Monday, February 8, 2010

********Main nay socha tha tri zulf kay sayay mujh ko********

Main nay socha tha tri zulf kay sayay mujh ko
rah e hasti ki musafat mein sahara den gay

Teray rukhsar ki gulrang damak
na umeedi kay andheron say bachayay gi mujhay
Main nay socha tha tra piyar mray jiwan mein
phool aashaon kay mehkyay ga

jin ki anmol mehek
rooh ban kar mray ehsas mein bas jayay gi
kamyabi mray qadmon ki blaen legi
shadmani mra hr naqsh e qadm choomay gi

Mri qismat keh mra khawab adhoora hi raha
kachchay dhagay ki tarah toot gaya ahd e wafa

Umr bhar kay liyay ek dagh raha sinay mein
kitnay anjan andheron nay mujhay gher liya

Rahzan toot parday loot liya zad e safar
main nay socha keh unhen jan e hazin bhi dedon
ek bekaar sa, ye baar e giran
lay kay kahan jaon ga



_________________

Kabhi tamanna k raastay per

Kabhi tamanna k raastay per nikal pero to Khayal rakhna

Kabhi tamanna k raastay per nikal pero to
Khayal rakhna
Hawain , baadil , fizain , mosam , khayal
Chehre badel badel ker tumhain milain ge
To lamha lamha badeltay rangon k shokh dhoke main
Kabhi jo charon tarf tumharay
Kiran kiran apna khwab aisa badan nikhare
Zameen pe utre
To dhundlakon main sama na jana
Kabhi jo aankhon main chaand hans hans k chandni ka
Khumar bher de
To apni aankhain kahin khala main ganwa na aana
K ye na ho phir jo khwab tootay
Dhanak dhanak ka saraab tootay
To jism-o- jaan per azaab tootay
Aur tum ba-mushkil larazte haathon main
Kirchi kirchi baden sambhale
Kahin bulandi pe cherh k risti huee nigahon se
Wapsi k nishan dhoondo



_________________

Mein tum ko buhat aane lago jab yaad, chale Aana

Mein tum ko buhat aane lago jab yaad, chale Aana
Bhool jana apni kahi har baat, chaley aanaa

Judaai ka woh lamha aur woh manzar dhaltey sooraj ka
Yaad tum ko jab aaney lagey woh shaam, chaley aanaa

Bhool jaao tum agar manzil kabhi apni
Uthana apney qadam phir meri taraf , chaley aanaa

Had sey guzar jaaye jub mera zabt-e-ghum
Aur mein pukaaroon tum ko baar baar, chaley aanaa


Us kay bin jeene ka ab tasawwur nahee faysal~
Meri mot ka gar tum ko miley payaam, chaley aanaa



_________________

tuj say main pyaar karty hon bandagi ki tarha

tuj say main pyaar karty hon bandagi ki tarha
tu maray zaat may shamil hai zindagi ki tarha

maray khayal par galib hai ik tary soorat
tuj ko hi sochty rahty hon shaairy ki tarha

saja kay ankhon may rakhain hain sub taray jalway
andhary raat kay lamhoo may roshni ki tarha

taray wajood say baqi hain maray umeeday
tum hi basay ho maray dill may ,dharkan ki tarha

is say bar kay may tumhay chaon kasay
nas nas may tum samaa chukay ho lahoo ki tarha

or tumhay keya maloom tum maray zindagi ho
hum nay chaha hai tumhay zindagi ki tarha

Kya Kya Batain Woh apni Tehreer main likhti hai

Kya Kya Batain Woh apni Tehreer main likhti hai
Aik naii Taqdeer meri Taqdeer main likhti hai

Woh aisi hamdard ke apnay Pyaar ke saray Alfaaz
Meray Haathoon ki aik aik lakeer main likhti hai

Koi Raaz chupana shayaad pasand nahin usay
Woh apna har khuwab khuli Tabeer main likhti hai

Main us ka aik maan-chaha Qaidi hoon isi liye
Naam mera woh Zulfoon ki Zanjeer main likhti hai

Bool uthay aik aik Ta'assur us ke Chehray se
Sari kahani woh apni Tasweer main likhti hai

Khoob Chehekti hai woh Khat ke pehlay his'say main
Laikin Dil ki Sacchi baat akhir main likhti hai

Jis Khoobi se pehchana jaii koi shukhs FAYSAL
Qudrat woh Khoobi us ke KhooN-e-Khameer main likhti hai

Popular Posts