Friday, December 3, 2010

Takht hai aur kahani hai wohi


Takht hai aur kahani hai wohi...
Aur saazish bhi poorani hai wohi....

Qazi-e-shehr ne qibla badla.....
Laikin khut'be main rawani hai wohi....

Khaima kash ab ke zara dekh ke ho.....
Jis pe pehra tha, yeh paani hai wohi....

Aaj bhi chehra-e-khursheed hai zard........!!!
Aaj bhi shaam suhani hai wohi...!!!!!!

Badle jaate hain yahan roz tabeeb....
Aur zakhmon ki kahani hai wohi....

Hijla ghum yoonhi arasta hai.....
Dil ki poshaak shahani hai wohi.....

Sheher ka sheher yahan doob gaya...
Aur darya ki rawani hai wohi....

No comments:

Popular Posts