Sunday, September 6, 2009

Ishq Mujhko Nahin Vehshat Hi Sahi

Ishq Mujhko Nahin Vehshat Hi Sahi
Meri Vehshat Teri Shohrat Hi Sahi

Katta Keeje Na Taalluk Hamse
Kutch Nahin Hai To Adavat Hi Sahi

Mere Hone Mein Hai Kya Rusvayee
Ae Veh Majlis Nahin Khallat Hi Sahi

Hum Bhi Dushman To Nahin Hain Apne
Gair Ko Tujhse Mohabbat Hi Sahi

Apni Hasti He Se Ho Jo Kutch Ho
Aagahi Gar Nahin Gaflat Hi Sahi

Umr Harchand Ki Hai Barke-Kharam
Dil Ke Khoon Ki Fursat Hi Sahi

Hum Koyee Tarqe-Vafa Karte Hain
Na Sahi Ishq Museebat Hi Sahi

Kutch To De Ae Falke-Na-Insaaf
Aaho Fariyad Ki Rukhsat Hi Sahi

Hum Bhi Tasleem Ki Khoo Dalenge
Benayazi Teri Aadat Hi Sahi

Yaar Se Chedh Chali Jaye  faysal
Gar Nahin Vasl To Hasrat Hi Sahi

Agar kabhi meri yaad aaey...!!!!!!!!!!!!!!!!

Agar kabhi meri yaad aaey
To chaand raat ki narm dilgeer roashni main
Kisi sitaaray ko daikh laina
Agar woh taara falak say urr kar
Tumhaare qadmon main aa giray
To yeh jaan laina
Woh mera dil tha
Agar na aaye
Magar yeh mumkin hee kis tarah hai
Ke tum kisi pe nigaah daalo
To us ki deewaar-e-jaan na tootay
Woh apni hasti na bhool jaaey
Agar kabhi meri yaad aaey
Guraiz karti hawaa ki lehron
Pe haath rakhna
Main khushbuwoon main tumhain miloon ga
Mujhe oaas qatroan ke aainoan main
Talaash karna
Main pattiyoan main tumhain miloon ga
Agar oaas qatroan ke aainoan main
Pattiyoan main
khushbuwoon main
Na paao mujh ko
To apne qadmon main dekh laina
Main gard hoti musaafaton main
Tumhain miloon ga
Kahin pe roashan charagh dekho to soach laina
Ke her patangay ke saath main bhi
Bikhar chuka hoon
Tum apne haathon say un patiangoan
Ki khaak darya main daal daina
Main khaak ban kar samandaroan main
Safar karoon ga
Kisi na daikhay hooay jazeeray
Pe ruk ke tum ko
Sadaain doon ga
Samandaroan ke
Safar pe niklo
To us jazeeray pe bhi utarna
Agar kabhi meri yaad aaye

ghane jangloon ke safar pe tha woh jo muddaton se chala hua

ghane jangloon ke safar pe tha woh jo muddaton se chala hua

ghane jangloon ke safar pe tha woh jo muddaton se chala hua
kaheen raat orrh ke so gaya woh janam janam ka thaka hua

nai dastaan shuru hui keh usi kahani ka baab hay.
wohi karbala hay hussain phir se ghaneem mein he ghira hua

miri justuju ko kamal day mujhe shak ke sanchay main dhal day
Miri por por main zehr bhar main hoon amriton ka dasa hua

wohi shola apnay wujood ka wohi lums phir say naseeb kar
tiri aag phir say bharrak utthay keh aalaao kab ka bujha hua

mujhe izn ho keh main ji uthun mujhe izn ho keh main mar sakoon
aey khudaaey zindah bus aek kun main hoon dono samt bata hua

koi chand dhar mere haath pur kabhi mehr e taban saja koi
'yeh charagh koi charagh hay na jala hua na bujha hua'

tiray sab hawalay hain moutabar tira naam sab say buland hay
tu 'Jamal' day kay nishan day, main hoon harf harf mita hua

Tamaasha keya falak dikhla raha hai!

Tamaasha keya falak dikhla raha hai!
YaqeeN aayaa naheeN thaa,aa raha hai
Lahoo meiN aa gai kitni safaidi!
Koi apna hi dil barma raha hai!!
Aqaarib meiN bahut hai sard-mehri
RagoN meiN khoon jamta jaa raha hai
Kisi ki yaad aai misl-e-khushbu
Koi phir kunj-e-dil mahka raha hai
Suno tum ghaur se,waadi meiN koee
Mahabbat kaa taraana gaa raha hai
YahaaN insaan ke haathoN hi aksar
Lahoo insaan kaa bahta raha hai
Chaman meiN baaghbaaN gulcheeN bane haiN
Huwa aei Phool aeisa baarhaa hai

isay khud se juda rakha nahi hay

isay khud se juda rakha nahi hay
wo mera ho ke bhee mera nahi hay

jisay khone ka hay darmujh ko itna
usay meN nay abhee paya nahi hay

zamany ko bhala badle ga wo kia
ke jis ka khud pe bas chalta nahihay

teree yadoN se raushan hay mera dil
ye wo sooraj hay jo dhalta nahi hay

meree ankhoN ka ye darya ajab hay
ke bahta hay tu phir thamta nahi hay

khushee ka ho ya koi gham ka lamHa
guzar jata hay kyuN rukta nahi hay

naqoosh ab zehn se miTne lagay hen
bohat din se usay dekha nahi hay

suna hay phool ab khilte nahi heN
tu kia khul ker wo ab hansta nahi hay

nagar choRa hay jab se us ghazal ne
koi shayer ghazal kehta nahi hay

sabeeh is shehr meN chehre bohat hen
magar koi bhee us jaisa nahi hay

Rehney lagey khud aap hee apney se khafa ham

Rehney lagey khud aap hee apney se khafa ham
"Kia dil key taRapney ka uThatey haiN maza ham
..............
ik jurm e wafa ham ney bhee duhraya bar bar
us jurm ki padash meiN patey haiN saza ham
.........
woh teer nigaheiN jigar key par ho gayeeN
bhooley naheeN meHboob ki koyee bhee ada ham
.............
ham tau wafa shia'ar haiN so mere dosto
ahle jafa bhee ho kayee kartey haiN wafa ham
............
GhaltaN haiN tiree yaad meiN ham sham e saHar yaN
japtey haiN tire nam ki mala ay piya ham
............
aa jao intezar ki ghaRiyan hooyeeN maHal
aisa na ho keh raah meiN ho jaeiN fana ham
............
panchee haiN ham bahar key faysal yahaN
atey hee faSl e gul key hooey naghma saraa ham
............

gham-o-andoh k ye esteaaray tum na samjho gay

gham-o-andoh k ye esteaaray tum na samjho gay
jo din hum nay tumhaaray bin guzaaray tum na samjho gay

tumhain kaisay btaayn tum hmaaray waastay kya ho
smandar ki kahani main kinaaray, tum na samjho gay

bus itna jaan lo ek shakhs say hum nay mohabbat ki
hmaaray tootnay ka khail pyaaray tum na samjho gay

hzaaron mushkilon say khail ker bhi jeetnay waalay
ye aakhir kis jga per aa k haaray,tum na samjho gay

phir os kay baad ka kissa jo mat poocho tu behtar hai
liay thay hum nay apno k sahaaray tum na samjho gay

hmaisha raat ko hi kyon sulagtay hain faysal
nikaltay kyon nahin din main sitaaray tum na samjho gay

Hum kioN na dar e yaar pe nazrooN ko jukhatay

Hum kioN na dar e yaar pe nazrooN ko jukhatay
Aay dekhnay ki taab kahaN say tujhe latay

Ab lotnay ki baat na kar, Aay dil e nadaN
Ik umer lagi hay humaiN is mord tak Aatay

Kuchh log adhooray hi chalay jathay hain dil say
Jub yaad bhi Aatay haiN tow pooray nahi Aatay

Ik baar kabhi dil maiN zara jhaank tow latay
Phir shoaq say Aay dost hamaiN chhord kay jatay

Rul,tha na kabhi dasht e tamanna maiN koi  faysal
Ghar chordnay walay jo kabhi lot kar Aatay

Achi lagti hei bhala kyon ye fiza shaam ke baad

Achi lagti hei bhala kyon ye fiza shaam ke baad
Ho gya ishq to ye ham pe khula shaam ke baad

Zindagi bhar ye charaghon ko shikayat hi rahi
Kyon chala karti hei ye tez hawa shaam ke baad

Din mein to ham pe koi sher utarta hi nahin
Ham ne to jo bhi likha jo bhi likha shaam ke baad

Aa ke dekho to sahi kitne nikhar jate hein
Tum kissi roz milo ham se zara shaam ke baad

Rooh bhi shamil-e-aawaz hooa karti hei
Tum kabhi maang ke dekho to dua shaam ke baad

Meri nazron mein wo bazoq nahin ho sakta
be-sabab jo bhi koi ghar mein raha shaam ke baad

Aaj tak aise parinde nahin dekhe ham ne
bhool jaate hon jo ghar ka pata shaam ke baad

Bazme yaran ho ya ho koi mekhana  faysal
Bethne mein wahan aata hei maza shaam ke baad

Be sabab hi safar meN rehta hooN

Be sabab hi safar meN rehta hooN
MaiN kahaN apne ghar meN rehta hooN

Meri takmeel hi naheeN karta
jiske dast'e hunar meN rehta hooN

Jur'at'e faisla naheeN hoti
Bas agar aur magar meN rehta hooN

Nuqta'o pesh khud hi saNwreN ge
Fikr'e zer'o zabar meN rehta hooN

Rok le ab bhi mujhko girne se
MaiN teri chashm'e tar meN rehta hooN

Maang ker ek dua'e neem shabbi
justju'e asar meN rehta hooN

Door ufaq paar dhoNdta kyooN hay
Teri hadd'e nazar meN rehta hooN

Aate jaate kabhi parao kar
MaiN teri rahguzar meN rehta hooN

Jeene marne ke bain hay jo ussi
Lamha'e mukhtasar meN rehta hooN

Ye to a'ejaaz'e khudkashi hay ke ab
Aalam'e bala tar meN rehta hooN

Kho ke shaheen taqat'e parwaz
Khahesh'e baal o par meN rehta hooN

kuch lamhon ko kuch yadon ko

kuch lamhon ko kuch yadon ko
hum apnay dill main samotay hain
yay lamhay pyar kay lamhay hain
jo yaad ayen to rotay hain

yay chund lamhay jo tumsay milay
mere jeevan ka sarmaya hain
manay saray jahan ka pyar sanam
tere roop main jaisay paya hai

yay pyar tera ahsaan tera
main janam bhool na payun gi
aur jab tak meri sansain hain
meri jaan tujhe main chahon gi

tu nay ishq basa kay sanson main
mujhe honton say lagya hai
mujhe lay kay apni banhon main
ik sacha khawab dikhaya hai

main bhool bhi kaisay payun gi
tere pyar ki is sachayee ko
wo raat jo tere saath kati
wo hum tum aur tanhayeee ko

wo lamhay to ab beet gaye
aur door mere manmeet gaye
haan lekin kuch din saath rahay
aur pyar ki baazi jeet gaye

seenay pay rakh do haath mere
ik wada tum say laina hai
kabhi choro gay na saath mera
mujhe saath tumharay rehna hai

tum door sahi par mere ho
yay saabi say iqrar karo
lab kholo aur itna keh do
lillah na inkaar karo

KaheeN misaal-e-gulistaaN yeh zindagi kaa safar

KaheeN misaal-e-gulistaaN yeh zindagi kaa safar
KaheeN hai aatash-e-sozaaN yeh zindagi kaa safar

Kabhi payaami hai baad-e-sumoom-e-sahraa kaa
Kabhi naqeeb-e-bahaaraaN yeh zindagi kaa safar

RawaaN dawaaN haiN musalsal yeh dhaRkanaiN dil ki
Nafas nafas se numaayaaN yeh zindagi kaa safar

Ufuq ke paar nazar jin ki jaa ke Thahri hai
Huwaa hai un ko hi aasaaN yeh zindagi kaa safar

Khamosh raat maiN qurbat ke jaavidaaN lamhe
Banaa sukoot-e-shabistaaN yeh zindagi kaa safar

Chahal pahal hai jahaaN ke nigaar Khaane maiN
Sadaa hai raunaq-e-dauraaN yeh zindagi kaa safar

Guzaari nisf sadi Phool ne gulistaaN maiN
Abhi talak hai ghazal KhwaaN yeh zindagi kaa safar

Chale jo do qadam aage,maraahil saamne aaye

Chale jo do qadam aage,maraahil saamne aaye
WahaaN daikhe kai raste,maraahil saamne aaye

Tamannaa us ki ham ne ki,raqeeboN se hui doori
Usey apnaaya jab ham ne,maraahil saamne aaye

Khayaal-e-khaatir-e-yaaraaN,hamaiN go iss kaa thaa irfaaN
Ajab naazuk haiN yeh rishte,maraahil saamne aaye

Puraani yaadoN ko chhoRaa,liye ham karb hijrat kaa
Nai dharti pa jab aaye,maraahil saamne aaye

Chaman maiN roi jab shabnam,guloN kaa thaa ajab aalam
Tabassum raiz thay ghunche,maraahil saamne aaye

Mizaaj-e-dahr thaa barham,sukooN ki justuju maiN ham
Lahad maiN jaa ke jab soye,maraahil saamne aaye

Mahabbat hi mahabbat ho,diloN se door nafrat ho
Kahaa jab Phool ne sab se,maraahil saamne aaye

umr bhar ka hisaab hai saheb

umr bhar ka hisaab hai saheb
zindagi ek kitaab hai saheb

tum jo poochoge zindagi kya hai
maut aakhir jawab hai saheb

bhool kar bhi kabhi nahi peena
aanso"n ki sharab hai saheb

ashk gairon ka pi ke dekho to
zaiqa lajawab hai saheb

dil se poocha ke aashiqui kya hai
huske bola azaab hai saheb

aaj jana ke zindagi kya hai
tashnagi izterab hai saheb

kash duniya nadeem ko kahti
kitna hazir jawab hai saheb

Ker liya jurm-e- ishq is dil ne

Ker liya jurm-e- ishq is dil ne
Kaun derta hai ab sazaaon se

Apne dil mae bana ke ghar mera
Poochte hain pata fizaaon se

Uski khushboo samet ker khud mae
Humne ki dushmani hawaaon se

Saadgi uski jaan lewa hai
Maar daala inhin adaaon se

Rog aisa laga liya dil ko
Kaam kya mujh ko ab dawaaon se

Mujh ko parwaana war hona tha
Aur ladna bhi tha shamaaon se

Mujh ko maaloom hai mere nazdeek
Jo bhi hai ma ki hi duaaon se

koi kissa koi afsana sunate jate

koi kissa koi afsana sunate jate
mere mazi se mujhe aaj milate jate

dil ka murjhaya hua phool khilate jate
yaad guzre huye mausam ki dilate jate

aap ki raah mein mai bhi to pada rahta hooN
EK nazar dekh liya kijiye aate jate

aap ne mashk-e-sitam **** diya kyu nahak
kaun si baat thi ham jaan se jate jate

mujhse ye daag-e-judayi na gawara hoga
ho sake to mujhe patthar ka banate jate

unse kah do ke bahaar aa gayi wo bhi aa ke
khaak gulrez ki gulshan mein udate jate

" Usney kaha mujh se !

" Usney kaha mujh se !
Main tum bin ji na paoungi
Main sach much toot jaoungi
Zamana chor doungi !
Khud se janan rooth jaoungi


Main ne kaha us sey !
Agar main mil gaya tumko
To is se farq kiya hoga ?
Mohobat main hamesha jo mila hai
Wo juda hoga !


Usney kaha mujh se!
Agar tum mil gaey mujhko
Main yeh duniya bhula doungi
Tumhare naam pe apna main ye jiwan bita doungi
Tumhari zindagi ka main her ek lamha saja doungi
Tumhara marte dum tuk sath doungi jan luta doungi


Maine kaha us se
Meri jan sach kahon tumse
Yeh wade, sapne, jhoote hain
Hamain tanha hi rehna hai
Saharey apne jhootay hain
Ager main mil gaya tumko
Mujeh tum chor jaugi
Mera dil keh raha hai tum !
Mera dil tor jaugi


Usney kaha mujh se !
Ager tum mil na paey to
Main aisa kar bhi sakti hon
Tumhare bin adhuri hon
Main janan mar bhi sakti hon

Main ne kaha us se !
Yeh janan sub hi karte hain
Safar main sub bicharte hain
Bichar kar log martey hain
Mujhe tum ji k dikhlao !!!!

Waqte hazir mae teri yaad mujhe aa hi gai

Waqte hazir mae teri yaad mujhe aa hi gai
Maine chaha bhi ye kab tha ki bhula doon tujhko

Tujh sa naadaan musafir nahin dekha maine
Ab bhatak ja to main manzil ka pata doon tujhko

Kyon gila kerta hai nahaque meri majboori per
Khud sambhal jaaon to sochoon ki sambhaloon tujhko

Main to maikash bhi nahin houn ki chaloon maikhane
Teri khwahish ho to nazron se pila doon tujhko

Tune gulzaar bana li teri duniyan lakin
Main to ek khwar hoon aa yaaddila doon tujhko

Jaane wale kabhi laute kabhi na bhi laute
Tu to aayega magar haath hila doon tujhko

*Ussay Meri Chup Nay Rula Dia...*

*Ussay Meri Chup Nay Rula Dia...*Ussay Meri Chup Nay Rula Dia...

Usay apnay ferda ki fiker thi wo jo mera wakif-e-kaar tha
Wo jo us ki subh-e-urooj thi wohi mera wakt-e-zawaal tha

Kahan jaogay kahan aao gay mein ye pooch pooch ke thuk gaya
Wo jawaab mujh ko na de saka wo tow khud hee sarapa sawaal tha

Meri baat kaise wo maanta mera derd kaise wo jaanta
Wo tow khud fana ke safer mey tha usay rokna bhi mahaal tha

Wo jo us ke saamnay aagaya wohi roshni mey naha gaya
Ajab us ki hebat-e-ishq thi ajab us ka rung-e-jamaal tha

Dum-e-wapsi arey kya hua na wo roshni na wo taazgi
Wo sitara kaise bikhar gaya wo jo aap apni misaal tha

Wo mila tow sadiyon ke baad bhi mere lub pe koi gila na tha
Usay meri chup ne rula diya jisay guftugu mey kamal tha

Mere saath lug ke wo roo diya mujhe sirf itna hee keh saka
Jise janta tha mein zindagi wo tow mera wehm-o-khayaal tha

Jo dil main hay aankhon ke hawaley nahin karna

Jo dil main hay aankhon ke hawaley nahin karna
Khud ko kabhi khoa�abon ke hawaley nahin karna

Is umar main khush fehmian achi nahin hotin
Is umar ko waadon ke hawaley nahin karna

Ab apnay thikanay per rehta hi nahin koye
Paigham parindon ke hawalay nahin karna

Dunya bhi to pataal say bahar ka safar hai
Manzil kabhi raston ke hawalay nahin karna

Ab jo musafat hamen dar pesh hai us main
Kuch bhi to sarabon ke hawalay nahin karna

Is maarka-e-ishq main jo haal ho mera
Lekin mujhe logon ke hawalay nahin karna

Doob Rahi Hain Saansein Magar Ye Gumaan Baaqi Hai

Doob Rahi Hain Saansein Magar Ye Gumaan Baaqi Hai
Aaney Ka Kisi Shakhs Ke Abhi Imkaan Baaqi Hai

Muddat Hoye Ek Shakhs Ko Bichrhey Lekin
Aaj Tak Merey Dil Pe Ek Nishaan Baaqi Hai

Wo Sayibaan Chin Gaya To Koi Gham Nahee
Abhi To Merey Sir Pe Ye AasmaaN Baaqi Hai

Kashti Zara Kinaarey Ke Qareeb Hi Rakhna
Bikhri Hoyi Lehron Mein Abhi Toofaan Baaqi Hai

Tumharey Hi Ashkon Ne Lab Si Diye Warna
Abhi To Merey Dukhoon Ki Bohut Daastan Baaqi Hai

Ghamon Se Keh Do Ke Abhi Na Rakht-e-Safar Baandhain
Ke Abhi To Merey Jism Mein Kuch Aur Jaan Baaqi Hai

Ja Chukey Hain Sab Log Khamosh Parhi Hai Basti
Magar Kisi Aas Pe Ek Makeen-e-Makaan Baaqi Hai"

Aß Laot aa mery hum'nawa meri zindgi ka swaL hai,

Aß Laot aa mery hum'nawa meri zindgi ka swaL hai,

Tujhey kya sunaoon main diL'rußa tery samney mera haaL hai,

Meri hr khushi tery dam se hai meri zindgi terey gham se hai,

Tery dard se rahy ße'khaßr mery diL ki kß majaL hai,

Tery husn pr hai meri nazar mujhy sußha sham ki kya khaßr,

Meri sham hai teri guftgu meri sußho tera khayaL hai,

Mery d¡L jigr mein sma ßhi ja rahy kion nazr ka ßhi fasLa,

K tery ßagher to jan-e-jan mujhy zndgi ßhi mohaL hai...
__________________

Aoo To..!udaasion ka sabab kya hai kuch bataoo tu

Aoo To..!udaasion ka sabab kya hai kuch bataoo tu
main muntazir hoon kabhi meray paas aao tu

gham-e-faraaq ki doobi hooee fizaoon main
khabar khushi ki zara si ho par sunaoo tu

voh kaun hai jo hamsay aziz'tar hai tumhain
main usko daikh na chahtee hoon usko laaoo tu

udaasion ki sulagtee hai aag seenay main
sunakay marsia is aag kh bujhaoo tu

ghamoon ki doosti achi na dushmani achi
kabhi kabhar khushi ko bhi aazmaoo tu

ZARA SHAAM HONAY DO!!!

ZARA SHAAM HONAY DO!!!
Main Titliyon Ko Sula Don Gi Zara Tum Sham Honay Do
Main Jugno'on Ko Sula Don Gi Zara Tum Sham Honay Do

Meri Gham-Naak Aankhon Ko Na Dekho Tum
Main Tum Ko Bhi Rula Don Gi Zara Tum Sham Honay Do

Tumhain Qaidi Banaya Hai Ujrri Ankhon Ki Mussarrat Ka
Rehaai Bhi Dila Dongi Zara Tum Sham Honay Do

Kahan Aghaz Hota Hai Kahan Anjaam Hota Hai
Hunnar Saray Sikha Don Gi Zara Tum Sham Honay Do

Jo Tum Ne Mujh Say Poocha Hai Kahan Hogi Tumhari Sham
Jahan Hogi Bata Dongi Zara Tum Sham Honay Do

------------****--------------

Dhoop chaon si uski tabait rahi..."""

Dhoop chaon si uski tabait rahi..."""

Raat sunti rahi me sunata raha
Dard ki dastaan me batata raha..

Log logon se chahat nibhate rahe
Aik wo tha mera dil jalata raha..

Dhoop chaon si uski tabait rahi
Wo nigahain milata churata raha..

Aik me hi pyasa tha mere doston
Log peete rahe me pilata raha..

Dil k mehman khane mei ronaq rahi
Koi aata raha koi jata raha..

Hum maktab ne sara sabaq parh lia
Me tera naam likhta mitata raha..

Sahilo'on pe............

Sahilo'on pe............
Kamzoor badbaan hay, hawa taiz kia karain
Aa apni kashtiyon ko supurd-e-khuda karain

apni tabahiyon main hi jab apna haath ho
phir dhushmano k waastay kiya bad-dua karain

Shaki-e-namurad ko tarsaya umer bhar
Ham say chahta tha k hum iltija karain

Hamnay yun ghurbaton main raat bitayee hay sanam
Bhookay faqeer ko ab rukhsatzada karain

Duniya teray faraib say jo bach kay nikle
To sahiloon pay hum bhi namazain ada karain

Na Tujhe Chor Saktey Hain Terey Ho Bhi Nahi Saktey,

Na Tujhe Chor Saktey Hain Terey Ho Bhi Nahi Saktey,
Ye Kaisi Bebasi Hai Aaj Hum Ro Bhi Nahi Saktey,

Ye Kaisa Dard Hai Pal Pal Hamain Tarpaye Rakhta Hai,
Tumhari Yaad Aati Hai To Phir So Bhi Nahi Saktey,

Chupa Sakte Hain Aur Na Dikha Saktey Hain Logon Ko,
Kuch Aise Daagh Hain Dil Par Jo Hum Dho Bhi Nahi Saktey,

Kaha To Tha Chor Dein Ge Ye Nagar Phir Ruk Gaay Lekin,
Tumhain Paa To Nahi Saktey Magar Kho Bhi Nahi Sakte,

Hamara Aik Hona Bhi Nahi Mumkin Raha Ab To,
Jeeyein Kaise K Tum Se Door Reh Bhi Nahi Saktey !!!!!!!!

Har Khushi Hai Logon Ke Daman Mein

Har Khushi Hai Logon Ke Daman Mein
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi
Din Raat Daudti Duniya Mein
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi

Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi

Saare Naam Mobile Mein Hain
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi
Gairon Ki Kya Baat Karen
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi

Aankhon Me Hai Neend Badee
Par Sone Ka Waqt Nahi
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi

Paison Ki Daurh Me Aise Daurhe
Ki Thakne Ka Bhi Waqt Nahi
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi

Tu Hi Bata E Zindagi
Iss Zindagi Ka Kya Hoga
Ki Har Pal Marne Walon Ko
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi

KUCHH TAU HAWA BI SARD THI,KUCHH TERA KHEYAL BHI

KUCHH TAU HAWA BI SARD THI,KUCHH TERA KHEYAL BHI
DIL KO KHUSHI K SAATH HOTA RAHA MALAL BHI



BAAT WO AADHI RAAT KI,RAAT WO PURAY CHAAND KI
CHAAND BHI AIN PURAY CHAIT KA US PE TERA JAMAL BHI

SUB SE NAZAR BACHA K WO MUJH KO KUCHH AISE DEKHTA
AIK DAFA TAU RUK GAI GARDISH MAHO SAAL KI


US KO NA PA SAKE THAY JAB DIL KA AJEEB HAAL THA
AB JO PALAT K DEKHIEY,BAAT THI KUCHH MAHAL BHI


MERI TALAB THA AIK SHAKHSH WO JO NAHI MILA TAU PHIR
HAATH DUA SE YOON GIRA BHOOL GIA SAWAL BHI


USKI SUKHAN TARAZIAN MERE LIAY BHI DHAAL THI
US KI HANSI MEIN CHHUP GIA APNE GHAMON KA HAAL BHI


SHAM KI NASAMJH HAWA,POOCHH RAHI HAI IK PATA
MAUJ HAWAEY KUEY YAR,KUCHH TAU MERA KHEYAL BHI

BHULA DENA,,,,,,,,,

TOOT KAR
ZARA DEKHO

TUM AGAR
BIKHAR JAO
BAIBASI MAI
GHIR JO

DIL SE IK
SADA DENA
BASS MUJHEY
BULA LENA

MAIN TUMHEY
SANBHAALON GA

ZINDAGI MAI
CHALNEY KA

RAASTA
BADALNEY KA

IK HUNAR
SIKHA DONGA

TUM KO NAYA
HOSLA DONGA

AUR JAB
SANBHAL JAO

ROSHNI MAI
DHAL JAO

MUJH KO YUN
SILA DENA

TUM
MUJHEY

BHULA DENA,,,,,,,,,

Teray dostoon main hooN keh teray dushmanoon maiN hooN

Teray dostoon main hooN keh teray dushmanoon maiN hooN
Teray qareeb aakay bari uljhanooN maiN hooN

Aay yar khush diyar tujhay kia khaber
Main kab say udaasiyooN kay ghanay junglooN maiN hooN

Badla na meray baad bhi mozoo - e- guftgoo
MaiN ja chuka hoon phir bhi teri mehfilooN maiN hooN

Mujh say guraiz pa hai to her rasta badal
MaiN sang - e - rah hooN to sabhi rastooN maiN hooN

Mujh say bichar kay roay ga tu bhi umer bhar
Yay sooch lay keh maiN bhi teri khwahishooN maiN hooN

Meri bay khawab see aankhein !

Zaban-o-lafz ki sari kee sari

Un kahi batein

Tumhari nazer kernay ko

Meri baytab see aankhein

Bohat himat to kerti hain

Mager phir har jati hain !

Tumhari bolti aankhoon say takra ker

Her ek koshish ko thukra ker

Kisi roothay howay, Sehmay howay say

Tifal ki manand

Meray ehsas k jhoolay main aa ker lait jati hain

Meray sachay say ek jazbay ki aangasht-e-shahadat thaam ker

Phir so bhi jati hai............

Meri bay khawab see aankhein !

kash koi aisaa hota

kash koi aisaa hota
jis say mil kay dil ka bojh kam hota
jo dukh ko samajhta
jo sukh ko pehchanta
kash koi aisa hota
jis se milnay ki tamanna dil meN hotee
jo muntazir hota
jo bayqarar karta
kash koi aisa hota
jis ko taknay say benaai aati
jo jism meN rooh sa hota
jo dil meN dhaRkan saa hota
kash koi aisa hota
jis key liye saaNs lenaa maqsad hota
jo khushi ka sabab hota
jo soch ka mehwar hota
kash koi aisaa hota
jis main apnaiyat hotee
jo sirf mera hota
aur
jis ke liye sirf meiN hota
kash koi aisaa hota
kash koi aisa hota

Waqt Ki Raftar Key Sath Tu Chalna Seekh Ley

Waqt Ki Raftar Key Sath Tu Chalna Seekh Ley
Dard Seh Ker Is Jahan Main Muskrana Seekh Ley

Doosron Sey Shikwa Kerna Or Shikayat Chor Dey
Her Kisi Sey Piyar Kerna Dil Lagana Seekh Ley

Kanch Key Tukrey Parey Hain Zindagi Ki Rah Per
Kanch Key Tukron Pey Chal Ker Tu Bhi Jeena Seekh Ley

Gham Utha Ker Muskrana Kaam Yeh Waliyon Ka Hey
Auoliya Key Naqsh-E-Pa Per Tu Bhi Chalna Seekh Ley

aaj phir ankh mein saher dekhi

aaj phir ankh mein saher dekhi
thare pani mein ik lehr dekhi

soch jungle ghana hai bohat
raston pe jami kohr dekhi

jab bhi palat ke dekha kabhi
zindagi khak main baser dekhi

rat main ik alao roshan tha
har ghari aik dopehr dekhi

aik pather sa ho gya wo shakhs
chandni hum nain bay asar dekhi

kar diya tere hawale khud ko
hum nay woh teri ik nazar dekhi

Zindagi kya hai jaanne ke liye

Zindagi kya hai jaanne ke liye
Zinda rehna bahot zaroori hai
Aaj tak koi bhi raha to nahin

Saari waadi udas baithi hai
Mausam-e-gul ne khudkashi karli
kisne barood boya baagon mein

Aao hum sab pehenle aaine
Saare dekhenge apna hi chehra
Sabko saarein haseen lagenge yahan

Hai nahin jo dikhaii deta hai
Aaine par chapa huwa chehra
Tarjumah aaine ka thik nahin

Humko Ghalib ne yeh duwa di thi
Tum salamat raho hazar baras
Yeh baras to faqat dino mein gaya

Lab tere Mir ne bhi dekhe hai
pankhari ek gulab ki si hai
baat sunte to Ghalib ho jaate

Aise bikhre hai raat din jaise
Motiyon wala haar tuth gaya
Tumne mujhko pidoke rakha tha

Lab-e Khamosh se afsha hoga

Lab-e Khamosh se afsha hoga

raz har rang main ruswa hoga



dil ke sahra main chali sard hawa

abr gulzar pe barsa hoga


tum nahi the to sar-e-bam-e-Khayal

yad ka koi sitara hoga



kis tawaqqo pe kisi ko dekhain

koi tum se bhi haseen kya hoga



zinat-e-halqa-e-agosh bano

dur baithoge to charcha hoga



zulmat-e-shab main bhi sharmate ho

dard chamkega to phir kya hoga



jis bhi fankar ka shahkar ho tum

us ne sadiyon tumhain socha hoga



kis qadar karb se chatkhe hai kali

shakh se gul koi tuta hoga



umr bhar roye faqat is dhun main

rat biti to ujala hoga



sari duniya hamain pahachanati hai

koi ham-sa bhi na tanha hoga

Asar usako zaraa nahii hotaa

Asar usako zaraa nahii hotaa

ranj raahat fazaa nahii hotaa


tum hamaare kisii tarah na hue

varanaa duniyaa mein kyaa nahii hotaa



naarasaaii se dam ruke to ruke

main kisii se Khafaa nahiin hotaa



tum mere paas hote ho goyaa

jab koii duusaraa nahiin hotaa



haal-e-dil yaar ko likhuuN kyon kar

haath dil se judaa nahiin hotaa



kyon sune arz-e-muztarib ae 'Momin'

sanam aaKhir Khudaa nahiin hotaa

Kisi haraf kisi baab mein nehi aaey ga

Kisi haraf kisi baab mein nehi aaey ga

Tera zikar meri kitaab mein nehi aaey ga



Nehi jaey gi kisi ankh sey koi roshni

Koi khab ab aazab mein nehi aaey ga



Koi khud ko sehraa nehi karey ga meri tarhaa

Koi khuwahishoon k saarab mein nehi aaey ga



Dil baadGumaan tery mosamoon ko naveed ho

Koi khaar dast-e-Ghulaab mein nehi aaey ga



Ousey lakh dil sey pukar loh ousey dekh loh

Koi aik haraf jawab mein nehi aaey ga



Teri rah taktey rehey agarcha Khabar bi thi

K yeh din bi mery hisaab mein nehi aaey ga

Shaam-e-Fursat Dhalay, Hum Nahi Chahatay,

Shaam-e-Fursat Dhalay, Hum Nahi Chahatay,

Ghum Say Fursat Milay, Hum Nahi Chahatay…..



Phir Naya Waar Sehne Ko taiyyar Hain,

Tu Parayshan Rahay, Hum Nahi Chahate…..



Aaj Aansoo Bahanay say, Mut Roko,

Aaj Barish Thumay, Hum Nahi Chahatay…..



Hum Teray Baad Ujray Hon, To bhi Theek Hai,

Ab Kahin Dil Lagay, Hum Nahi Chahate….. .



Teray Pekar Ko Ham Dekhte Hi Rahein,

Tu Nazar Say Hatay, Ham Nahi Chahate…..


Kis Qadar Dil Nasheen Hai Ye Moujon Ka Shor,

Ghum Ka Dariya Ruke, Ham Nahi Chahate…..



Iss Qadar Piyar say Tu Pukara na Kar,

Aag Dil Ko Lagay, Hum Nahi Chahate

Ya DUKH Anmol hotay hain

Qudrat ki widayat hotay hain

Kabhi kuch day kar jatay hain

Kabhi sub kuch cheen laitay hain

Kabhi baychain kartay hain

Kabhi jeena sikhatay hain

Kabhi bantay hain jub aansoo

Umar bhar ya rulatay hain

Naiee dunain sajatay hain

Kabhi meethi kasak ban kar

Anjani khalish ban kar

Makeen-o-dil ya banatay hain

Kisi soorat nahi miltay

Jo in say door bhagoo tu

Janay nahi daitay

Na zinda rehnay daitay hain

Na ya aazad kartay hain

Nahi jis ki dawa koi

Ya aisa dard hotay hain

Magar ya bhi haqeeqat ha

Har aik ko tu nahi miltay

Baray nayab hotay hain

Ya DUKH Anmol hotay hain

Chand k sath kai dard purane nikle

Chand k sath kai dard purane nikle

kitne gam the jo tere gam ke bahane nikle



fasl-e gul ai phir ik bar asiran-e-vafa

apne hi khun k dariya main nahane nikle



hijr ki chot ajab sang-shikan hoti hai

dil ki befaiz zaminon se khazane nikle



umr guzri hai shab-e-tar main ankhain malte

kis ufaq se mera khurshid na jane nikle



ku-e-qatil main chale jaise shahidon ka julus

Khvab yuu bhigti ankhon ko sajane nikle



dil ne ik int se tamir kiya taj mahal

tu ne ik bat kahi lakh fasane nikle


dasht-e tanhai-e-hijranN main khara sochta hun

haye kya log mera sath nibhane nikle



main ne 'faysal' use bevasta dekha hi nahi

vo to Khushbu main bhi ahat ke bahane nikle

Zindagi Ka Safar Hai Yeh Kaisa Safar

Zindagi Ka Safar Hai Yeh Kaisa Safar
Koi Samjha Nahi Koi Jaana Nahi

Hai Yeh Kaisi Dagar Chalte Hai Sab Magar
Koi Samjha Nahi Koi Jaana Nahi

Zindagi Jo Bahut Pyaar Humne Diya
Maut Se Bhi Mohabbat Nibhayege Hum

Roote Roote Zamane Mein Aaye Magar
Haaste Haaste Zamane Se Jaainge Hum

Jaainge Par Kidhar Hai Kise Yeh Khabar
Koi Samjhe Nahi Koi Jaana Nahi

Aise Jeevan Bhi Hai Jo Jiye Hee Nahi
Jinko Jeene Se Pehle Hee Maut Aagayi

Phool Aise Bhi Hai Jo Khile Hee Nahi
Jinko Khilne Se Pehle Fiza Khagayi

Hai Pareshan Nazar Thuk Gaye Char Agar
Koi Samjha Nahi Koi Jaana Nahi

Mohhabat Ka ghum hota bohut Hai,

Mohhabat Ka ghum hota bohut Hai,
K ab Ye Lafz Bhi Ruswa bohut Hai,

Udasi Ka Sabab Main Kiya Bataon?
Gali Kochon Mein sannata bohut Hai,

Na milne Ki qasam Kha K Bhi Main Ne,
Tujhe Har Raah Mein dhunda bohut Hai,

Ye Aankhein Aur Kiya Dekhein Kisi Ko,
Inn Aankhon Ne tujhe Dekha bohut Hai,

Na Jaane Kyun Bacha Rakhe Hein Aanso,
Shayid mujhe Rona bohut hai,

Tujhe maloom To hoga mere humdum,
Tujhe Aik Shakhs Ne Chaha bohut hai.!!!

Main zindagi K Rastey Mein Chup Chaap Bikhar Jaataa

Main zindagi K Rastey Mein Chup Chaap Bikhar Jaataa
Ek Din Bhi Agar Apni Tanhaaii Se Dar Jaataa


Main Tark E Ta’alluq Par Zinda Huun So Mujrim Hun
Kaash Uss K Leye Jiitaa, Apney Leye Mar Jaataa


Uss Jaan-E-Takallum Ko Tum Mujh Se Tou Milvatey
Taskheer Na Kar Paataa, Hairaan Tou Kar Jaataa


Kal Saamney Manzil Thii, Peechhey Meri Aavaazain
Chaltaa Tou Bichhar Jaataa,Ruktaa Tou Safar Jaataa


MaiN Shehr Ki Rounaq Mein, Gum Ho K Bohot Khush Thaa
Ik Shaam Bachaa Laitaa, Ik Roz Tou Ghar Jaataa


Mehroom Fazaaoun Mein, Mayuus Nazaron Mein
Tum AZM Naheen Tehrey, Main Kaise Tehar Jaataa

Zara si dair ko aye khawab ankho'n main

Zara si dair ko aye khawab ankho'n main
Phir uss k baad musalsal azaab ankho'n main

Woh jis naam ki nisbat rooshan tha wajood
Khatak raha hai wohi aaftab ankho'n main

Jinhain mataaey dil-o-jaan samajh rahey thay hum
Woh aaye bhi tu huway hijaab ankho'n main

Ajab tarah ka hai musam ke khaak urhti hai
Woh din bhi thay k khiley thay gulaab ankho'n main

Na janey kis qayamat ka paish khaima hai
Ye uljhan teri bey intesaab ankho'n main

zra kuch dair thehr jao

zra kuch dair thehr jao
mujhay ikk baat kehne do

main aksar sochta hoon ke
tumhain kya ho gaya hai abb
mehazz kuch din ki doori se
badal jao gee tum aisay
kabhi main ne na socha tha
zra si badgumaani pe
palat jao gee raste main
kabhi aisa ne na socha

bhala aisay bhee hota hai
ke manzil rubaru aaye
musaafir lautna chaahe
nahi!aisay nahi hota
manzil aur musaafir main
zra sa farq hota hai
sabar ka farq hota hai

bhala aisay bhee hota hai
mohabatt chandd dinon ki ho
nahi!aisay nahi hota
mohabatt aur ibaadatt main
zra sa farq hota hai
ibaadatt bandagi jaano
mohabatt zindagi maano

kabhi main sochta hoon ke
zra si nasamajh ho tum
jo youn nadaani kar baitheen
magar phir dil yeh kehta hai
ke yeh tumhaari fitratt hai
agor yeh baat sach hai tou
zra si dair thehnr ki
zarooratt hai na majboori
mujhay phir kuch nahi kehna
mujhay phir dard sehne do
mujhay khamosh rehne do
mujhay khamosh rehne do!!!!

WO EK LARKI . . .

WO EK LARKI . . .
WO MERE JAISI

UDAAS LOGOUN KI BUSTIYO MAI
WO TITLIYO KO TALASH KARTI
WO EK LARKI . . .

WO GUL CHEHRA, WO KAALI AANKAIN
JO KARTI REHTI HAZAAR BAATAIN
MIZAAJ SAADA,,, WO DIL KI ACHI
WO EK LARKI . . .

SAARI BATAIN WO DIL KI MAANAY
WOHI KARAY WO, JO DIL MAI THAANAY
KOYI NA JANAY,, KYA OS KI MARZI
WO EK LARKI . . .

WO CHAHATO K SARAAB DEKAY
MOHABATOUN K WO KHWAB DEKAY
WO KHUD SAMANDAR MAGAR HAI PYASI
WO EK LARKI . . .

WO DOSTI K NISAAB JANAY
WO JANTI HAI EHD NEBHANAY
WO ACHI DOST WO ACHI SAATHI
WO EK LARKI . . .

WO JAAM CHAHAT KA PEENA CHAHAY
WO APNE MARZI SE JEENA CHAHAY
MAGAR HAI DARTI,,, MAGAR HAI DARTI
WO EK LARKI . . .

MOHABBATOUN KA JO FALSAFA HAI
WO JANTI HAI,,, OSAY PATA HAI
WO PHIR BI REHTI DARI DARI SI
WO EK LARKI . . .

WO JHOOTAY LOGO KO SACHAY SAMJAY
WO SARI DUNYA KO ACHA SAMJAY
WOH KITNI SAADI,,, WO KITNI PAGLI
WO EK LARKI . . .

Neend tou khuwab ho gai shayad

Neend tou khuwab ho gai shayad
Jins-e-nayaab ho gai shayad......


Apne ghar ki tarah woh larki bhi
Nazr-e-sailaab ho gai shayad.....


Tujh ko sochoon tou roshni dekhoon
Yun mehtaab ho gai shayad..............


Aik muddat say aankh roi nahin
Jheel payaab ho gai shayad.......


Hijr kay panyun main ishq ki naao
Kahin gherqaab ho gai shayad.......


Chand logoon ki dastaras main hai
Zeest kum khuwaab ho gai shayad

ZameeN Thee Meri......Mager Aasmaan Uss ka Tha

ZameeN Thee Meri......Mager Aasmaan Uss ka Tha
Issi Liya Mujhe Khud Per........ Gumaan Uss ka Tha

Main Ab Jo Dhoop Main Jalta Hon..Ussi ka hai Karam
Main Jis ki ChaooN main Tha.......Sai'baan Us ka Tha

Woh Jis Ke Waastay Larta Raha Tha Main Sab Se
Mere Khilaf He.............. Har ek Biyaan Uss ka Tha

Woh Jis ne Mujh ko Hamesha He Dala Mushkil Mein
Yeh Pehli Baar Tha ..........Ke Imtehaan Uss ka Tha

Tum Meri Jaan ho...... Yeh Bhee Ussi ka Kehna Tha
Tum Zakhm-e-Jaan ho..Yeh Bhee Biyaan Uss ka Tha

Jo Roshni Ka Mukhalif Tha.......... Shaher'bhar mein
Tamam Shaher Se....... Roshan Makaan Uss ka Tha

sunaa hai log use ankh bhar ke dekhate hain

sunaa hai log use ankh bhar ke dekhate hain
so us ke shahar main kuchh din Thahar ke dekhate hain

sunaa hai rabt hai us ko Kharaab haaloun se
so apane aap ko barbaad karake dekhate hain

sunaa hai dard ki gaahak hai chashm-e-naazuk us ki
so ham bhi us ki gali se guzar kar dekhate hain

sunaa hai us ko bhi hai sher-o-shaayarii se shagaf
so ham bhi mojaze apane hunar ke dekhate hain

sunaa hai bole to baatoun se phuul jhaartay hain
ye baat hai to chalo baat kar ke dekhate hain

sunaa hai raat use chaand takataa rahataa hai
sitaare baam-e-falak se utar kar dekhate hain

sunaa hai hashr hain us kii Gazaal si aankhein
sunaa hai us ko hiran dasht bhar ke dekhate hain

sunaa hai din ko use titaliyaan sataati hain
sunaa hai raat ko jugnuu Thahar ke dekhate hain

sunaa hai raat se barr kar hain kaakulein us ki
sunaa hai shaam ko saaye guzar ke dekhate hain

sunaa hai us ki siyaah chashmagi qayaamat hai
so us ko surmaafarosh aankh bhar ke dekhate hain

sunaa hai us ke laboun se gulaab jalate hain
so ham bahaar par ilzaam dhar ke dekhate hain

sunaa hai aainaa tamasaal hai jabiain us kaa
jo saadaa dil hain ban saanvar ke dekhate hain

sunaa hai jab se hamaail hain us ki gardan main
mizaaj aur hi laal-o-gauhar ke dekhate hain

sunaa hai chashm-e-tasawar se dasht-e-imkaan main
palang zaave us ki kamar ke dekhate hain

sunaa hai us ke badan ke taraash aise hain
ke phuul apani qabaayen katar ke dekhate hain

vo sarv-qad hai magar be-gul-e-muraad nahain
ke us shajar pe shaguufe samar ke dekhate hain

bas ek nigaah se luTataa hai qaafilaa dil kaa
so rahain-ravaan-e-tamannaa bhi Dar ke dekhate hain

sunaa hai us ke shabistaan se muttasil hai bahisht
makeen udhar ke bhi jalve idhar ke dekhate hain

ruke to gardishein us kaa tawaaf karati hain
chale to us ko zamaane Thahar ke dekhate hain

kise naseeb ke be-pairahan use dekhe
kabhi kabhi dar-o-diivaar ghar ke dekhate hain

kahaaniyaan hian sahi sab mubaalaGe hi sahi
agar wo Khvaab hai taabeer kar ke dekhate hain

ab us ke shahar main Thaharein ki kuuch kar jaayein
'Faraz' aao sitaare safar ke dekhate hain

Apnay Ehsaas Say Choo Kay Mujhay Sandall kar do

Apnay Ehsaas Say Choo Kay Mujhay Sandall kar do
Main Sadiyon Say Adhoora Hoon Mujhay Mukkammal Kar Do

Na Tumhay Hosh Rahay Na Mujhay Hosh Rahe
Iss Qadar Toot Kay Chaho Mujhay Pagal Kar Do

Tum Hatheli Ko Meray Pyar Ki Mahndi Say Rango
Apni Aankhon Mein Meray Naam Ka Kajal Kar Do

Is Ke Saye Tallay Mere Khwaab Dhakk Uthain Ge
Mere Chehray Pe Chamkta Hua Anchal Kar Do

Dhoop he Dhoop Hoon Main Toot Ke Barso Mujh Per
Is Kader Barso Merii Rooh Main Jal Thal Kar Do

Jaise Sehrahoon Main Her Shaam Hawa Chalti Hai
Is Tarah Mujh Main challo Aur Mujhe Thall Kar Do

Tum Chuppa Lo Mera Dil Oat Main Apne Dil Ki
Aur Mujhe Meri Nighaoon Se Bhi Ojhall Kar Do

Maslaa Hoon Toh Nighain Na Churao Mujh Se
Apni Chahat Se Tawajjah Se Mujhe Hall Kar Do

Apne Gham Se Kaho Her Wakt Mere Sath Rahe
Aik Ehsaan Karo Is Ko Mossalsal Kar Do

Mujh Pe Chah Jao Kisii Aag Ki Surat Janaa
Aur Meri Zaat Ko Soohkha Hua jangle Kar Do

Suno jab barish bersa karti hai

Suno
jab barish bersa
karti hai
aur her sou pani hota hai
hum apnay gher k angun main
amar-bail k saaeyay main
boondoun ko daikha kartay hain
or
tum ko socha kartay hain
suno
jab raat seyah ho jati hai
or chandni phaila karti hai
hum apnay gher k angun main
chup k apnay bister man
taroun ko daikha kartay hain
or
tum ko socha kartay hain
__________________

itna bi apni zaat se koi juda na ho

itna bi apni zaat se koi juda na ho

nikle teri talaash mein apna pata na ho

dekho kay phir hawaon kay tevar badal gai

sahil ki rait par koi kuch likh raha na ho

tanhaian kuch is tarha basti hain mery saath

aakaas bi jesay shajar se juda na ho

na kar to mery jism kay zakhmon kay yoon hisab

ye deekh tery? haat main pathar bacha na ho

apno se bi miloon to ye khouf sa rahe

chehre ke peechay or koi chehra chupa na ho

Likhi hai yeh ghazal sirf tere liye

Likhi hai yeh ghazal sirf tere liye

Dewane bane bhi to sirf tere liye


Kisi ko nahin dekheingi ab yeh aankhein

Nazrein tarseingi bhi to sirf tere liye


Her saans mein yaad kareinge tujhe

Ye saans nikle gi bhi to sirf tere liye


Her pyar se pyare lagte ho tum mujhe faysal

Maine pyar seekha bhi to sirf tere liye

====================================

Kiya khabar Thi Tum Achanak Hi Juda Ho Jao Gay,

Kiya khabar Thi Tum Achanak Hi Juda Ho Jao Gay,


Kabhi Mujh Per Martay thay kisi Or Pe Fida Ho Jao Gay,


Ek Tujhe Hi To Chaha Tha Apni Zaat Se Barh Kar,


Ye Socha Bhi Nai k Mere Liye Saza Ho Jao Gay,

Main Nai Pochonga Tum Se kabhi" Mujhe Chorne ka Sabab,

Mere Ye Pochne Per Tum Shayad Mujh Se khafa Ho Jao Gay,

Main to isi Main khush Hun k Tum khush Ho" Warna!

Utha Lon Hath Agar Dua k Liye to" Tum Ab Bhi MERE" Ho Jao Gay....

Wo Manzilen Bi Kho Gayin

Wo Manzilen Bi Kho Gayin
Wo Raasty Bi Kho Gaye

Jo Ashna Se Log The
Wo Ajnabi Se Ho Gaye

Na Chand Tha Na Chandni
Ajeeb Thi Wo Zindagi

Chiragh Thy K Bhuj Gaye
Naseeb Thy K So Gaye

Ye Poochty Hain Raasty
Ruky Ho Kes Ke Wasty?

Chalo Tum Bi Ab Chalo
Wo Mehraban Bi Kho Gaye

Popular Posts