Saturday, April 17, 2010

Dilko Koi Bhi Kali Hai In Dino

Dilko Koi Bhi Kali Hai In Dino,

Samne Uski Gali Hai In Dino,

Kis Liye Mehke Hue Hai Jaan-E-Dil,

Kya Kali Koi Khili Hai In Dino,

Khanda Zan Hai Mujhpe Meri Aagahi,

Wo Khushi Mujhko Mili Hai In Dino,

Qalb Ko Taskeen Si Milne Lagi,

Kya Bala Koi Tali Hai In Dino,

Subah Ki Soorat Nazar Aati Nahi,

Shaam Ye Kaisi Dhali Hai In Dino,

Rab Taala Ne Suni Khanam Ki Baat,

Ye Khabar Mujhko Mili Hai In Dino...

Adhoore Khwaab Ke Andar

Adhoore Khwaab Ke Andar,
Kabhi Palkein Mat Bichhana,
Adhoore Khwaab Aankhon Ko Bahut Takleef Dete Hai,
Adhoori Yaad Ko Dil Ki Zameen Mein Tum Nahi Bona,
Adhoori Yaad Dhadkan Mein Bahut Chubhti, Sisakti Hai,
Khalish Bankar Khatakti Hai,
Lahoo Mein Bijliyan Ban Kar Bhatakti Hai,
Adhoore Pyaar Ko..........Lekin Chalu Usko Jaane Do Tum,
Mohabbat. Pyaar, Chahat, IshQ, Adhoore Hi Hote Hai...

Gar Main Ye Kahun Tumse

Gar
Main Ye Kahun Tumse
Mujhe Ek Baat Sunni Hai,
Tumhari Bolti Aankhein,
Jo Har Lamhe Ek Hi Baat Kehti Hai,
Mujhe Honthon Se Sunni Hai,
Tumhe Malum Hai Kuch Ke,
Wo Saari Ankahi Baatein Tumhari,
Jo Mujh Tak Pahuchne Se Pehle,
Hawaon Mein Bikhar Jaati Hai,
Main Unko Samet Kar,
Ibarat Banane Ki Saeei Karti Hoon,
Suno Jaana,
Ye Mushkil Hai,
Chalo Mana Ye Mushkil Hai,
Magar,
Tumhare Wo Awaz Ki Parchhaiyan,
Mujhse Kuch Kehna Chahti Hai,
Magar Kuch Keh Nahi Paati,
Meri Samaat Mein Ghul Kar Wohi Ek Baat Keh Do Tum,
Unhi Mein Se Dhoond Lo Wo Lafz,
Tumhari Shabnami Baatein Jo Kehti Hai,
Mujhe Wo Baat Sunni Hai Tumhari Bolti Aankhein Jo Kehti Hai,
Kaho Mujhse Mohabbat Hai,
Kaho Mujhse Mohabbat Hai...

Kabhi Kabhi Koi Yaad

Kabhi Kabhi Koi Yaad,
Bahut Purani Yaad,
Dilke Darwaze Par,
Aise Dastak Deti Hai,
Shaam Ko Jaise Taare Nikle,
Subah Ko Jaise Phool,
Jise Dhire Dhire Zameen Par,
Roshniyon Ka Nuzoul,
Jaise Rooh Ki Pyaas Bujhane,
Utare Koi Rasool,
Hans De Koi Malol,
Kabhi Kabhi Koi Yaad,
Koi Bahut Purani Yaad,
Dilke Darwaze Par Aise Dastak Deti Hai...

Usse Kehna

Usse Kehna,
Mere Hisse Ka,
Koi Jugnu Koi Taara,
Jo Ho Sake To Bacha Ke Rakhna,
Agarcha Raahein Bahut Kathin Hai,
Ke Chand Raatein Bhi Jaa Chuki Hai,
Magar Mujhe To Hai Chalte Rehna,
Agar Mile To Usse Kehna,
Jo Teri Chahat Ka Dam Bhara Hai,
Jab Aa Bhi Jayega Dard Sehna...

Jab Seene Andar Saans

Jab Seene Andar Saans Ke Dera Dolte Hai,
Sab Mausam Sard Hawa Mein,
Chup Si Gholte Hai,
Jab Aansu,
Palkien Rulate Hai,
Jab Sab Aawazein Apne Apne Bistar Par So Jati Hai,
Tab Ahista Ahista Ankhein Kholte Hai,
Dukh Bolte Hai...

Kabhi Tamanna Ke Raaston Par

Kabhi Tamanna Ke Raaston Par Nikal Pado To,
Khayal Rakhna,
Hawaein, Baadal, Fizayein, Mausam, Khayal,
Chehre Badal Badal Ke Tumhe Milenge,
To Lamha Lamha Badalte Rangon Ki Shokh Dhoke Mein Aa Na Jana,
Kabhi Jo Charon Taraf Tumhare
Kiran Kiran Apna Khwab Aasa Badein Nikhre,
Zameen Pe Utre,
To Dhundlako Mein Sama Na Jana,
Kabhi Jo Aankhon Mein Chand Hans Hans Ke Chandni Ka Khumar Bhar De,
To Apni Aankhein Kehne Khala Mein Ganwa Na Aana,
Ke Ye Na Ho Phir Jo Khwab Toote,
Dhanak Dhanak Ke Suraab Toote,
To Jism-O-Jaan Par Azab Toote,
Aru Hum Ba Mushkil Larazte Hathon Mein,
Kirchi Kirchi Badan Sambhale,
Khane Bulandi Pe Cher Ke Risti Hui Nigahon Mein,
Wapasi Ke Nishaan Dhundo,
Ujad Gaya Jo Jahan Dhundo,
Kabhi Tamnna Ke Raaston Pe Nikal Pado To Khayal Rakhna,
Khane Se Khali Palet Ke Aana Bahut Kathin Hai,
Bahut Kathin Hai..

Ek Umr Ke Baad Usko Dekha

Ek Umr Ke Baad Usko Dekha,
Aankhon Mein Sawal The Hazaron,
Honthon Pe Magar Wohi Tabassum,
Chehre Pe Likhi Hui Udaasi,
Awaz Mein Gunjti Judayi,
Baanhein Thi Magar Wasal-E-Samaa,
Simti Hui Uske Baazuon Mein,
Ta Der Sochti Rahi Thi,
Kisi Abr-E-Guraiz Paa Ki Khatir,
Main Kaise Shajar Se Kati Rahi Thi,
Kis Chhanv Ko TarQ Kar Diya Tha,
Main Uske Gale Lagi Hui Thi,
Wo Ponchh Raha Tha Aansu Mere,
Lekin Bahut Der Ho Chuki Thi...

Wo Ek Khwab Jiski Sheh Par

Wo Ek Khwab Jiski Sheh Par,
Meri Zindagi Ki Hazar Raatein,
Kabhi Na Bhoolein Wo Saari Baatein,
Mere Wajood Mein Bikher Rahi Hai,
Hazaron Khushiyan Wo Teri Yaadein,
Wo Ek Khwab Ke Jiski Shay Par,
Har Ek Shay Ko Sajaya Maine,
Wafa Ka Deepak Jalaya Maine,
Teri Mohabbat Ke Zakhm Lekar,
Khud Apni Hasti Ko Mitaya Maine,
Wo Tere Wade Wo Saare Bandhan,
Kabhi Na Khatam Ho Wo Saare Jazbe,
Unhe Main Tere Naam Likhun,
Wo Ek Khwab Ke Jiski Sheh Par,
Andheri Raahon Mein Kho Gaya Hoon,
Jaagti Aankhon Se So Gaya Hoon,
Main Apni Saanso Ka Ek Ek Moti,
Dhukon Ki Ladkyon Mein Piro Gaya Hoon,
Khule Samundar Mein Leke Kashti,
Khud Apne Haathon Dabo Gaya Hoon,
Wo Ek Khwaab Ke Jiski Sheh Par,
Naye Sawere Ki Ummid Le Kar,
Chala Hoon Ek Naye Safar Par,
Gamon Ke Pul-E-Saraat Se Guzar Kar,
Wo Ek Khwaab Ke Jiski Sheh Par...

Dil Ke Dard Ko Dil Mein

Dil Ke Dard Ko Dil Mein,
Chhupane Ka Maza Kuch Aur Hi Hai,
Roti Aankhonke Sath,
Khilkhilane Ka Maza Kuch Aur Hi Hai,
Jitne Bhi Phool The Daman Mein,
Unki Rahon Mein Bichha Diya Humne,
Ab Bache Hue Kaanton Pe Nange Panv
Chalne Ka Maza Kuch Aur Hi Hai,
Wo To Chhod Gaye,
Toote Sapnoke Sath Akela Mujhko,
Ab Jhuthe Waadonki Is Chubhan Ke Sath,
Har Pal Tutne Ka Maza Kuch Aur Hi Hai,
Jeene Ki Khwahish To Unke Sath Hi Chali Gayi,
Ab Apne Aapko Dekhke Jeete Hai,
Sach Maano Dost,
Gam To Mitle Hi Rahenge Rahon Mein,
Par Apnoki Khushi Ke Liye,
Muskurane Ka Maza Kuch Aur Hi Hai...

Jab Dekha Teri Aankhon Mein Maine

Jab Dekha Teri Aankhon Mein Maine,
Tham Sa Gaya Ye Dil Mera,
Jab Chuma Labon Ko Tere,
Khil Sa Gaya Ye Dil Mera,
Jab Aayi Tum Meri Baahon Mein,
Mehek Sa Gaya Ye Dil Mera,
Jab Aya WaQt Juda Hone Ka Tumse,
Udaas Ho Gaya Ye Dil Mera,
Ab Ye Aalam Bhi,
Uthti Hai Nazrein Jahan,
Chehra Tumhara Hota Hai Wahan,
Mujhse Kehta Hai Ye Dil Mera,
Le Chal Wapas Mujhe Un Baahon Mein,
Sakoon Mujhe Milta Hai Jahan,
Gar Bas Mein Ho Mere Agar,
Cheer Kar Tumhe Dikha Dun Ye Dil Mera,
Jab Dekha Teri Aankhon Mein Maine,
Tham Sa Gaya Ye Dil Mera...

Gamon Ke Samundar Mein Doobe Hai Khwab Mere

Gamon Ke Samundar Mein Doobe Hai Khwab Mere,
Mere AshQon Mein Chhupe Hai Dard Ke Raaz Mere,
Sulag Raha Hai Mere Seene Mein Dukho Ka Dhuwan,
Jal Rahe Hai Rafta Rafta Sab Khwaab Mere,
Zakham Jitne Mile Wo Inaam The Mere,
Aye Khuda Mujhko Bata De Gunaah Mere,
Har Ghadi Meri Aankhein Nam Kyon Rehti Hai,
Rok De Saans Meri Ya Rok De Aankhon Ke Sailaab Mere...

Meri Khata Ko Tune Wajah Di

Meri Khata Ko Tune Wajah Di,
Bina Baat Ke Bhi Mujhko Tune Saza Di,
Shola Tha Dil Mein Mere Gam Ka,
Uspar Tune Aur Aag Laga Di,
Samajh Ke Bhi Tune Itna Na Samjha,
Mere Pyaar Ne Bas Tujhko Sada Di,
Dilke Tukde Tukde Karke,
Zidd Se Tune Har Khwahish Mita Di,
Maine Manga Tha Sath Bas Tera,
Gairon Ke Paas Jaakar Meri Tune Qeemat Hi Gira Di,
Aansu Mere Dilke Gam Ke,
Maange Tujhko Aur Tune Mujhko Bas Daga Diya,
Samjhaye Bhi To Kaise Tujhko,
Tune To Har Baat Hans Ke Uda Di,
Dil Mein Hi Reh Gaye Din Wo Pyaar Ke,
Har Baat Tere Mere Dilki Tune Aye Sangdil Bhula Di,
Meri Khata Ko Tune Wajah Di,
Bina Baat Ke Bhi Mujhko Tune Saza Di,
Kitna Sitam Tu Laakh Aur Kar Le,
Dil Ne Mere Bas Tujhko Duwa Di...

Udaas Mausam Ke Ratt-Jagon Mein

Udaas Mausam Ke Ratt-Jagon Mein,
Har Ek Lamha Bikhar Gaya Tha,
Har Ek Rasta Badal Gaya Tha,
Phir Aise Mausam Mein Kaun Aaye,
Koi To Jaye,
Tere Nagar Ke Musafatoo Ko Samet Laye,
Tere Gale Mein Hamar Sochein Bikhar Aaye,
Tujhe Bataye Ke Kaun Kaise
Uchhalta Hai Wafa Ke Moti,
Tumhare Janab,
Koi To Jaye,
Meri Zuban Mein Tujhe Bulaye,
Tujhe Manaye,
Hamare Halat Tujhe Bataye,
Tujhe Rulaye,
To Apne Dilko Bhi Chain Aaye...

Kya Pyaar Mein, Apni Wafa Ke Badle

Kya Pyaar Mein, Apni Wafa Ke Badle,
Sab Kuch Kho Diya, Paane Ki Aas Mein,
Kya Malum Tha, Dhoka Hai Tere Pyaar Mein,
Maangi Usse Wafa, Jo Shamil Tha Bewafaon Mein,
Pyaar Manga Aise Insaanse,
Jo Khud Anjaan Tha Pyaar Ke Naam Se,
Socha Na Tha, Usi Deep Se Jal Jayenge,
Har Khushi Nichhawar Kar Di Uske Pyaar Mein,
Uski Aankhka Har Ek Ansu, Bahaya Apni Aankh Se,
Phir Bhi Kuch Paa Na Saki Apne Pyaar Mein...

Mujhe Lagta Hai Aisa Kabhi Kabhi

Mujhe Lagta Hai Aisa Kabhi Kabhi,
Jaise Wo Ajnabi Ladki,
Mujhse Pyaar Karti Hai,
Mujhe Chahti Hai,
Aksar Yunhi Chup Kar,
Dekhte Hai Jaane Kya Soch Kar,
Nazrein Chura Jaate Hai,
Kuch Sharma Se Jaate Hai,
Kuch Ghabra Se Jaate Hai,
Apne Aanchal Ko Hawaon Ke Zor Par Lehrate Hai,
Mehsoos Mujhe Ye Hota Hai Ke,
Shayad Wo Mujhe Bahut Chahte Hai,
Mujhe Aisa Ehsaas Dilate Hai Jaise,
Wo Mujhse Kuch Kehna Chahte Hai,
Mere Puchhne Par Kuch Sharma Se Jaate Hai,
Kuch Ghabra Se Jaate Hai,
"Suniye" Keh Ke Bhag Jaati Hai,
Ajnabi Ladki Shayad Pyaar Karti Hai Mujhse,
Aisa Mehsoos Hota Hai Mujhe Jaane Kyon,
Dil Bhi Kitna Pagal Hai, Kya Kya Sochta Rehta Hai,
Kuch Masoom Se Jazbe Hai,
Kuch Andekhe Sapne Hai,
Magar Wo Nahi Jante Shayad,
Meri ZINDAGI To Koi Aur Hai...

Kaho To Haath Utha Ke

Kaho To....
Haath Utha Ke,
Tumhe Rab Se Maang L'un,
Agar Chaho To,
Tumhe Chah Lu'n,
Tumhari Masoom Nazron Ka,
SadQa Utar Lu'n,

Kaho To Ye Saare,
Chaand Suraj Aur Taare,
Tumhari Jholi Mein Bhar Dun,
Bas Tumhe Paa Lu'n,
Tumhe Chah Lu'n,
Aur Pyaar Kar Lu'n,

Kaho To....
Tumhari Masumiyat Ke Waaste,
Mar Jaun.....
Pyaar Amar Kar Dun,
Bas Tumhe Paa Lu'n,

Kaho To....
Haan......Agar Kaho To...

Tumne Murjhaye Hue Phool Kabhi Dekhe Hain

Tumne Murjhaye Hue Phool Kabhi Dekhe Hain?
Dilki Qabron Pe Pade,
Hijr Ki Lash Ki Aankhon Pe Dhare,
Tumne Uktaye Hue Khwab Kabhi Dekhe Hai?
Dard Ki Palkon Se Lipte Hue,
Ghabraye Hue,
Tumne Bechain Duwayein Kabhi Dekhi Hai?
Mohabbat Ke Kinaron Pe Bhatakti Phirti,
Tumne Dekha Hai Mujhe?
Kya Kabhi Dekha Hai Mujhe???

Dilki Mehfil Pe Chha Raha Hai

Dilki Mehfil Pe Chha Raha Hai,
Nazar Mein Dhoka Sada Raha Hai,
Mere Liye Wo Wafa Raha Hai,
Isko Chaha Isko Pooja,
Sada Jo Humse Khafa Raha Hai,
Ise Bhulaun To Kis Tarah Main,
Jo Dilki Basti Basa Raha Hai,
Jo Pee Ke Zinda Hai Zeher-E-Jag Mein,
Ye Dil Isiko Bula Raha Hai,
Jo Bas Chuka Hai Dil-O-Nazar Mein,
Nazar Wo Mujhse Chura Raha Hai,
Isko Chahum Main Misal,
Jo Dilki Mehfil Pe Chha Raha Hai...

Agar Kabhi Tum Samjho To

Agar Kabhi Tum Samjho To,
Un Jazbon Ko
Un Khwahishaat Ko,
Un Umangon Ko,
Un Tamannaon Ko,
Un Targmaniyon Ko,
Jo Kisike Dil Mein,
Tumhare Liye Posheeda Hai,
Ah! Is Dilko Kitna Intezaar Hai,
Ah! Ye Dil Kitna Bekarar Hai,
Ah! Ye Dil Tumhare Inkaar Se Bezaar Hai,
Ah! Is Dilko Tumhare Jawab Ka Intezar Hai,
Ah! Ye Dil Tumhara Ba-Ikhtiyar Hai,
Magar Tum Samjho To,
Tumhari Baaton Ko,
Tumhari Gair-Maujudgi Mein,
Tumhare Naam Se Yaad Kar Lena,
Bas Yehi,
Is Dilka Rozgar Hai,
Kya Tumko Aitbaar Hai,
Kash Tum Samjho To,
Main Bhi Aakhir Insaan Hoon,
Main Bhi Zindadil Ka Malik Hoon,
Main Bhi Jazbaat Rakhta Hoon,
Main Bhi Ehsaas Rakhta Hoon,
Ehsaas! Dosti Ka,
Aisi Dosti,
Jis Mein Insaan Khud Ko Bahut Halka Mehsoos Karta Hai,
Kabhi Tum Samjho To,
Ah! Magar Tumhare Dilko,
Kabhi Bhi, Gam Se Wasta Pade,
Ye Mujhe Ganwara Nahi,
Koi Lamha Is Haalat Mein,
Sakoon Se Guzre, Maine Guzra Nahi,
Magar Tum Samjho To,
Kitne Atif Hai Is Duniya Mein,
Aur Mera Dil Kitna Bekarar Hai,
Dusron Ke Dukh Uthane Ko,
Atif Ke Dard Mitane Ko,
Faisalbad Aane Ko,
Thoda Apna Dil Jalane Ko,
Thodi Apni Talafi Karwane Ko,
Is Gunehgar Ki,
Jo Tadap Raha Hai,
Ke Koi To Ho,
Jo MoQa De,
Khwah Tum Hi,
Magar Tum Samjho To...

Iski Hawa Saari Khushi Uda Le Gayi

Iski Hawa Saari Khushi Uda Le Gayi,
Aaj Baarish Mujhe Udaas Kar Gayi,
Kyon Pata Nahi Mera Dil Dukha Gayi,
Laga Aise Jaise Roya Ho,
Aasman Meri Tarah,
Nahi Samajh Aya Hua Kya,
Bas Meri Aankh Nam Kar Gayi,
Mera Dil Tadpa Gayi,
Aaj Barish Mujhe Udaas Kar Gayi,
Aaj Baarish Ko Chhua Bhi Nahi Phir Bhi,
Mujhe Yaadonse Bhigo Gayi,
Aaj Baarish Mujhe Udaas Kar Gayi,
Kar Gayi Mujhe Gum-Sum,
Kyon Hua Aisa Nahi Malum,
Har Aahat Par Chhune Ki Ho,
Kahin Na Kahin Ho Tum Par,
Nahi Thi Kahin Tum,
Ye Baat Udaas Kar Gayi,
Aaj Baarish Mujhe Udaas Kar Gayi...

Kahin Par Hai Gam Samati Hui

Kahin Par Hai Gam Samati Hui,
Kahin Par Hai Khushiyan Banti Hui,
Kahin Par Pyaar Ke Geet Gungunati Hui,
Kabhi Par Hai Samundar Mein Dubti Hui,
Kabhi Par Hai Kisi Andekhe Sapno Ko Sajati Hui,
Kabhi Par Hai Ek Pyaase Banjar Zameen Bani Hui,
Kabhi Par Hai Tanhaiyon Ko Apne Sang Layi Hui,
Kabhi Par Hai Chand Sitaron Ki Khwahish Karti Hui,
Kahin Par Saaye Se Bhi Darti Hui,
Kahin Par Sajdon Mein Giri Hui,
Magar Aye Duniya Walon,
Ye Zindagi Bhi Phir Bewafa Hi Hai,
Ye Tanha Hai Aur Tanha Hi Rahegi...

Bahut Takhair Se Lekin

Bahut Takhair Se Lekin,
Khula Hai Bhed Khud Par Bhi,
Ke Main Ab Tak
Mohabbat Jaan Kar Jis
Jazba Dayrinaa Ko Apne Lahoo Mein Sinchti Aayi,
Wo Jiski Saat-E-Sad Meherbaan Hai Zindagi Ki Sharti Thehri,
FaQt Ki Shaiba Hi Tha Mohabbat Ka,
Yunhi Aadat Thi Har Raaste Par Uske Sath Chalne Ki,
Wagarna TarQ-E-Khwahish Par,
Ye Dil Thoda Sa To Dukhta,
Zara Si Aankh Namm Hoti...

Mere Zakhm Puchhte Hai

Mere Zakhm Puchhte Hai,
Mere Dost Kyon Khafa Hai,
Kayi Dino Se Koi Khankar Koi Neza Koi Teer
Na Hua Mere MuQaddar,
Koi Bhool Koi Gaflat,
Koi Taza Jurm Mera,
Koi Na-Qubool Lehja Ke,
Zuban Ki Koi Lakant, Na Koi Sunane Aaya,
Na Koi Kahin Malamat, Na Lagi Koi Aadat,
Mere Zakhm Puchhte Hai,
Mere Dost Kyon Khafa Hai...

Wo Bhi Kya WaQt Tha

Wo Bhi Kya WaQt Tha,
Jab Koi Hamari Qadar Karta Tha,
Hum Bhi Us Par Marte The,
Wo Bhi Hum Par Marta Tha,
Ab Na Jane Use Kya Hua,
Sab Rishte Naate Tod Gaya,
Yun Akela Hamein Chhod Gaya,
Par Dil Ko Ab Bhi Aas Hai,
Na Jaane Kyon Lagta Hai,
Wo Wapis Aayega,
Mujhse Milne Aayega,
Wo WaQt Na Jaane Kab Aayega,
Jab Wo Meri Khatir Aayega...

Chhede Maine Kabhi Lab-O-Rukhsar Ke Kisse

Chhede Maine Kabhi Lab-O-Rukhsar Ke Kisse,
Gahe Gul-O-Bul Ki Hikaayat Ko Nikhara,
Gahe Kisi Shehzade Ke Afsane Sunaye,
Gahe Kya Duniya-E-Paristaan Ka Nazara,
Main Khoya Raha Jin-O-Malaik Ke Jahan Mein,
Har Lehja Agarche Mujhe Aadam Ne Pukara,

Barson Yun Hi Dil Jamii-E-Aurang Ki Khatir,
Sau Phol Khilye Kabhi Sau Zakhm Kharide,
Main Likhta Raha Hijv Bagawat Manshoon Ki,
Main Padhta Raha Qasr Nashino Ke Qaseede,
Ubhra Bhi Agar Dil Mein Koi Jazba-E-Sar Kash,
Is Khauf Se Chup Tha Ke Koi Honth Na See De,

Lekin Ye Tilismaat Bhi Taa Der Na Reh Paaye,
Aakhir Mai-O-Minaa-O-Daf-O-Chand Bhi Toote,
Yun Dast-O-Garebeen Hua Insaan-O-Khudaband,
Nakhchir To Tadpe Qafas-E-Rang Bhi Toote,
Is Kashmakash-E-Zarra-O-Anjum Bhi Fiza Mein,
Kaash-Kol To Kya Afsar-O-Aurang Bhi Toote,

Main Dekh Raha Tha Mere Yaaron Ne Badhkar,
Qaatil Ko Pukara Kabhi MuQtal Ko Sada Di,
Gahe Rasn-O-Daar Ke Aagosh Mein Jhule,
Gahe Haram-O-Dair Ki Buniyaad Hila Di,
Jis Aagse Bharpoor Tha Maahaul Ka Seena,
Wo Aag Mere Lauh-O-Qalam Ko Bhi Pila Di,

Aur Aaj Shikasta Hua Har TauQ-E-Talaayi,
Ab Funn Mera Darbaar Ki Jaagir Nahi Hai,
Ab Mera Hunar Hai Mere Jamahur Ki Daulat,
Ab Mera Junoon Kaif-E-Tazir Nahi Hai,
Ab Dil Pe Jo Guzregi To Betok Kahunga,
Ab Mere Kalam Mein Koi Zanjeer Nahi Hai...

Yun Teri Nigahon Se Gila Kuch Bhi Nahi Tha

Yun Teri Nigahon Se Gila Kuch Bhi Nahi Tha,
Is Dil Ne To Bekaar Yun Hi Baithe Bithaye,
Veerani-E-Lamhaat Ko Behlane Ki Khatir,
Afsane Gadhe Baatein Bana Li Thi Hazaron,
Ye IshQ Ka Afsana Jo Phir Chheda Hai Tune,
Bekaar Hai Ab WaQt Kahan Usko Sunu Main,
Jab Tumko Faraagat Na Thi Ab Mujhko Nahi Hai...

Zyada Se Zyada Ye Hoga

Zyada Se Zyada Ye Hoga,
Dilki Dhadkan Tham Jayegi,
Log Hasenge Aur Kahenge,
Hum To Pehle Hi Kehte The,
Barf Pighal Sakti Hai Lekin,
Bhadak Uthe Ye Namumkin Hai,
Chhodo Jo Bhi Kehte Ho Kehne Do Inko,
Aao Janaan,
Aaj Wafa Ka Aakhri Nata Tod Ke Dekhein...

Kabhi Dekho Na

Kabhi Dekho Na.....
Subah Adhkhuli Palkon Ko,
Bistar Ki Anginat Salwaton Ko,
Sone Ke Kitne Hi Bahano Ko,
Tumko Talashti Un Nazaron Ko.......

Kabhi Dekho Na.......

Dhule Bheege Baalon Ko,
Mehendi Se Saje Haathon Ko,
Kajal Se Bhare Un Naino Ko,
Surkh Reshan Un Honthon Ko,

Kabhi Dekho Na........

Bolti Khamoshiyon Ko,
Gunjti Sargoshiyon Ko,
Adhuri Muskurahaton Ko,
Bhar Aayi Un Aankhon Ko,

Kabhi Dekho Na........

Un Pighalti Raaton Ko,
Anginat TalluQaton Ko,
Kitni Hayazat Nazron Ko,
Un BebaaQ Afsano Ko,

Kabhi Dekho Na........

Jaane Kitne Khwabon Ko,
Dhadakti Hui Aahon Ko,
Tum Par Mitti Saanson Ko
Andekhi Munasib Manzilon Ko,

Kabhi Dekho Na...

Bahut Chaha Ke Is Zakhm-E-Dilko

Bahut Chaha Ke Is Zakhm-E-Dilko,
Chhupa **** Apne Seene Mein,
Par Kya Karun Bahut Dil Dukhta Hai,
Tanha Jeene Mein,
Ghadi Ghadi Teri Aahat Si Sunayi Deti Hai,
Yun Hi Kabhi Chalte Chalte,
Aur Phir Yun Hi Kabhi Kuch Kehte Kehte,
Tere Naam Munh Se Nikal Jaata Hai,
Main Kaise Tujhe Bhula Dun,
Ke Tasavvur Mein Mera Sar Tere Aanchal Mein Aa Jaata Hai,
Meri Aankhon Se Aansu Nikal Jaate Hai,
Main Kaise Kaun Ye Tumse,
Ke Kitni Takleef Hoti Hai,
Ek Teri Judayi Ka Dard Sehne Mein,
Bahut Chaha Hai Ke Is Zakhm-E-Dilko,
Chhupa **** Apne Seene Mein,
Par Kya Karun Bahut Dil Dukhta Hai,
Tanha Jeene Mein...

Aarzu Bahut Thi Tumko Paane Ki


Aarzu Bahut Thi
Tumko Paane Ki
Bahtu Dhunda Tumhe Maine
Mandhairon Mein Roshniyon Mein,
Pahadon Mein Waadiyon Mei,
Sehra Ke Regzaron Mein,
Tanhaiyon Mein Insanon Mein,
Shumaar Hota Tha
Main Deewano Mein,
Ummid Thi Mujhe,
Ke Meri Koshish,
Ek Din Rang Layegi,
Aur Main Tumhe Is Duniya Ke
Jungle Se Chura Kar Le Jaunga
Lekin Jab Tum Mili
To Kya Hua
Ek Lafz Mein Hi
Barson Ka Bandha
Bandhan Tod Diya,
Na Tumhe Khayal Tha,
Meri Mohabbat Ki Inteha Ka,
Tod Diya Dil Mera
Tumahre Us Nishtarzada
Khanjar Ne Aur Main,
Kirchi Kirchi Ho Kar Bikhar Gaya...

Koi Aisa Gehra Dukh Bhi Nahi


Koi Aisa Gehra Dukh Bhi Nahi,
Jaise Dukh Samjhun Aur Tumse Kahun,
Bas Yunhi Chup Ho Jata Hoon,
Kisi Ujde Ghar Ki Mitti Par
Jab Shaam Dhale
Kisi Cheel Ko Sar Nayhwaraye Hue Pata Hoon,
Kho Jata Hoon,
Tum Puchhte Ho Koi Dukh To Nahi,
Main Ek Nazar Tumhe Dekhta Hoon,
Aur Kehta Hoon,
Koi Aisa Gehra Dukh Bhi Nahi,
Jise Dukh Samjhun,
Aur Tumse Kahoon,
Jab Dektha Hoon Aisa Manzar
Main Maazi Mein Kho Jata Hoon,
Bas Yunhi Chup Ho Jata Hoon...

yeh zra zra si bat pe


yeh zra zra si bat pe
terh terh k azaab kyn?
jo kisi se bi khfa na ho,
mujh us khuda ki tlash he.
mujy leghzishoon pe hr gheri,
koi tokta hai hr bar,
jisy kr k dil ko dukh na ho,
muje us gunah ki tilash hai.
bina hmsefer k koi kb telek,
musaftoon me ghiraa rehy,
jhan koi kisi se juda na ho,
muje us rah ki tllash hi,
muje daikh kr jo ik nezer,
mery sary drd smejh skey,
jo is keder ho chara ger,
muje us nigah ki tilash he...!!!

NahiN har chaNd kisi gum shuda jannat ki talaash

NahiN har chaNd kisi gum shuda jannat ki talaash
Ek na ek Khuld-e-tarabnaak ka armaaN hai zaroor
Bazm-e-do-sheena ki hasrat to nahiN hai mujh ko
Mairy nazroN meiN koyi aur shabistaaN hai zaroor

MiT k barbaad-e-jahaaN ho k, kahiN kuchh kho k
Baat kya hai k zeyaaN ka koyi ehsaas nahiN
Kaar farma hai koyi taaza junoon-e-ta'ameer
Dil-e-muztar abhi aamaajgah-e-yaas nahiN

Taaza dam bhi huN magar phir ye taqaaza kyuN hai
Haath rakh de meray maathay pe koyi zuhra jabeeN
Aik aaGhoash-e-haseeN shauq ki mairaaj hai kya?
Kya yahi hai asar-e-naala-dil-haayey-hazeeN?

MahwashoN ka tarab aNgaiz tabassum kya hai?
Hai to sab kuchh ye magar Khwaab asar kyuN ho jaaye
Husn ki jalwa-gah-e-naaz ka afsooN tasleem
Yahi qurbaaN-gah-e-arbaab nazar kyuN ho jaaye

MaiN ne soacha tha k dushwaar hai manzil apni
Ek haseeN baazoo-e-seemeeN ka sahaara bhi to ho
Dast-e-zulmaat se aaKhir ko guzarna hai mujhay
Koyi raKhsinda o taabinda sitaara bhi to ho

Aag ko kis ne gulistaaN na banaana chaaha
Jal bujhay kitnay Khaleel, aag gulistaaN na bani
TooT jaana dar-e-zindaaN ka to dushwaar na tha
Khud ZulaiKha hi rafeeq-e-mah-e-KanaaN na bani

Ba eeN in'aam-e-wafa uf ba taqaaza-e-hayaat
Zindagi waqf Gham-e-Khaak nasheenaaN kar de
Khoon-e-dil ki koyi qeemat jo naheeN hai to na ho
Khoon-e-dil nazr-e-chaman bandi-e-dauraaN kar de

Kisi shab khwab mein wo aaye ek baar

“Kisi shab khwab mein wo aaye ek baar,
Ibaarat se palat kar muskuraye ek baar,

Honth sil se gaye hamare, na uthi unki palkein bhi ek baar,
Ishrat ka wo pal humne ganwa dia phir ek baar,

Rukhsat pe poocha to wo bole.
Hum milenge qayamat se pehle-ek baar…

Aank khuli to socha kiye,
kya humne dekha khwab fir ek baar?

Haye dil-e-nadaan teri kismat…
Shab-e-intzaar kar gayi khel tujhse phir ek baar."

Wafa'oN Ki Talash MeiN

Wafa'oN Ki Talash MeiN
Sadaa'oN Ki Talash MeiN
Samandar Dekhay Dariya Dekhay
Jungle Dekhay Sehra Dekhay
NaheeN Koi Mil Saka
Jo Taskeen-e-Dil-o-JaaN Hota
Mehakta Hua ArmaaN Hota
Meri DhaRhkanoN Mein Woh Basta
Meray Jeenay Ka SaamaaN Hota
Meri Rooh Ka Woh Chain Hota
Meri Zindagi Ka UnwaaN Hota
Wafa'on Ki Talash MeiN
Zindagi Dar Ba Dar Bhatki
Sukoon Ke Ek EK Pal Ko Tarsi
Kabhi Door Khala'on MeiN Khoyi
Kabhi Samandar Ki Gehraiyon MeiN Uljhi
Aur Phir
Wafa'on Ki Talash MeiN
Bus Ek Samar Hi Haath Aya
Is Bhari Dunya MeiN
Wafa Ka Koi Wajood NaheeN
PaththroN Ke HaiN Jism Saaray
In MeiN Ehsaas Maujood NaheeN
Wafa Faqat Jis Ka Kaam Hai
MAUT Us Ka Naam Hai.....

Haqeeqat-Aashnaa meri

Haqeeqat-Aashnaa meri

Tujhy shayad khabar ho gi

Mujhey teri mohabat ne bahot buzdil bana dala

Main her os shay se darti hon

Tujhy jo cheeen sakti hai

Main Un lamho'n se darti hon

Judai jin me rehti hai

Main Un Aankhon se darti hon

Jo ban ker Yad behtay hen

Main Un lafzo'n se darti hon

Jo khamoshi me rehtey hen

Bicherney ki merey ham-dam

Main her os surat se darti hon

Tujhey shayad khabar ho gi

Mujhey teri mohabat ne bahot buzdil bana dala....!!!



*************

Ek Tere Rooth Jaane Se

Ek Tere Rooth Jaane Se,
Kisiko Kuch Nahi Hota,
Phool Bhi Mehekte Hai,
Rang Bhi Damakte Hai,
Suraj Bhi Nikalta Hai,
Taare Bhi Chamakte Hai,
Lekin,
Itna Zaroor Hota Hai,
Ek Tere Rooth Jaane Se,
Koi Hansna Bhool Jaata Hai...

Mujhe Likhna Agar Aata

Mujhe Likhna Agar Aata,
To Likhta Teri Aankhon Par,
Bahut Kuch Likhna Chahun Main,
Teri Aankhon Ki Palkon Par,
Teri Aankhon Ki Shokhi Par,
Tere Naino Ke Kajal Par,
Ke Jab Tu Baat Karti Hai,
Tere Honthon Ki Jumbish Par,
Teri Lehrati Zulfon Par,
Ke Kab Tu Muskurati Hai,
Goya Phool Khilte Hai,
Ke Jab Tu Aankh Uthati Hai,
To Dil Rukne Sa Lagta Hai,
Ke Jab Tu Apne Baalon Mein
Koi Gajra Sajati Hai,
Fazayein Gungunati Hai,
Main Apne Dilke Jazbon Ko,
Tumhare Naam Karta Hoon,
Mujhe Likhna Agar Aata To,
Likhta Teri Aankhon Par,
Magar
Main Kya Karun,
Mujhe Likhna Nahi Aata...

Zindagi Tum Ho

Zindagi Tum Ho,
Log Kehte Hai Ajnabi Tum Ho,
Ajnabi Meri Zindagi Tum Ho,
Dil Kisi Aur Ka Na Ho Paya,
Aarzu Meri Aaj Bhi Tum Ho,
Mujhko Apna Sharik-E-Gam Kar Lo,
Yun Akele Bahut Dukhi Tum Ho,
Doston Se Wafa Ki Ummidein,
Kis Zamane Ke Aadmi Tum Ho,
Main Zameen Pe Ghana Andhera Hoon,
Aasmano Ki Chandni Tum Ho,
Log Aate Hai Log Jaate Hai,
Meri Aankhon Mein Aaj Bhi Tum Ho...

yeh jo zindagi ki kitaab hai yeh kitaab bhi kia kitaab hai

yeh jo zindagi ki kitaab hai yeh kitaab bhi kia kitaab hai
kahin ik haseen sa khawab hai kahin jaan lewa azaab hai

kahin anso ki hai dastaan kahin muskurahton ka biyan
kayi chehare is mein chupe hue ik ajeeb si yeh niqaab hai

kahin kho diya kahin pa liya kahin ro liya kahin ga liya
kahin cheen laiti hai har khushi kahin mehrban behisaab hai

kahin chaon hai kahin dhoop hai kahin aur ki koi roop hai
kahin barkaton ki hain barashein kahin tishnagi behisaab hai

Neend Nahi Ati Hai Chain Nahi Aata Hai

Neend Nahi Ati Hai Chain Nahi Aata Hai,
Dilko Qaraar Nahi,
Kaisi Khumari Hai Haal Mera Kaisa Hai,
Samjhega Yaar Nahi,

Haay Pal Pal Meri Jaan Jaati Rahi,
Haay Pal Pal Meri Jaan Jaati Rahi,
Saari Raat Teri Yaad Mujhe Aati Rahi,
Saari Raat Teri Yaad Mujhe Aati Rahi,
Haay Kitna Mujhe Tadpati Rahi,
Haay Kitna Mujhe Tadpati Rahi,
Saari Raat Teri Yaad Mujhe Aati Rahi,
Saari Raat Teri Yaad Mujhe Aati Rahi,

Baadal Garja Bijli Chamki Barish Bhi Thi Tez Toofani,
Chhed Rahi Thi Sard Hawayein Dil Mein Aati Thi Shaitani,
Haay Kitna Mujhe Tadpati Rahi,
Haay Kitna Mujhe Tadpati Rahi,
Saari Raat Teri Yaad Mujhe Aati Rahi,
Saari Raat Teri Yaad Mujhe Aati Rahi,

Har Aahat Pe Aisa Laga Ke Mera Sona Dilbar Aaya,
Kaise Kahan Kab Tumse Milun Main Socha Par Main Mil Nahi Paya,
Haay Tera Naam Likh Likh Ke Mitati Rahi,
Haay Tera Naam Likh Likh Ke Mitati Rahi,
Saari Raat Teri Yaad Mujhe Aati Rahi,
Saari Raat Teri Yaad Mujhe Aati Rahi,
Haay Pal Pal Meri Jaan Jaati Rahi,
Haay Kitna Mujhe Tadpaati Rahi,
Saari Raat Teri Yaad Mujhe Aati Rahi,
Saari Raat Teri Yaad Mujhe Aati Rahi,
Saari Raat Teri Yaad Mujhe Aati Rahi,
Saari Raat Teri Yaad Mujhe Aati Rahi...

Mohabbat Kitabyat Mein

Mohabbat Kitabyat Mein Ya Kaisa Bachpan Qudrat Ne Rakha Hai,
Ke Ye Jitni Bhi Purani Jitni Bhi Mazboot Ho Jaye,
Ise Taide Taza Ki Zaroorat Phir Bhi Rehti Hia,
Yaqeen Ki Aakhri Had Tak Dilon Mein Lehlehati Ho,
Nigahon Se Tapakti Ho Lahoon Mein Jagmagati Ho,
Hazaron Tarah Ke Dilkash Haseen Haale Banati Ho,
Use Izhar Ke Lafzon Ki Hajat Phir Bhi Rehti Hia,
Mohabbat Mangti Hia Yun Gawahi Apne Hone Ki,
Ke Jaise Tifle Sada Shaam Ko Ek Beej Boi Aur Shab Mein Badha Uthe,
Zameen Ko Khud Kar Dekhe Ke Paudha Ab Kahan Tak Hai,
Mohabbat Ki Tabiyat Mein Ajab Takraar Ki Kho Hai,
Ke Yaya Iqraar Ke Lafzon Ko Sunne Se Nahi Thakti,
Bichhadne Ki Ghadi Ho Ya Koi Milneki Saat Ho,
Use Bas Ek Hi Dhun Hai Kaho Mujhse Mohabbat Hia Kaho Mujhse Mohabbat Hai Tujhe Mujhse Mohabbat Hia,
Samundar Se Kahin Gehri Sitaron Se Siwa Roshan,
Pyaron Ki Tarah Qaim Hawaon Ki Tarah Daim,
Zameen Se Aasman Tak Jis Qadar Achhe Manzar Hia,
Mohabbat Ke Kinare Hia Wafa Ki Istaray Hai,
Hamare Waste Ye Chandni Raatein Sanwarti Hia,
Sunehra Din Nikalta Hia Mohababt Jis Taraf Jaye Zamana Sath Chalta Hia,
Kuch Aise Besakooni Hai Wafa Ki Sarzameeno Mein,
Jo Ehle Mohabbat Ko Sada Bechain Rakhti Hia,
Ke Jaise Phool Mein Khushbu Jaise Haath Mein Pada Ke Jaise Shaam Ka Tara...

Hawaon Uski Gali Se Guzro To

Hawaon Uski Gali Se Guzro To Usko Mera Salam Kehna
Mujhe Kahbar Hai Ke Mere Ghar Se
Guzarne Wali Hawa Ka Rasta
Tumhare Ghar Tak Nahi Gaya Hai,
Salaam Mera Tumhare Knon Se Naarsa Hia,
Main Jaanta Hoon Hai Ye Bachpana,
Magar Haqeeqat Ko Jaan Kar Bhi Na Janne Mein Ajab Maza Hai,
Hawa S Emaine Ye Phir Kaha Hia,
Guzar Rahe Hai Tumhari Yaadonke Dam Se Hi Subah Shaam Kehna,
Hawao Uski Gali Se Guzro To Mera Salaam Kehna,
Hawa Ke Rukh Ki Kise Khabar Hai,
Tumhare Ghar Ka Kise Pata Hai...

Kal Shaam Dhale Nange Panv Chalte Chalte

Kal Shaam Dhale Nange Panv Chalte Chalte
Aankh Se Ek Aansu Ne Bagawat Ki,
Daaman-E-Dil Se Ulajh Gaya,
Thak Kar Puchh Raha Tha Wo,
Zindagi Kya Hai
Nakaam Ummidein
Hasratein!
Khwab Ya Phir Aarzuyein,
Door Se Ek Siski Ubhri,
Aansu Chup Chaap Lut Gaya,
Khwab Ka Daaman Chhut Gaya...

Tumhe Aisa Kyon Lagta Hai

Tumhe Aisa Kyon Lagta Hai Ke Hum Khud Dhundte
Hai Apne Rishton Ko
Suno Janam! Kabhi Aisa Nahi Hota,
Tumhare Aur Mere Chahne Se Kuch Nahi Hota,
Ke Sab Rishte, Sabhi Bandhan Khali Pehle Se
Rakhe Hai,
Wo Saare Aane Wale Pal Jo Aakhir Beet Jaate Hai,
Wo Hum Se Jeet Jaate Hai,
Wo Sab Pehle Se Rakhe Hia
Samajh Kar Soch Kar Rakhe Hia Saare Pal, Sabhi Rishte,
Sabhi Mausam,
Mohabbat To Lamha Hia, Mohabbat Bhi To Mausam Hia,
Ye Kiske Dil Pe Utrega
Kahan Par Lab Kholega, Kaunsi Galiyon Mein Mehkega,
Na Jane Kaunsa Dil Iske Rangon Mein Fanaa Hoga,
Na Jane Kaun Is Lamhe Ko Paate Hi Ghani Tareek
Galiyon Ki Musaafat Se Rihaa Hoga,
Wazahat Hum Nahi Karte,
Mohabbat Hum Nahi Karte
Ke Ye To Jaadugarni Hai Jo Hum Ko Dhund Leti Hia,
Hamein Pehchaan Leti Hia,
Kisi Masroof Kamre Mein Padi Bekaar Chizon Se,
Ye Humko Chaan Leti Hia,
Hamari Ungliyon Ke Nakhuno Mein Saans Leti Hia,
Kabhi Jab Zakhm Khulta Hia,
Buson Aur Daftaron Ki Bhid Mein Bhi Ye Hamare
Saath Rehti Hai,
Hamare Sath Chalti Hia,
Lahoon Ki Dhoop Mein Chup Chap Jalti Hai,
Heena Ki Khushbu Mein Jab Utarti Hia Hamari
Jaan Leti Hia,
Ye Hum Mein Baandh Deti Hia Naye Mausam, Naye Suraj, Sitare Aur Khushbu,
Ye Humko Somp Deti Hai Koi Aizaaz Jiska
Maan Rakhna Farz Hota Hia,
Ye Hum Bojh Banti Hai--Ye Hum Par Qarz Hota Hia,
Kahan Kis Par Nichaver Jaan Karti Hai,
Ye Chahat Hum Nahi Karte
Suno Jaanam! Mohabbat Hum Nahi Karte...

Koi Izhaar Ki Surat

Koi Izhaar Ki Surat,
Koi Iqraar Ki Raah,
Koi Baarish Ki Boondon Mein
Thehre Pyaar Ke Lamhe
Kya Ye Sab Hone Par Bhi Izhaar Baaqi Hia,
Koi Iqraar Baaqi Hia,
Kisi Jazbe Ko Koi Lafz Ka
Roop Dene Par,
Us Jazbe Ki Latafat Ko
Kho Dene Mein
Kitni Der Lagti Hia...

Tumse Kuch Is Tarah Ki Chahat Ki Hia

Tumse Kuch Is Tarah Ki Chahat Ki Hia,
Tumhare Bagair Zindagi Ka Koi Tasavvur Nahi,
Kuch Is Tarah Se Tumhari Tamanna Ki Hia
Hamare Darmiyan Hai Rahein, Sadiyon Ki Khamoshiyan,
Maine Tumse Kuch Is Tarah Guftugu Ki Hia,
Pehle Main Khudse Na Aashna Tha
Samjha Hia Pyar Ko Jabse Mohabbat Ki Hia
Meri Zindagi Ki Khushiya Tumse Hi Hai Wabasta
Maine Rabse Tumhe Paane Ki Dua Ki Hia
Main Tumhe Chheen Lunga Duniya Ki Rasmon Se
Maine Tumhare Liye Zamane Se Bagawat Ki Hia...

Tum se Kya Gila

Tumse Kya Gila
Gila To Takdeer Se Hai,
Tumse Kya Shikayat
Shikayat To Naseeb Se Hai,
Aye The Meri Zindagi Mein Ek Tufan Banke
Gaye To Aandhi Banke,
Ab Toofano Se Kya Gila
Ye To Aata Hai Aur Jaata Hai
Ab.......
Kisise Kya Gila Jab Wo Hi Sath Nahi Ab Raha
Chalnewale Se Kya Gila Jab
Apna Jise Kaha
Wo Saath Nahi,
Likhe Walene Bahut Kuch Likha Hai Meri Taqdeer Mein
Par Likh Na Saka Wo
Tha Tera Pyaar...

Bas Yunhi Hansi Hansi Mein

Bas Yunhi
Hansi Hansi Mein
Dilon Se Khel Jate Hai,
Koi Tikhi Baat
Koi Chubhta Hua Lehja
Koi Zeher Alood Jumla
Koi Zoomani Si Baat,
Dil Mein Zakham Laga Jaati Hai,
Bas Yunhi Hansi Hansi Mein Log,

Ye Jante Hue Bhi
Ke Jism Ka Zakhm Gehra Nahi Htoa,
Bhar Hi Jaata Hai
Par Zubaan Se Lagaya Hua Zakham
Dil Mein Utar Jaata Hai,
Phir Kitne Hi Talaafi Ke Marham Lagao,
Madham Nahi Hota,
Bas Yunhi Hansi Hansi Mein Log,
Dilonse Khel Jaate Hai...

Popular Posts