,
Meri Duwaon Ka Saya Rahe, 
TuM Jo Zeest Ki Raah Mein Kabhi
Akele Nikal Jao To
Khuda Kare Tujhe Raaste Na Bhatkein,
Khuda Kare Tujhko Manzilein Mil Jayein,
Mere Paas TuMhare Liye, 
Duwaon Ke Kuch Phool Hai, 
Khuda Kare Ke Ye Phool Kabhi Na Murjhayein,
Mere Paas To Bas TuMhare Liye,
Chahaton Ke Jugnu Hai, 
In Jugnuon Ko SaMbhal Kar Rakhna, 
Mere Paas Mohabbat Ki Titli Hai, 
Khuda Kare Ke Ye Titli Tujhe, 
Khushiyon Ke Gulshan Mein Mehkati Rahe, 
TuM Zindagi Mein Har LaMha Muskurate Raho, 
Is Titli Ko SaMbhal Kar Rakhna, 
Zindagi Mein Har LaMha TuM Apna Khayal Rakhna...

Jab Tera HukM Mila Tark Mohabbat Kar Di

Jab Tera HukM Mila Tark Mohabbat Kar Di, 
Dil Magar Is Pe Wo Darka Ke QayaMat Kar Di, 

Tujhse Kis Tarah Main Izhaar-E-TaManna Karta, 
Lafz Soojha To Maani Ne Bagawat Kar Di, 

Main To SaMjha Tha Ke Laut Aate Hai Jaane Wale, 
Tune Jaa Kar To Judayi Meri KisMat Kar Di, 

Mujhko DushMan Ke Iradon Pe Bhi Pyaar Ata Hai, 
Teri Ulfat Ne Mohabbat Meri Aadat Kar Di, 

Puchh Baitha Hoon Main Tujhse Tere Kooche Ka Pata, 
Teri Halat Ne Kaisi Teri Soorat Kar Di...

Ye Shab-E-Firaq Ye Bebasi Hai QadaM QadaM Pe Udaasiyan

Ye Shab-E-Firaq Ye Bebasi Hai QadaM QadaM Pe Udaasiyan, 
Mera Sath Koi Na De Saka Meri Hasratein Hai Dhuwan Dhuwan, 

Main Tadap Tadap Ke Jiya To Kya Mere Khwab Mujhse Bichhad Gaye, 
Main Udaas Ghar Ki Sada Sahi Mujhe De Na Koi Tasalliyan,

Chali Aisi Dard Ki Aandhiyan Mere Dilki Basti Ujad Gayi, 
Ye Jo Raakh Si Hai Bujhi Bujhi Hai Isi Mein Meri Nishaniya, 

Ye Fiza Jo Gard-O-Gubaar Hai Meri Bekasi Ka Mazar Hai, 
Main Wo Phool Hoon Jo Na Khil Saka, Meri Zindagi Mein Wafa Kahan...

Jab Tera HukM Mila Tark Mohabbat Kar Di

Jab Tera HukM Mila Tark Mohabbat Kar Di, 
Dil Magar Is Pe Wo Darka Ke QayaMat Kar Di, 

Tujhse Kis Tarah Main Izhaar-E-TaManna Karta, 
Lafz Soojha To Maani Ne Bagawat Kar Di, 

Main To SaMjha Tha Ke Laut Aate Hai Jaane Wale, 
Tune Jaa Kar To Judayi Meri KisMat Kar Di, 

Mujhko DushMan Ke Iradon Pe Bhi Pyaar Ata Hai, 
Teri Ulfat Ne Mohabbat Meri Aadat Kar Di, 

Puchh Baitha Hoon Main Tujhse Tere Kooche Ka Pata, 
Teri Halat Ne Kaisi Teri Soorat Kar Di...

Tum bhi Khafaa ho, log bhi be-raham hain dosto

Tum bhi Khafaa ho, log bhi be-raham hain dosto
Ab ho chalaa yaqin, ke bure ham hain dosto 


Kisko hamaare haal se nisbat hai kyaa karen
Ankhen tou dushmano ki bhi pu-nam hain dosto 


Apne siva hamaare na hone ka gham kise
Apnii talaash mein to ham hi ham hain dosto 


Kuch aaj shaam hi se hai dil bhi bujhaa bujhaa 
Kuch shahar ke chiraag bhi maddham ha.n dosto 


Is shahar-e-aarzoo se bhi bahar nikal chalo
Ab dil ki raunaqen bhi koi dam hain dosto 


Sab kuch sahi 'Faraz' par itana zaroor hai 
Duniya mein aise log bahut kam hain dosto 

Wo Pari Jo Meelon Door Hai









Wo Pari Jo Meelon Door Hai, 
Jiski Yaad Se Dil Noor Noor Hai, 
Jaanta Hoon Har Surat Wo Gair Hai, 
Phir Bhi Uski Aarzu Zaroor Hai, 

Mila AnjaaM Na Kahani Ko, 
Barbaad Kar Baitha Jawani Ko, 
Seene Se Lagaye Phirta Hoon, 
Yaar Ki Aakhri Nishani Ko, 

Wo Na Hoti To Main Kahan Hota, 
Zarra Hota Na AasMan Hota, 
Wo Duniyadaari Ki Jhagae Hoti, 
Wo Hi Berozgari Ka SaMna Hota, 

Arey Kaash Ke Wo Bewafa Hota, 
Yahan MakaaM Kuch Juda Hota, 
Main Ro Deta Hoon Is Khayal Par, 
Wo Jo Meri Hoti To Kya Hota, 

Uske GaM Mein Khoye Rehte Hai, 
Khuli Aankhon Se Soye Rehte Hai, 
Girte Hai Palkon Se Aansu Aise, 
Ke Apna DaaMan Bhigoye Rehte Hai, 

Jab Kabhi Khudko Tanha Paata Hoon, 
Ek Tasveer Zehen Mein Banata Hoon, 
Karke Band Bhigi Palkon Ko, 
Uski Yaadon Mein Doob Jaata Hoon, 

Kiase Keh Dun Wo Paraya Hai, 
Usi Ne To Jeena Sikhaya Hai, 
Hai Usike NaaMse Ye Shayri, 
Ye KaMal Usi Ne Sikhaya Hai, 

Wo Pari To Meelon Door Hai, 
Haan Uski Aarzoo Zaroor Hai...

Kaha Usne Agar Chaho To Mer Dil Qubool Kar Lo







Kaha Usne Agar Chaho To Mer Dil Qubool Kar Lo, 
Badle Mein Mujhe Bhi Dil Dene Ki TuM Bhool Kar Lo, 

Kaha Maine, Kabhi Dil Lagane Ki Bhool Na Karna, 
Kho Doge Sab Khushiyan, Reh Jayega Bas Bhatakna, 

Kaha Usne, Dildar! Bada Nazuk Hai Dil HaMara, 
Berukhi Se Kahin Tere, Tadapta Reh Jayega Bechara, 

Kaha Maine, Na Ghabrao TuMhara Dil SaMbhalenge, 
SaMbhal Na Paye To Phir Is Ko HuM Uchhalenge, 

Kaha Usne Jo Bhi Karlo Aakhir Dil Hai TuMhara, 
Dil Ke Tukde Ho Kar Bhi NaaM Ye Lega TuMhara, 

Kaha Maine TuMhare Idlke HuM Tukde Na Hone Denge, 
Ho Jaye Tukde To Apne Pyaar Se Use Jod Lenge, 

Kaha Usne, Teri Chah Mein Raaton Ko Jagti Rehti Hoon,
Har Waqt Tere Aane Ki Raah Mein Takti Rehti Hoon,

Kaha Maine Na Tadpo Itna Ke DaM Nikal Jaye, 
Aana Chahun Paas TuMhare Aur Jaan Nikal Jaye, 

Kaha Usne, Bin Tere Ab Mujhse Raha Nahi Jayega, 
TuM Agar Sath Do To Jo Bhi Hoga Dekha Jayega, 

Kaha Maine Tere Jazbaat Ko Dil Mein Qaid Karta Hoon, 
Dil To Kya Chiz Hai SanaM, Jaan Bhi Tere NaaM Karta Hoon...

Teri Aankhon Ke SaMundar Mein

Teri Aankhon Ke SaMundar Mein
Doob Jane Ko Dil Karta Hai, 
Tere Husn Ke PaiMane Ko, 
Chhalkane Ka Mann Karta Hai, 
Tere Pyaar Mein Sabse, 
Lad Jaane Ko Dil Karta Hai, 
Ke Is Zindagi Mein Na Hogi TaManna Puri, 
Teri Khatir Ek Aur JanaM Paane Ko Dil Karta Hai...

Khuda Ka Raaz Hai Kya, Tu Bhi Iska Raazdan Ho Ja

Khuda Ka Raaz Hai Kya, Tu Bhi Iska Raazdan Ho Ja, 
Khuda Baatien Mein Jalwa-NuMa, Tu AasMan Ho Ja, 

Falak To Aankh Ke Til Mein SaMa Jata Hai, Iska Kya, 
Falak Bhi Dekh Na Paaye, Tu Aise Bekaraan Ho Ja, 

Kabhi Sooraj, Kabhi Chanda, Kabhi Taara, Kabhi ShaMMa, 
Sukhan-Yar! Is Jahan Mein Misl-E-Noor-E-Jaavidaan Ho Ja, 

Tujhe Idraak Hi Kab Hai Ke Tujh Mein Hai Nehaan Kya Kuch, 
Jahan Ko Khoj Ho Teri, Jahan Ka Tu Jahan Ho Ja, 

Zara Si Roshni Ek Boond Ke Jauhar Dikhati Hai, 
So Noor-E-Toor Se Tu Roshni Le Kar KaMaan Ho Ja, 

Tu Kab Tanha Hai, Tere Aaiyne Mein Aqs Lakhon Hai, 
Tu Uska Muntazir Na Ho, Sarapa Karvan Ho Ja, 

Na Jane Kyon Tere Dildaar Ki Khwahish Machalti Hai, 
Khuda! Tu Aaj Tak Jalwon Mein Pinhaan Hai, Ayaan Ho Ja...

KhaMoshi KhaMoshi, Har Taraf Ho Gayi


KhaMoshi KhaMoshi, 
Har Taraf Ho Gayi
Badalon Mein Kahin
Chandni Kho Gayi
Aur Aise Mein Hi
Ek Tanha Si Ladki
KhaMoshi Se Ek
NeeM-Taareek KaMre Mein
Chhoti Si Khidki Ki Tooti Hui
Jaaliyon Se SiMatti Hui Aa Lagi
Baadlaon Mein Kahin
Uski Aankhein Lagi
Chand Ko Dhundne
Chand Mil Na Saka
Aankhein Dhundla Gayi
Moti Girne Lage
Aur Bikharne Lage
Koi Chhu Na Saka
Kaun Chunta Bhala
Chand Majboor Tha
Kukch Bahut Door Tha...

TuMko Itna MaluM Hi Hoga ZaMane Ka Chalan

TuMko Itna MaluM Hi Hoga ZaMane Ka Chalan, 
Jane Wale Ko Bhulana, HuM Bhi Sikhenge Ye Fan, 

Qais Ka Qissa Ho Ya Meri Wafa Ki Daastan, 
Ishq Ki Shiddat Wohi Hai, Sheher Ho Chahe Ho Ban, 

Wo Bechara Bhi AMavas Ki Shabon Mein Bujh Gaya, 
Chand Jo Khudko Kaha Karta Tha, "Main Hoon Shab-Shikan",

Zindagi Ke Aakhri AyyaM, Yaadon Ke Azaab, 
Aur Badh Jaati Hai Yaaro UMr-E-Rafta Ki Thakan, 

Ladkiyon Ki Zindagi Mein Hai Hi Kya Iske Siwa, 
Chand Sapne, Chand Dhoke Aur Nazron Ki Chubhan...

HaMare DaM Mein Dard-E-Ishq Wo Taaseer Dalega

HaMare DaM Mein Dard-E-Ishq Wo Taaseer Dalega, 
Ke Tesha Aah Ka Us Sang-E-Dil Ko Cheer Dalega, 

Main Itna NadiM-O-SharMinda-E-Baar-E-Gunah Hounga, 
Khudawand Cheer Mera NaaMa-E-Taqseer Dalega, 

Main KirMak Hoon, Mujhe Aakhir Ko Soo-E-Toor Jaana Hai, 
Andhera Kab Talak Is Paanv Mein Zanjeer Dalega, 

Khuda Ya! Kab Khichegi ZaliMon Ki Paanv Ki Rassi? 
Tu Kab In Gardanon Mein Phanda-E-Ta'zeer Dalega?

Ek Aisi Soz Ki Ye Dil TaManna Karta Rehta Hai, 
Jo ZaMil Ke Sukhan Mein Aatish-E-Dilgeer Dalega...

Gaye MausaM Mein Jo Khilte The Gulabon Ki Tarah

Gaye MausaM Mein Jo Khilte The Gulabon Ki Tarah, 
Dil Pe Utrenge Wohi Khwaab Azabon Ki Tarah,

Raakh Ke Dher Pe Ab Raat Basar Karni Hai, 
Jal Chuke Hai Mere KhaiMe, Mere Khwabon Ki Tarah,

Wo SaMundar Hai To Phir Reh Ke Shadaab Kare, 
Tashnagi Kyon Mujhe Deta Hai Sarabon Ki Tarah,

Yaad To Hongi Wo Baatein Tujhe Bhi Lekin,
Shelf Mein Rakhi Hui Band Kitabon Ki Tarah,

Kaun Jaane Ke Naye Saal Mein To Kisko Padhe, 
Tera Mayaar Badalta Hai Nisaabon Ki Tarah,

Hijr Ki Shab Meri Tanhayi Pe Dastak Degi, 
Teri Khushbu Mere Khoye Hue Khwabon Ki Tarah...

Jab Kabhi Koi LaMha Aisa Dard De Jaye

Jab Kabhi Koi LaMha Aisa Dard De Jaye, 
Ke Koi Bhi MarhaM Us ZakhM Ko Na Bhar Paye, 

TuM Udaas Mat Hona,
Mehv-E-Yaas Mat Hona, 

Zindagi Ke Sab Mausak Ek Se Nahi Hote, 
Saare Log Aye HuMdaM Ek Se Nahi Hote, 

Zindagi Ki Raahon Mein Haadse Bhi Aate Hai, 
Saaniye Bhi Aate Hai, 
Saanihon Se Badh Kar Kuch Waqiye Bhi Aate Hai, 
Waqt Hi Ke MarhaM Se ZakhM Bhar Bhi Jaate Hai, 
Din Bure Ho Ya Achhe Bas Guzar Hi Jaate Hai, 

Waqt Ko Guzarna Hai, 
Har ZakhM Ko Bharna Hai, 
Dard Ke Chadhe Dariya
Ko Abhi Utarna Hai, 

TuM Udaas Mat Hona
Mehv-E-Yaas Mat Hona...

Main Dil Par Jabr Karunga, Tujhe Bhula Dunga


Main Dil Par Jabr Karunga, Tujhe Bhula Dunga, 
Marunga Khud Bhi Tujhe Bhi Kadi Saza Dunga, 

Ye Teergi Mere Gahr Ka Hi Kyon Muqaddar Ho, 
Main Tere Sheher Ke Saare Diye Bujha Dunga, 

Hawa Ka Haath Bataunga Har Tabaahi Mein,
Hare Shajar Se Parindein Main Khud Uda Dunga, 

Wafa Karunga Kisi Sogwaar Chehre Se, 
Purani Qabr Par Qutba Naya Saja Dunga, 

Isi Khayal Mein Guzri Hai ShaaM-E-Dard Aksar, 
Ke Dard Hadse Badhega To Muskura Dunga, 

Tu AasMan Ki Surat Hai, Gir Padega Kabhi, 
ZaMeen Hoon Main Bhi Magar Tujhko Aasra Dunga, 

Badha Rahi Hai Mere Dukh Nishaniyan Teri,
Main Tere Khat Teri Tasveer Tak Jala Dunga, 

Bahut Dino Se Mera Dil Udaas Hai, 
Is Aayine Ko Koi Aks Ab Naya Dunga...

Hone Ko To Kya Hua Nahi Hai

Hone Ko To Kya Hua Nahi Hai,
Humne To Kabhi Kaha Nahi Hai,

Sab Apni Junoon Ki Wehshatein Hai,
Tumse To Koi Gila Nahi Hai,

Bikhron To Koi Samet Lega,
Iska Bhi To Aasra Nahi Hai,

Kya Zeest Karein Ke Ab To Sahab,
Marne Ka Bhi Hosla Nahi Hai,

Warna Aye Dasht-E-Jan Mein Kosun,
Saaye Ka Kahin Pata Nahi Hai,

Uljha Hoon Kuch Aise Pech-O-Kham Mein,
Manzil To Hai Rasta Nahi Hai...

Na UMMidein Kisi Se Rakhte To Achha Hota

Na UMMidein Kisi Se Rakhte To Achha Hota, 
Aitbar Na Kisi Pe Karte To Achha Hota, 

Sabaq Deta Hai ZaMana Ye Auron Ko Girane Ka, 
Sahara Na Kisiko SaMajhte To Achha Hota, 

Yaqeen Apni KaaMyabi Ka Kisiko Kab Hota Hai, 
Taqdeer Ke Muqabil Na Hote To Achha Hota, 

Sochte The Aitbaar Andha Hoga Dewawa TuM Par, 
Na Khwaab Jagte Mein Dekhte To Achha Hota, 

Na Chahte TuM Kisiko Na Koi TuMhein Pujta, 
Na Achhe Kisiko Lagte To Achha Hota, 

Dariya Mohabbat Ka Kab Koi Paar Karta Hai, 
Na Mohabbat Kisise Karte To Achha Hota...

Pyaar Karne Ki HuM Mein Hasrat Na Thi

Pyaar Karne Ki HuM Mein Hasrat Na Thi, 
Dil Lagate Magar Dil Mein Chahat Na Thi, 

HuMko Apna Banane Ke Liye Log The, 
Apna Kehne Ki HuM Mein Aadat Na Thi, 

Jab Kabhi Dastak Deti Thi Koi Khushi, 
Usse Milneki HaMein Fursat Na Thi, 

Wo Shikwa Karke Hogaya HuMse Phir Khafa, 
Ke Adaon Mein HaMari Koi Nazakat Na Thi, 

Tu Gar Zid Par Utar Aaye Bhi To HaMein Isse Kya, 
HuM Mein Tujh Si Aisi Koi HiMaqat Na Thi, 

Teri Saazish Mein Koi Jang Ho Bhi Agar, 
HaMari Barabari Jaisi Koi Bagawat Na Thi...

NaaM Likh Likh Kar Mera Usko Mitate Kyon Ho

NaaM Likh Likh Kar Mera Usko Mitate Kyon Ho, 
Jal Kar Main Khaak Hua Khaak Udate Kyon Ho, 

Baat Karna Bhi Nahi Mujhse Jo Ganwara TuMhe, 
Phir Mere Waaste Yun Ashq Bahate Kyon Ho, 

Jab Ke Is Tark-E-Talluq Ka Nahi Kuch MafhooM, 
Paas Aa Aa Kar Mujhe Roz Satate Kyon Ho, 

Chhod Kar Mujhko Akela Jo Chale Jaana Tha, 
Meri Tanhayi Ke LaMhon Ko Sajate Kyon Ho, 

Meri Chahat Ko Jahan Bhar Mein Yun Karke BadnaaM, 
Mujhko Duniya Ki Nigahonse Girate Kyon Ho, 

Ranj-O-AlaM Masaa'ib Ke Tahaa'if De Kar, 
RasM-E-Ulfat Ke Liye Haath Badhate Kyon Ho, 

Toot Jayega Mere Zabt Ka Pushta, 
Phaink Kar Mujhko Bulandi Se Uthate Kyon Ho...

Kahin Aah Banke Lab Pe Tera NaaM Aa Na Jaye

Kahin Aah Banke Lab Pe Tera NaaM Aa Na Jaye, 
Tujhe Bewafa Kahun Main Wo MaqaaM Aa Na Jaye, 

Zara Zulf Ko SaMbhalo Mera Dil Dhadak Raha Hai, 
Koi Aur Tair-E-Dil Tah-E-DaaM Aa Na Jaye, 

Jise Sunke Toot Jaye Mera Aarzu Bhara Dil, 
Teri AnjuMan Se Mujhko Wo PayaaM Aa Na Jaye, 

Wo Ke Manzilon Pe La Kar Kisi HuMsafar Ko Lootein,
Inhi Reh Zanon Mein Tera Kahin NaaM Aa Na Jaye, 

Ye Mah-O-NajooM Hans Lein Mere Aansuon Pe, 
Mera Mehtaab Jab Tak Lab-E-BaaM Aa Na Jaye...

Sab Ko Dilke Daag Dikhaye Ek Tujhi Ko Dikha Na Sake

Sab Ko Dilke Daag Dikhaye Ek Tujhi Ko Dikha Na Sake, 
Tera DaaMan Door Nahi Tha, Haath HaMin Phaila Na Sake, 

Tu Aye Dost Kahan Le Aaya Chehra Ye Khursheed JaMal, 
Seene Mein Abad Karenge Aankhon Mein To SaMa Na Sake, 

Na Tujhse Kuch HuMko Nisbat, Na Tujhko Kuch HuMse KaaM, 
HuMko Ye MaluM Tha Lekin Dilko Ye SaMjha Na Sake, 

Ab Tujhse Kis Muh Se Lekin Dein Saat SaMundar Paar Na Ja, 
Pech Ki Ek Deewar Bhi HuM To Phand Na Paaye Dha Na Sake, 

Man Paapki Ki Ujdi Kheti Sukhi Ki Sukhi Hi Rahi, 
UMde Badal, Garje Badal, Boondein Do Barsa Na Sake...

TuM Chhod Gaye Is Sheher Mein Phir Jee HuMse

TuM Chhod Gaye Is Sheher Mein Phir Jee HuMse To Behlaya Na Gaya, 
Ye Sheher Baharein Bhul Gayi, Meenh Abr Se Barsaya Na Gaya, 

Wo ZakhM Lagate, HuM Khate, Aakhir Ko Qaza Ne Aa Pakda, 
HuMne Hi Haya Se Jaan De Di Par Unse To SharMaya Na Gaya, 

Ansu Tha Ya Koi Khwab Tha Wo, Kankar Tha Ya Phir Angara Tha, 
Kuch Itna Zyada Chubhne Laga Phir Aankh Mein Thehraya Na Gaya, 

Jo Saans Bhi Li To Aah Bhari, Kuch Bole To Tera NaaM Liya, 
HuM Laakh Kahein HuM Bhul Chuke Par Yaad Ka SarMaya Na Gaya, 

Tab Jaana HuM Waaqif Hi Nahi NagMaat-O-Adab Ki Abjad Se, 
Jab Sher Koi HuM Likh Na Sake Jab Geet Koi Gaya Na Gaya...

Ansar-E-Sidq O Wafa Uski Mohabbat Mein Na Tha

Ansar-E-Sidq O Wafa Uski Mohabbat Mein Na Tha, 
Wo Jo Dikhta Tha Meri Jaan Wo Haqeeqat Mein Na Tha, 

Roz Hota Tha Har Ek Rukh Pe Dil-O-Jaan Se Fida, 
Ek Dilbar Se Nibhana Bhi To Fitrat Mein Na Tha, 

Subah Shereen Ke Liye, ShaaM Thi Laila Ke Liye, 
Aur Shab Mein Bhi Kisi Ek Ki Sohbat Mein Na Tha, 

Zehen Pe Chhaya Tha LaMhon Ke MaraasiM Ka Nasha, 
Sochta Kya, Wo Had-E-FehM-O-Faraasat Mein Na Tha, 

Maine ZaMil Ki Haqeeqat Ko Ayaan Kar To Diya, 
Par Use Raah Pe Lana Meri KisMat Mein Na Tha...

Akela KaMra, Jahan KhaMoshi Thi Aur Wo Tha



Akela KaMra, 
Jahan KhaMoshi Thi Aur Wo Tha,
Wo Aankh Moonde Bhi To Andhera, 
Jo Aankh Khole To Bhi Andhera, 
Ajab KhaMoshi, Ajab Andhera, 
Wo Jiska Aadi Kabhi Nahi Tha, 
Wo Ek Ladka, 
Jo Ab Bhi Bachpan Ki Sarhadon Mein,
Bhatak Raha Tha, 
Akele KaMre Mein Wo Bechara, 
Laraz Raha Tha, 
TaMaaM KaMra, TaMaaM Chizein,
Ye Lag Raha Tha Ke Ajnabi Hai, 
Syaah Shab Ne Phir Apna Jaadu
Wahan Ke Manzar Pe AazMaya, 
Jo Ek Parda, 
Hawa Se Khidki Pe Lehlahaata Raha Tha, 
Usne
Bas EkdaM Se Hi Roop Badla,
Aur Ek Bhut Ka Roop Dhara, 
Use Laga Ke 
Wo Uski Janib Lapak Raha Hai, 
Wo Ek Paudha
Jo Bas Wahan Par
Mehez Sajawat Ke Waaste Tha, 
Use Laga Ke 
Us Ek Paudhe Ne 
Apni Shaakhon Ko, 
Uski Jaanib Badha Diya Hai, 
Ke Jaise Usko
Wo Apni Shaakhon Mein Bandh Lega, 
Hawa Ki Halki Si Sarsarahat, 
Use Laga Yun
Ke Chupke Chupke Se Koi, 
KaMre Mein Chal Raha Hai, 
Ab Uski Aankhon Mein,
Shab Ki Dehshat Thi, Bebasi Thi, 
Akele KaMre Mein Wo Bechara, 
Laraz Raha Tha, 
Bil-Aakhir Usne Panaah Dhoondi, 
Wo Is Tarahse Ke
Sar Se Paanv Tak Lehaaf Taana, 
To Uski Dharas Bandhi Zara Si, 
Magar Ye Kya Ke, 
Lehaaf Mein Bhi
Khayal Uska Bahut Si Shaklein,
Bana Raha Tha, Dara Raha Tha, 
Wo Bekhabar Tha, 
Ke Aaj Uska, 
Ye Khauf Saara, 
To Uske WehMon Ki Dastan Hai, 
Andhera KaMra, 
Ghadi Ki Tik Tik, Hawa Ki Sar Sar, 
TalisM Shab Ka Urooj Par Tha, 
Bechara Shab Bhar Wo So Na Paaya, 
Bil-Aakhir Aaya, 
PayaaM Subah Ki Roshni Ka, 
Ke Raat Bhar Ki 
TaMaaM Baaton Ko Yaad Karke, 
Ab Usne KaMre Ko Phir Se Dekha, 
Wo Raat Jaisa To Ab Nahi Tha, 
Ke Thoda Thoda, 
Wo Dil Hi Dil Mein,
Bechara NaadiM Sa Ho Raha Tha, 
Wo Kisse Kehta
Wo Kya Batata
Ke Raat KaMre Mein Kya Hua Tha, 
Wo Kya Dikhata, 
Ke Ab To KaMra Bhi Raat Jaisa, 
Nahi Raha Tha, 
Ajeeb Sochon Mein Uljha Uljha, 
Badi KhaMoshi Ke Sath Utha,
Aur Apne KaMre Se 
Sar Jhukaye Nikal Gaya Wo...

Warq Dilke Zara Kholo To Nazar Aayega

Warq Dilke Zara Kholo To Nazar Aayega, 
Dard Ko Sheron Ke Lehje Mein Piro Rakha Hai, 

Maine Paane Ko Mustakbil Hazar Khwaab Bune, 
Ab Ise Paane Ko Darkaar Mujhe Neend Nahi, 

Taare Chhune Ki TuMhe Kaisi Zaroorat Hai, 
Ab To Khud "Badr" TuMhari Gali Mein Aata Hai, 

Jigar Farhaad Jaisa Hai To Jazba Kais Ka Bhi Lo, 
ZaMana Sang Maare Laakh Ye Sheesha Toot Na Paaye...

TuM Tajjub Na Karna


TuM Tajjub Na Karna, 
Jab Kabhi Sar-E-Raah
TuMhe Koi Rooh,
Roti Hui, 
Sisakti Hui, 
Sadayein Deti Hui, 
Baatein Karti Hui, 
Nazar Aaye, 
Bas Pal Bhar Mein Itna Jaan Lena, 
Ke Tere Wasl Ki Khwahish Ne Meri Rooh Ko, 
Is MuqaaM Par Laa Khada Kiya Hai...

Jise Main Apne Dilke Kareeb Mehsoos Karta Hoon


Jise Main Apne Dilke Kareeb Mehsoos Karta Hoon, 
Ek Pal Mein Wo Ajnabi Ban Jaata Hai, 
Apni Saari Baatein Saare Wade
Ek Hi Pal Mein Bhool Jaata Hai, 
Sadiyan Lagi Jis Talluq Ko Banane Mein,
Use Todne Mein Ek Hi Pal Wo Lagata Hai, 
Main Apne Pya Rke Sare Kirdar Nibhaunga, 
Wo Kehta Hai Aur Phir Bhool Jaata Hai, 
Main Kaise Maan **** Ke Main Uske Dil Mein Hoon, 
Wo To Meri Dhadkano Ko Rokne Mein Ek Pal Lagata Hai, 
Wo Bhi To Udaas Hoga Mere Bagair, 

Mera Ek Ek Aansu Har Pal Ye Kehta Hai, 
Tera Hai Tera Hai Bas Tera Hai, 
Mera Dil Yehi Geet Har Pal Gaata Hai...

Dekhe Jo Khwaab Un Sab Ki Tabeer Chahiye

Dekhe Jo Khwaab Un Sab Ki Tabeer Chahiye, 
Is Ke Liye Ek Ladki Chahiye, 

Apni Saanson Ko Mehkana Chahta Hoon, 
Iske Liye Uski Khushbu Chahiye, 

Tareeqh Raaton Mein Bekarar Hona Chahta Hoon,
Iske Liye Uski Yaadein Chahiye, 

Raaton Ko Jagna Chahta Hoon,
Iske Liye Uski Yaadein Chahiye, 

Apna NaaM Bhool Dena Chahta Hoon,
Iske Liye Uski Yaadein Chahiye, 

Apne Aap Ko Sanwarna Chahta Hoon, 
Iske Liye Uski Yaadein Chahiye, 

Use Apni Zindagi Banana Chahta Hoon, 
Iske Liye Uski Yaadein Chahiye, 

Use Apni Shareeq-E-Hayat Banana Chahta Hoon, 
Iske Liye Uski Yaadein Chahiye, 

Is Ektarfa Mohabbat Ke Sahare Jee Rahe Hai, 
Jeena Nahi Chahte Bas Jee Rahe Hai, 
Ke Har Dafa Maut Aati Hai Wapis Chali Jaati Hai...

Milte hai raahi bichhadne ke liye


Milte hai raahi bichhadne ke liye, 
yaadonse basti hai duniya, 
koi kisika dost nai jahanme, 
koi nai kisiki dilruba, 
jeete hai sab apni kismat se, 
jeena sikh lo is tarah, 
shukra karo khudaki is mehfilme 
gar mil jaye palke liye koi sath 
mat rakho dilme ise jiski nai hai koi awaz 
pachhtaoge aap janab, 
kaam hi kaam hai mere paas aaj...

Ye Na SaMjho Bichhdi Hoon To Bhul Gayi Hoon

Ye Na SaMjho Bichhdi Hoon To Bhul Gayi Hoon, 
Teri Dosti Ki Khushbu Mere Hathon Mein Aaj Bhi Hai, 

Mohabbat Se Badh Kar Mujhe Aqeedat Hai Dost TuMse, 
Yun MaqaaM Tera Buland Sab Doston Mein Aaj Bhi Hai, 

Tu Wo Hai Jo Barson Ki Talash Ka SaMar Hai, 
TuMhe Sochna Meri Yaadon Mein Aaj Bhi Hai, 

Ye Aur Baat Hai Ke Majbooriyon Ne Nibhane Na Di Dosti, 
Warna ShaaMil Sachhayi Meri Wafaon Mein Aaj Bhi Hai, 

Mera Har Sher Meri Chahaton Ki Gawahi Dega, 
Chahaton Ki Khushbu Un Lafzon Mein Aaj Bhi Hai, 

"Har LaMha Zindagi Mein Mohababt Naseeb Hoon Tujhe, 
ShaaMil Tu Meri Duwaon Mein Aaj Bhi Hai..."

Wo Meri TaMaM Wafao Ka Sila Kuch Is Tarah Se Deta Hai

Wo Meri TaMaM Wafao Ka Sila Kuch Is Tarah Se Deta Hai, 
Baat Kar Ke Kuch Aisi Mujhe Meri Hi Nazron Mein Gira Deta Hai, 

Khayal Rakhta Hai Wo Mera Kuch Is Tarahse, 
Ke Zubaan Ke Nishtar Se Mujhe Maar Deta Hai, 

Wo Teri Baat Phaans Ban Kar Atak Jaati Hai Mere Dil Mein,
Wo Kabhi Kabhi Bin Maut Mujhe Maar Deta Hai, 

Banti Hai Phir Meri Zaat Hi Shikwe Shikayaton Ka Mehwar, 
Yun Lagta Hai Wo Mujhe Mere Hone Ki Saza Deta Hai, 

Najaane Kaise Sehta Hai Wo Mere Wajood Ko, 
Mujhe Apne Upar Bojh Qarar Deta Hai, 

Bhool Jaati Hoon Main Bahut Jald Apne Upar Honewali Zyadtiyon Ko, 
Wo Jab Ek Baar Mujhe Dekhkar Muskura Deta Hai...

Tere Khayalaat Ki Dhool Rahun, Ye Bhi Nahi MuMkin


Tere Khayalaat Ki Dhool Rahun, Ye Bhi Nahi MuMkin,
Tere Khayalaat Ka MubeheM Sa Khwaab Rahun, Ye Bhi Nahi MuMkin, 

Tujhe Paa Kar Main Le Jaun Kahin Door Is Toofan Se, 
Aur Pagalpan Se Rahun Gaafil, Ye Bhi Nahi MuMkin, 

Haqeeqat Se Daudu Main Kis Tarah Har Roz, 
Tujhe Apna Bhi Na Kahun, Ye Bhi Nahi MuMkin, 

Main Phansa Daldal Mein Hoon Kuch Is Tarahse, 
Alag Tujhse Rahun, Ye Bhi Nahi MuMkin, 

Bata Zara Tu Mujhe Tadbeer Zinda Rehne Ki, 
Tere Bagair Rahun Maut Se Door, Ye Bhi Nahi MuMkin...

KhaMoshi Mein Shor Tha, Maine Suna Kuch Bhi Nahi

KhaMoshi Mein Shor Tha, Maine Suna Kuch Bhi Nahi, 
Usne Sab Kuch Keh Diya, Lekin Kaha Kuch Bhi Nahi, 

Tujhko Kya MaluM Aye Dost Tere Bagair, 
Mera Jeewan Kat Gaya, Aur Main Jiya Kuch Bhi Nahi, 

HuquM Ye HuM Ko Mila Uske Siwa Kuch Maangiye, 
Uth Gaye Dast-E-Dua Lab Pe Kuch Bhi Nahi, 

Pyaar Se Dekha Mujhe Jab Hai Usne, 
Dil Dhadak Utha Mera, Usne Kaha Kuch Bhi Nahi...

Mera Ek Khwaab Hai Jise Khona Bhi Nahi Hai

Mera Ek Khwaab Hai Jise Khona Bhi Nahi Hai, 
Taabir Ke Dhaage Mein Pirona Bhi Nahi Hai, 

Waabasta Mujhse To Hai Bhi Ke Nahi Hai, 
Gar Tu Nahi Mujh Mein Tera Hona Bhi Nahi Hai, 

Ye Ishq-O-Mohabbat Ki Riwayat Bhi Ajab Hai, 
Paaya Nahi Jise Use Khona Bhi Nahi Hai, 

QaMar Jiski Khatir Tera Ye Haal Hua Hai, 
Usne Tere Mar Jane Pe Rona Bhi Nahi Hai...

Ek Rangeen Jhijhak Ek Saadaa PayaaM

Ek Rangeen Jhijhak Ek Saadaa PayaaM, 
Kaise Bhulun Kisika Wo Pehla SalaaM, 

Phool Rukhsaar Ke RasMasane Lage, 
Haath Utha QadaM DagMagane Lage, 

Rang Sa Haal-O-Had Se Chhalakne Laga, 
Sar Se Rangeen Aanchal Dhalakne Laga, 

Ajnabiyat Nigahein Churane Lagi, 
Dil Dhadakne Laga Lehar Aane Lagi, 

Saans Mein Ek Gulaabi Giraah Pad Gayi, 
Honth Thartharaye SiMte Nazar Gad Gayi, 

Reh Gaya UMar Bhar Ke Liye Ye Hijaab, 
Kyon Na SaMbhala Hua De Saka Main Jawaab, 

Kyon Main Beqasd, Be-AzM, Bewaasta, 
Doosri SiMt Ghabra Ke Takne Laga...

Safar Mein Dhoop Hogi Jo Chal Sako To Chalo

Safar Mein Dhoop Hogi Jo Chal Sako To Chalo, 
Sabhi Hai Bheed Mein TuM Bhi Nikal Sako To Chalo,

Idhar Udhar Kayi Manzil Hai Chal Sako To Chalo, 
Bane Banaye Hai Saanche Jo Dhal Sako To Dhalo, 

Kisike Waaste Raahein Kahan Badalti Hai, 
TuM Apne Aapko Khud Hi Badal Sako To Chalo, 

Yahan Kisiko Koi Raasta Nahi Deta, 
Mujhe Gira Ke Agar TuM SaMbhal Sako To Chalo, 

Yehi Hai Zindagi Kuch Khwaab, Chand UMMidein,
Inhi Khilono Se TuM Bhi Behal Sako To Chalo, 

Har Ek Safar Ko Hai Mehfooz Raaston Ki Talash, 
Hifazaton Ki Rawayat Badal Sako To Chalo, 

Kahin Nahi Koi Suraj, Dhuan Dhuan Hai Fiza, 
Khud Apne Aap Se Bahar Nikal Sako To Chalo...

Jalata Nahi Aur Jal Raha Hoon

Jalata Nahi Aur Jal Raha Hoon, 
Kis Aag Mein Main Pighal Raha Hoon, 

Mefluj Hai Haath Paanv Mere, 
Phri Zehen Mein Kyon Chal Raha Hoon,

Raai Ka Bana Ke Ek Parbat, 
Ab Ispe Khud Hi Phisal Raha Hoon, 

Kis Haath Se Haath Main Milaun,
Ab Apne Hi Haath Mal Raha Hoon, 

Kya Aayna Baar Baar Dekhun,
Main Aaj Nahi Jo Kal Raha Hoon, 

Ab Kaunsa Dar Raha Hai Baaqi, 
Us Dar Se Kyon Main Nikal Raha Hoon, 

KadMon Ke Tale To Kuch Nahi Hai, 
Kis Chiz Ko Main Kuchal Raha Hoon,

Ab Koi Nahi Raha Sahara, 
Main Aaj Phir Se SaMbhal Raha Hoon, 

Ye Barf Hatao Mere Sar Se, 
Main Aaj Kuch Aur Jal Raha Hoon...

Kaati Hai GaM Ki Raat Bade EhtraaM Se

Kaati Hai GaM Ki Raat Bade EhtraaM Se, 
Aksar Bujha Liya Hai Charagon Ko ShaaM Se, 

Roshan Hai Apni BazM Aur Isse EthaMaM Se, 
Kuch Dil Bhi Jal Rahe Hai Charagon Ke NaaM Se, 

Muddat Hui Hai Khoon-E-TaManna Kiye Magar, 
Ab Tak Tapak Raha Hai Lahoo Dilke JaaM Se, 

Subah-E-Bahar HuMko Bulati Rahi Magar, 
HuM Khelte Rahe Kisi DaMakti ShaaM Se, 

Har Saans Par Hai Maut Ka Pehra Laga Hua, 
Ahista Aye Hayat Guzar Is MukaaM Se, 

Kati TaMaM UMr Fareb-E-Bahar Mein,
Kante SaMette Rahe Phoolon Ke NaaM Se, 

Ye Aur Baat Hai Ke HuM Na Sun Sake, 
Awaz Usne Di Hai HaMein Har MukaaM Se...

Sehraon Se SaMandaron Tak

Sehraon Se SaMandaron Tak, 
Hawaon Se Badalon Tak, 
Zindagi Se Maut Tak, 
MataM Se Jashn Tak, 
Gardish Se Sakoon Tak, 
Chand Se Chandni Tak, 
Deewane Se Deewangi Tak, 
Chain Se Bechaini Tak,
AaraM Se Be-AaraMi Tak, 
Tanhayi Se Mehfil Tak, 
Mere Khayalon Mein Bas TuM Hi TuM Ho...

Jinhe Chahta Hai Ye Dil Unka In Hathoki Lakeeron Mein

Jinhe Chahta Hai Ye Dil Unka In Hathoki Lakeeron Mein Deedar Kyon 

Nahi Hota, 
Jo Baste Hai HaMare Dil Mein Unhe HuMse Pyaar Kyon Nahi Hota, 

Dekha To Tha Unki Nazron Mein Bhi Pyar HuMne, 
Phir Kyon Kabhi Kisi Bhi Mulakat Ka Unpar Asar Nahi Hota, 

Khudko Kho Kar Bhi HuM Kahan Paa Sake Unko, 
Unki Tabiyat Mein Ranjish Ka Asar KaM Kyon Nahi Hota, 

Ek Muddat Se HuM Doobe Hai Bas Unki Yaadon Mein,
HaMari Kisi Bhi Raah Se Unka Guzar Kyon Nahi Hota, 

Kash Ke Unko Bana Sakte HuM Taqdeer Apni,
Par Jab Se Ruthe Hai Wo Ab HaMein Apne Naseeb Par Bhi Aitbar Kyon Nahi Hota...

Popular Posts