Thursday, December 16, 2010

Tishnagi jam gayi pathar ki tarah honton per



Tishnagi jam gayi pathar ki tarah honton per
Doob ker bhi tere darya mein main pyaasa nikla

Tum pass nahi to ajab haal hai dil ka


Tum pass nahi to ajab haal hai dil ka
yoon jaise mein kuch rakh ke bhool gaya hoon

Teri Nigah mein ik rang-e-ajnabiyat tha


Teri Nigah mein ik rang-e-ajnabiyat tha
Kiss Aitbaar mein hum khul ker Guftgu kertey

Tum mere liye koi or ilzaam na dhoondo


Tum mere liye koi or ilzaam na dhoondo
Chaha tha tujhe ik yehi ilzaam buhat hai

Tum to shaair ho Qateel or wo ik aam sa shakhs


Tum to shaair ho Qateel or wo ik aam sa shakhs
uss ne chaha bhi tujhe or jitaya bhi nahi

Tum ne hum ko thakraya ye zaraf tumhara


Tum ne hum ko thakraya ye zaraf tumhara
Jab tum ko log Thukra dein ither aa jana

Tu to kehta tha ke pathar hai tera dil Anjum


Tu to kehta tha ke pathar hai tera dil Anjum
Ab andheron mein betha ashak bahata kyoun hai

Tujhe ANJUM uss se tawaka ho to ho warna


Tujhe ANJUM uss se tawaka ho to ho warna
yahaan to aadmi ki shakal se bezaar bethey hain

Teri zulfein teri Aankhein tere abroo tere lab



Teri zulfein teri Aankhein tere abroo tere lab
Ab bhi mashhoor hai misaalon ki tarah

Tere siwa bhi buhat rang khush nazar they magar


Tere siwa bhi buhat rang khush nazar they magar
Jo tujhe dekh chuka ho wo or kia dekhey

Teri aankhon ki udasi mujhe kerti hai udaas


Teri aankhon ki udasi mujhe kerti hai udaas
Teri tanhaee ke ihsaas se dil jalta hai...

Sabat hua nishaar lehad se ye ae zameen


Sabat hua nishaar lehad se ye ae zameen
Tu bhi unko dabati hai jin mein ke dam nahi

Toot jaey na pyar ke nazuk Rishtey


Toot jaey na pyar ke nazuk Rishtey
waqt zalim hai her modh pe takraey ga

Jee sakein gey ya nahi ab or hum uss ke bagair


Jee sakein gey ya nahi ab or hum uss ke bagair
poochhta phirta hoon kyon usko maloom ager hai

jee chahe jazab kar loon rag-o-pey mein usey


jee chahe jazab kar loon rag-o-pey mein usey
besabab aksar wo mujko iss kadar pyara lagey

Chahat ke badley hum to baich dein apni marzi tak


Chahat ke badley hum to baich dein apni marzi tak
koi miley dil ka gahak koi humein apnaey to...

Chahoon to mere pass hai her baat ka jawab


Chahoon to mere pass hai her baat ka jawab
Chahoon ga ik roz abhi chahta nahi

Chal mere saath kabhi to kisi wiraney mein


Chal mere saath kabhi to kisi wiraney mein
Main tujhe shehar ke mahol se hut kr dekhoon

Dard khaney ka buhat shouk tha tum ko shakir


Dard khaney ka buhat shouk tha tum ko shakir
Dard mehka hai to ab shor machatey kyon ho

Chhup chhup ke Roon or sir-e-anjuman hansoon


Chhup chhup ke Roon or sir-e-anjuman hansoon
yeh mashwara mere Dard-e-Aashana ka hai

Husan ke samjhney ko umar chahiye jana


Husan ke samjhney ko umar chahiye jana
2 ghari ki chahat Larkian nahi khiltien

Hawadas rakas kertey hain qayamat muskrati hai


Hawadas rakas kertey hain qayamat muskrati hai
Sunna hai uss na khuda ke naam se toofaan chaltey hain

Khaffa na ho k tera hussan hi kuch aisa tha


Khaffa na ho k tera hussan hi kuch aisa tha
main tujh se pyar na karta to or kia karta...

ajeeb tarha se nakam rahe hum dono


ajeeb tarha se nakam rahe hum dono FARAZ
wo mujhe chah na saka me use bhol na saka

mis-le sheesha hain hamen tham k rakhna


mis-le sheesha hain hamen tham k rakhna ghalib
ham tere hath se chotay to bikhar jaen gay

Dil main hota to kisi tor nikal hi jata


Dil main hota to kisi tor nikal hi jata Faraz
ab to woh shakhs bohat door talak hai muj main

zinda hen to koi poochta tak nahi


zinda hen to koi poochta tak nahi faraz
marte hain to dunya kandhon pe utha leti hain

Wo ye smjhte hain k mein her chehre ka talab-gar hoon


Wo ye smjhte hain k mein her chehre ka talab-gar hoon Faraz
Mein dekhta sabhi ko hoon bus uski talaash mein

Mohabbat Aazmani Ho Tou Bas Itna Hi Kaafi Hay


Mohabbat Aazmani Ho Tou Bas Itna Hi Kaafi Hay
Zara Sa Rooth Kr Dekho Mananey Kon Aata Hy

HAMARI TARAP TO KUCH BHi NAHI



HAMARI TARAP TO KUCH BHI NAHI FARAZ
SUNA HAI US KE DEEDAR KO AINE TARASTE HAI

Naraaz kyoun hotey ho chaley jatey hain teri mehfil se



Naraaz kyoun hotey ho chaley jatey hain teri mehfil se FRAZ
Apne toote huey Dil ke tukry to uthaney do

Wo kar raha tha apni wafaon ka tazkara


Wo kr raha tha apni wafaon ka tazkara FARAZ
Hum per nigah pari to khamosh ho gya

suna hai sangdil ki ankh se aansoo nahi behtay


suna hai sangdil ki ankh se aansoo nahi behtay
agar ya such hai to pathar say chashmay ubalty kyun hain

Har waqt Rulati hen hadd se zeyada woh


Har waqt Rulati hen hadd se zeyada woh " FARAZ "
Hum jis ko tassawur may ronay nahi daitay

meri ankhen bhi ik din muj say keh den gi


meri ankhen bhi ik din muj say keh den gi fraz
khawab na us ka dekha ker hum say roya nahi jata

YEH LAZMI NAHI K HUM KO HAR DIN YAAD KARO


YEH LAZMI NAHI K HUM KO HAR DIN YAAD KARO FRAAZ,
MAGAR BHOOL JAO ISS KI BHI IJAZAT NAHI TUMHAIN.

Khud ko chuntay huway din saara guzar jaata hai


Khud ko chuntay huway din saara guzar jaata hai Faraz
Phir hawa shaam ki chalti hai tu bikhar jaate hein

MAIN KHUDA KI NAZROn MAIN KAISY NA GUNAHGAAR BANOO


MAIN KHUDA KI NAZROn MAIN KAISY NA GUNAHGAAR BANOO FRAAZ,
K AB to SAJDOON MAIN BHI MUJHY WO YAAD AANY LAGA HAI.

KABHI SOCHA HI NAHI APNI ZAAT K MUTALLIQ


KABHI SOCHA HI NAHI APNI ZAAT K MUTALLIQ FRAZ,
KAASH SOCH LAITY TO AAJ HUM TANHA NA HOTY.

Naaz tha humein buhat pyar pe


Naaz tha humein buhat pyar pe Fraz
Roothein jo ik baar to mana lein gey wo aa kar

Zamaney bhar ney loota hai faraib-e-dosti day kar


Zamaney bhar ney loota hai faraib-e-dosti day kar "Faraz".
Agar tum sath do to sab say dushmani kar loon

Faryaad karrahi hai koi tarsi hui nigah


Faryaad karrahi hai koi tarsi hui nigah
Dekhe hue kisi ko bohat din guzar gae

itni shiddat se us shaks ne manga mujhe


itni shiddat se us shaks ne manga mujhe FRAAZ
dushmani ke bawjood inkaar ki surat na thi

Log yonhi kha letay hain saath nibhany ki kasmein



Log yonhi kha letay hain saath nibhany ki kasmein Faraz..
Hum ne tu sanson ko bhi juda hote hue dekha hai..

MUJHE MALOOM NAHI HUSN KI TAAREEF


MUJHE MALOOM NAHI HUSN KI TAAREEF FARAZ
MERE NAZDEEK TO HASEEN WO HAI JO TUM JAISA HAI

ab andhery main kia kar rahy ho


ab andhery main kia kar rahy ho fraaz,
gham to roshni main bhi kam nahi hoty.

udaasiyun say wabasta ha ye zindgi meri


udaasiyun say wabasta ha ye zindgi meri`FARAZ`
khuda gawah hai k phir bhi tujhe hum yaad karte hen

WAISE TU THEEK HOON UN SE BICHAR KE


WAISE TU THEEK HOON UN SE BICHAR KE FARAZ.
BAS DIL HI KI SOCHTA HOON KAHIN DHARKNA NA BHOOL JAYE

mere hathon main jo hota agar sooraj ka nizam


mere hathon main jo hota agar sooraj ka nizam FARAZ
Teri rahon main kabi dhoop na aane data

rooth jane ki ada hum ko bhi aati hai


rooth jane ki ada hum ko bhi aati hai faraz
kash hota koi hum ko bhi manane wala

Popular Posts