Friday, August 20, 2010

yeh baja k husn hi husn hai meray gird o paish magar nahien



yeh baja k husn hi husn hai meray gird o paish magar nahien
teri aarzoo kii hadood mein kisii aarzoo ka guzar nahien

wo kaleem thay jo behal gye teri barq zair e naqaab say
jo tajaliyon say ho mutmain wo mera mazaaq e nazar nahien

yeh khyal e kham na kar kabhi k ghulam e waqt hai aadmii
teri zindgii kii bulandiyaan yeh nazam e shams o qmar nahien

yeh baja k deer o haram mein hain teri azmaton kii alamatien
meray dil ko apna yaqeen dila mujhay aitbar e nazar nahien

yeh maraqbay yeh makashfay yeh mujhahaday yeh majadalay
teri manzilien hain yeh waqa’ii k mujhey shaoor e safar nahien

yeh hajoom e lala chaman chaman yeh ghata mein barq ka bankpan
ho sajood e shoaq mein rukh kidher teri jalwa gaah kidher nahien

meri justajoo kii rasaiyaan hain teray hadood e jamal tak
mujhay do jhaan say gharaz hii kya meri do jhaan pay nazar nahien

meray sajda haaye dil o nazar, hain kharab kab say idher udher
mujhay is qdar to pata chalay k kidher hain aap kidher nahien

yeh qyaam gaah ka hai asar k maal par bhi nazar nahien
hai safar ka waqt qareeb tar magar ikhtmam e safar nahien

mujhay bazm khoob khay to kya mujhay daad e shair milay to kya
teri aarzoo ka kamal hai , meri shairy ka hunar nahien

yeh chaman yeh danish e be-nawa jo ghira hai abr sharar fishan
kisi samrii ka hai shobda yeh sehar to merii sehar nahien

Thakaa gaya hai Musalsal safar uddasi ka



Thakaa gaya hai Musalsal safar uddasi ka
Aur ab bhi hai mere shaney pe safar uddasi ka,

Wo kon kimiya gar tha jo be-keher gaya,
Tere gulaab chehrey pe zar uddasi ka ,,

Mere wajood ke khilwat qadey mein koi tou tha,
Jo rakh gaya hai dia Ta'aq pe uddasi ka ,,,

Main tujh se ye kaise kahon Yar-e-Meherban mere,
Ke to Illaj nahin hai meri uddasi ka.

Mujh say parda hai to phir khowab main aate kyun ho


Mujh say parda hai to phir khowab main aate kyun ho
Pyar ki shama mere dil main jalate kyun ho

Alwida kehne ko aaye ho to milna kaisa
Hai bicherna to gale mujh ko lagate kyun ho

Dosti ho ke rahay aisa zaroori to naheen
Dil hi jab mil na saka haath milate kyun ho

Na laga pauon ga ilzaam main us per logo
Mere Mujrim ko mere samne laate kyun ho

Band Kejiyee Khirkiyaa Roshni se Hum Darne Lagay


Band Kejiyee Khirkiyaa
Roshni se Hum Darne Lagay
Khirkeyun se Roshani ke Jagay
Abto Dabe Paun DARD aane lagay

Khulee Chat ke nechay
Jab se Hadsoo pe Hadso Huay
Kanpte hain Paun
Abto Dahileez ko bhi Langhtay
Zid na kejeyrr Roshni ke liyay
Abto Bandh Kamre hame Raas Aane lagay....

Apne Chehre pay bhi thee kabhi
Taazgee Rawanagee
Surij Jaisa Tam Thaa
Thee Chandani jaisee Sadagee
Baqat ke Thapairoo ke mar ke mar se
Abto Apna Chehra Aayeno me
Dekh ne se Daar ne lagay......Bad kejiyai

Jo aansoo dil mein girtey hein wo aankhoon mein nahi rehte


Jo aansoo dil mein girtey hein wo aankhoon mein nahi rehte
Buhat se haarf aise hein jo lafzoon mein nahi rehte

Kitaaboon mein likhey jaatey hein dunya bhar kay afsaaney
Magar jin mein haqeeqat ho wo kitaaboon mein nahi rehte

Bahaa’r aaye to har aik phool pe saath aati hai
Hawa jin ka muqaddar ho wo shakhon mein nahi rehte

Liye phirtey hein kuch ehbaab aise muztarib lamhey
Jahan darbaar mil jaaye jabeenoon mein nahi rehte

Mehek aur titlion ka naam bhanwrey se juda kioon ho
Kay yeh bhi to khizaan aaney pe phooloon mein nahi rehte

Jisay tha samjha sahara zindagi ka



Jisay tha samjha sahara zindagi ka
tha woh ek khwab meri bay khudi ka

dard uska tha or tarap meray dil ki
hua hay yeh hissa aaj bay hissi ka

mat hanso halat-e-zar per meri
kuch tou andaza karo meri beybasi ka

kehtay thay keh mat dil laga
dekha hay tunay anjam dillagi ka.

bichertay waqt woh mujh say khush kitni thi


bichertay waqt woh mujh say khush kitni thi
yehi kehtay hain log mohaabat hi itni thi

who bina bataye bina poochay chali gai main kiya kerta
kuch sochnay ki ussay roknay ki mohlet hi kitni thi

dil nay kaha o bewafa ja chhor to aa usaay kaflay tak
main utthta tha main girta tha mujh main himat hi kitni thi

uss nay kaha main aaongi mera intezar kerna
intizar uss ka kerta magr baaki saansain hi kitni thi

zamana aajkul mujhay mujnoo puakaray hay
bus yehi sawal hay us say aur kami kitni thi

main rota raha iltija bhi ki mujrimoo ki terha
taras bhi na aaya uss ko jisay mujh say mohabbat itni thii

Ghalib vs Iqbal vs faraz



1.(GHALIB)

Ghalib sharab peene De masjid mein beth kr.

Ya wo jaga bta jahan Khuda nahi.





2.(IQBAL)



Masjid Khuda ka ghar hy peene ki jaga nahi.

Kafir ke dil mein ja wahan Khuda nahi.





3.(FARAZ)



Kafir ke Dil Se aya hon ye Dek kr Faraz.

Khuda mojood hai wahan,

usay pta nahi.

Kal jo Tanhaee se baton ka silsila nikla


Kal jo Tanhaee se baton ka silsila nikla,
Teri har baat ka bhi tazkira nikla.

Bahut baaten ki mujhse tanhaee ne,
Phir jo daikha har lamha beqara nikla.

Baat itni ki thi mujhse meri tanhaee ne,
Phir jo teri yaadon ka bhi qafila nikla.

Jisko maine samjha tha khamosh hai,
Voh to bahut achchah lab kasha nikla.

Na jaane kitne hi sawaal the mere paas,
Voh tanha lamha to har ek ka jawab nikla.

Jis shaqs ko samajhta tha main nakam ASHIQ
Voh shaqs to ISHQ main kamraa'n nikla.

Yeh ronaqaein Yeh Loog Yeh Ghar chor Jaon Ga


Yeh ronaqaein Yeh Loog Yeh Ghar chor Jaon Ga
Ik din Mein roshni ka Nagar chor jaon Ga

Marnay Say Bayshtar Mer'i Awaz Mut Chura
Mein Apni Jaidaad Idhar Chor Jaon Ga

Qatil Mer'a Nishaan Mitaanay pay Hay Baazidd....
Mein Bhi Sinaa'n Ki Nooq Pay Sir Chor Jaoon Ga

Tu Nay Mujhay Chiragh Samajh kar Bujha __ diya
Laykin Ter'y Liyay Mein Sehar Chor Jaoon Ga

Aa'inda Nasal Mujh Ko Parhay gi Ghazal Ghazal
Mein Harf Harf Apna Hunar Chor Jaoon Ga..

Tum Apnay A'abloo'n Ko Bachatay Ho Kis LIyay ?
Mein Safar Mein Rakht-e-Safar Chor Jaoon Ga

Mein Apnay Doobnay Ki Alaamat Kay toor par!
Darya Mein Aik Aadh Bhanwar Chor Jaoon Ga

Lashkar Karain Gay Meri Dalayri Pay Tabsaray
Mar Kar Bhi Zindagi Ki Khabar Chor Jaoon Ga

Mohsin Mein Us Kay Zakhm Khareedoon Ga Aik Din
Aor Us K Paas La'al-o-Gohar Chor Jaoon Ga

Na zamin na aasmaan ki talaash thi


Na zamin.. na aasmaan ki talaash thi ,
humein na manzil na kaarvaaan ki talaash thi...

faqat ik lamha pyaar ka dhoonte the hum,
jo saath chale do ghadi us meherbaan ki talaash thi ..

gairon ke fasane to hum aksar sunte hi rahe ,
haan magar teri kisi daastan ki talaash thi...

duniya ki baaton ka asar humpe ho na saka ,
sher padhte hue ik bezubaan ki talaash thi ....

rona to chaha kayee baar par aansoon nahin aaye, ,
na jane unko kis daaman-e-rehnuma ki talaash thi...

hum unse milte rahe jinko maloom thi duniya ki haqeeqat,
ghum to yeh raha ki kisi badgumaan ki talaash thi ...

Na zamin.. na aasmaan ki talaash thi ,
humein na manzil na kaarvaaan ki talaash thi...

faqat ik lamha pyaar ka dhoonte the hum,
jo saath chale do ghadi us meherbaan ki talaash thi ..

Paagal hoon tere pyar me keh lo deewana mujhe


Paagal hoon tere pyar me keh lo deewana mujhe,
adaon pe tere marta hoon keh lo deewana mujhe.,

Beshak mera pyar tere liye ek sawal hai juda sa,
jawab tumhe bhi mil jayega keh lo deewana mujhe.,

Tu hai shama meri zindagi ki samajh lo parwana mujhe,
tere chahat me hum bhul gaye na aaya sharmana mujhe.,

Intezar to bas tere haseen jazbato ka hai,
ab to aakar paas mere keh lo deewana mujhe.,

Teri bate suni tere andazo ko maine jana,
kar gayi asar dil pe mere bana gayi mujhe deewana.,

Jaanu ye tadapte haal-e-dil to bas tumhe hai sunana,
lekar apni bahon me ek baar keh lo deewana mujhe..

ankhon may basey khawab ki hai tabeer koi


ankhon may basey khawab ki hai tabeer koi
gharonde izat ke dega bana ke jageer koi

chahatoon may zawal zehnon may para jaal
afsana gar sunaon na hona gulugeer koi

kuch qabil samajhte hain mohabbat ki zuban
baat to kare rok ker shamsheer koi

tareekh raqm ho gi aur zindagian khatam hongi
hai ye almia na badal sake ga phir taqdeer koi

dekh ker sochtey hain farishte bhi dunya ko ye
khuda ne to banai thi jannat se haseen tasveer koi

jiska darr tha wohi haadsa hogaya



jiska darr tha wohi haadsa hogaya,
uska mujh se alag raasta hogaya

woh chala thaam kar haath mera magar,
beech rastay mein mujh se juda hogaya

koi saaya nahin tha kadhi dhoop mein,
dil pighaltay pighaltay fana hogaya

mein ne dekha jisay mein ne socha jisay,
jisko chaha wohi bewafa hogaya!!!

ujaar lamhon ki daastanain ager kaho tou sunaain tum ko



ujaar lamhon ki daastanain ager kaho tou sunaain tum ko
bohat sa hum jagtey rahey hain chalo zara sa jagaain tum ko

tumhi hi jo rashni si ban ker humari aankhon mein aa basey ho
jab apni aankhain hi keh dya hai tou phir bhala kyun rulain tum ko

tum aaj kyun muztarib ho janan,tumharey lehjay mein toot kesi
kaha na tha k waqt dai ga kadooraton ki sazaain tum ko

tum aisa kerna k aik lamhay ko apni dharkan peh haath rakhna
meri wafaain merey ye jazbay ager kabhi yaad aain tum ko

ghubaar aalud raaston mein talaash ker ker k thak gaye hain
kahan peh jaa k basay huye ho kahan se dhoond lain tum ko

tumhain tou sukh aagay muyaser tumhain to hum yaad bhi nahi hain
magr batao k hum jo chahain tou kis tarah se bhulaain tum ko

tum apni baaton peh mutmain ho hamein bhi shermindagi nahi hai
anaa ki diwaar ko gira ker nahi ye mumkin manaain tum ko

kaho ae jazib ye jhoot hai naa k tum ne us ko bhula dya hai
abhi talak jis ki shokh yaadein her aik lamha sataain tum ko

Kal sehan mein hum baad-saba dhoondtay rahay


Kal sehan mein hum baad-saba dhoondtay rahay
Bichar kar tujhse, tera patta dhoondtay rahay…

Jo dekha bhi kisi ko, dekha teray tasavar mein
Hum chehroon mein chehra tera dhoondtay rahay…

Jo baat bhi ki kisi se to, ki tera hawalay se
Hum Lehjoon mein, lehja tera dhoondtay rahay…

Meri dewaangi mein kuch kasoor mera to na tha
Tamaam kissay mein hum apni khataa dhoondtay rahay…

Kabhi kho kar paya tujh ko, kabhi paa ke khoya
Teri jaffaoon mein hum, apni wafa dhoondtay rahay….

Main Aur Meri Awargi


Phirtey hain kab se dar'b'drar
Ab is Nagr Ab us nagr
Ik doosrey key humsafr
Main aur Meri Awargi

Na'ashna her reh-guzr
Na meherbaan sab ki nazr
Jayee to ab jayee kidher
Main aur Meri Awargi

Ik din mili ik meh-jabeen
tan bhi haseen jaan bhi haseen
dil ney kaha hum se wohein
khwaboon ki hai manzil yehi

Phir yun hua woh kho gayee
Aur mujh ko zid si ho gayee
Layee gey us dhoondh ker
Main aur Meri Awargi

Hum bhi kabhi abaad the
aise kaha berbaad the
befiqr the azaad the
masroor the dilshad the

Woh chaal aisi chal gaya
hum bhuj gay'e dil jal gaya
nikley jala ke apna gher
Main aur Meri Awargi

Yeh dil hi tha joh seh gaya
Woh baat aisi keh gaya
Kehne ko phir kya reh gaya
Ashkoon ka derya beh gaya

Jab keh ke woh dil bher gaya
meray liye tu mar gaya
roote hain us ko raat bher
Main Aur Meri Awargi...

Us Say Kehna K, Sasain Ab Bhi Teray Naam Say Chalti Hain


Us Say Kehna K,
Sasain Ab Bhi Teray Naam Say Chalti Hain....

Dil
Ab Bhi,Taray Naam Say Dkarakta Hai...

Aankhain Ab Bhi,Teri
Muntazir Hian....

Sawan Ab Bhi Barasta Hai...
........
MAGAR.......

UsSay Kehna,
Ab Rat Guzarti Nae..
Parinday Ab Geet Gatay Nae.....
Bahar Ab Ati Nae.....
.......
MAGAr.......

IntezarTab Bhi Tha.....
Intezar Ab Bhi Hai....

jo haar jaon to laut ana jo jeet jaon to maan jana


jo haar jaon to laut ana jo jeet jaon to maan jana

main apni ratoon ki fursat main tjhe manaoun to maan jana

agar kisi din main apne anso jo lekar aon to maan jana

yeh ik dil he tumhe dya tha so isko tumne tor dala

shikasta dil ki kirchiyun ko jo samait laon to maan jana

Tu khush nahi hai meri baqa par to sirf itna bata

teri khushi klye jo sooli pe charh jaon to maan jana

to badguman hai meri wafa par to sirf aik bar azma le

jo haar jaon to laut ana jo jeet jaon to maan jana

wo kaisa shakhs hai k her roz saza deta hay


wo kaisa shakhs hai k her roz saza deta hay
phir hansata hay wo itna k bhula deta hay

kabi jo ro day to mujko b bhool jata hay
aur phir bhool k mujko b rula dayta hay

us say poochon k bata kis say muhabat hay tumhai?
Naam sargoshi main mera hi suna dayta hay

khud he kehta hai na dohraon purani yadain
main na dohraon to phir khud he suna deta hay

khud he likhta hai k jazbat main halchal na karo,
aur phir khud he nayee aag laga deta hay

Kis ke Jalwe Rangin Takhallukaat mai hai



Kis ke Jalwe Rangin Takhallukaat mai hai,
Chiraag ban ke koi Zindagi ki Raat mai hai !

Mehak Mehak utha hargosha-e-Hayat Mera,
Kisi ke Jism ki Khusboo Tasawoorat mai hai !

Boht buland Fiza mai Teri Patang sahi,
Magar ye soch k abhi Dorr kis ke Hath mai hai !

Idhar ki Baat bhala kis tarah us tak pahunchi,
Zuroor koi Munafik Hamare sath mai hai !

Mukhalfat Meri mehngi Tujhe paregi boht ,
Zamane!! Tera Mukaddar to Mere hath mai hai !

Hum apne aap ko Mehfooz kis tarah samjhe ,
Abhi Hayat ka her Lamha Haadshat mai hai !

Abr Barsa Na Hawa Taiz Chali Hai Ab Ke


Abr Barsa Na Hawa Taiz Chali Hai Ab Ke
Kitni Veeran Teri Yaadon Ki Gali Hai Ab Ke

Subha Ki Dhoop Utar Aai Mere Balon Main
Shab Dhali Hai Ke Meri Umr Dhali Hai Ab Ke

Kya Kahoon Kitne Bahanon Se Bhulaya Hai Usay
Ye Qayamat Bari Mushkil Se Tali Hai Ab Ke

Ye Meri Aankh Ke Kashkol Main Aansu Chamka
Ya Andheray Main Koi Shama Jali Hai Ab Ke

Sehn e Gulshan Ki Hawa Hai Keh Qaza Ki Dastak
Kitni Sehmi Hui Aik Aik Kali Hai Ab Ke

Dhoondti Hai Bhari Barsat Main Bijli Ka Suragh
Woh Jo Ik Shaakh Keh Phuli Na Phali Hai Ab Ke

Kis Ko Fursat Hai Dhuwan Dekhne Jaye 'Mohsin'
Jhompri Shehar Se Kuch Door Jali Hai Ab Ke ...

Apne dil se itna to poocho Ik baar nahi baar baar poocho



Apne dil se itna to poocho
Ik baar nahi baar baar poocho

Dard Judai ka kaise seh pao gi
Kya is pyar ko bhool tum jao gi

Itna chahne wala kaha se aaye ga
Jo tumhe apni rooh mei samayega

Ye tum bhi janti ho aur mein bhi
Mushkilon se Rab Nikaal lejayega

Ik Mauqa to do apne pyar ko
Jo gaya to phir wapas na aayega

Himmat se kaam lo, mera haath thaam lo
Aankhein band karke mera, ik baar naam lo

Mein abhi mara kahan hun
Jo tum chode ja rahe ho

Itna bura to hun nahi mein
Muh Mode ja rahe ho

Ik mauqa to dil se zara khud ko dedo
Ik haan karo aur mujhe khud ko dedo

Bhala tum pyar se itna darti kyun ho
Jo chahti nahi ho karna, wo karti kyun ho

Kya yehi mere pyar ne hei sikhaya tujhko
Jab waqt aajaye nibhane ka, **** jana mujhko

Tum janti ho ke sache dil se
Humne pyar ek duje ko kiya hai

Har lamha ek dujhe ki yadon mein
Humne mar mar ke aise jiya hei

Ke kabhi mein roothoon to tum manao
Mujhe yunhi bahane bahane se

Ye Dunya haseen ho jayegi
Hum dono ke yu mil jane se

Meine muaf kya tune jo bhi kya
Tum bhi pyar se zara kaam lo

Apni zindagi se aise mat khelo
Ye pyar bhara dil thaam lo

Tum kehti ho tumhe dard bhi hai
Mujhse mil nahi paane ka

To Phir khudh se poocho kya dar nahi
Mujhse itna door tumhe jane ka

Meri zindagi ke har mod pe
Tera hi likha hua naam hai

Tere naam se shuru din hei hota
Khatam meri hoti har shaam hei

Phir soch lo issi gham mein tum
Kya khud ko muaf kar pao gi

Mein janta hun mere alawa tum
Kisi aur ko paas nahi lao gi

Mein intezaar karunga kuch aur din
Phir wapas kabhi nahi aaonga

Tumne himmat haar ke acha na kiya
Sada yehi mein kehta jaonga...!!!!!!!!!!!

Tum laut aana Meri barbadi ki daastan sunne se pehle


Tum laut aana Meri barbadi ki daastan sunne se pehle
mujhe itna bata jaate chodh jaane se pehle

agar koi shikwa tumne mujh se kiya hota
main tum ko mana leta rooth jaane se pehle

tum khush naseeb ho humne chaha hai tumhain
warna bohat the hum ko chahne wale tum se pehle

kya maloom tha itna tadpaye gi judaayi teri
dekho tum laut aana.. yeh jaan jaane se pehle.

Jo khayal they na qayas they wahi log mujh sey bichar gay



Jo khayal they na qayas they wahi log mujh sey bichar gay
Jo muhabatoon ki asaas they wahi log mujh se bichar gay

Jinhein manta hi nahi ye dil wahi log mere hain hamsafar
Jo har tarha se mujhe raas they wahi log mujh se bichar gay

Mujhe lamha bhar ki rafaqtoon kay sarab bohat sataein gay
Meri umar bhar ki jo payas they wahi log mujh se bichar gay

Ye jaal sarey hain aarzi, ye gulaab sarey hain kaghzi
Gul-e-arzoo ki jo baas they wahi log mujh se bichar gay

Jinhein kar saka na qabool main wahi shareek-e-raahe safar huye
Jinhe meri talab meri aass thi wohi log mujh se bichar gay

Meri dharkanon kay karib they meri chah they mera khuwab they
Wo jo roz--o- shab mere paas they wahi log mujh se bichar gay

Hum tum ko zarurat se zyada jo chah baithey


Hum tum ko zarurat se zyada jo chah baithey
Teri yaad mein dil apna jo ganwaa bathey..!!

Yaqeen nahin hota abhi tak yeh khawab hai ya haqeeqat
Hum to teri aankhoon ka tara they kyun ab uktaa bathey..!!

Kehti thi tum main aata hoon roz-shab tere khawaboon mein khayaloon mein
Rakha sirf mehdood hamein khayaloon tak,haqeeqat mein kyun chupaa bathey..!!

Kabhi Naaz tha hum ko apne par, na deinge yeh dil
Dil to diya bhi lekin kahan, ek patthar dil se lagaa baithey..!!

Nahin bhool sakaa main tum ko her mumkin koshish ke baad bhi
Ab kaun aaye ga jab dil ke kamrey mein teri tasveer lagaa baithey..!!

Na tha hamein koi shak teri wafaaoon par jaan
Na thi tu bewafaa,na hai bewafaa,phir kaun si ker hum khataa baithey..!!.!!!!!!!!!!

Zikr aaj bhi hota hai tera meri harr baat me


Zikr aaj bhi hota hai tera meri harr baat me…..
Aye DilNasheen bata tujhe hum kaise bhool jaye…..

Mana aaj saath nahi hum tere……
Par tere binn hum bhi kaise Zindagi ki harr Khushi Kabool jaye…..

Chahate the hum tujhe Beintihaan……
Iss baat se Inkaar nahi karte……

Misaalein dete the jo hum PYar ki……
Aaj bhi unse nahi mukarte……

Par woh Manjar Judaai ke…..Kaise tujhe bataye……
Rukhh toh badal leti hai Hawaye….Par iss Kismat ko kaise apni baaton me uljhaye……

Aye Dilnasheen bata tujhe hum kaise Bhool jaye……

Yaad hai mujhe bhi woh bheegi reit se Naam tera Mitaana……
Tu hee bata Sanam Kamjor Tehreer ko kaise apne Pyar ki TaaQat hum banaye……

Maana ke hum hai Gunehgaar tere…..
Jo tere Haste Chehre ko iss Kadar Udaas Chor aaye…..

Denge Qurbaani ek dinn teri hee Khaatir…..
Phir na kehna tum ab bhi ho pehle jaise…..Door reh kar bhi na badal paaye…..

Aye DilNasheen bata tujhe hum kaise Bhool jaye……

bina dard ke khud ab sambhal na sakun


bina dard ke khud ab sambhal na sakun
khud mein hi rone ki aadat ho gayi hai

woh aa bhi jaye toh lagega ab ajnabi
khwaabon mein hi unhe dekhne ki aadat ho gayi hai

na khabar hoti hai mujhko raat din ki
aandheron mein hi rehne ki aadat ho gayi hai

na dhoondein ab tujhko meri yeh nazrein
bheed mein khone ki aadat ho gayi hai

tha jo pehle tere ishq ka junoon
ab usi junoon se dard sehne ki aadat ho gayi hai

ab tak kisi ko mere haal-e-dil ka pata na chala
ke HUM ko chup rehne ki aadat ho gayi hai.

Khaak mein mil jaaey na kahin meri hasti ka nishaan


Khaak mein mil jaaey na kahin meri hasti ka nishaan
bann ke reh jaaun na kahin ek bhooli bisri dastaan
tum se hai bas yehi iltaja
mujhe apni mohabbat se kabhi mehroom na karna...!!

Kho kar dil ki jageer ham,kehte hain abb yeh hasrat se
nawaaz de kaash tu bhi mujhe apni wafa ki doulatt se
tum se hai bas yehi iltaja
mujhe apni mohabbat se kabhi mehroom na karna.!!!

Binn mausam barsaat ke tapakkte hain aansoo teri yaad mein
posheeda hai ek mouj-e-sumandar meri har fariyaad mein
tum se hai bas yehi iltaja
mujhe apni mohabbat se kabhi mehroom na karna.!!!

Furqat ki lambi raatun mein jab tanhaii mazalim dhaati hai
aise mein teri chahat,meray dil ki mehfil sajati hai
tum se hai bas yehi iltaja
mujhe apni mohabbat se kabhi mehroom na karna.!!!!

Nigaah-e-shoq kehti hai ham ko tera dedaar ho jaaey
nikle aah jo meray dil se,teray jigar ke paar ho jaaey
tum se hai bas yehi iltaja
mujhe apni mohabbat se kabhi mehroom na karna.!!!

choootay saarey rishtay mere,chooot gaye sab sangee saathi
tu hai meri manzil ka nishaan,phair na lena akhiyaan
tum se hai bas yehi iltaja
mujhe apni mohabbat se kabhi mehroom na karna. !!!

Aagaaz to hota hai anjaam nahi hota


Aagaaz to hota hai anjaam nahi hota
jab meri kahani mein woh naam nahi hota

jab zulf ki kaalikh mein ghul jayee koi rahi
badnaam sahi laikin gumnaam nahi hota

hans hans kay jawaan dil kay hum kiyoon na chune tukray
her shahks ki kismat mein inaam nahi hota

behtay huay aansuon nay aankhoo say kaha tham ke
joh meh say pigal jayee woh jaam nahi hota

din doobe hain yaa doobi baraat liye kashti
sahil pay magr koi kohraam naho hota

sari duniya mein meray ji ko laga eik hi shahks



sari duniya mein meray ji ko laga eik hi shahks
eik hi shahks tha baa-khuda eik hi shahks

darja_e_kufr sahi mudha_e_jamal jana
dil say poocho to khuda say bhi bana eik hi shahks

aisa lagta hai sabhi ishq kisi eik say the
aisa lagta hai mujhe milta raha eik hi shahks

main to ai ishq teri qooza ghari janta hoon
tu nay hum do ko milaya to bana eik hi shahks

mujh say naraz na hona meray logo
kya karo meri mohabbat nay chuna eik hi shahks

tu joh kehta hai teray jaisay kayee aur bhi hain
tujhe da'awa hai to hud sa dikha eik hi shahks

tu jise chahta hai main bhi usay chahta hoon
acha lagta hai mujhe teray siwa eik hi shahks

yeh sila mila hai mujh ko teri dosti kay peeche


yeh sila mila hai mujh ko teri dosti kay peeche
kay hazaaroo gam lage hain meri zindagi kay peeche

na to dil ka koi maqsad na to meri koi manzil
main chala hoon kiyoon na jane kisi ajnabi kay peeche

teray aastan say sar ko main uthao ga na hergiz
main kahan kahan na bhatka teri bandagi kay peechay

mujhe keh kay tum sharabi na karo jahan mein ruswa
koi raaz bhi to ho ga meri meh-kashi kay peeche

koi un say ja kay itna zara ai "Shakeel" keh day
main hua jahan mein ruswa teri aashqui kay peechay

yeh sila mila hai mujh ko teri dosti kay peechay
kay hazaaroo gam lage hain meri zindagi kay peeche

Baz e Guzishta Ra Tu Mai Ny Salawt kiya


Baz e Guzishta Ra Tu Mai Ny Salawt kiya
Aainda Reh Reh k Mai Ny bhut ahtiyat kiya

Nighon Ko Mai ny Kr diya Kham Se Kham bht
Jab Se Dil Ko Teri Ulfet Raah Se Aabaad Kiya

Jab Se Aabaad Kiya hai Mai Ny Tujh Es Dil Mai
Hr Raah e dil ko Mai Ny Orn K Liye Barbaad Kiya

Ab Koi Marhala Na Chora Mai Ny Kisi k Liye bhi
Bs ab Jab Se Tujhy Es Khaaq Mai Aabaad kiya

Raashq Krta Hon Apni Muhbat Ki wafa pay Mai
Jab Se Khaqi Ny apny ko apnon Per Khaaq Kiya

Main hosh mein tha to phir us pay mar gaya kaisay



Main hosh mein tha to phir us pay mar gaya kaisay
yeh zeher meray laho mein utr gaya kaisay

kuch us dil mein lagawat zaroor thi werna
woh mera hath daba ker guzr gaya kaisay

zaroor us ki tawajo ki rehbari ho gi
nashe mein tha to main apne hi gher gaya kaisay

jise bhulayee kayee saal ho gaye "Kamil"
main aaj us ki gali say guzr gaya kaisay

main hosh mein tha to phir us pay mar gaya kaisay
yeh zehr meray laho mein utr gaya kaisay

Hont mat si muje izhaar ka moqa to de


Hont mat si
muje izhar ka moqa to de
ishq jurm hai to iqrar ka moqa to de
ankho ankho mei hi keh loo ga jo kehna hai
muje ik pal kay liye magr dedar ka moqa to de
ker le tasleem meri khamosh mohabbat
ya sar-e-aam muje payar ka moqa to de
jeet jana agr mera ganwara na ho to
khail kuch yu kay muje haar ka moqa to de...

tu ne mujh se mohabbat ki thi


tu ne mujh se mohabbat ki thee.
tumaray jhoot main teri safaai thee -
har jhoot main teri sachaaee thee.
koi bhi dewaana aisa na thaa
jiski mohabbat is se bhuland thee.

aisa lagta thaa tumari mohabbat
waqat se bhi bahut bhuland thee.
ab tum judah ho rehay ho
ek dum mera dil toR rehay ho
khuda-hafiz khuda-hafiz keh rehay ho.
sachaai ye thee:
tum ko mujh se mohabbat nahin thee.

Yun hi intezar karta raha or waqt dhalta raha


Yun hi intezar karta raha or waqt dhalta raha
mere intezar ka sooraj her lamha pighalta raha

tay to yeh hua tha key payen gay aik hi manzil
beech rah main woh mukar geya soo-e-manzil main chalta raha

kabi us key liye hans diye kabi us key liye ro diye
woh khud ko to na badal saka bus mujh ko he badalta raha

ab tak kaise chup raha yeh mut pooch
waqt mujhay behlata raha or main behelta raha...

Apney Ban Key Logg Jald Badal Jatey Hain


Apney Ban Key Logg Jald Badal Jatey Hain
Makeen Sey Pehley Hi Makan Badal Jatey Hain

Daam_E_Ulffat Main Giraftar Hon Jin Key
Wohi Chutkyon Main Kali Ko Masal Jatey Hain

Mohtat Kadmon Sey Gamzan Houn Manzil Ki Taraf
Do Kadam Chal Ker Hi Wo Phisal Jatey Hain

Lohe_E_Dil Per Tehreer Ho Jinka Naam Hamaisha
Dard_E_Dil Dey Ker Kis Asani Sey Sunbhal Jatey Hain

Toot kar bhikhar naa jaye, yeh dil mera


Toot kar bhikhar naa jaye, yeh dil mera…
Kahin iske tukre naa ho jayen !!
Aur kitna ispe zulm barpega, yeh dil mera…
Kahin mitti naa ho jaye !!

Aur kitni inteha hogi,
Dede koi zeher ek hi baar isko !!
Aur nahin shaamil himmat,
Dede koi thandi chaanv hi mujhko !!

Kaise kahun ki kitna …
Dard isko hua hai !!
Khali hain lafz saare…
Itna inme damm kahan hai !!
Zaar zaar hoke bhi jiya hai !!
Kitna issne gham piya hai !!

Aur kitna Keher barpega, yeh dil mera…
Kahin patthar naa ho jaye !!
Phir jo mile bhi isko, naazuk chaanv …
Shayad kabhi samajh naa paye !!

kartey raho jafa pe jafa tumse kya kahey



kartey raho jafa pe jafa tumse kya kahey
ati nahin tumko wfa tumko kya kahe

guzri hai humpe jo bhi tumhe usse kya garaz
tumne to sath chor diya tumse kya kahey

dil de ke tumko dil ki tammana nikal gayi
anjaam jo huya so huya tumse kya kahe

nakami-e-hayat ka, bigrey naseeb ka
humse ilaj ho na saka tumse kya kahey

tumne to khat mein likh hi diya akhri slam
ab jo hamara hal huya tumse kya kahey


ponche they anjuman me tumhari magar waha
apna koi vajood na tha tumse kya kahey

tumney hame jla ke , sta ke, rula ke aaj
ek ajnabi ko shaad kiya tumse kya kahey

gazal humne jaam utha ke tumhare baad
din raat apna khoon piya tumse kya kahey.

Junoon Ko Zabt Sikha Loon To Phir Chaley Jana


Junoon Ko Zabt Sikha Loon To Phir Chaley Jana
Mein Apna Aap Sanbhaa Loon To Phir Chaley Jana

Usi Tarah Hai Abhi Tishnagi In Aankhon Mein
Mein In Ki Piyas Bujha Loon To Phir Chaley Jana

Dil Ko Ye Waham K Tum Laut Ker Na Aao Ge
Ye Waham Dil Se Nikaaloon To Phir Chaley Jana

Bayaz-E-Dil Peh Jo Utri Hai Surat-E-Ilham
Wo Ghazal Tum Ko Suna Loon To Phir Chaley Jana

Nisaar Hotey Hain Shama Peh Kesey Perwaney
Yeh Jashan Tum Ko Dikha Loon To Phir Chaley Jana

Yeh bebasee ka samaa kab tak


Yeh bebasee ka samaa kab tak
yeh gham ke jaam maghar kab tak
din nikalta bhi nahi teri yaad aa jaye
tadaptei rahei taa raat maghar kab tak

Pathar ka jigar rakhnei walon
yun phoolon ka yauvan chooso naa
murjhaye hue jismon ki kasak
sulagei armaan maghar kab tak

Tum to sote ho mahalon mein
aur mujhko bistar kaanton kaa
andheri sooni raton ke saayon mein
yaadon ke ghaav maghar kab tak

Kafan odh kar so bhi jawoon
gar mujh par khaak koi daale
behayaa aankhon ki garmi se
dahken jazbaat maghar kab tak

Koi naya chahne waala phir
raatein rangeen banayega
jismon ki numaaish mein honge
naye naye kharidaar maghar kab tak

Phir laut ke mujh ko dhoondoge
kohron mein kabhi saawan mein kabhi
jab kahin nahin deekhoonga tumhe
hoga afsos maghar kab tak ?

Baadbaa'n kab khoolta hoon paar kab jata hoon mein


Baadbaa'n kab khoolta hoon paar kab jata hoon mein..
Roz raste ki tarha darya se laut aata hoon mein..

Subha dam mein khoolta hoon rassi apne pao'on ki..
Din dhale khud ko kahin se haank k laata hoon mein..

Apni janib se bhi deta hoon kuch kachuke jism ko..
Iss ki janib bhi apne ghum sehlata hoon mein..

Aik bache k tarah khud ko bitha k samne..
Khoob khud ko koosta hoon khoob samjhta hoon mein..

Khush patoon ki tarah hai qoowat-e-goyaee bhi..
Baat koi bhi nahi aur bolta jaata hoon mein..

Ye wohi tanhaii hai ab jis se behal jata tha dil..
Ye wohi tanhaii hai ab jis se ghabrata hoon mein..

Ishq mein maana hai ghalib ki tarafdari mujhe..
Roab jab chalta nahi to pao'on par jata hoon mein..

Mere haath aate hain tabish dosre mausam k phool..
Aik mausam mein to tehni tak pohanch paata hoon mein.

Socha na tha hum bhi aisi shaam dekhenge


Socha na tha hum bhi aisi shaam dekhenge,
Tujh jaise bewafaa ka aakhri salaam dekhenge,

Tut kar chahte rahe tumhe wafa ka naam pe,
Apne aap ko hi ek din tere naam pe tut-te dekhenge…

Saare sapno ko samete rakha tha humne,
Un saari yaado ko ab bikharte dekhenge,

Mohabbat ke bazaar me yu hi ek din,
Apne aap ko hi hum yu nilaam dekhenge…

Socha na tha hum bhi aise shaam dekhenge,
Tujh jaise bewafaa ka aakhri salaam dekhenge

Mohabbat aik shajr hey


Mohabbat aik shajr hey.........

Aur shajr ko iss se kia matlab

k iss ki chhaon mein koi...............

Thaka hara musafer aa k betha hey

Ab iss ka rang kia hey?

Nassl kaisee hey?........

Kahan se aaya hey?.....

Issay kis simt jana hey?.....

Shajer ka kaam to bass........

Chhaon dena aur dhoop sehna hey.

Ku-bu-ku phel gayi baat shanashai ki


Ku-bu-ku phel gayi baat shanashai ki,
Usne khushboo tareh meri paziraaye ki.

Kaise kehdoo mujhe chod diya usne
Baat to such hai mager baat hai rusvayi ki.

Wo kahin bhi gaya lauta to mere paas aaya,
Bus yahi baat hai achi mere herjai ki.

Tera pehlu, tere dil ki tareh aabad rahe,
Tujh pe guzre na kayamet shabe-tanhai ki.

Usne jalti hui peshani pe jab haath rakha,
Ruh tek aagayi Taseer masihayi ki.

hum nay katii hain teri yaad mein raatien aksar


hum nay katii hain teri yaad mein raatien aksar
dil say guzrii hain sitaron kii baraatien aksar

ishq rahzan na sahii ishq kay haathon phir bhi
hum nay lut-tii hoii dekhii hain baraatien aksar

hum say aik baar bhi jeeta hai na jeetay ga koii
wo tum hum jaan kay khha laitay hain maatien aksar

un say poocho kabhi chehray bhi paray hain tum nay
jo kitaabon kii kiya kartay hain baatien aksar

hum nay un tund hawaaon mein jalay hain chiragh
jin hawaaon nay ulat dii hain bisaatien askar

aur to kon hai jo mujh ko tasalii daita
haath rakh daitii hain dil par teri yaadien aksar

haal kehna hai kisi say to mukhatib hai koii
kitni dil-chasp hua kartii hain baatien aksar

Tum ne murjhay huey phool kabhi dekehein hain



Tum ne murjhay huey phool kabhi dekehein hain ? ?
Dil ki qaberon pe pare...............
Hijar ki laash ki aankhon pe dharey....
Tum ne uktaaye huey khuwab kabhi dekehein hain ??
Dard ki palkon se liptay huey..................
Ghabraye huey............
Tum ne be-chain duaein kabhi dekehein hain ? ? ?
Muhabbat ke kinaron pe bhatakti phirti
Tum ne dekha hai mujhe ????
Kya kabhi dekha hai mujhe ????

yahan chahton ka sila nahi yahan dosti ka maza nahi


yahan chahton ka sila nahi
yahan dosti ka maza nahi

yahan jane kaise hawa chali
rahi doston mein wafa nahi

yahan jal gaya mera ashiyan
abhi baadlon ko pata nahi

uske dar pe dastak de sakoon
yeh haq usne mujhe diya nahi

mein raahi hoon raah e umeed ka
mujhe manzilon ka pata nahi

bebas hoon jahan mein itna
jaise mera koi khuda nahi

meri saadgi mera jurm hai
koi aur meri khata nahi...

Dilo'n ma'n phir se nai chahte'n saja bethe



Dilo'n ma'n phir se nai chahte'n saja bethe
Galey mile to dabhi ranjeshe'n bhula bethe

Wo jis ko payar ka mafhoom tak nahi maloom
Usi kay dar par kyu'n jan-o- dil lutta bethe

Khabar bhi thi kay hawaein wafa nahi kartein
Unhi kay dosh par phir kyu'n diya jala bathe

Ye nain qurb main kyu'n beiktiyar hotey hain
Jo baat dil ne chupai wahhi bata bathe

Jo patharo'n kay hawale se moatbar hai bohat
Usi shahar main ham sheeshay ka ghar bana bethe

aa hi jaey gi saher matla_e_imkaan to khula


aa hi jaey gi saher matla_e_imkaan to khula
na sahi baab_e_qafas, rozan_e_zindaan to khula 


ley k aai to saba us gul_e_cheeni ka payam
wo sahi zakhm ki surat, lab_e_khandan to khula 


sail_e_rang aa hi rahey ga,mager aey kasht_e_chaman
zarb_e_mosam to pari,band_e_baharaan to khula 


dil talak pohenchey na pohenchey mager aey chashm_e_hayat
baad muddat k tera panja_e_mizgaan to khula



dard ka dard sey rishta hai chalo aey Majrooh
aaj yaroan sey ik uqda_e_asaan to khula

Popular Posts