Tuesday, January 4, 2011

Khuli aankhoon se soney ki aziyaat maar deti hai


Khuli aankhoon se soney ki aziyaat maar deti hai
Hamain tu neeNd ki be-manwiyat maar deti hai

Samar ki kokh mein ik zaiqa mehfooz honey tak
Shajar ko mosamooN ki barbariyat maar deti hai

Saharey k liye mazboot bunyadain hi kafi hain
Magar deewar ko pani ki niyat maar deti hai

KaheiN varsey mein aNdhi khawhishain parwan chaRti hain
Kahein zindooN ko murdooN ki wasiyat maar deti hai

Kisi ko umr bhar ki aashnaai kuch naheiN deti
Kisi sey lamha bhar ki ajnabiyat maar deti hai

Ana par boojh hooti hain kaheiN be-shakl awazain
Kahein khamoshiyooN ki aksariyat maar deti hai

No comments:

Popular Posts