Kuch log jo sawaar hain kaghaz ki naao par
Tohmat tarashte hain hawa ke dabao par
Mausam hai sard meher, lahoo hai jamao par
Jo paal chup hai, bheer lagi hai alaao par
Sab chaandni se khush hain, kisi ko khabar nahi
Phaha hai mahtaab ka gardon ke ghaao par
Ab wo kisi bisaat ki fehrist men nahi
Jin mann-chalon ne jaan laga di thi daao par
Sooraj ke saamne hain naye din ke marhale
Ab raat ja chuki hai guzishta parrao par
Guldaan par hai narm sawere ki narm dhoop
Halqa bana hai kaanpti kirnon ka ghaao par
Yun khud farebion men safar ho raha hai tai
Bethe hain pul pe aur nazar hai bahao par
Mausam se saaz gherat gulshan se be-niaz
Hairat hai mujh ko apne chaman ke subhaao par
Kya daur hai ke marham zangaar ki jaga
Ab chaaragar sharab chirrakte hain ghaao par
Taajir agar yahan hain, yehi gherat yahood
Paani bikega khoon-e-shaheedaa'n ke bhaao par
Pehle kabhi rivaaj bani thi na be-hissi
Nadim bigar par hain na khush hain banao par
Har rang se payam utarte hain rooh men
Parrti hai jab nigah dhanak ke jhukaao par
Daanish mere shareek-e-safar hai kajj mizaj
Sahil ne jin ko phenk diya hai bahao par
No comments:
Post a Comment