Friday, December 3, 2010

Jab Tera Dard Merey Saath Wafa Karta Hai


Jab Tera Dard Merey Saath Wafa Karta Hai…..!!!
Ek Samunder Sa Meri AankhoOn Say Baha Karta Hai..!!

Uski Baatain Mujhey KhushboO ki Tarah Lagti Hain....
PhoOl Jaisey Koi Sehraa Main Khila Karta Hai...!!

Mere Dost Ki Pehchan Yehi Kaafi Hai...............
Woh Har Ek Shakhs KoO Danista Khafa Rakhta Hai...!!

Aur koi Sabab us ki Muhabbat ka Nahi………..
Baat itni si Hai k woh Mujh Sey Jafa karta Hai......!!!

Jab khiz'aan aye Toa Lo'ut Aaye Ga Wo Bhi "Wasiq".......
WoH BaharoOn Main Zara kam Hi Mila Karta Hai...!!

dosti jab kisi se ki jaaye


dosti jab kisi se ki jaaye
dushmanon kii bhii raaye li jaaye

maut kaa zahar hai fizaao.n me.n
ab kahaaN jaa ke saaNs li jaaye

bas isii soch me.n huu.N Duubaa huaa
ye nadii kaise paar kii jaaye

mere maazii ke zaKhm bharane lage
aaj phir ko_ii bhuul kii jaaye

botale.n khol ke to pii barason
aaj dil khol ke bhi pii jaaye

safar kii had hai vahaa.N tak ke kuchh nishaan rahe


safar kii had hai vahaa.N tak ke kuchh nishaan rahe
chale chalo ke jahaa.N tak ye aasmaan rahe

ye kyaa uThaaye qadam aur aa ga_ii manzil
mazaa to jab hai ke pairo.n me.n kuchh thakan rahe

vo shaKhs mujh ko ko_ii jaal_saaz lagataa hai
tum us ko dost samajhate ho phir bhii dhyaan rahe

mujhe zamiin kii geharaa_iio.n ne daab liyaa
mai.n chaahataa thaa mere sar pe aasmaan rahe

ab apane biich maraasim nahii.n adaavat hai
magar ye baat hamaare hii darmiyaan rahe

magar sitaaro.n kii fasle.n ugaa sakaa na ko_ii
merii zamiin pe kitane hii aasmaan rahe

vo ek savaal hai phir us kaa saamanaa hogaa
duaa karo ke salaamat merii zabaan rahe

kis-kis tarah se mujh ko na rusvaa kiya gaya


kis-kis tarah se mujh ko na rusvaa kiyaa gayaa
Gairo.n kaa naam mere lahuu se likhaa gayaa

nikalaa thaa mai.n sadaa-e-jaras kii talaash me.n
bhuule se is sukuut ke seharaa me.n aa gayaa

kyo.n aaj us kaa zikr mujhe Khush na kar sakaa
kyo.n aaj us kaa naam meraa dil dukhaa gayaa

is haadase ko sun ke karegaa yaqii.n ko_ii
suuraj ko ek jho.nkaa havaa kaa bujhaa gayaa

Mataa-e-Shaam Bassti'yun Mein Chorr Aaye


Mataa-e-Shaam Bassti'yun Mein Chorr Aaye....!!
Bhujey Chiragh Hum Apney Gharoon Mein Choor Aaye..!!

Bichar K Tujh Say Chalay Toa Ab Kay Yun Howa....!!
Kay Teri Yaad Kahein Raastoon Mein Choor Aaye..!!

Hum Apni Darbardii Ka Mushai'da Aksar,,,,!!
Naseha'toon Ki Tarah Kum Sinoo'n Mein Choor Aaye..!!

Khiraaj-e-Seel Balaa Iss sey Barh K Kia Hoo Kay Log...!!
KHuley Makaan Bharri Barish Mein Choor Aaye...!!

Ghirrey Hein Lashker Aadaad Mein Aur Soochtey Hein...!!
Hum Apney Teer Toa Apni Saf'foon Mein Choor Aaye...!!

Hawa Hi Din Mein Parinday Uraa'ye Phirti...!!
Hawa Hi Phir se Unhein Ghonsloon Mein Choor Aaye..!!

Kissey Khaber Hay Kay Zakhmi Ghazaal Kis K Leye..?
Nishaan Lahoo Kay Ghaney Jangaloon Mein Choor Aaye..!

Hamaray Baad Bhi Roonaq Rahey Ghi Maqqtal Mein..!!
Hum Ahl-e-Dil Ko Bharey Hossloon Mein Choor aaye..!!

Urain Gay Kia Woh Parinday Jo Apnay Rizq Samait..!!
Saffar Kaa Shoq Bhi Tootey Parron Mein Choor Aaye..!!

Sadaa Sukhi Rahein Chehray Woh Jinhein Mohsin..!!
Bujhey Gharoon Ki Khulli Khirrki'yun Mein Choor Aaye..!!

Meri hasratoon ko zuban day


Meri hasratoon ko zuban day
Meri wehshatoon say kalaam kar
Mein tera aadhura sawal hoon
Mujhay apnay maan mein qayaam kar
Mujhay easa koi jawab day
key sunay to bagh-o-bahar ho
Meray hasratoon kay dayar mein
Teri arzu tera piyar ho
Mein udasion mein pala bara
Mujhay mil saki na koi khushi
Kahan kho gaye kahan dhoond loon
Tujhay zindage meri zindage

Mohabbat aisa naghma hai


Mohabbat aisa naghma hai
zara bhi jhool ho laye main
tu surr qayam nahi hota

mohabbat aisa shulla hai
hawa jesi bhi chalti ho
kabhi madham nahin hota

mohabbat aisa rishta hai
k jis main bandhnay walon k
dillon main gham nahi hota

mohabat aisa poda hai
jo tab bhi sabz rehta hai
k jab mosam nahi hota

mohabbat aisa rasta hai
ager peron main lerzish ho
tu yeh mehram nahi rehta

mohabbat aisa derya hai
k barish rooth bhi jaye
tu pani kam nahi hota

main arhe tirche khayal sochoon


main arhe tirche khayal sochoon...
k be-irada kitab likhoon...
koi shanasa ghazal tarashoon...
k ajnabhee intesaab likhoon...
gnwaadoon ik umer k zamane...
k ik pal ka hisaab likhoon...
taweel tar he safar tumhain kia...
main jee raha hoon magar tumhain kia...
magar tumhain kia k tum to kab se...
mere irade gnwaan chuke ho...
jala k sare haroof apne...
meri duaain bhuja chuke ho...
main raat orhoon k ,k subha pahnoon...
tum apni rasmain utha chuke ho...
to ab mere dil pe jabar kesa...
ye dil to had se guzar chuka he...
guzar chuka he magar tumhain kia...
khizaan ka mosam thaher chuka he...
thaher chuka he magar tumhain kia...
magr tumhain kia k aise khizaan main...
main jis tarha k bhee khaab likhoon!

Har lamha teri yaad ki khushbo hain merepass


Har lamha teri yaad ki khushbo hain merepass,
Is shehar me tanha ho magar tu hain mere pass,

Jis shakal ko chahon teri soorat me badal doon,
ye husan_e_tasawar hai ke jado hain mere pass,

Rakhta hai sada jo mere raton komua'atar,
wo tere badan ka gul-e khushbo hain mere pass,

kya mujh ko pasand aa gaye is sheharke naghme,
tu hain meri koyal teri koko hai mere pass,

kyon thamon ga mai janaa kisi aur ki banhain
jab chahon waise us ke nagar tak mujhe lejaye,
sochon ke chamakta hua jugno hai mere pass…!

Gar ye sanjog hamara hota Kya zamaane ko gawaara hota


Gar ye sanjog hamara hota
Kya zamaane ko gawaara hota


Chaandni raat me hum tum hote
Aur samandar ka kinaara hota


YaaN maiN jaane ka irada karti
WaaN se rukne ka ishaara hota


Sari dunya ko bhula dete hum
Bus woh ik shaks hamaara hota


Zindagi bhar woh taRapta rehta
Jo tirey hijr ka maara hota


Kash tum dair na karte itni
Hum ne jeevan bhi na haara hota


hum k dunya me to barbaad hue
Akhirat hee ko sanwaara hota

Kab tulak shab kay andhairay mein sehar ko tarsay


Kab tulak shab kay andhairay mein sehar ko tarsay...!!
Woh musafir jo bharay shehar mein ghar ko tarsay....!!!


Aankh thehray howay paani say bhi katraati hai...!!
Dil woh reh'roo keh samandar kay safar ko tarsay....!!


Mujh ko uss qehat kay mosam say bacha rub-e-sukhan...!!
Jab koi Ehal-e-hunar, arz-e-hunar ko tarsay.....!!!


Ab kay iss toor musalat howa andhaira har soo...!!!
Hijar ke raat mairay deeda-e-tarr ko tarsay...!!


Umar itni tu at'aa kar mairay fun ko khaliq..!!!!!!!!
Maira dushman mairay marnay ke khabar ko tarsay....!!!!!!


Uss ko paa kar bhi ussay dhoond rahi hain ankhain....!!!
Jaisay paani mein koi seep gohar ko tarsay....!!


Na'shana'saye kay mousam ka asar tu daikho.....!!!!
Aaina khaal-o-khad-e-aania gar ko tarsay....!!!


Aik dunia hai kay basti hai tairi ankhoon mein...!!
Woh toa hum thay jo tairi ik nazar ko tarsay........


Shoor-e-sur'sar mein jo sar sabaz rahi hai Mohsin....!!!
Mousam-e-gul mein wohi shaakh samar ko tarsay....!!

Wohi Be'Simt Sa Rasta, Mohabbat Hamsafar Meri


Wohi Be'Simt Sa Rasta, Mohabbat Hamsafar Meri
Sarabon Ka Wohi Dhoka, Mohabbat Hamsafar Meri


Ghubaar-e-Raah Bhi Kuch Duur Tak He Sath Cahlta Hai
Wohi Ek Main, Wohi Tanha Mohabbat Hamsafar Meri


Ye Lamhon Ki Nahi Hai Ye To Sadyon Ki Musaafat Hai
Kisi Ki Yaad Ka Sehra Mohabbat Hamsafar Meri


Koi Kashti Nahi Hai Jo Humain Uss Paar Le Jaye
Bhanwar, Biphra Hua Darya, Mohabbat Hamsafar Meri


Wohi Her Waqt Sochon Per Kisi Ki Yaad Ka Pehra
Wohi Din Raat Ka Jalna Mohabbat Hamsafar Meri


Yahan Had-e-Nazar Tak Bus Andheray He Anheray Hain
Na Wo Jugno, Na Wo Taara, Mohabbat Hamsafar Meri

Takht hai aur kahani hai wohi


Takht hai aur kahani hai wohi...
Aur saazish bhi poorani hai wohi....

Qazi-e-shehr ne qibla badla.....
Laikin khut'be main rawani hai wohi....

Khaima kash ab ke zara dekh ke ho.....
Jis pe pehra tha, yeh paani hai wohi....

Aaj bhi chehra-e-khursheed hai zard........!!!
Aaj bhi shaam suhani hai wohi...!!!!!!

Badle jaate hain yahan roz tabeeb....
Aur zakhmon ki kahani hai wohi....

Hijla ghum yoonhi arasta hai.....
Dil ki poshaak shahani hai wohi.....

Sheher ka sheher yahan doob gaya...
Aur darya ki rawani hai wohi....

Chalne ka hosla nahin, rukna mahaal ker diya



Chalne ka hosla nahin, rukna mahaal ker diya...!!
Ishq k is safar ne toa mujhko nidhaal ker diya...!!

Aye meri gull zamee'n tujhe chah thi ik kitaab ki...!!
Ehl-e-kitaab ney magar kya tera haal ker diya...!!

Miltey huwe dilon ke beech aur the faisla koi....!!!
Usne magar bicharte waqt aur sawal ker diya...!!

Ab ke hawa ke saath hai daman-e-yaar muntazir.....!!!
Bano-e-shab ke haath main rakhna sanmbhal ker diya...!!

Mumkin'a fais'loon main ek, hijr ka faisla bhi tha.........
Humne to ek baat ki, usne kamaal ker diya....!!!!

Mere labon pe mohar thi, permeray sheesha roo ne toa..!!
Sheher ke sheher ko mera waqif-e-haal ker diya...!!

Chehra-O-naam ek saath aaj na yaad aa sake.....
Waqt ne kis shabeeh ko khuwab-o-khayal ker diya..!!!

Mudda'ton baad usne aaj mujhse koi gila kiya....!!!
Mansab-e-dilbari peh kya mujh ko bahaal ker diya..????

Hijr Ki Bad-dua Na Hoo Jana


Hijr Ki Bad-dua Na Hoo Jana...!!
Dekh Lena... Saza Na Hoo Jana...!!

Morr Toa Be-Shumar Ayein Gay..!!
Thak na Jana, Juda Na Hoo Jana..!!

Ishq Ki Inteha Nahe Hoti..!!
Ishq Ki Inteha Na Hoo Jana..!!

Akhir Shab Udaas Chand K Saath..!!
Eik Buj'ta Diaa Na Hoo Jana..!!

Be-Irada Safar Par Niklay Hoo..!!
Rastoon Ki Hawa Na Hoo Jana..!!

Zindagi Dard Say I'barat Hay..!!
Zindagi Say Khafa Na Hoo Jana..!!

Ek Tumein Ko Khuda Say Manga Hay..!!
Tum Kahein Be-Wafa Na Hoo Jana..!!

Khayal Tark-e-Tamana Na Kar sakey Tu Bhi


Khayal Tark-e-Tamana Na Kar sakey Tu Bhi...!!
Udasiyun ka madawa ..!! Na kar sakey Tu Bhi...!!

Kabhi Woh Waqt Bhi Aye K Koi Lamh-e-Aaish...!!
Meray Baghair Gawara Na kar sakey Tu Bhi..!!

Khuda Woh Din Na Dekhaye Tuje K Meri Tarha..!!
Meri Wafa Peh Barosa Na Kar Sakey Tu Bhi..!!

Mein Apna Aqeed-e-Dil Tujko Soonp Deta Hoon..!!
Bara maza Hoo Agar Waaa na kar sakey Tu Bhi..!!

Tuje Yeah Ghum K Meri Zindagi ka kia hoga..!!
Muje Yeah Zidd K Madawa Na Kar Sakey Tu Bhi...!!

Na kar Khayal Talafi.!! K Mera Zakhm-e-Wafa..!!
Woh Zakhm Hay Jisay Acha Na Kar Sakey Tu Bhi ..!!

Kaisay Aye Gha Teray Khad-o-Khaal Ka Mausum


Kaisay Aye Gha Teray Khad-o-Khaal Ka Mausum...!!
Qismatoon Mein Likha Hay Jab Zawaal ka Mausum..!!


Kis Nay Khel Khela Hay Kisnay Hijr Jhaila Hay..!!
Ab Guzer Gaya Janaa'n Is Sawaal Ka Mausum....!!


Kis Tarha Say Mumkin Tha Eik Shaakh Par Khiltey...!!
Mein Hijr Ka Lamha....!! Tu Wisaal Ka Mausum...!!


Dil Kay Ab Toa Sehra Hay.. Aur Aisa Sehra Hay....!!
Janey Kab Talak Tehray Ab Malaal Ka Mausum...!!


Aaj Takh Bhi Tehra Hay Dil Ki Rehguzar'on Par...!!
Teray Lams Ka ..!! Teray Khad-o-Khaal Ka Mausum..!!


Hum Kabhi Toa Dekhein Gay WehShat'on Kay Sehra Mein..!!
Aye Khuda...!! Muhabath Kay Aethi'daal Ka Mausum...!!

Teri Reh'matoon K Diyaar Mein Teray Bada'loon Ko Patta Nahe



Teri Reh'matoon K Diyaar Mein Teray Bada'loon Ko Patta Nahe..!!
Abhi Aag Sard Nahe Howi Abhi Ek Ala'o Buja'h Nahe...!!

Meri Bazm-e-Dil Toa Ujarr Chuki, Mera Farsh-e-Jaan Toa Simmat Chuka..!!
Sabhi Jaa Chukay Meray Hum-Nasheen Magar Eik Shakhs Gaya Nahe...!!

Darr-o-Baam sub nay sajaa leye, Sabhi Roshni mein Nehaa Leye....!!
Meri Ungliyaan Bhi Julass Gayein Magar Ek Chiragh Jalla Nahe...!!

Ghum-e-Zindagi, Teri Rah Mein, Shab-E-Aarzo....Teri Chah Mein..!!
Jo Ujarr Gaya woh Bassa Nahe, Jo Bichar Gaya woh Milla Nahe...!!

Jo Dil-O-Nazar Ka Saroor Tha Meray Paas Reh Kay Bhi Dhoor Tha..!!
Wohi Ek Ghulaab Umeed Ka, Meri Shaakh-e-Jaan Peh Khila Nahe..!!

Pass-e-Kaarwan, Sarr-e-Rehguzar, Mein Shikasta Pa'ah Hoon Toa Is Leye..!!
Keh Qadamm Toa Sub Say Milla Leye.... Mera Dil Kisi Say Milla Nahe..!!

Mera Humsafar Jo Ajeeb Hay Toa Ajeeb-tar Hoon Mein Aap Bhi..!!
Mujey Manziloon Ki Khaber Nahe,, Useey Rastoon Ka Patta Nahe.....!!

Jagti Aankhon Mein Chand Khuwab Rehne Do


Jagti Aankhon Mein Chand Khuwab Rehne Do...!!
Gaye Mousmon Ka Ab Hisaab Rehne Do...!!

Kal Ager Bichar Gaye toa Yaad Dilaye Gha Ye..!!
Humarey Saath Aans'on Ka Silaab Rehne Do...!!

Jo Humne Kahi Thein Tumein Khat Mein Kabi..!!
Un Sub Baton ka Jawab Ab Rehne Do...!!

Sajao Tum Kisi Aur Ki Duniya Khushi Se...!!
Humari Ankhon Ko Yunhi Be-Khuwab Rehne Do..!!

Hum Kantoon Kay Aadi Hein Dosto...!!
Kisi Aur Ko Dhe Dena ..! Yea Gulaab Rehna Do...!!

Woh Bhu'je Gharon Ka Chiragh Tha Yea Kabhi Kisi Ko Khaber Na Ho


Woh Bhu'je Gharon Ka Chiragh Tha Yea Kabhi Kisi Ko Khaber Na Ho...!!
Ussey lay gaye Hay Kahan Hawa? Yea Kabhi Kisi Ko Khaber Na HO...!!

Kaye Log Jaan Say Jayein gay, meray Qaatiloon Ki Talash Mein...!!
Meray Qattil Mein Mera Haath Tha, Yea Kabhi Kisi Ko Khaber Na Ho..!!

Woh Tamaam Duniyaa kay Wastey Jo Muhabatoon Ki Misaal Tha..!!
Wohi Apnay Ghar Mein Tha Be-Wafa, Yea Kabhi Kisi Ko Khaber Na Ho..!!

Kahien Masjidoon Mein Shahda'tein Kahen Mandaroon Mein Ada'latein...!!
Yahan Kaun Karta Hay Faisala, Yea Kabhi Kisi Ko Khaber Na Ho..!!

Meray Paas Jitni Hay Roshni Yeahi Chiragh Ki Zindagi..!!
Mein Kahan Jalaa,Mein Kahan Bhujaa, Yea Kabhi Kisi Ko Khaber Na Ho..!!

Mujey Jaan Kar Koi Ajnabi Woh Dekha Rahey Hein Galii Galii...!!
Issi Shaher Mein Mera Ghar Bhi Tha, Yea Kabhi Kisi Ko Khaber Na Ho..!!

Woh Samaj K Dhoop K Dewataa Muje Aaj Poojney Aye Hein...!!
Mein Chiragh Hoon Teri Shaam Ka, Yea Kabhi Kisi Ko Khaber Na Hoo..!!

Main iltafaat-a-yaar ka qaayal nahi hoon dost


Main iltafaat-a-yaar ka qaayal nahi hoon dost..
Sonay ke narm taar ka qaayal nahi hoon dost...!

Mujhko khizaan ki eik lutti raat se hai pyaar....!!
Main ronaq-a-bahaar ka qaayal nahi hoon dost...!!

Har shaam wasl ho naye tamheed-a-aarzu...!!
Itna bhi intazaar ka qaayal nahi hoon dost...!!

Do chaar din ki baat hai ye zindagi ki baat......!!
Do chaar din ke pyaar ka qaayal nahi hoon dost...!!

Jis ki jhalak se maand ho ashkon ki aabroo...!!
Us motiyon k haar ka qaayal nahi hoon dost...!!

Laya hoon be hisaab guna'hon ki aik fard......!!
Mehboob hoon shumaar ka qaayal nahi hoon dost....!!

Saaghar ba'qadr-a-zarf lutaata hoon naqd-a-hosh.
Saaqi se main udhaar ka qaayal nahi hoon dost

Meri aankhon mein umadd aaya hai dariya dil ka



Meri aankhon mein umadd aaya hai dariya dil ka
Phir kaheen toot gayaa ho na kinaara dil ka

Bas mohabbat se riwaayat hai kahaani dil ki
Chaar harfon se ibaarat hai fasaana dil ka

Us ne daali he nahi bheek nazar ki or main
Liye aankhon mein reh gayaa kaasa dil ka

Saans rukti hai to phir jaan ka khayaal aata hai
Dil dharakta hai to lag jaata hai dharkaa dil ka

Isi koshish mein bohat umar ganwaa di maine
Phir bhi poora na huwaa mujh se khasaara dil ka

Meri payaab tamannaain bataati hain mujhay
Sookh jaaiy ga koi roz mein dariyaa dil ka

Badli badli si sadaa deti hai dharkan dil ki
Hijr mein or he ho jaata hai lehjaa dil ka

Kiyoon na aiy dost abhi tark-a-mohabbat kar lein
Is se pehlay ke badal jaaiy iraada dil ka

Fikr-a-duniya mein mere dil ko bhullanay waalay
Teri duniya se zayaada hai asaasa dil ka


Ishq kaatay ga abhi or chataanein SAAGAR
Aqal dekhay gi abhi or tamaasha dil ka

Baat tou Tab Hay Bin Kahay Dil Ki Ussay Suna... K Yoon


Baat tou Tab Hay Bin Kahay Dil Ki Ussay Suna... K YoOn...!!
KhuD Hi Dharak Dharak Kay Dil Dhenay Lagy Sada.. K YoOn..!!


Main Nay Kaha K Kis Tarha Jeetay Hain Log Ishq Main....!!
Us Nay Chirag Thaam K Low Ko Barha Diya.... K YOon....!!


Aag Laga Na Dhe Kahin Dard Dil-o-Dimag Main....!!
Shalaa Husan Ko Na Day, YaaR Kabhi Hawa... K YOon...!!


Us Nay Kaha K Zindagi PhooloOn Ki Seej Kis Tarha....??
Main Nay Kaha AaY Narm-khoo ! PhoOl Say Lub Hila.... K YOon...!!!


Us Nay Kaha Saad Ji ! Lagtay Hain Zakhm Kis Tarha....!!
Main Nay Kaha K Jaan-e-Mann ! Thora Sa Muskuraa.... K YOon...!!

Dar-e-Qafas Se Parrey Jub Sabaa Guzzartii Hai


Dar-e-Qafas Se Parrey Jub Sabaa Guzzartii Hai....!!
KiseY Khabar K Asee'Roon Par Kia Guzzartii Hai.....!!

Ta'aluq Kabbii Is Qadar Naa Tootey They...!!
Key Teri Yaad Bhi Dil Say Khaffa Guzzarti Hai...!!

Wo Ab Milay Bhi Toa Milta Hai Is Tarha Jaisay.....!!
Bhujjey Chiraghoon Ko Cho Kar Hawa Guzzarti Hai...!!

Faqeer Kub K Gay Jung'loon Ki Simmt Magar...!!
Gaali Sey Aaj Bhi Unki Saada Guzzarti Hai...!!

Ye Ahl-e-Hijjar Ki Basti Hai, Ehti'yaat Say Chal...!!
Museeb'toon Ki Yahan Inte'haa Guzzarti Hai...!!

Bhanwar Sey Bach Toa Gayen Kashtiyaan Magar Ab Key...!!
Diloon Ki Khair Key Moojj-e-Balaa Guzarrti Hai....!!

Naa Pooch Apni Aanaa Ki Bagha'watain Mohsin....!!
Dar-e-Qabool Sey Bach Kar Dua Guzzarti Hai.....!!

Wo Ajnabi Ajnabi Sey Chehray,Wo Khuwab Khai'may Rawaan Dawaan Sey


Wo Ajnabi Ajnabi Sey Chehray,Wo Khuwab Khai'may Rawaan Dawaan Sey...!!
Basay Howey Hain Abhi Nazar Main,Sabhi Manazar Dho'wan Dho'wan Sey..!!


Yeh Aks-e-Dagh-e-Shikast-e-Pay'maan,Wo Rung-e-Zakhm-e-Khulos-e-Yaraan..!!
Main Ghum Gusaaron Mein Soochta Hoon, K Baat Chai'Roon Kahan Kahan Sey..!!


Ye Sungrai'zay Adawtoon K,Wo Aab'Geenay Sakha'Watoon Key………!!!
Dil-e-Musaafir Qabool kar Ley, Mila Hai Jo Kuch Jahaan Jahaan Sey……!!!!


Bicharnay Wala Bicharr Chala Tha Toa Nisbtain Bhi Ganwa K Jata………!!!
Teray Liye Shehr Bhar Sey Ab Bhi Main Zakhm Kha'on Zubaan Zubaan Sey..!!


Meri Mohabbat K Weh'moon Sey Paray Tha Tera Wajood Warnaa…………!!
Jahan Jahan Tera Aks Thera, Main Ho K Aaya Wahaan Wahaan Sey......!!!


Tu Humsafar Hai Na Hum'naffas Hai,Kisay Khabar Hai K Tu Kidhar Hai……….??
Main Dasta'khen Dey K Pooch Baitha Makeen Makeen Sey Makaan makaan Sey..!!


Abhi MoOhabbat Ka Ism-e-Aazam Laboon Pey Rehnay dey Jaan-e-Mohsin.....!!!
Abhi Hai Chahat Naii Naii Sii, Abhi Hain Jazbay Jawaan Jawaan Sey………!!!!

Aaya Naa Tujhe Raas, Koi Ghar Bhi Qafas Bhi


Aaya Naa Tujhe Raas, Koi Ghar Bhi Qafas Bhi………!!
Ab Aae Dil-e-Kam'Zarf, Kisi Shehar Mein Bass Bhi…!!


Thukraa Ke Jo Aaya Hai, Samandar Ki Sakhaa'wat........
Ab Dasht-e-Musaafat Mein, Ghata'on Ko Taras Bhi….!!!


Main Payas Kaa Sehraa, Ke Guzar-Gah Hoon Teri........
Toa Abbar Ki Soorat Hai, Kabhi Mujh Pay Baras Bhi……!!


Mohsin Mujhe Cher'rain Gay Bohat Chaand, Nadi, Phool......
Aaya Naa Meraa Yaar, Aggar Ab K Baras Bhi…………!!!

Kis Darja Haseen Tha Mere Mahool ka Gham Bhi


Kis Darja Haseen Tha Mere Mahool ka Gham Bhi..!!
Main Bhool Gaya Aap ka Andaaz-e-Sitam Bhi....!!

Ek Lamha Toa Dum Leney Dhe Aaghoosh-e-Sukoon Main..!
Aae Gardish-e-Haalat Kisi Moorr per Thamm Bhi….!!

Palkoon peh Sajaye Howey Zakhmoon k Nagenay...!!
Guzrain Gey Kisi Rooz Tere Sheher Sey Hum Bhi…….!!

Kyun Dard ki Qandeel Jalaye koi Dil Main……..?
Halaat ki Talkhi Toa Ziada Bhi... Hai kam Bhi……!!

Manzar Toa Zara Dekhe'ye Ruswayi-e-Fan ka…..!!
Bikney Lagey BaZaar Main Arbab-e-Qalam Bhi……!!

Kuch Dair Toa Phoota Hai Lahoo Meri Jabeen Sey..!!
Kuch Dair Toa Chamkey Gaa Tera Sang-e-Haram Bhi………!!

Ek Umar Jisey Zehen Ney Pooja Hai Beher Toar….!!
Mohsin Wo Sitam kush Khuda Bhi Hai Sanam Bhi…!!

Alaam-e-rozgaar ko assa'n bana diya


Alaam-e-rozgaar ko assa'n bana diya
Jo ghum hua use ghum-e-jaana'n bana diya

Men kamyaab-e-deed bhi mehroom-e-deed bhi
Jalwon ke izhdiham ne hairaa'n bana diya

Yun muskuraye jaan si kalliyon men parr gayi
Yun labb kusha hue ke gulistaa'n bana diya

Ae shaikh! wo baseet haqiqat hai kufr ki
Kuch qaid-o-rasam ne jise eemaa'n bana diya

Kuch aag di hawas men to tameer-e-ishq ki
Jab khaak kar diya use irfa'n bana diya

Ik barq thi zameer men fitrat ke mojzin
Aj us ko husn-o-ishq ka sama'n bana diya

Wo shorashen nizam jahan jin ke dumm se hai
Jab mukhtasir kiya unhe insa'n bana diya

Hum us nigah-e-naaz ko samjhe the neesh tar
Tum ne to muskura ke rag-e-jaa'n bana diya

Kehte hain ik fareb-e-musalsal hai zindagi
Is ko bhi waqf-e-hasrat-o-harma'n bana diya

Agarche pekar-e-husn-e-wafa tha, wo bhi gaya


Agarche pekar-e-husn-e-wafa tha, wo bhi gaya
Mera shareek-e-ghazal ik diya tha, wo bhi gaya

Umeed-e-wasal to bechain mehmaa'n thi gayi
Makeen-e-dil to mera hausla tha, wo bhi gaya

Chamakte sheher men aye the qamqamon ke liye
Aur ik chiragh ke maa ne diya tha, wo bhi gaya

Phir aj chaand kahin chup gaya, magar ab ke
Wo chaand men jo koi chaand sa tha, wo bhi gaya

Wohi hua, ke churaye hue gulab ke sath
Jo apne hath men tinka uga tha, wo bhi gaya

Jamal-e-yar ke khair apne masle honge
Khayal-e-yar to kuch be-raya tha, wo bhi gaya

Lahoo ka ek hi qatra tha dil men jo Aslam
Kisi ke lutf se ansoo bana tha, wo bhi gaya

Honton pe kabhi un ke mera naam hi aye


Honton pe kabhi un ke mera naam hi aye
Aye to sahi, bar sar-e-ilzam hi aye

Hairan hain labb basta hain, dilgeer hain ghunche
Khushbu ki zubaani tera paigham hi aye

Lamhaat mussarat hain tasawwur se gurezaa'n
Yaad aye hain jab bhi ghum-o-aalaam hi aye

Taaron se saja lenge raah-e-sheher-e-tamanna
Maqdoor nahi subha chalo shaam hi aye

Kya raah badalne ka gila humsafaron se
Jis rah se chale tere dar-o-baam hi aye

Thak haar ke bethe hain sar kooye tamanna
Kaam aye to phir jazba-e-nakaam hi aye

Baqi na rahe saakh Ada dasht-e-junoo'n ki
Dil men agar andesha-e-ajnaam hi aye

Mohabbat ki duniya men mash'hoor kar doon


Mohabbat ki duniya men mash'hoor kar doon
Mere sada dil, tujh ko maghroor kar doon

Tere dil ko milne ki khud arzoo ho
Tujhe is qadar ghum se ranjoor kar doon

Mujhe zindagi door rakhti hai tujh se
Jo too pas ho to use door kar doon

Mohabbat ke iqrar se sharam kab tak
Kabhi samna ho to majboor kar doon

Ye be-rangia'n kab tak, ae husn-e-rangee'n
Idhar aa, tujhe ishq men choor kar doon

Too gar samne ho to men be-khudi men
Sitaron ko sajde pe majboor kar doon

Siya khana ghum hai saaqi, zamana
Bas ik jaam aur noor hi noor kar doon

Nahi zindagi ko wafa warna Akhtar
Mohabbat se duniya ko maamoor kar doon

Sab khayal us ke liye hain, sab sawal us ke liye


Sab khayal us ke liye hain, sab sawal us ke liye
Rakh diya hum ne hisaab-e-maah-o-saal us ke liye

Us ki khushbu ke taaqub men nikal aya chaman
Jhuk gayi sooye zameen lamhe ki daal us ke liye

Sar o taa khaak giya apni wafa ka silsila
Sarkasheeda us ki khatir, paayemaal us ke liye

Kya makaa'n khoorda khalaiq men chale us ka khayal
Tang naaye sheher, kuch rasta nikal us ke liye

Shaakh-e-tanhai se phir nikli bahaar fasl zaat
Apni soorat par hue hum phir bahaal us ke liye

Wasl ke badle men kya daagh-e-sitara maangna
Us shabb be khaanuma'n se kar sawal us ke liye

Sheher men ab koi bhi aisa nahi


Sheher men ab koi bhi aisa nahi
Jis ke dharr par saanp ka chehra nahi

Jheel ki ankhon men kaisa khauf hai
Men to sooraj ki tarha pyaasa nahi

Aj to saahil ne bhi mujh se kaha
Too samandar ki tarha gehra nahi

Log, kis ko dafan kar ke aye hain
Wo meri mehfil se to utha nahi

Sab khizaa'n ka zeher pi kar ji uthe
Men abhi tak shaakh se toota nahi

Labb khamosh se afshaa hoga


Labb khamosh se afshaa hoga
Raaz har rung men ruzwa hoga

Dil ke sehra men chali sard hawa
Abr gulzar pe barsa hoga

Tum nahi the to sar-e-baam-e-khayal
Yaad ka koi sitara hoga

Kis tawaqo pe kisi ko dekhen
Koi tum se bhi haseen kya hoga

Zeenat, halqa-e-aaghosh bano
Door bethoge to charcha hoga

Zulmat-e-shabb men bhi sharmate ho
Dard chamkega to phir kya hoga

Jis bhi fankaar ka shahkar ho tum
Us ne saddiyon tumhe socha hoga

Kis qadar karb se chattki hai kalli
Shakh se gul koi toota hoga

Umr bhar roye faqat is dhunn men
Raat bheegi to ujala hoga

Sari duniya humen pehchanti hai
Koi hum sa bhi na tanha hoga

Dilon ki our dhuwan sa dikhai deta hai


Dilon ki our dhuwan sa dikhai deta hai
Ye sheher to mujhe jalta dikhai deta hai

Jahan ke daagh hai, yaan age dard rehta hai
Magar, ye daagh bhi jata dikhai deta hai

Pukarti hain bhare sheher ki guzargahen
Wo roz shaam ko tanha dikhai deta hai

Ye log tooti hui kashtion men sote hain
Mere makan se darya dikhai deta hai

Khizaa'n ke zard dinon ki siyaah raaton men
Kisi ka phool sa chehra dikhai deta hai

Kahin mile wo sar-e-raah to lipat jayen
Bas ab to ek hi rasta dikhai deta hai

Bas gharri do gharri ko tera sath ho, is se barh kar saadat nahi chaye


Bas gharri do gharri ko tera sath ho, is se barh kar saadat nahi chaye
Umr bhar ke liye aur ghum hain bohut, umr bhar ki rafaqat nahi chaye

Aisee gungi mohabbat ka faida jis men izhaar-e-jazbaat mumkin na ho
Jis men sach bhi na hum keh saken dhang se, aisee jhuti murawwat nahi chaye

Aise raahi ka bhi kya safar kya hizar, shoq-e-manzil to jis ko bohut ho magar
Har qadam par bhare siskiyan, cheekh uthe, raaste ki tavalat nahi chaye

Jis ko jaana nahi, jis ko parkha nahi us pe kya apne dil ki girah kholte
Kaise sach bolte us ki khidmat men hum, jis ko harf-e-sadaqat nahi chaye

Too ne kya soch kar aag men rakh diye, tere pairon ke ye phool jal jayen
Chahen ishq men shiddaten bhi magar, ye junoo'n aisee wehshat nahi chaye

Jis ko parh kar sulagne lagen chishm-o-dil, jis ko paa kar dhuwen men bikhar jayen hum
Chaye, tera khat, be-talab chaye, lekin aisee ibarat nahi chaye

Saa'aten chund ginti ki hain jeb men, kharch karna hai un ki bohut soch kar
Qarz hai mujh pe auron ki rahaten, sirf apni hi rahat nahi chaye

Ye nahi ke saare jahan men mujhe humsafar nahi mila



Ye nahi ke saare jahan men mujhe humsafar nahi mila
Sabhi Aitabar ke sath the koi muatabar nahi mila

Meri nabz choo ke to dekhta ke shikasta dil ki sada hai kya
Mera la-ilaaj marz na tha, koi charagar hi nahi mila

Kabhi sheher chaan liye gaye kahin khaimey taan liye gaye
Jise dekhta tha men khwaab men, mujhe wo nagar hi nahi mila

Mujhe wo makee'n hi nahi mile jinhen meri zaat se piar ho
Jise apna ghar men samajh sakoon, mujhe aisa ghar hi nahi mila

Raha muztarib mera shoq bhi, mera sajda karne ka zauq bhi
Mujhe sang-e-rah to bohut mile, tera sang-e-dar nahi mila

Sabhi apne apne giroh ke, ghum arzoo ka shikar the
Kise men dikhata ye zakhm-e-dil, koi deeda-war hi nahi mila

Kuch log jo sawaar hain kaghaz ki naao par



Kuch log jo sawaar hain kaghaz ki naao par
Tohmat tarashte hain hawa ke dabao par

Mausam hai sard meher, lahoo hai jamao par
Jo paal chup hai, bheer lagi hai alaao par

Sab chaandni se khush hain, kisi ko khabar nahi
Phaha hai mahtaab ka gardon ke ghaao par

Ab wo kisi bisaat ki fehrist men nahi
Jin mann-chalon ne jaan laga di thi daao par

Sooraj ke saamne hain naye din ke marhale
Ab raat ja chuki hai guzishta parrao par

Guldaan par hai narm sawere ki narm dhoop
Halqa bana hai kaanpti kirnon ka ghaao par

Yun khud farebion men safar ho raha hai tai
Bethe hain pul pe aur nazar hai bahao par

Mausam se saaz gherat gulshan se be-niaz
Hairat hai mujh ko apne chaman ke subhaao par

Kya daur hai ke marham zangaar ki jaga
Ab chaaragar sharab chirrakte hain ghaao par

Taajir agar yahan hain, yehi gherat yahood
Paani bikega khoon-e-shaheedaa'n ke bhaao par

Pehle kabhi rivaaj bani thi na be-hissi
Nadim bigar par hain na khush hain banao par

Har rang se payam utarte hain rooh men
Parrti hai jab nigah dhanak ke jhukaao par

Daanish mere shareek-e-safar hai kajj mizaj
Sahil ne jin ko phenk diya hai bahao par

Hum par ye sakhti ki nazar hum hain faqeer rahguzar


Hum par ye sakhti ki nazar, hum hain faqeer rahguzar
Rasta kabhi roka tera Daman kabhi thama tera

Han han teri soorat haseen lekin tu itna bhi nahi
Is shakhs ke ashaar se shohra hua kya kya tera

Be-dard hansni ho to chal, kehta hai kya achi ghazal
Aashiq tera, ruswa tera, shayir tera, Insha tera

Kal chodhween ki raat thi, shabb bhar raha charcha tera
Kuch ne kaha chaand hai, kuch ne kaha chehra tera

Hum bhi wahin maujood the, hum se bhi poocha kiye
Hum hans diye, hum chup rahe manzoor tha parda tera

Is sheher men kis se milen, hum se to chootee'n mehfilen
Har shakhs tera naam le, har shakhs deewana tera

Kooche ko tere chor kar jogi hi ban jayen magar
Jangal tere, parbat tere, basti teri, sehra tera

Tu ba-wafa, tu meherbaa'n, hum aur tujh se badgumaa'n
Hum ne to poocha tha zara, ye wasf kiun tehra tera

Safar men shaam dhale to ajeeb lagta hai



Safar men shaam dhale to ajeeb lagta hai
Ghareeb aur ziada ghareeb lagta hai

Ruton ka kya hai ye ayen bhi aur jayen bhi
Magar ye hijr to mera naseeb lagta hai

Palat ke dekha na jis ne gaye dinon ki tarha
Wo shakhs aj bhi dil ke qareeb lagta hai

Sitare tootte rehte hain aas ban ban kar
Khushi ka lamha ghumon ka naqeeb lagta hai

Diyaar-e-ghair men ab is ka kya karen Kaavish
Ke dhalti shaam ka saaya muheeb lagta hai

Kis dasht men paon dhar raha hoon



Kis dasht men paon dhar raha hoon
aahat se men apni darr raha hoon

Chehron ke badalte aayenon men
Men kis ko talash kar raha hoon

Aankhon men meri simatne wale
Nazron men teri bikhar raha hoon

Ik yaad ko raat bhar jaga kar
Taweer men rang bhar raha hoon

Tum rok sako mujhe to roko
Badal ki tarha guzar raha hoon

Darya to utar chuka hai yaaro
Ab rait hoon aur bikhar raha hoon

Hairat hai mujhe bhi khud pe Kaavish
Jeene ke liye jo mar raha hoon

Sapnon men nahi milte, qison men nahi milte


Sapnon men nahi milte, qison men nahi milte
Roothe hain khayal aise, lafzon men nahi milte

Khushiyon ki se sachai bunglon men nahi milti
Ikhlaas ke gul zaade gamlon men nahi milte

Tehreer na baarish ki, jumle na hawaon ke
Sarsabz hawale ab, patton men nahi milte

Hans hans ke wo ro dena, ro ro ke wo hans dena
Masoom taqaze ab bachon men nahi milte

Jo ap pe guzri hai, auqaat nahi meri
Wo rog khudaon ke, bandon men nahi milte

Sab se hain juda Saaqib, hum log zamane se
Jhuton men nahi milte, sachon men nahi milte

Ye arzu thi tujhe gul ke ru-ba-ru karte


Ye arzu thi tujhe gul ke ru-ba-ru karte
Hum aur bulbul betaab guftufu karte

Payaam bar na muyassir hua, to khoob hua
Zabaan ghair us kya sharah arzoo karte

Meri tarha se meh-o-meher bhi hain awara
Kisi habeeb ki ye bhi hain justuju karte

Jo dekhte teri zanjeer zulf ka aalam
Aseer hone ki azaad arzoo karte

Na pooch aalam bargashta taalai Aatish,
Barasti aag jo baaraa'n ki aarzoo karte

Sun to sahi, jahan men hai tera fasana kya


Sun to sahi, jahan men hai tera fasana kya?
Kehti hai tujh ko khalq-e-Khuda, ghaibana kya?

Zer-e-zamee'n se ata hai go gul soz rabakuf
Qaaroo'n ne raaste men lutaya, khazana kya

Chaaron taraf se soorat jaana'n ho jalwagar
Dil saaf ho tera, tu hai ayena khana kya

Siyaad! aseer daam rag gul hai andleeb
Dikhla raha hai chup ke use daam dawana kya

Tibl-o-ilm na paas hai apne, na mulk-o-maal
Hum se khilaaf ho ke karega zamana kya

Ati hai kis tarah se mir qabz rooh ko
Dekhun to maut dhoond rahi hai bahana kya

Tirchi niga se taayir dil ho chuka shikaar
Jab teer kajj parrega, urrega nishana kya

Yun muddai hasad se na de daad, tu na de
Aatish ghazal ye tu ne kahi aashiqana kya

Raaz Jo Dil Main Muqaffal Raha, Khula Kab Tha


Raaz Jo Dil Main Muqaffal Raha, Khula Kab Tha
Aap Ne Dil Ke Band Dareechon Main Jhanka Kab Tha

Jaanay Kiyoon Ho Gai Afsurda Fiza E Gulshan
Main Ne Kaliyon Se Haal E Dil Abhi Kaha Kab Tha

Wo Tu Taqdees Ne Ik But Tarash Rakha Hai
Warna Mujh Main Tujhay Paanay Ka Hosla Kab Tha

Tu Ne Kiyoon Shor Ye Mehshar Ka Bapa Ker Daala
Zindgi, Ashk Meri Ankh Se Chhalka Kab Tha

Wo Tu Majboor Hoon Main Khu E Khud Farebi Se
Jo Meri Rooh Ka Unwaan Hai,Mera Kab Tha

Meri Aadat Hai Sarabon Kay Peechhay Chalnay Ki
Main Ne Haasil Ka Taqaza Kabi Kiya Kab Tha

Kaisay Utthi Hain Mitaanay Ko Sarphiri Maojain
Main Ne Saahil Pe Tera Naam Abi Likha Kab Tha

Wo Jis Main Kho Gya Anjaan Khwahishon Ka Wajood
Meri Sochon Ka Dhuwan Tha,Koi Sahra Kab Tha

Hazaaron Dard Ke Maaray Mujhay Lachaar Milay
Main Teray Koocha O Bazaar Main Tanha Kab Tha

Meri Hasti Teri Yaadon Ki Sajda Gah Hoti
Tu Ne Dil Se Mera Khyaal Tarasha Kab Tha

Fareb E Husn Main Yeh Umr Luta Di Hum Ne
Laot Jao Gay Tum Ik Roz Yeh Socha Kab Tha

Aasmaanon Pe Lahoo Ki Bisat Phail Gai
Abhi Palkon Ne Teray Naam Ko Chooma Kab Tha

Woh Jis Wajood Se Roshan Hain Nigaahain Apni
Hum Ne Uss Husn Ki Janib Kabi Dekha Kab Tha

Meri Yaadon Se Nikalna Teray Bas Main Hi Na Ho
Tu Ne Iss Darja Mujhay Toot Ke Chaha Kab Tha

Ne Nawazon Ne Tor Dala Khmshi Ka Bharam
Dharknaon Ne Abi Uss Saaaz Ko Chhera Kab Tha

Shikway Bhi Hazaron Hain Shikayat Bhi Bohat Hai


Shikway Bhi Hazaron Hain Shikayat Bhi Bohat Hai,
Is Dil Ko Magar Usse Muhabat Bhi Boht Hai,

Aa Jata Hai Milnay Wo Tasawwoor Main Humary,
Ek Shakhs Ki Itni Si Inayat Bhi Boht Hai,

Yeh Bhi Hai Tamanna K Use Dil Se Bhula Dain,
Is Dil Ko Magar Uski Zaroorat Bhi Boht Hai,

Dekhain Tu Zara Pee K Hum Zehr-E-Muhabbat,
Sunte Hain Kai Is Zehr Mai Lazzat Bhi Boht Hai.

Titliyaan Konplain Rung-o-Bu Aur Tu


Titliyaan Konplain Rung-o-Bu Aur Tu,
Chaandni Shaaeri Ye Sabuu Aur Tu,

Daaman-e-Koh K Manzar-e-Khawb Mein,
Roshni Ho Mere Chaar'Su Aur Tu,

Sandli Sandli Khaamshi Aur Main,
Makhmali Makhmali Guftgu Aur Tu,

Ess Taraf Ishq Ki Tashnagi Aur Main,
Uss Taraf Husan Ki Aab-e-Ju Aur Tu,

Jis Taraf Dekhiay Aur Kuch Bhi Nahin,
Sirf Main Aur Main, Sirf to Aur Tu.

Yon he baaton baaton main jub humne unka naam liya


Yon he baaton baaton main jub humne unka naam liya,
Dil ne jesay thokar khaai‚ dard ne barh kr tham liya,

Ghar se daaman jharh k nikle‚ wehshat ka samaan na poch,
Yani gard-e-raah se hamnay, rakht-e-safar ka kaam liya,

Diwaroon k Saaye Sayye‚ umar bitai diwaanay,
Muft main tanasani-e-ghum ka apne par ilzaam liya,

Raah-e-talab main chalatay chalatay‚ thaak k jab hum choorh howay,
Zulf ki thandi chaoon main baitay‚ pal do pal araam liya,

Hoont jalain yan cina sulagay‚ koi taras kab khata hai,
Jaam usi ka jisnay tabaan‚ jur’at se kuch kaam liya.

Ab agar aao to janay k liye mat ana


Ab agar aao to janay k liye mat ana,
Sirf ehsaan jatanay k liye mat ana,

Main ne palkon pe tamanain saja rakhi hain,
Dil par umeed ki 100 rasmain jala rakhi hain,
Ye hanseen shamainn bujhanay k liye mat ana,

Pyar ki aag main zanjeer pighal sakti hai,
Chahnay walon ki takdeer badal sakti hai,
Hoon main bebas ye batanay k liye mat ana,

Mujhse milnay ki agar tumko nahi chahat ab,
Tum sirf rasmen nibhane ke liye mat aana.

Tumharay baray mian hum ne jitney b khowaab dekhay


Tumharay baray mian hum ne jitney b khowaab dekhay,
Yeh khwaab kab thay yeh darhakeekat azaaab daikhay,

Jo ban ky kaantay chubhay howe hain badan main mere,
Kabhi yeh chehray thay main ne logo gulaab dekhay,

Khooshi ossay di, humaray daman main dard dalay,
So apnay maalik k hum ne saray hisaab dekhay,

Sajay howay hain hazaar daman pay daagh dekho,
Tumhari chahat main hum ne kya kya sarab dekhe,

Na chain hy na qaraar os k bagair Arshad,
Bichar k os say to hum ne har pal azaab dakhay…..

Popular Posts