Us kay chehray pe jab naqaab raha
Aik girhan maiN aftaab raha
Haal apna sada kharaab raha
Phir bhi ye zarf lajawaab raha
Umr bhar narasaayee saath rahi
Haath se door maahtaab raha
Tangdasti zameeN pe lay aayee
AsmaaN per hamara khwaab raha
Tab-e-deedaar ham ko ho na saki
Wo bohot dair be-hijaab raha
Aik lamhay ki dil-lagi ke tufail
Umr bhar dil maiN izteraab raha
Band hoti kitab-e-hasti ka
An-khula haaye aik baab raha
Lazzat-e-dard kab uTha paatay
Roz ham par naya azaab raha
Khud ko darya to ye bhi samjha tha
Apnay dhokay maiN khud Saraab raha