Wednesday, July 21, 2010

Haseen Titliyon Ko Sataya Nahi Karte


Haseen Titliyon Ko Sataya Nahi Karte,
Kabhi Pariyon Se Dil Lagaya Nahi Karte,

Zulm Karte Hai Aksar Yehi Husn Wale,
Inko Chahat Ka Nagma Sunaya Nahi Karte,

Tod Dete Hai Dilko Sada Hi Sitamgar,
Aur Wajah Bewafayi Ki Bataya Nahi Karte,

Mehekte Rahe Hai Ye Dilke Chaman Mein,
Magar In Pe Haq Bhi Jataya Nahi Karte,

Jalna Hai Ulfat Ki Rasmon Mein Lekin,
Parwane Shamma Ko Bujhaya Nahi Karte,

Mohabbat Hai Kya Ye mujh Se Puchho,
Kabhi Raah-E-Wafa Ko Bhulaya Nahi Karte...

Palkon pe aanso'on ko sajaya na jaa saka


Palkon pe aanso'on ko sajaya na jaa saka
us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka

zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera
ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka

jab teri yaad aayi to koshish ke ba wajood
aankhon main aanso'on ko chupaya na jaa saka

kuch log zindagi main aise bhi aaye hain
jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka

bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho
hum se to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka

woh muskuraha tha mere ru-ba-ru magar
chehre ka rang us se chupaya na jaa saka

tanhaiyon ki aag main hum jal gaye
magar faasla ana ka mitaya na jaa saka

Tere Jalwe Ab Mujhe Har Soo Nazar Aane Lage


Tere Jalwe Ab Mujhe Har Soo Nazar Aane Lage,
Kaash Ye Bhi Ho Ke Mujh Mein Tu Nazar Aane Lage,

Ibtedaa Ye Thi Ke Dekhi Thi Khushi Ki Ek Jhalak,
Intehaa Ye Hai Ke Gam Har Soo Nazar Aane Lage,

Bekarari Badhate Badhate Dil Ki Fitrat Ban Gayi,
Shayad Ab Taskeen Ka Pehlu Nazar Aane Lage,

Khatam Karde Ab Shaam-E-Gam Ki Daastan,
Dekh Un Aankhon Mein Bhi Aansu Nazar Aane Lage...

Jee Raha Tha Akela Magar Ek Din Meri Khamosh Tanhaiyon Mein Koi


Jee Raha Tha Akela Magar Ek Din,
Meri Khamosh Tanhaiyon Mein Koi,
Ek Pari Jaisi Banke Nida Aa Gayi,
Har Khamoshi Ke Ehsaas Pe Chha Gayi,
Mujhse Boli, "Mera Haath Thamoge Tum?"
Jee To Chaha Ke Jhat Se Main Haan Bol Dun
Phir Ye Socha Ke Maazi Ka Dar Khol Dun,
Mera Maazi Ke Jispe Kayi Daagh Hai
Maine Socha Ke Iske Andheron Ka Dar
Phir Badal Dega Uske Irade, Magar
Wo Irade To Zyada Atal Ho Gaye,

Bas To Khudko Supurd-E-Hawa Kar Diya,
Thaam Kar Haath Uska Main Udne Laga,
Khwab Se Khwab Sa Koi Judne Laga,
Zindagi Ke Suhane Se Pal Ho Gaye
Waqt Kaise Gaya Kuch Khabar Na Hui,

Ek Din Mujhse Aise Wo Kehne Lagi,
"Ye Ta'lluQ, Ye Ehsaas Apni Jagah
Par Mujhe Ab Tum Apne Liye Maang Lo
Mujhko Apna Bana Lo Sada Ke Liye"
Dil Tadap Sa Gaya Uski Is Baat Par
Ye Tamanna To Meri Bhi Thi Na Magar
Main Ke Jakda Hua Apne Halaat Mein
Wo Ke Majbooriyon Ki Satayi Hui,

Din Guzarte Rahe, Dono Karrate Rahe,
Aakhir Usne Achanak Kaha Ek Din,
Ke Wo Ab Se Kisi Gair Ke Naam Hai,
Ek Zara Na Yaqeen Aaya Pehle Pahel,
Jab Ye Samjha To Duniya Fanaa Ho Gayi,
Usse Puchha, Wo Iqraar-O-Ehed-E-Wafa
Kya Hue? Wo Mohabbat Kidhar Kho Gayi?
Sunke Boli, "Daga Thi, Wo Sab Jhooth Tha
Mujhko Ulfat To Apne Piya Se Hai Bas"

Sunke Hairat Bhi Hai, Sunke Wehshat Bhi Hai,
Par Khuda Se Yehi Puchta Hoon Main Ab
Wo To Apne Piya Ki Thi, Unki Hui
Do Dilonki Magar Is Kahani Mein Main
Kis Liye, Kis Tarah Aur Kyon Aa Gaya???

Dard Wo Hai Jiska Koi Humdard Bhi Nahi


Dard Wo Hai Jiska Koi Humdard Bhi Nahi,
Manzil Wo Hai Jiska Koi Saathi Bhi Nahi,

Sapne Wo Hai Jisme Koi Apne Bhi Nahi,
Dil Wo Hai Jisme Koi Dhadkan Bhi Nahi,

Aankhein Wohi Hai Jisme Koi Haya Bhi Nahi,
Samundar Wo Hai Jisme Koi Lehre Bhi Nahi,

Mohababt Wo Hai Jisme Koi Manzil Bhi Nahi,
Pyaar Wo Hai Jisme Koi Haya Bhi Nahi,

Dil Wo Hai Jisme Koi Raah Bhi Nahi,
Phool Wo Hai Jisme Koi Khushbu Bhi Nahi,

Mehek Wo Hai Jisme Taazgi Bhi Nahi,
Bhool Wo Hai Jiski Koi Pyaas Bhi Nahi,

Pyaas Wo Hai Jiski Koi Aas Bhi Nahi,
Zindagi Wo Hai Jisme Koi Maza Bhi Nahi,

Maut Wo Hai Jiska Koi Pata Bhi Nahi...

Main Tujhse Kuch Nahi Mangti, Bas.....


Main Tujhse Kuch Nahi Mangti, Bas.....
Kabhi Zindagi Ki Bheed Se Alag Hokar,
Kabhi Apne Kamre Mein Tanha Ro Ke,
Kabhi Baaton Hi Baaton Mein,
Kabhi Bedhyaani Mein,
Kabhi Ek Bekarari Se,
Kabhi Kisi Dilnasheen Lehje Ke Seher Mein,
Kabhi Kisi Sooraj Ko Dubte Dekh Kar,
Kabhi Akele Fursat Mein,
Kabhi Beinteha Masroofiyat Mein,
Kabhi Kisi Khat Ko Padh Kar,
Kabhi Aayine Mein Sanwar Kar,
Kabhi Chaandni Raaton Mein,
Kabhi Bhigti Hui Barsaton Mein,
Kabhi Doston Se Milte Hue,
Kabhi Sahil Pe Chalte Hue,
Kya Tumne Ye Socha,
Ke Kyon Tujhse Wabasta Har Yaad Ko Main Aise Sambhalti Hoon,
Jaise Apni Koi Sab Se Qeemti Chiz Ko Zamane Se Chhupa Kar Rakhe,
Taake Dilko Kabhi Un Yaadonse Gaafil Na Hone Dein,
Kabhi Kabhi Tum Sochte Honge,
Ke Kitni Pagal Ladki Hai,
Jo Mere Likhe Har Khat Ko Raaton Ko Uth Uth Kar Padhti Hai,
Jo Mujhse Suni Har Baat Ek Muqaddas Nishani Ki Tarah Mehfooz Rakhti Hai,
Jo Har Us Din Ka Hisab Rakhti Hai Jab Wo Meri Awaz Sunti Hai,
Jo Har Us Lamhe Ko Zindagi Maanti Hai Jab Main Uske Paas Hota Hoon,
Jiske Saare Raste Meri Hi Manzil Ki Taraf Khatam Hote Hai,
Jiske Liye Zindagi Mere Hi Naam Mein Pewast Hokar Reh Gayi Hai,
Jo Meri Pasand Ko Aise Apnaati Hai Jaise Usne Hamesha Se Woh Chiz Chahi Ho,
Jiska Wajood Har Lamha Dua Karta Hai Meri Khushi Ke Liye,
Lekin In Sab Baaton Ke Bawajood
Main Tujhse Kuch Nahi Maangti,
Na Meri Wafaon Ka Sila
Na Mere Likhi Kisi Bhi Khat Ka Jawab,
Na Meri Mohabbat Pe Yaqeen,
Na Mere Kisi Bhi Pal Ka Hisaab,
Bas Chaho To Itna Karna,
Meri Tarah Bahtu Hi Bekarar Hoke,
Mujhe Apne Dil Ke Wo Saare Ehsaasaat Likh Dena,
Jo Tum Mere Liye Mehsoos Karte Ho,
Jo Sirf Mere Liye Hai,
Sirf Mere Liye...

De Kar Gam-E-Judayi Wo Jaane Kidhar Gaya


De Kar Gam-E-Judayi Wo Jaane Kidhar Gaya,
Burpaa Qayamatein Jo Mere Dil Pe Kar Gaya,

Jaate Hue Wo Le Ke Dua Ka Asar Gaya,
Mujhko Gam-E-Hayat Se Begana Kar Gaya,

Dekha Jo Soo-E-Tajmahal, Dil Ne Ye Kaha,
Fun To Raha Hai Zinda Ka Fankar Mar Gaya,

Kya Yaad Kar Sakega Yahan Par Mujhe Koi,
Sheraza Meri Hasti Ka Jis Din Bikhar Gaya,

Phir Aaj Usi Ko Dhundti Hai Ye Nigah-E-Shouq,
Dekhe Jise Aye Sanam Zamana Guzar Gaya...

Ek Bar Mil Ke Phir Na Kabhi Umr Bhar Mile


Ek Bar Mil Ke Phir Na Kabhi Umr Bhar Mile
Do Ajnabi Thai Hum Jo Sar-E-Rahguzar Mile

Kuch Manzilon Ke Khwaab The Kuch Raston Ki Dhoop
Nikle Safar Pe Hum To Yehi Humsafar Mile

Yon Apni Sarsari Si Mulaqat Khud Se Thi
Jaise Kisi Se Koi Sar-E-Rahguzar Mile

Ek Shakhs Kho Gaya Hai Jo Raste Ki Bheer Mein
Us Ka Pata Chale To Kuch Apni Khabar Mile

Apne Safar Mein Yun To Akela Main Magar
Saya Sa Ek, Raah Ke Har Morr Pe Mile

Barson Mein Ghar Hum Aye To Begana War Aaj
Hum Se Khud Apne Ghar Ke Hi Deewar-O-Dar Mile

Makhmoor Hum Bhi Raqs Karein Moj Gul Ke Sath
Khul Kar Jo Hum Se Mausam-E-Deewana Gar Mile

Aaj Tum Hum Ko Aise Kyon Paraye Paraye Se Lagte Ho


Aaj Tum Hum Ko Aise Kyon Paraye Paraye Se Lagte Ho,
Jaise Kabhi Tum Mere Ghar Aaye Aaye Se Lagte Ho,

Maazi Ke Dareechon Mein Gaur Se Ghar Mein Dekhun To,
Tum To Mere Apne Hi Saaye Saaye Se Lagte Ho,

Khamoshi Hai Ab Galiyon Mein Aur Suna Suna Mera Man,
Shaher-E-Dil Ki Galiyon Se Jaaye Jaaye Se Lagte Ho,

Chahel Pehel Un Raaton Mein Jab Chaand Nikla Karta Tha,
Jo Gazlein Suna Karte The Bhulaye Bhulaye Se Lagte Ho,

Jab Shaam Ki Lambi Baaton Mein Jhagde Suljha Karte The,
Jo Na Suljhe Ab Tak Wo Uthaye Uthaye Se Lagte Ho,

Jin Baaton Ki Humne Mil Kar Kasmein Khoob Khayi Thi,
Unko Yaad Karke Kyon Ghabraye Ghabraye Se Lagte Ho,

Aaj Kuch Chehra Aisa Ahi Ke Dhoond Raha Hoon Wo Sada Pan,
Jo Bana-O-Singhaar Ke Pichhe Tum Chhupaye Chhupaye Se Lagte Ho,

Badal Li Hai Raahein To Is Dilko Bhi Badal Lo Tum,
Aaj Bhi Is Mein Meri Yaadein Basaye Basaye Se Lagte Ho...

Us mod se shuru karein phir ye zindagi


Us mod se shuru karein phir ye zindagi,
har sheh jahan haseen thi hum tum the ajnabi,
lekar chale the hum jinhe jannat ke khwaab the,
phoolon ke khwab the wo mohabbat ke khwaab the,
lekin kahan Hai un mein wo pehle si dilkashi,
har shay jahan haseen thi hum tum the ajnabi,

rehte the hum haseen khayalon ki bheed mein,
uljhe hue hai aaj saalon ki bheed mein,
aane lagi hai yaad wo fursat ki har ghadi,
har shay jahan haseen thi hum tum the ajnabi,

shayad ye waqt humse koi chaal chal gaya,
rishta wafaon ka aur hi rango mein dhal gaya,
ashqon ki chandni se thi behtar wo dhoop hi,
har shay jahan haseen thi hum tum the ajnabi...

Zara Sa Qatra Kahin Aaj Agar Ubharta Hai


Zara Sa Qatra Kahin Aaj Agar Ubharta Hai,
Samandaron Hi Ke Lehje Mein Baat Karta Hai,

Khuli Chahaton Ke Diye Kab Ke Bujh Gaye Hote,
Kio To Hai Jo Hawaon Ke Par Katarta Hai,

Sharafaton Ki Yahan Koi Ehmiyat Hi Nahi,
Kisika Kuch Na Bigado To Kaun Darata Hai,

Zameen Ki Kaisi Vikaalat Ho Phir Nahi Chalati,
Jab Aasman Se Koi Faisla Utarta Hai,

Tum Aa Gaye Ho To Phir Kuch Chandni Si Baatein Ho,
Zameen Pe Chand Kahan Roz Roz Utarta Hai...

Aankhein Hai Meri Weeran Dil Mein Uthe Toofan



Aankhein Hai Meri Weeran,
Dil Mein Uthe Toofan,
Sapno Mein Aake,
Mere Dil Mein Samake,
Mere Piya Ban Gaye Anjaan,
Ye Hawayein Kyon Rulayein,
Aayi Yahan, Suni Raatein,

Chaya Kaisa Andhera,
Tu Jo Na Hua Mera,
Dekh Akeli Mujhe,
Dhundti Hawaon Mein,
Badalone Hai Ghera,
Ye Ghatayein Kyon Satayein,
Aayi Yahan, Suni Raatein,

Rimjhim Rimjhim Barse Sawan,
Aaya Kaisa Ye Mausam,
Kajra Bhi Beh Gaya,
Aansuon Ki Dhaar Mein,
Bheega Mera Tan Aur Man,
Ye Fizayein Kyon Rulayein,
Aayi Yahan, Suni Raatein...

Udaasiyon Ka Sabab Jo Likhna To Ye Bhi Likhna


Udaasiyon Ka Sabab Jo Likhna
To Ye Bhi Likhna,
Ke Chand Taare Shahab Aankhein Bandal Gaye Hai,
Wo Zinda Lamhe Jo Teri Raahon Mein,
Tere Aane Ke Muntazir Thi,
Wo Thak Ke Saayon Mein Dhal Gayi Hai,
Wo Teri Yaadein, Khayal Rahe, Wo Ranj Tere, Malaal Tere,
Wo Teri Aankhein, Wo Sawal Tere,
Wo Tumse Meri Tamaam Rishte Bichhad Gaye Hai, Ujad Gaye Hai,
Udaasiyon Ka Sabab Jo Likhna,
To Ye Bhi Likhna,
Larazte Honthon Pe Ladkhadate Duak Soruj
Pighal Gaye Hai...

Gaye Mausamon Ke Haath Ye Paigam Humne Bheja Tha


Gaye Mausamon Ke Haath Ye Paigam Humne Bheja Tha,
Kab Apni Chahat Nibhaoge, Laut Ke Tum Kab Aaoge,

Chiraag-E-Dil Jala Rakha Hai Tere Intezaar Mein,
Meri Rooh Ko Sukoon De Jaoge Laut Ke Tum Kab Aaoge,

Dekh Lata Hai Meri Nazron Mein Har Koi Tera Aqs,
Kab Mujhe Khudse Milaoge, Laut Ke Tum Kab Aaoge,

Sitaare Toot Ke Girte Hai Tere Aangan Mein Har Shab,
Unhe Meri Maang Mein Bhar Jaoge, Laut Ke Tum Kab Aaoge,

Har Lamha Teri Muntazir Rehti Hai Ye Nigahein,
Mere Khwaab Tumhi Sajaoge, Laut Ke Tum Kab Aaoge,

Maana Ke Des Paraya Hai Par Khud Ko Sambhale Rakhna,
Saraab Ko Chhod Na Paoge, Laut Ke Tum Kab Aaoge...

Jab Dhoop Dhal Jayegi Jana Jab Parinde Chhod Kar Aashiyan Apna


Jab Dhoop Dhal Jayegi Jana,
Jab Parinde Chhod Kar Aashiyan Apna
Nayi Aor Kuch Karenge,
Ped Ke Saare Patte Tinka Tinka Hokar
Khizaan Ka Ailan Karenge,

Jab Barf Sa Ho Jayega Sara Manzar,
Aur Chhayega Gum Ka Badal,
Aise Mein Chupke Se Aakar,
Main Tumko Hasaungi
Tumhe Main Yaad Aungi,

Khuli Khidkiyon Se Bhi Jab
Ghutan Kam Nahi Hopayegi,

Tanhayi Tumhara Dar Khat Khatayegi,
Jab Sawan Jhoom Ke Barsega
Tumhara Dil Bhi Tarsega,
Jab Ye Matlab Parast Duniya
Tumhe Chhod Jayegi
Tumhe Main Yaad Aungi...

Haakim-E-Sheher Bata! Waqt Ke Shikanjo Ne Khwahishon Ke Phoolon Ko



Haakim-E-Sheher Bata!
Waqt Ke Shikanjo Ne
Khwahishon Ke Phoolon Ko,
Noch Noch Toda Hai...Kya Yeh Zulm Thoda Hai?
Dard Ke Jazeeron Ne
Aarzu Ke Jeevan Ko,
Maqbaron Mein Dala Hai,
Zulmaton Ke Dairay Hai.....Log Sab Lutere Hai,
Maut Rooth Baithi Hai,
Zaat Raiza Raiza Hai,
Zindagi Tere Haathon,
Paimal Hai Janaan, Ek Sawaal Hai Janaan!
Kaise Main Loon Jeevan?
Saans Hi Nahi Koi,
Karb Karb Lamhe Yeh
Baar Baar Daste Hai,
Log Tum Pe Haste Hai,
Taar Taar Aanchal Hai,
Dard Dard Jeevan Hai,
Shabnami Si Palkein Hai,
Qurb Hai Na Doori Hai, Zindagi Adhuri Hai,
Ab Yaqeen Aaya Hai.........Maut Bhi Zaroori Hai!!!

Inhi Raaston Mein Kisi Mod Par Kaun Thak Gaya, Haar Gaya


Inhi Raaston Mein
Kisi Mod Par
Kaun Thak Gaya, Haar Gaya,
Pathreeli Raahon Ka Zeher,
Chup Chap Kisko Maar Gaya?
Kaun Kahe Kisse,
Chamakti Aankhon Se Diye
Bujh Kyon Gaye,
Veeran Hai Aashiyan
Makeen Kihdar Jaa Base,
Wehshat-Zada Sa Koi In Veeranon Mein,
Khamosh, Udaas Kyon Chup Chap Rota Hai,
Udti Khaak Kisko Yaad Karti Hai,
Meenh Bina Barse Kisko Bhigota Hai,
Kaun Kahe Kisse,
Ke Raahi Raah Kyon Bhatak Gaya,
Safar Shuru Bhi Na Hua Aur Koi Be-Tarah Thak Gaya,

Haay Kuch Kehne Ke Liye Kuch Bacha Hi Nahi,
Shayad Koi Khwahish Roti Rehti Hai,
Mere Andar Barish Hoti Rehti Hai.. 

Shabanam Ke Aansu Phool Par Ye To Wahi Qissa Hua

Shabanam Ke Aansu Phool Par Ye To Wahi Qissa Hua,
Aankhein Meri Bheegi Hui Chehra Tera Utaraa Hua,

Ab In Dino Meri Gazal Khushbu Ki Ek Tasveer Hai,
Har Lafz Gunche Ki Tarah Khil Kar Tera Chehra Hua,

Mandir Gaye Masjid Gaye Peeron Fakeeron Se Mile,
Ek Usko Paane Ke Liye Kya Kya Kiyaa Kya Kya Hua,

Shayad Ise Bhi Le Gaye Achhe Dino Ke Qaafile,
Is Baag Mein Ik Phool Tha Teri Tarah Hansta Hua,

Anmol Moti Pyaar Ke, Duniya Chura Ke Le Gayi,
Dil Ki Haveli Ka Koi Darwaza Tha Toota Hua...

Ye Kaisi Ajab Zindagi Ki Ghadi Hai Ke Jabse Ki Bhi Rafaqat Nahi Hai


Ye Kaisi Ajab Zindagi Ki Ghadi Hai,
Ke Jabse Ki Bhi Rafaqat Nahi Hai,
Koi Shakhs Unko Naya Jo Mila To,
Kaha Ke Purane Ki Aadat Nahi Hai,

Meri Aankh Bojhal Na Ho Gar To Kaise?
Koi Bojh Sehne Ki Aadat Nahi Hai,
Koi Aake Khole Meri Band Aankhein,
Mujhe Ab Jagne Ki Aadat Nahi Hai,

Koi Khalq Ki Bandagi Jo Kare Gar,
To Ye Bandagi Hai, Ibaadat Nahi Hai,
Jo Mafhoom Puchhe Koi Abd Ka To,
Kahein Ye Batane Ki Aadat Nahi Hai,

Safar Ye Kathin Hai, Bataya Tha Unko,
Unhe Sath Chalne Mein Raahat Nahi Hai,
Jo Har Pal Hamein Aazmate Rahe Ho,
Unhe Aazmane Ki Aadat Nahi Hai,

Wafa Lafz Kehte Rahe Umar Bhar Jo,
Unhe Ye Nibhaneki Aadat Nahi Hai,
Jo Tum Khelte Ho To Khelo Dilonse,
Hamein Dil Lagane Ki Aadat Nahi Hai,

Jo Kehte The Tumko Hai Sapno Mein Dekha,
Wo Kehte Hai Khwabon Ki Aadat Nahi Hai,
Kisiki Hansi Yaad Aati Hai Warna,
Hamein Muskurane Ki Aadat Nahi Hai,

Jo Dekhi Wo Aankhein, Qadam Unke Bojhal,
Kahein Humko Manzil Ki Chahat Nahi Hai,
Rahe Dasht Ke Umr Bhar Jo Musafir,
Qadam Do Qadam Ki Bhi Aadat Nahi Hai,

Naya Sheher Har Din, Naya Darr Har Ek Shab,
Dagar Puchhne Ki Bhi Haajat Nahi Hai,
Hamein Ghar Mila Bhi To Us Waqt Sajid,
Ke Jab Ghar Ko Jaane Aadat Nahi Hai...

Mujhe Aisa Kyon Lagta Hai Tum Mujhko Ab Bhi Chahte Ho


Mujhe Aisa Kyon Lagta Hai,
Tum Mujhko Ab Bhi Chahte Ho,
Tum Mujhko Aazmaate Ho,
Main Aankhein Band Kar **** To
Mujhe Awaz Dete Ho,
Tumhari Tasveer Jo Dekhun,
To Mujhse Baat Karte Ho,
Kabhi Jab Dukh Ke Mausam Mein Main Tumko Yaad Karti Hoon,
To Tumko Paas Paati Hoon,
Tumhare Shane Par Sar Rakh Ke
Main Ghanton Roti Rehti Hoon,
Aur Ye Kehti Rehti Hoon Ke,
Main Gar Mar Bhi Jaun To,
Tumhare Dil Mein Dhadkungi,
Tumhe Main Itna Chahungi,
Ke Tumse Zabt Na Hoga,
Main Itna Yaad Aaungi,
Ke Tum Bhi Paas Paaoge Haan Apne Paas Paoge
Mujhe Aisa Kyon Lagta Hai,
Tum Mujhko Ab Bhi Chahte Ho,
Tum Mujhko Aazmaate Ho...

TUM! TUM HO NA! Jisne Mujhse Mera Maazi Chhin Kar


TUM! TUM HO NA!
Jisne Mujhse
Mera Maazi Chhin Kar,
Uske Purze Purze Kar Dalein Hai,
Bawajood Ye Jaanne Ke
Mujhe Kitaab-E-Maazi Ka Har Lafz Yaad Hai,
Tum Kyon Ek Nayi Kitab Likh Rahe Ho Mere Andar,

Tum! Tum Hi Ho Na,
Jisne Har Lamha Bina Lafzon Ke Mujhse Baat Ki Hai,
Tum! Tum Hi Ho Na
Kaash Tumhe Koi "TUM" Na Rehne De,
Jis Tarah Tumen Mujhe "MAIN" Nahi Rehne Diya...

Chandni Ki Baarish Mein Naha Kar Hum Dono


Chandni Ki Baarish Mein Naha Kar,
Hum Dono Rahe Pyaar Ki Baarish Mein Khoye,

Teri Ungliyan Khelti Rahi Mere Baalon Se,
Hum Dono Raatko Shabnam Ki Oas Par Soye,

Teri Saanson Mein Tujh Mein Kho Kar Jaane Jaana,
Kal Raat Hum Bahut Der Tak Roye,

Ek Ghunt Ek Saans Mein Pee Le Mujhko,
Kya Pata Phir Ye Sama Yun Meherbaan Na Hoye,

Teri Saanson Mein Tujh Mein Khokar,
Hum Dono Rahe Pyaar Ki Baarish Mein Khoye...

Aye Khuda Tune Mohabbat Ye Banayi Kyon Hai?


Aye Khuda Tune Mohabbat Ye Banayi Kyon Hai?
Gar Banayi To Mohabbat Mein Judayi Kyon Hai?

Kyon Diya Pyar Mujhe Iski Zaroorat Kya Thi?
Meri Barbadi Mein Shamil Teri Hikmat Kya Thi?
Meri Raahon Mein Khushbu Ka Safar Rehta Tha,
Dil Mein Aabaad Gulabon Ka Nagar Rehta Tha,
Zindagi Khaar Bhari Raah Mein Laayi Kyon Hai?
Aye Khuda Tune Mohabbat Ye Banayi Kyon Hai?

Main Hoon Bikhra Hua Gardish Mein Sitare Mere,
Gam Ke Toofan Mein Doobe Hai Kinare Mere,
Na Khatavaar Na Mujrim Na Gunehgaar Hoon Main,
Sach To Ye Hai Ke Mohabbat Ka Parastar Hoon Main,
Ye Saza Phir Bhi Mere Hisse Mein Aayi Kyon Hai,
Aye Khuda Tune Mohabbat Ye Banayi Kyon Hai?

Main Agar Roun To Sehra Ko Samundar Kar Dun,
Sakht Ho Jaun Agar Mom Ko Patthar Kar Dun,
Raakh Ho Jaye Jahaan Mein Jo Agar Aah Bharun,
Aasman Toot Pade Tujhse Jo Fariyaad Karun,
Itni Gehrayi Mere Ishq Mein Aayi Kyon Hai?
Aye Khuda Tune Mohabbat Ye Banayi Kyon Hai?
Agar Banayi To Mohabbat Mein Judayi Kyon Hai...

Beniyaaz-E-Gam-E-Paimaan-E-Wafa Ho Jana



Beniyaaz-E-Gam-E-Paimaan-E-Wafa Ho Jana,
Tum Bhi Auron Ki Tarah Mujhse Juda Ho Jana,

Main Bhi Palkon Pe Saja Lunga Lahoo Ki Boondein,
Tum Bhi Paabasta-E-Zanjeer-E-Heena Ho Jana,

Khalq Ki Sang-Zani Meri Khaton Ka Sila,
Tum To Masoom Ho, Tum Door Zara Ho Jana,

Ab Mere Waaste Tariyaq Hai Ilhaad Ka Zeher,
Tum Kisi Aur Pujaari Ka Khuda Ho Jana...

Sar-E-Aam Mulakat Se Darte Kyon Ho



Sar-E-Aam Mulakat Se Darte Kyon Ho,
Ishq Karte Ho To Halaat Se Darte Kyon Ho,

Milta Hai Sakoon Us Yaar Ke Koonche Mein,
Par Har Roz Jana Bhi To Achha Nahi Lagta,

Baaare Mein Kabhi Uske Soche Bhi To Kya Soche,
Wo Gair Nahi Par Apna Bhi To Nahi Lagta,

Ye Batao Zara Mera Khayal Aate Hi,
Dinse Ghabrate Ho Raatse Darte Kyon Ho...

Mohabbat Ke Jahan Mein Roshni Ka Saaz Bajta Hai


Mohabbat Ke Jahan Mein Roshni Ka Saaz Bajta Hai,
Hawaon Mein Chameli Ka Abhi Andaz Sajta Hai,
Hatheli Se Tumhare Naam Ki Khushbu Nahi Roothi,
Hamare Haath Se Ummid Ki Tasbeeh Nahi Chhuti,
Abhi To Khwab Ki Taqdeer Mein Marna Nahi Likha,
Hamari Qismaton Ne Hijr Ka Koi Panna Nahi Likha,
To Phir Ye Kaise Mumkin Hai Ke Hum Dono,
Ana Ke Wajbi Se Khol Mein Mehsoor Ho Jaye,
Khudi Ke Hathon Kuch Is Tarah Majboor Ho Jaye,
Ke Aankhon Par Faqt Nafrat Ka Pehra Ho,
Hamare Aur Tumhare Darmiyan Sirf Dard Thehra Ho,
Dilon Ki Waadiyon Mein Tishnagi Hi Gashat Karti Ho,
Tareeki Hamara Aur Tumhara Bekhat Karti Ho,
Kaho Jaana! Kya Tumhe Aisa Nahi Lagta,
Ke Ana Ko Raste Mein **** Dena Hi Munasib Hai,
Kyon Ke Abhi To Khwaab Zinda Hai...

Sochte Rehne Ki Aadat Ho Gayi


Sochte Rehne Ki Aadat Ho Gayi,
Chaunkte Rehne Ki Aadat Ho Gayi,

Hijr Ki Raaton Ke Sang Aankhon Ko Bhi,
Jaagte Rehne Ki Aadat Ho Gayi,

Jaane Kya Dar Hai Ke Apne Aap Se,
Bhagte Rehne Ki Aadat Ho Gayi,

Wo Nahi Lautega Phir Kyon Raah-Guzar,
Dikhne Rehne Ki Aadat Ho Gayi,

Wo Mere Andar Chhupa Hai Aur Use,
Bolte Rehne Ki Aadat Ho Gayi...

Ghum Mila To Ro Na Sake Khushi Mili To Hans Na Sake


Ghum Mila To Ro Na Sake,
Khushi Mili To Hans Na Sake,
Ye Kaisa Raaz Hai Zindagi Ka,
Ham Samajh Na Sake,
Jisko Chaha Apna Bana Na Sake,

Aap Chale Gaye,
Phir Bhi Dilse Nikaal Na Sake,
Par Jab Aap The,
Paas Bhi Na Aa Sake,
Ab Aapki Yaadonko
Seene Se Lagake Phirte Hai,
Saamne Aapok Paa Kar Bhi,
Nazar Na Mila Sake,
Ye Kaisa Raaz Hai Zindagi Ka,
Hum Na Samajh Sake,
Jisko Chaha Apna Na Bana Sake,
Ab Palkon Ko Band Karke,
Pal Mein Aapke Paas Hote Hai,
Magar Jab Aankhon Ke Samne The,
Jee Bharke Dekh Bhi Na Sake,
Dil Dard Se Bhara Hua Tha,
Lekin Ro Na Sake,
Ye Kaisa Raaz Zindagi Ka,
Hum Na Samajh Sake,
Na Chup Reh Sake Na Pyaar Jata Sake,
Ab Aapke Sath Ke Liye,
Har Pal Tadapte Hai,
Magar Jab Aap Tadap Rahe The,
To Saath Na De Sake,
Dil To Rota Rahe Par,
Aankhon Se Aansu Na Bahe,
Pyaar Ke Is Riwaaj Ko Na Samajh Sake,
Dil Itni *** Khakar Bhi,
Aap Hi Ko Chahta Kyon Hai,
Hum Samajh Na Sake,
Aapke Laakh Inkaron Ke Baad Bhi,
Aap Hamare Nahi Hai,
Ye Dilko Samjha Na Sake,
Laakh Chaha Humne,
Phir Bhi Aapko Bhula Na Sake,
Aap Hamein Bhool Gaye,
Magar Hum Na Bhool Sake,
Jaise Khwaab Zindagi,
Aur Zindagi Khwaab Na Ho Sake,
Waise Aap Hamare Na Ho Sake,
Aur Hum Kisi Aur Ke Na Ho Sake...

Mera Wajood Hai Aziyaton Ki Qaid Mein


Mera Wajood Hai
Aziyaton Ki Qaid Mein,
Mera Zehen Hai,
Sochon Ki Qaid Mein,
Mujhe Hai To Bas Ek Aasra,
Meri Mann Ki Ujli Si Yaad Ka,
Main Nahi Hoon Magar Phir Bhi
Main Ek Azziyat-E-Na Tamaam
Main Ek Khamoshi-E-Benaam,
Main Ek Masti-E-Badnaam Hoon,
Hai Wajood Mera Kaanton Ke Hisaar Mein,
Badmast Masti Ke Jwar Mein,
Main Hoon Behisson Ke Diyaar Mein,
Har Pal Hoon Teri Yaad Ke Khumaar Mein,
Mujhe Chain Na Aaye Purnam Fiza,
Main Hoon Shola Ek Dehekta Hua,
Main Dukhon Ki Aag,
Main Hoon Tapi Hui
Mujhe Sard Na Kar Aur Jala
Aye "Khuda-E-Laazawal"
Rok De Is Baarish Ko,
Iski Har Boond Se Phattta Hai Aabla,
Jo Ye Baras Gayi Mere Wajood Pe,
Ye Phat Padega Lawa Numa,
Bas Ek Nazar-E-Karam Kar,
Meri Maan Ke Is "Lehed" Par,
Kar Roshan Uski "Lehad" Ko,
Kar Baaghbaan Uski Rooh Ko,
Bakhsh De Har Khata Uski,
Razi Ho Ja Usse "Gar Ranjoor" Ho,
Raahat Kada Main De Jaga,
Apne Rehem Se Use Aye "Khuda"
Hai Ek Gunehgaar Ki Ye Iltija Gar Manzoor Ho...

Mein na Mil sakon jo tumse meri justuju na kerna


Mein na Mil sakon jo tumse meri justuju na kerna,
tumhey meri he Qasam hai Meri Aarzoo na kerna ...


Mujjhey jis se hai Muhabbat usey hai ajab ye addat ,
kabhe mun ko phair lena kabhe guftugo na kerna ...

Meine chaha tha kiisi ko mera haall kia hai dekho,
jo kia kasoor meine wo he tum kabhe na kerna ...

Mere ho Agar buarai to na dena tum safai ,
Merey sath khud ko ruswa kabhe ko-ba-ko na kerna ...

Koi poochey Badnaseebi ke hai inteha bhe koi,
to meri Misaal dena tu mujhey Namoona kerna...

Mein na mil sakoon jo tumse meri justugo na kerna,
tumhey meri he qasam hai meri Aarzoo na kerna

Hum Nazuk Nazuk Dil wale Bus aise hi to hote hain


Hum Nazuk Nazuk Dil wale Bus aise hi to hote hain
Kabi Hanste hain Kabi Rote hain Kabi Dil mai Khuwab pirotey hain



Kabi Mehfil Mehfil phirtey hian, Kabi Zaat mai Tanha hote hain
Kabi Chup ki Mohrr lagate hain, Kabi Geet Labon per latey hian



Kabi Sab ka Dil Behlatey hain, Kabi Khood mai Tanha hote hain
Kabi Shab-Bhar Jagte rehte hain, Kabi Lambi Taan ker sotey hain



Hum Nazuk Nazuk Dil wale Bus aise hi to hote hain
Kabi Hanste hain Kabi Rote hain Kabi Dil mai Khuwab pirotey hain

Yeh Peene Wale Bhi Bahut Hi Ajeeb Hote Hai


Yeh Peene Wale Bhi Bahut Hi Ajeeb Hote Hai,
Jahan Se Door Ye Khud Ke Kareeb Hote Hai,

Kisko Pyaar Mile Aur Kisi Ko Ruswayi,
Mohabbaton Ke Safar Bhi Ajeeb Hote Hai,

Mila Kisiko Ha Sochiye Ameeri Se,
Dilon Ke Shah Aksar Gareeb Hote Hai,

Yahan Ke Logon Ki Hai Ye Khaasiyat Sabse Badi,
Habib Lagte Hai Lekin Raqeeb Hote Hai...

Tum Kehti Ho Mujhe Phoolon Se Pyaar Hai


Tum Kehti Ho Mujhe Phoolon Se Pyaar Hai,
Magar Jab Phool Khilte Hai,
To Unhe Tehni Se Tod Daalti Ho,
Tum Kehti Ho Mujhe Barishon Se Pyaar Hai,
Magar Jab Baarish Hoti Hai
Tum Chhupti Phirti Ho,
Tum Kehti Ho Mujhe Hawaon Se Pyaar Hai,
Magar Jab Hawa Chalti Hai,
To Khidkiyan Band Kar Leti Ho,
Phir Us Waqt
Main Khaufzada Sa Ho Jata Hoon,
Jab Tum..........Mujhse Kehti Ho
Mujhe Tumse Mohabbat Hai,
Mujhe Tumse Mohabbat Hai...

Pyaar Karne Ke Liye Izhaar Bhi Karna Hota Hai


Pyaar Karne Ke Liye Izhaar Bhi Karna Hota Hai,
Kaanpte Hothonse Iqraar Bhi Karna Hota Hai,

Mile Ishq Mein Dhoka Chahe Har Baar Musalsal,
Par Is Khel Mein Ha Rbaar Aitbaar Bhi Karna Hota Hai,

Toot Kar Bikhar Jaate Hai Kabhi Ishq Ki Raahon Mein,
To Kabhi Aankhon Ko Raaton Mein Ashqbaar Bhi Karna Hota Hai,

Jo Bhool Jaye Tumhe Tum Use Bhool Nahi Sakte,
Phir Uska Har Lamha Har Ghadi Intezar Bhi Karna Hota Hai,

Hamein Baitha Kar Apni Raahon Mein Kya Ye Bhool Gaye Ho Tum,
Jisse Pyaar Nahi Hota Unhe Iqraar Bhi Karna Hota Hai,

Badnaam Bhi Hona Hota Hai Is Ishq Ki Raahon Mein,
Phir Bhi Chupke Chupke Iska Deedar Bhi Karna Hota Hai...

Chehre Pe Khushi Chha Jaati Hai


Chehre Pe Khushi Chha Jaati Hai,
Aankhon Mein Suroor Aa Jaata Hai,
Jab Tum Mujhe Apna Kehte Ho
Apne Pe Guroor Aa Jaata Hai,

Tum Husn Ki Khud Ek Duniya Ho,
Shayad Ye Tumhe Malum Nahi,
Mehfil Mein Tumhare Aane Se,
Har Chiz Pe Noor Aa Jaata Hai,

Hum Paas Se Tumko Kya Dekhein,
Jab Tum Mukabil Hote Ho,
Betaab Nigahon Ke Aage,
Parda Sa Zaroor Aa Jaata Hai,

Jab Tumse Mohabbat Ki Humne,
Tab Jaake Kahin Ye Raaz Khula,
Marne Ka Saliqa Aata Hi Nahi,
Jeene Ka Shaoor Aa Jaata Hai...

Jaane Kis Zo'am Mein Maqtal Ko Sajaye Tum Ho


Jaane Kis Zo'am Mein Maqtal Ko Sajaye Tum Ho,
Mujhko Kya Qatl Karoge Mere Saaye Tum Ho,

Mera Pindaar Badha Hai Isi Mayyar Ke Saath,
Jis Raoonat Se Mujhe Daar Pe Laaye Tum Ho,

Is Khujalat Ke Tabassum Se Ayyan Hai Yaaron,
Aasteeno Mein Wo Khanjar Chhupaye Tum Ho,

Dost Ka Lutf To Ehsaan Hai Jab Ho Jaye,
Meherbaan Phir Bhi Badi Der Mein Aaye Tum Ho,

Dast Basta-O-Kamer Basta-O-Lab Basta Hi Sahi,
Ispe Khush Ho Ke Darbar Mein Aaye Tum Ho,

Haaye Wo Subah-E-Tamanna Ke Na Dekhoge Faraz,
Haaye In Shaamon Ki Qismat Ke Jalaye Tum Ho...

Jab Chand Tumse Sawal Kare Tum Nazrein Usse Chura Lena


Jab Chand Tumse Sawal Kare,
Tum Nazrein Usse Chura Lena,

Aur Shaam Apni Baahon Mein Le,
To Aankh Mein Nami Ko Chhupa Lena,

Jab Yaadein Tumko Tadpaye,
Tum Yaadon Ka Diya Bujha Dena,

Jab Mohabbat Tumse Apnapan Maange,
Khwahishon Se Apna Daaman Chhuda Lena,

Jab Kuch Bhi Tum Na Kar Pao,
Bas Ek Kaam Kar Dena,

Tum Mujhko Bhual Dena,
Haan Tum Sirf Mujhko Bhula Dena...

Hum Gunehgaar Hai, Humko Saza De Do


Hum Gunehgaar Hai, Humko Saza De Do,
Maut Aa Jaye Bas Itni Si Dua De Do,

Khushi Ki Aarzu Mein Gam Zindagi Mein Aagaya,
Mere Apne Hi Aaj Mere Dilko Dukha Gaya,

Mera Mehboob Mujhko Khushi Se Saza De Gaya,
Haath Thaam Kar Mera Kisi Aur Ka Saath De Gaya,

Humne Wafa Ki Tujhse Itna Sila Paya Hai,
Dil Zakhmi Hogaya Hai Rona Bhi Aaj Aaya Hai,

Humko Mohabbat Par Aitbaar Na Raha,
Tere Baad Dil Ko Kisise Pyaar Na Raha,

Mujhe Tum Nazar Se Gira To Rahe Ho,
Mujhe Tum Kabhi Bhi Bhula Na Sakoge,
Na Jaane Mujhe Kyon Yaqeen Ho Chala Hai,
Meri Yaad Ko Tum Mita Na Sakoge...

Aaj Phir Shaam Dhale


Aaj Phir Shaam Dhale,
Phir Wohi Dard Sa Jaaga Hai Ragon Mein,
Phir Wohi Aah Si Nikli Hai Mere Seene Se,
Phir Wohi Khwaab Se Toote Hai Meri Aankhon Mein,
Phir Wohi Dard Ki Talkhi Hai Meri Baaton Mein,
Phir Wohi Ashq Se Thehre Hai Meri Palkon Par,
Phir Wohi Raat Si Jeevan Mein Utar Aayi Hai,
Phir Wohi Aakhri Manzar Hai Meri Aankhon Mein,
Aaj Phir Shaam Dhale Mujhe Tum Yaad Aaye Ho..

Har Ek Din Gungunata Hai Mohabbat Haar Jaati Hai



Har Ek Din Gungunata Hai Mohabbat Haar Jaati Hai,
Zamana Jeet Jaata Hai Mohabbat Haar Jaati Hai,

Jo Sab Ko Dars Deta Hai Mohabbat Ke Zamane Mein,
Wohi Mujhko Batata Hai Mohabbat Haar Jaati Hai,

Satata Hai Manata Hai Nazar Mein Phir Samata Hai,
Nazar Se Jab Girta Hai Mohabbat Haar Jaati Hai,

Hamare Pyaar Ke Kisse Hai Sab Logonke Honthon Par,
Jise Dekho Sunata Hai Mohabbat Haar Jaati Hai,

Idhar Se Jab Wo Aata Hai Wafayein Saath Lata Hai,
Idhar Se Jab Wo Jaata Hai Mohabbat Haar Jaati Hai...

Juz Tere Koi Bhi Din Raat Na Jaane Mere


Juz Tere Koi Bhi Din Raat Na Jaane Mere,
Tu Kahan Hai Aye Dost Purane Mere,

Tu Bhi Khushbu Hai Magar Mera Tajusus Bekar,
Burg-E-Awara Ki Manind Dikhane Mere,

Shama Ki Lau Thi Ke Wo Tu Tha Magar Hijr Ki Raat,
Der Tak Rota Raha Koi Sirhane Mere,

Khalq Ki Bekhabri Hai Ke Meri Ruswayi,
Log Mujhko Hi Sunate Hai Fasane Mere,

Aaj Ki Aur Baras Beet Gaya Us Ke Bagair,
Jiske Hote Hue Hote The Zamane Mere,

Kash Tu Bhi Meri Awaz Sunta Ho,
Phir Pukara Hai Tujhe Dilki Sada Ne Mere,

Kash Tu Bhi Kabhi Aa Jaye Masihayi Ko,
Log Aate Hai Bahut Dilko Dukhane Mere,

Kaash Auron Ki Tarah Main Bhi Kah Sakta,
Baat Sun Li Meri Aaj Khuda Ne Mere,

Tu Hai Kis Haal Mein Aye Zood-Faramosh Mere,
Mujhko To Chhin Liya Ahd-E-Wafa Ne Mere,

Charagar Yun To Bahut Hai Magar Aye Jaan-E-Faraz,
Juz Tere Koi Aur Zakham Na Jaane Mere...

Chandni Raat Ke Haathon Pe Sawar Utri Hai



Chandni Raat Ke Haathon Pe Sawar Utri Hai,
Koi Khushbu Meri Dehleez Ke Paar Utri Hai,
Ismein Kuch Rang Bhi Hai Khwaab Bhi,
Khushbuyein Bhi,
Is Khushbu Mein Kayi Dard Bhi,
Afsaane Bhi,
Mere Aanchal Pe Ummidon Ki Qataar Utri Hai,
Koi Khushbu Meri Dehleez Ke Paar Utri Hai,
Is Khushbu Se Kisi Aur Ke Dar Lipte Hai,
Mere Pairon Se Lipti To Safar Lipte Hai,
Ab Kisi Taur Palat Kar Nahi Jaane Deti,
Meri Dehleez Bulati Hai Mujhe Laut Aao,
Laut Aao, Laut Aao,
Yehi Khushbu Mujhe Wapas Nahi Aane Deti,
Ranj Aur Dard Mein Doobi Bahar Utri Hai,
Chandni Raat Ke Haathon Pe Sawar Utri Hai...

Hans Ke Bola Karo Bulaya Karo


Hans Ke Bola Karo Bulaya Karo,
Aapka Ghar Hai Aaya Karo Jaaya Karo,

Muskurahat Hai Husn Ka Zevar,
Roop Badhta Hai Muskuraya Karo,

Had Se Badh Kar Haseen Lagte Ho,
Jhuthi Kasmein Zaroor Khaya Karo,

Hukum Karna Bhi Ek Sakhawat Hai,
Humko Khidmat Koi Bataya Karo,

Baat Karna Bhi Baadshahat Hai,
Baat Karna Na Bhool Jaya Karo,

Taake Duniya Ki Dilkashi Na Ghate,
Nit Naye Pairahan Mein Aaya Karo,

Kitne Saada Mizaaj Ho Tum Sanam,
Us Gali Mein Bahut Na Jaaya Karo...

Jab Bhi Aati Hai Teri Yaad Shaam Ke Baad


Jab Bhi Aati Hai Teri Yaad Shaam Ke Baad,
Aur Badh Jati Hai Afsurdadili Shaam Ke Baad,

Ab Iradon Pe Bharosa Hai Na Tauba Pe Yaqeen,
Mujhko Le Jaye Kahan Tashnaalabi Shaam Ke Baad,

Yun To Har Lamha Teri Yaad Ka Bojhal Guzara,
Dilko Mehsoos Hui Teri Kami Shaam Ke Baad,

Yun To Kuch Sham Se Pehle Bhi Udaasi Thi,
Ab To Kuch Aur Badhi Dilki Lagi Shaam Ke Baad...

Tumhe Kaise Main Bataun, Tumhe Kaise Main Kahoon


Tumhe Kaise Main Bataun, Tumhe Kaise Main Kahoon,
Mere Bas Mein Agar Ho To Main Bas Itna Hi Karun,
Tumhe Dinbhar Tumhe Har Pal Dekhta Hi Main Rahun,
Tumhe Dekhun Tumhe Chahun Tumhe Poojoon Har Pal,
Tumhe Sochun Tumhe Samjhun Tumhe Maango Har Pal,
Tumhe Main Gungunaun Tumhe Gaaun Har Pal,
Main Tumhara Hoon Aisa Deewana Meri Jaan,
Mera Marna Bhi Tumhi Ho Mera Jeena Bhi Ho Tum,
Meri Madira Bhi Tumhi Ho, Mera Peena Bhi Ho Tum,
Meri Chandi Bhi Tumhi Ho, Mera Sona Bhi Ho Tum,
Mera Hasna Bhi Tumhi Ho, Mera Rona Bhi Ho Tum,
Meri Saari Saanson Mein Tumhari Saansein Jaise Ho Ghuli,
Meri Aakhein Tumhe Dekhe Chahe Band Ho Ya Khuli,
Main Tumhara Hoon Aisa Deewana Meri Jaan,
Mere Dil Mein Hai Ye Armaan Tumhe Ek Din Paaun,
Is Ambar Se Bhi Aage Tumhe Le Kar Jaun,
Jahan Rahoon Main Ho Bikhre Sab Chand Aur Taare,
Jahan Geeton Ke Behte Ho Meethe Dhaare,
Jahan Khwabon Ki Duniya Kabhi Soyi Nahi Ho,
Jahan Tum Ho Jahan Main Hoon Aur Koi Nahi Ho,
Main Tumhara Hoon Aisa Deewana Meri Jaan...

Aaj Phir Wahi Shabd Mann Mein Uchhal Pada Tha


Aaj Phir Wahi Shabd
Mann Mein Uchhal Pada Tha,
Hriday Gati Mein Thehrav Aakar,
Kaleja Phatne Laga Tha,
Aisa Shabd Aksar Mujhe
Vichlit Karta Hai
Jisse Mera Dar
'Dahej' Ke Naam Se Jaanta Hai,

Yehi Wo Shabd Tha
Jo Aaya Tha Do Saal Pehle Bhi
Aur Le Gaya Tha Meri Phool Si Beti Ko
Apne Sath Paalki Mein Sajakar,
Aaj Wohi Drishya Phir Mere Samne,
Tayyar Khada Hai
Magar Poonji Ka Pitara Mera,
Khali Hai Kisi Bartan Ki Tarah,

De Sakta Hoon To Bas,
Apne Maathe Par Pade Baalon Ko
Safed Padte Baalon Ko
Chehre Ki Shikan Ko Aur
Pathrayi Aankhon Ke Sukhte Aansuon Ko
Isse Jyada Nahi De Paunga Kuch
Bachana Hai Mujhe
Apni Sukhti Hui Chamdi Ko
Ek Aur Phool Ko Vida Karne Ki Khatir...

Dil me na ho Jurrat to muhabbat nahi milt


Dil me na ho Jurrat to,
muhabbat nahi milti.
Khairaat me itni badi,
daulat nahi milti.

Kuchh log shaher me,
hamse bhi khafa hai.
Har ek se apni bhi,
tabiyat nahi milti.

Dekha tha jise maine,
koi aur tha shayad.
Vo kaun hai jis se teri,
surat nahi milti.

Hanste hue chehron se hai,
bazaar ki zeenat.
Rone ki yahaan vaise bhi,
fursat nahi milti.

Nikla karo ye shama liye,
ghar se bhi bahar.
Tanhai sajane ko,
musibat nahi milti.

Yun Bhi Hota Hai Barson Ke Do Humsafar


Yun Bhi Hota Hai Barson Ke Do Humsafar
Apne Khwabon Ki Tabeer Se Bekhabar
Apne Ehad Mohabbat Ke Nashe Mein Gum
Apni Kismat Ki Khoobi Pe Nazaan Magar
Zindagi Ke Kisi Mod Par
Kho Gaye
Aur Ek Dusre Se Juda Ho Gaye

Yun Bhi Hota Hai Do Ajnabi Rahroo
Apni Raahon Se Manzil Se Na-Aashna
Ek Dusre Ki Khabar Tak Nahi
Koi Paimaan-E-Ulfat Nahi Koi Ehad-E-Wafa Nahi,

Ittefaq Se Is Tarah Mil Gaye,
Saaz Bhi Baj Uthe,
Phool Bhi Khil Gaye...

Main Ehwaal-E-Dil Mar Gaya Kehte Kehte


Main Ehwaal-E-Dil Mar Gaya Kehte Kehte,
Thake Hum Na "Bas, Bas, Suna!" Kehte Kehte,

Mujhe Chup Lagi Mudda Kehte Kehte,
Ruke Hai Wo Jaane Kya Kehte Kehte,

Zubaan Gungi Hai Ishq Mein Gosh Kar Hai,
Bura Sunate Sunate Bhala Kehte Kehte,

Shab-E-Hijr Mein Kya Hajoom-E-Bala Hai,
Zubaan Thak Gayi Marhaba Kehte Kehte,

Gila Harza-Gardi Ka Baja Na Tha Kuch,
Wo Kyon Muskuraye Baja Kehte Kehte,

Sad Afsos Jaati Rahi Wasl Ki Shab,
"Zara Theher Aye Bewafa" Kehte Kehte,

Chale Tum Kahan Maine To Dam Liya Tha,
Fasana Dil-E-Zaar Ka Kehte Kehte,

Sitam Haaye! Gardan Mufassil Na Puchho,
Ke Sar Phir Gaya Maajra Kehte Kehte,

Nahi Ya Sanam 'Momin' Ab Kufr Se Kuch,
Ke Khuu Ho Gayi Hai Sada Kehte Kehte...

Zabt-E-Gam-E-Dil Aasan, Izhar Wafa Mumkin


Zabt-E-Gam-E-Dil Aasan, Izhar Wafa Mumkin
Hone Ko Ye Sab Mumkin, Milna Tera Na Mumkin

Nalon Ka Sar Mumkin, Taseer Dua Mumkin
Is Hone Pe Har Shey Ke, Kuch Bhi Na Hua Mumkin

Is Alam Imkan Mein Kya Hai Jo Hai Namumkin
Dhoondo To Mile Unqa, Chaho, Khuda Mumkin

Jis Ko Teri Kwahish Mein Dunya Se Nahin Matlab
Us Ke Liye Yaksan Hai Har Mumkin O Namumkin

Be Ja Bhi Sahi Shikwa, Gussa Tumhein Kyon Aya
Mein Bhi To Bashr Hi Hon, Insan Se Khata Mumkin

Do Gaz Hai Zameen Kafi, Basti Ho Ke Weerana
Parr Rehne Ko Jaa Aasan, Marmitne Ko Jaa Mumkin

Marna Wo Hi Chahe Ga, Jeena Jise Mushkil Ho
Phir Zaher Hi Kyon Khate, Hoti Jo Dawa Mumkin

Aye Aarzoo Mein Hon Aur Ishq Ki Ruswaee
Khamosh Bhi Gar Bethon Chatcha Na Ho Kya Mumkin...

Popular Posts