Ro raha hoon or na muskura raha hoon main
SaaNs laina rasm hay nibha rha hooN maiN
Munhadim huwi hay masjid aetibaar ki
Phir bhi ye jubeeN hay jo jhukaa rha hooN maiN
Dard ho rha hay be shaoor bhi nahiN
Chaut gaam gaam phir bhi kha rha hooN maiN
Sirf kaandha wo de jo wafa sarisht ho
Apne kaandhay apni laash utha rha hooN maiN
Kho gyi hay shehr ki samaaetoN ki hiss
Phir bhi apni raagni suna rha hooN maiN
Jis nagar maiN daikh hi na paaye koi bhi
Us nagar maiN aainay bna rha hooN maiN
Koi bhi na aaye jaanib-e-wafa nadeem
Zor-o-shor se magar bula rha hooN maiN
Jis diyaar maiN wo mairay saath saath thi
Us diyaar se akailay jaa rha hooN maiN
yaad-e-be wafaa ne khaimay gaaRay har taraf
Shehr ki hadood ko baRha rha hooN maiN
Shaayed is jahaaN ki tiragi maiN ho kami
Apna khoon apna dil jalaa rha hooN maiN
Us ne raastay badal liye tamaam tar
WARD raastoN maiN kiyuN bicha rha hooN maiN
No comments:
Post a Comment