Khuda Ka Raaz Hai Kya, Tu Bhi Iska Raazdan Ho Ja,
Khuda Baatien Mein Jalwa-NuMa, Tu AasMan Ho Ja,
Falak To Aankh Ke Til Mein SaMa Jata Hai, Iska Kya,
Falak Bhi Dekh Na Paaye, Tu Aise Bekaraan Ho Ja,
Kabhi Sooraj, Kabhi Chanda, Kabhi Taara, Kabhi ShaMMa,
Sukhan-Yar! Is Jahan Mein Misl-E-Noor-E-Jaavidaan Ho Ja,
Tujhe Idraak Hi Kab Hai Ke Tujh Mein Hai Nehaan Kya Kuch,
Jahan Ko Khoj Ho Teri, Jahan Ka Tu Jahan Ho Ja,
Zara Si Roshni Ek Boond Ke Jauhar Dikhati Hai,
So Noor-E-Toor Se Tu Roshni Le Kar KaMaan Ho Ja,
Tu Kab Tanha Hai, Tere Aaiyne Mein Aqs Lakhon Hai,
Tu Uska Muntazir Na Ho, Sarapa Karvan Ho Ja,
Na Jane Kyon Tere Dildaar Ki Khwahish Machalti Hai,
Khuda! Tu Aaj Tak Jalwon Mein Pinhaan Hai, Ayaan Ho Ja...
No comments:
Post a Comment