Friday, April 2, 2010

Hatheli samnay rakhna

Hatheli samnay rkhna

K sub anso grain usmay

Jo ruk jaega honton per

Samjh Jana K Wo Hon Main



Kabhi jo chand ko dekho

To tum muskra dena

Jo chal jaye Hawa Thandi

To ankhein bund kr leena

Jo jhonka tez ho sub sey

Samjh Jana K Wo Hon Main



Jo zyada yad aoun main

To tum ro lena ge bhar k

Agar hichki koi ayay

Samjh Jana K Wo Hon Main



Agar tum bholna chaho

Muje shayed bhula do tum

magr jub sans lena tum

Samjh Jana K Wo Hon Main





_________________

Kathan hay zindagi kitni

Kathan hay zindagi kitni...



Safar dushwaar kitna hay...



Kabhi paaoo'n nahee'n chaltay....



Kabhi rasta nahee'n milta....



Hamaara saath day paaey...



Koi aisa nahee'n milta...



Ager mai'n yoon guzaaro'n to...



Yeh shab-o-roz nahee'n kat'tay...



Mager aey mairay maalik...



Mujhay shikwah nahee'n tujh say...



Mai'n jaa'n pay khail sakta hoo'n...



Mai'n per dukh jhail sakta hoo'n...



Ager tu aaj hi ker day....



Mohabbat hum-safar mairi....!!!





*************

Mohabbat rang badalti hay

Mohabbat rang badalti hay...



Aur is ka koi bhi rang mustaqil...



Pukhhta nahee'n hota...



Naveed-e-seher ki koi...



Daleel-e-bay-karaa'n jaisay...



Kisi mushhkil safar mai'n...



Qaafla ik bay-amaa'n jaisay...



Kabhi hairaan say lehjay....



Koi dil bad-gumaa'n jaisay...



Jhulasti dhoop may saaya...



Shajar-e-meherbaa'n jaisay...



Kabhi na ruknay waala zindagi ka karwaa'n jaisay...



Koi rangeen si...



Sangeen si...



Ik daastaa'n jaisay...



Mohabbat ibteda may baal kholay muskuraati hay...



Kabhi nazm may..



Her shai'r may...



Her ista'aaray may...



Ghataao'n ki tarah ghir ghir k aati hay aur barasti hay...



Kabhi sehra ki maanind..



Chand boondo'n ko tarasti hay...



Kabhi ik bulbulay ki tarah...



Pal do pal ko ha'nsti hay...



Kabhi sadiyo'n talak...



Dil ki nihaan khaano'n may basti hay...



Kabhi khurd k andaishay....



Kabhi ik jaush-o-masti hay...



Kabhi ha'ns ha'ns k roti hay...



Kabhi ro ro k ha'nsti hay....



Mohabbat aadmi ki zindagi ka dhang badalti hay...



Mohabbat khud rang badalti hay...



Mohabbat rang badalti hay...!!!







*******************

judayi phhail sakti hai

juda hona hi thehra to

gilay kaisay shikayat kya

juda ho jayen chupkey se

na tum bolo na main boloon

hamare bol perne se

judaayi phhail sakti hai

hawaun main

fizaaaaon main

judaai zaat main bher lein

chalo ham is terha ker lain

kisi sunsaan raste ke

kisi bhi morre per dono

juda ho jayen chupke se

na tum bolo na main bolon

hamare bol parney se

judayi phhail sakti hai





***************

Dekh December Ab Mat Aana


Dekh December Ab Mat Aana


Dekh December Mere Ander

Kitnay Sehra Phail Chukay Hain

Tanhayi Ki Rait Ne Mere

Saaray Darya Paat Diye Hain

Ab Main Hoon

Aur Mere Banjar Pun Ki Bojhalta Hay

Dekh December

Teri BarFaab Shaboon Mein

Teri BeKhuwab Shaboon Mein

Khuwab Sweater Kon Bunay Ga

Rooh k Ander Girti Barfein Kon Chunay Ga

Dekh December Ab Mat Aana

Aur Agar Tu Aye b To

Apnay Dukh Ki Baraf Pehan Kar

Dhoop Diyaroon Tak Mat Jana

Mere Pyaroon Tak Mat Jana

Dekh December Ab Mat Aana...!

mene chaha usay bhool jaon

mene chaha usay bhool jaon .......

faramosh kardon wo sub,roz o shab!!

usko dekhon to youn kay jesay wakif hi nahin

mein bhi us ki tarah ab kisi ro ko saath lay kar chaloon

har ghari khush rahoon .....,muskurata phiron

bewajah,besabab!!

jab hawa kay qadam misl-e-maynosh bedhab se parnay lagein

chandni khirkiuon se pukaray

nigahein chamaknein lagein

aahatein kaan mein sabz sargoshiyan karkay chalnein lagein

dast-e-mosam kay aaejaz se perhan zard patay badalnay lagein

bakht e khwabeeda gul aankh malnay lagein

kaash youn ho kay tab.............

usko dekhon to wo ajnabi sa lagay

uski aahat pe khwahish kay koi gul na khilein

wo pukaray agar...uski awaz pe kaan tak na dharoon

ehd-e-rafta ki har yaad ko bhool kar

anay wali ruton ka swagat karoon

uskay chehray ko ..,chehron kay anboah mein...

...is tarah gum kardoon...

kay phir wo ankhein rahein,na wo gaisoo..na wo lub..

mene chaha usay bhool jaon

faramosh kardon wo sub,

roz-o-shab!!!

Mujhay Iss Zindgani Se Koi Shikwa Nahi Lekin

Mujhay Iss Zindgani Se Koi Shikwa Nahi Lekin,

Zara Si Be Sakooni Hay,

Na Janay Kiun Mery Dil Mein,

Ajab Ik Khauf Rehta Hay,

Mujhay Mehsoos Hota Hay,

K Mery Dil K Darwazey Pe,

Teri Yaad Ki Dastak Mein Vo Shiddat Nahi Baqi,

Bohat Si Khas Baatein Hain,

Jo Mujh Ko Aam Lagti Hain,

Mery Dil Mein Unhein Sun Kar Koi Toofan Nahi Uthta,

Teri Aankhein,Tera Chehra,

Teri Awaaz Ki Rimjhim,

Sabhi Kuch Khuwab Lagta Hay,

Mujhay Mehsoos Hota Hay,

Sunehrii Titliyoon Jaisy,

Vo Sab Khush Rung Se Sapney,

Mery Lafzoon K Pholoon Par,

Bohat Din Se Nahi Baithy,

Mujhay Mehsoos Hota Hay,

Samay Ki Tez Lehron Ne,

Hamary Rait K Kachay Gharonday Torr Dalay Hain,

Mujhay Un Tez Lehron Se,

sunehrii Titlion Jaisy,

Sabhi Khush Rung Sapnoon Se,

Koi Shikwa Nahi Lekin,

Zara Si Be Sakooni Hay,

Mujhay Mehsoos Hota Hay,

Tumharay Dil K Darwazey Pe Meri Yaad Ki Dastak,

Meri Jaan Ab Nahi Hoti,

Meri Jaan Ab Nahi Hota,

K Meri Yaad Aye To,

Tumhari Aankh Bhar Aaye,

Duaein Mangtey Lamhay,

Mujhay Tum Bhool Jati Ho,

Magar Phir B Mujhay Tum Se,

Koi Shikwa Nahi Lekin,

Ajab Si Be Sakooni Hay,

Ajab Ik Khauf Hay Dil Mein,

Main Tum Ko Bhool Jaon Ga…!!!





*******************

Kaha tha na

Kaha tha na!

Mujhay tum iss tarah sootay huay matt chor ker jana

Mujhay bayshak jaga daina

Bata daina

Muhabbat ke safar main saath mairay chal nahin sakteeN

Judai main, hijar main saath mairay jal nahin sakteeN

Tumhain rasta badalna hai

Mairi hadd se nikalna hai

Tumhain kis baat ka derr tha

Tumhain jaanay nahin daita

Kahin per qaid ker laita

Array PAGLI!

Muhabbat kee tabiyat main zaberdasti nahin hoti!

Jissay rasta badalna ho

Ussay rasta badalnay se

Jissay hadd se nikalna ho

Ussay hadd se nikalnay se

Na koi rok paya hai

Na koi rok pai ga

Tumhain kiss baat ka darr tha

Mujahy baishak jaga daitay

Tumhain main daikh hee laita

Tumhain koi dua daita

Kam-az-kamm yuN tu na hota

Mairay Saathi! Haqeeqat hai

Tumharay baad khonnay ke Liya kuch bhee nahin baaqi

Mager khonnay se derta hoon

Mian ab sone se Darta hon...!!!





*************************

Mohabbat main deewangi zaroori hai

Mohabbat main deewangi zaroori hai

Mohabbat saare

Rishte naate torr

deti hai

faqat ek Dil se

Rishta jorr leti hai

Mohabbat ki haddein hoti nahi

Haddon ko torr dena

Is ka shewa hai

Agar tumhain mujh se

Mohabbat hai to phir

Yeh rishte naaton ki

Bandishein torrna hongi

Agar aisa nahi karsakte to

Phir hum tum apni khuwahish ke

Khilone torr dete hain

Dilon ko morr lete hain

Mohabat chor detey hen...!!!



******************

Teri Khwaahish Kii Qasam

Teri Khwaahish Kii Qasam

Mustaqil Dukh Ne Tabiyet Hii Badal Daalii Hai

Jhootey Moothey Kisi Behlaawey Se

Hum Bhala Kab Thai Behalney Waaley?

Teray Jeewan Ki Qasam

Hijr Aur Mout Ne Tora Hai Humien

Chooti Motii Kisi Veeraani Se

Hum Bhala Kab Thai Bikharney Waaley?

Tujh Ko Maloom Hai Hum Teri Khushii Kii Khaatir

Gham Ke Aadaab Bhulaaye Baithey Hain

Hum Ko Eik Behney Waley Zakhm Ne Mohtaaj Bana Daala

Warna Hum Kab Thai Bhala Bach Ke Guzarney Waaley?

Hum Ne Is Baar Ye Socha Hai Ke Hum Teray Liye

Teray Andaaz Se Chaahien Ge Tujhey

Tujh Se Hi Mashwara Mangey Ge Teray Liye

Baadshaahon Kii Trah Rakhien Ge Is Baar Mohabbat Ka Bharam

Hum Ne Yeh Soch Liya Hai Is Baar

Haar Aur Jeet Ko Is Khail Mein Rakhna Hii Nahien

Ghair-Mashroot Mohabbat Kii Tarah Daalain Gey





_________________

Ager mein pather ki Larki hoti

Ager mein pather ki Larki hoti



Tau apne peker ki sabz rut per



bohut si kaee ugaaya kerti



Bohut se tareek khwab bunti



Ujaley ko thokron mein rakhti



Khamoshiyon ke babool chunti



Dehekti kirnon ka jharna hoti



Samaaton ke tamam afsoon



Paash kerti mein kuch na sunti



Mein apne paloo mein saog bandhey



kisi ko in ka pata na deti



Safer ke har eik merhaley per



Mein rehzanon ki tarah mukerti



Tau mein aziyat ki malgaji an-ginnat udaasi ke rang chunti



Tumhari saari wajahaton ko



Mein sau tarah para para kerti



Na tumko yun aeena banati



Ager mein pather ki larKi hoti.....





_________________

dabegi kab talak aawaaz-e-aadam, ham bhi dekheiNge

dabegi kab talak aawaaz-e-aadam, ham bhi dekheiNge

rukeiNge kab talak jazbaat-e-barham, ham bhi dekheiNge

chalo yuuN hi sahii ye jaur-e-paiham, ham bhi dekheiNge



dar-e-zindaaN se dekheiN ya urooj-e-daar se dekheiN

tumheiN ruswaa sar-e-baazaar-e-aalam ham bhi dekheiNge

zaraa dam lo ma’aal-e-shaukat-e-jam ham bhi dekheiNge



ba-zom-e-quwwat-e-faulaad-o-aahan dekh lo tum bhii

ba-faiz-e-jazbaa-e-iimaan-e-mohkam ham bhi dekheiNge

jabeen-e-kaj-kulaahii Khaak par Kham ham bhi dekheiNge



mukaafaat-e-amal taareeKh-e-insaaN kii rawaayat hai

karoge kab talak naawak faraaham ham bhi dekheiNge

kahaaN tak hai tumhaare zulm meiN dam ham bhi dekheiNge



ye hangaam-e-widaa-e-shab hai aie zulmat ke farzando

sahar ke dosh par gulnaar parcham ham bhi dekheiNge

tumheiN bhi dekhna hoga ye aalam ham bhi dekheiNge





_________________

Jab ankh mein ansoo ataay hain

Jab ankh mein ansoo ataay hain

jab dil ki dharkan rotee hai

Jab door kahin sanaatay mein

Ek chaap si koi hote hai

Jab mun mein ansoo girtay hain

Dukh hastay hain,dukh hastay hain



Jab raat k saiy dhaltay hain

Aur panche punkh andheray mein

Ghar lout k ayaa kartay hain

Phir hum jaisay dewaanay log

Prem ki aag mein jaltya hain

Dukh hastay hain,dukh hastay hain



Jab waqt k koray kagaz par

Bus rang bharna rah jata hai

Aur sung chalna rah jata hai

Phir apnay saat samandar parr

Door kahin jaa bastay hain

Dukh hastay hain,dukh hastay hain





_________________

Mujhay tumsay muhabbat hu gayee thee

Mujhay tumsay muhabbat hu gayee thee

Kay tum apnay akelay pan ka dukh lay ker

Meray rastay main aye thay

Tumhari ankh say tanhayee ka azar behta tha

To mainay tumko un cheroon ki qurbat baksh di

Aisay manazir tum pay roshan ker diye

Jin per basarat naaz kernay kay bahanay dhoondhti hay

Tumhari guftugu mayoos sannatooN ka jungle thee

So mainay tumko aisi mehfilooN main awaleeN saf main bithaya

Aisay logon say milaya

Jahan hoontooN ki junbish nujawaN qisoon main dhelti hay,

QehqahooN ki rasm chalti hay

Tumhain apni sama’at say bhe shikwa tha

Kay tum nay naghmgi kay din nahi dekhay

Herf ko awaz kay pehloo main khawabeedha nahi paya

So main bhee gungunati subh ki manind lehjoon ko

Tumharay zoaq ki mehroom khilwat main bula laya

Kayee ras gholati shameiN

Tumhari rooh main baydaar ker dalein



Magar hona wahi thaa

Ju talaq jornay waloon ka dayrena muqaddar hay

Guzishta raat tumnay mujhko baymasruf samagh ker apnay HangamooN ki janib he nazar rakhi

Lehaza abb ijazat do

Meray rastay ki janib ghoar say dekho

Wu dekho ek dermandha musafir

Meri qurbat kay liye baychain lagta hay

Tum uski aankh say tanhayee ka aazar behta dekh saktay ho

Aur uski guftugu mayoos sannatooN ka jungle hay

Issay apni sama’at say bhee shikwa hay

Mujhay iss say muhabbat hu gaye hay





_________________

meri dairy

purane samaan ke saath

phir nikal ke samne aa gai hai..



peele safe

miti hui syahii

par jo likha hai ..

vo dil pe bhi naqsh hai ..

har baar ise door karne ki chaah me

kabhi machan pe uchal diya

kabhi purane samaan me phaink diya

khirki se bahar phainkne me

haath saath nahi dete..



barhaa ghar me chupane ki, dafn karne ki koshish

aur utni hi shadeed koshish

is dairy ki mere saamne aane kii

ye lukachipi kai salon se jari hai

main chup rahi hun

aur mujhe dhoond rahi hai

meri dairy .....





_________________

Main siyah raat kay safar parr hoon

Main siyah raat kay safar parr hoon

aik qendeel yaad-e-janan ki

hath mein hai,magar hawa hai taez



main to ik baat kay safar parr hoon

jo kisi kunnj-e-labb say phooti thi

aur meri tamam umr ko--- aik

dasht-e-pur khaar mein dhakael ga'ei



saari subhein,usi kay naam huein

saari fathein,usi kay naam huein

main,faqat maat kay safar parr hoon

main to ik baat kay safar parr hoon!





_________________

woh jo ikk laihr mire dil se uThee thee paihle

woh jo ikk laihr mire dil se uThee thee paihle

tujh ko kyuN aaj tire dil meiN bhee maiHsoos hu'ee

woh jo ikk baat mire dil ne kahee thee tujh se

tire dil ne bhee kahee mujh se tow maiHsoos hu'ee

yuN lagaa jaise azal se ko'ee jaltaa sooraj

kisee saa'ey ke tale chhupne ko aa pohNchaa ho

jaise betaab se dariyaa kaa machaltaa paanee

Khud ko Khaamosh samandar meiN bhulaa baiThaa ho

jis meN aiHsaas kaa toofaaN ho muHabbat kaa sukoon

jis kee gaihraa'ee meN hum Doobnaa chaahen to "Khayaal"

lamHe ulfat ke humeN usmeN saNbhaale rakkheN





_________________

mareez-e-muhabbat unheen ka fasaanaa

mareez-e-muhabbat unheen ka fasaanaa

sunaataa rahaa dam nikalte nikalte

magar zikr-e-shaam-e-alam jab bhi aayaa

chiraagh-e-sahar bujh gayaa jalte jalte



iraadaa thaa tark-e-muhabbat ka lekin

fareb-e-muhabbat men phir aa gaye ham

abhi khaake thokar sambhalne na paaye

ke phir khaai thokar sambhalte sambhalte



unhen khat men likhaa thaa dil muztarib hai

javaab un kaa aayaa muhabbat na karate

tumhen dil lagaane ko kisne kahaa thaa

behel jaayegaa dil behelte behelte



vo mehmaan rahe bhi to kab tak hamaare

hui shammaa gul aur doobe sitaare

faysal  iss qadar un ko jaldi thi ghar ki

vo ghar chal diye chaandni dhalte dhalte


 
_________________

Yehii gar zid tumhaari hai

Yehii gar zid tumhaari hai

chalo hum bhool jaatey heiN..!

sabhi waadey, sabhi qasmeiN

mohabbat ki sabhi rasmeiN

nahi, manzoor jo tum ko

kareiN ranjoor jo tum ko

tumhaari shaad-maani hi, azeez-az-jaan hai jab tu

tumheiN phir tokna kesa?

ziyaaN, sood ki baabat, bhala phir sochna kesa

chalo hum bhool jaatey heiN..!

mohabbat ki riyazat meiN

wafaaoN ki musaafat meiN

qadam kis ke kahaan behkey,huwi kis se kahaan larzish

basaa di jis ne ik pal meiN,humaari aankhoN meiN baarish

ke jis ki tez boondoN ne

kisi tezaab ki soorat

nishaaN-e-manzil-e-dil hi, jala dala miTa daala

magar jaaNa

kahaaN aasan hota hai?

jigar ka khoon ashkoN meiN, badalna aur bahaa dena

khas-o-khashaak chun chun kar

gharonda ik banana aur…ussi ko phir jala dena

jawaaN sapnoN ki laashoN ko

darooN-e-jaaN chuhpaa kar…muskara dena

khizaaeiN paalna khud meiN, bahaareiN baanTtey phirna

kahaaN aasaan hota hai..?

buhat mumkin hai hum bhi haar hi jaaeiN

jawaaN hai zabt jo ab tak

muqaabil ghum ke aaey..aur Dhai jaaey

aur iss meiN bhii taa’ajub kiyaa?

tumhaarey louT aaney ki..bachi ho aas jo koi

nawaaey be-zubaaN ban kar

sisak kar phir se utthey aur..tum tak bhi puhanch jaaey

so tum se ye guzaarish hai

tab ik ehsaan tum karna

palaT kar dekhna yuuN sard nazroN se

ke jo bhii aas zinda ho..

ussey yak-sar miTa dena

humeiN pathar bana dena.....





_________________

Is se pehlay ke dasht e imkaan mein

Is se pehlay ke dasht e imkaan mein

Wasl e janaa ki aarzoo na rahay

Is se pehlay ke baar e gam se kahin

Tujhko paanay ki justuju na rahay

Is se pehly ke dash e kaahish mein

Farsh e afsurdagi bichay sar e raah

Laut aaou ke muntazir hai nigah

Is se pehlay ke loh e kismat per

Baab e ulfat tamaam ho jaye

Is se pehlay ke shaam ho jaye.....





_________________

karwan sarai main, kis ka ye parrao hai

karwan sarai main, kis ka ye parrao hai

shauq ka safar shayed, raas aa nahin paya

lut gaya hai rastay main,aarzoo ka sarmaya

door manzil-e-umeed, rasta bhi hai be saya



ik thakan ke b ye bhi, karwan main shamil hai

ik chubhan ke rastay main, khar bun ke haail hai

rooh bhi shakista hai, uzaw uzaw ghayal hai

karwan saraye main , kis ka ye parrao hai



hum ne ab sepehlay bhi, aisay karwan daikhay

be murad manzil thay, na murad sahil thay

gard gard jismon pe, khuwab khuwab chehray thay



shauq ka safa kaya tha, dairay main phairay thay

ishq ki musafat main, bus yahi to hota hai

“koi khaak karta hai, koi khaak hota hai”









_________________

main bhala kon hoon

main bhala kon hoon

tum ne daikha hai kabhi meri taraf

kon hoon main

kitni mazboot nazar aati hoon (bazaahir)

kabhi bargadd ke ghanay pairr ke saaey jaisi

kabhi ustaada makaan ki soorat

aur kabhi naram bichhonay ki tarah

subah ki lau ki tarah

tund mojon mein muhabbat ke kinaaron ki tarah

kon hoon main

tum ne daikha hai kabhi mairi taraf

aanhk se door kahin rooh ke teh-khaanay mein

tootay phootay se khilonay apnay

main ne tum sab se chhupa rakhay hain

tumhay maloom hai mujh mein koi kehta hai

rooh ke qufal ko torron ik din

apni khuwahishon ka dereecha kholoon

aur ji bhar ke khuli hawa mein khailoon…





_________________

Kabhi to laut kar aao

Kabhi to laut kar aao

Mujhe bas itna samjhao

Kahan se seekhh li tum ne

Ada mujh ko bhulany ki

Tumhen mujh se shikwa tha,

Ya koi bhi shikayat thi,

Zehmat to zara si thi

Na koshish ki batane ki

Bhala yun chor kar apna,

Koi apno ko jata hai

Musalsal dukh ki barish mein

Jeevan bhar rulata hai

Abhi bhi rait geeli hai

Abhi sab naqash baqi hain

Gaey qadmon pe laut aao

Mujhe bus itna samjhao

Kahan se seekhh li tum ne

Ada mujh ko bhulany ki







_________________

Raat Ruk gai hey Yaa, Raat ki Hawaili Main

Raat Ruk gai hey Yaa, Raat ki Hawaili Main

Khwab Kaa Naya Maskan Be-Jawaaz LamhoN ney

Be-Sabab Iraado’n Ney, Be-Nishan Ra’ngo’n ney

Sai’nchney Kaa Socha Hey

Soch Hi Liya Hey To….

Raat key Parindey Ko Dair Takk Jagaana Hey

Aor Apney Kamrey Ki, Khirrkio’n Ko Ba’ndd Kar key

Dil Key Baam o Darr Sey Phir

Be-Qarar NazmoN Ko

Muztarib See GhazloN Ko..

Hijr Key Framo’n Sey..Nochna Zuroori Hey

aor Inn Framo’n Mai’n, Marsiya Sajaana Hey

Kia karai’n ke Haayel hey

Soch Aor Iraadey Key Darmayan Majboori

Waqt Kab Rukaa Hey Jo, Aaj Rukney Waala Hey

Izteraab Thhehra Hey

Raat Ruk Gaee Hey Yaa, Wehm Jaagta Hey Koi?

Yoo’n Laga Key GharriyoN Key,

Darmaya’n Khhalaa Hey Koi…..!





_________________

Tumhara mera taluk bas aik lafz ka hai

Tumhara mera taluk bas aik lafz ka hai

Lughat k ant main simta hoa faqt ek lafz

Is aik lafz maiN sachai hai zamanooN ki

Chalo kay aj yahi lafz ikhtayar karaiN

Tamam umer pari hai munafqat k liyay

Is aik lafz ka daman na daghdar karaiN

Alm shumar karaiN, drd aashkar karaiN

Chalo kuch hisab-e-ziyaaN jaaN ker laiN





_________________

Tum sey mujhey ishq ka daawa to nahi hai

Tum sey mujhey ishq ka daawa to nahi hai

lekin dil key mosamoN ko jaanta hooN meiN

ehsaas meiN ye tugyaani pehley kabhi na thi

jazbaat meiN ye jawaani pehley kabhi na thi

pehley mery qadam kabhi behkey huwey na thai

jaagti aaNkhoN ke khaab mehkey huwey na thai



Koi hai jo mery khaaboN meiN samaata ja raha hai

meri taareek raahoN meiN sawerey ugaa raha hai

na-mehram se ik hamdam tak, sab pardey chattakh rahey heiN

sadyoN pey pheley faasley aesy simatt rahey heiN

ke mehfil meiN rahooN to mehfil ka lehaaz nahi rehta

tanhaai meiN mujhey tanhaai ka ehsaas nahi rehta



AankhoN meiN kehkashaaN si jo soorat ubhar rahi hai

haathoN meiN us key naam ki lakeer ban rahi hai

wo mujhey apney rangoN meiN rangta jaa raha hai

aur mery dil ka har mosam badalta jaa raha hai

yehi hey agar ishq to mujhy honey laga hey ye

tum hi ho wo shakhs to kyuN boltey nahi!







_________________

Mein Tum Se Milna Chahta Hoon

Mein Tum Se Milna Chahta Hoon

Kahein Bhi ….. Kisi Bhi Waqt

Phoolon Ki Wadeon Mein Jahan Khushboo Hamari Razdaar Ho

Badalon Ke Sang Jahan Dhanak RangBhikre Hoon

Teri Dunia Mein Jahan Aabad Khusheon Ke Qahqahe Hoon

In Be-Rang o Be-Noor, Be-Aab o Gayah Sehraon Mein

Her Zara Jahan Ka, Rafeeq-e-Haal He Mere Qadam Ke Aabloon Ka

Ya Phir Yunhi Sar-e-Raah Chalte Hoe..!!

Mein Tum Se Milna Chahta Hoon…..Zara Si Dair Ke Lie!

Teri Masroof Hayat Ka Khayaal Bhi He

Mudat Se Lekin

Mere Lab Pe Ek Sawal Bhi He

Bas Ek Mukhtaser Sa Sawal

Tera Jawab Ke Us Se Bhi Mukhtaser Ho Shaid

Sawal..!!! Ke Teri Zulf Ke Paich o Kham Sa Paicheeda Bhi Nahi

Sawal..!!! Ke Teri Qamat-e-Qayamat Sa Dara Bhi Nahi

Haan ….. Tere Aariz-e-Gulgoon Ki Metthas Rakhta He

Khusk Honton Pe Apne Lekin

Ek Talab, Ek Khalish, Ek Peyaas Rakhta He

Tum Apne Zehn Ke Tamam Khane Khangaal Dalo

Wo Sab Asbaaq Duhra Lo, Waqt Ne Jo Tumhein Perrhae Hein

Awaz Do Un Alfaaz Ko, Jo Teri Yaad Mein Samae Hein

Phir Bhi ……

Mujhe Dar He Ke Tum Lajawab Na Ho Jao

Wo Sawal Hi Aisa He

Ke Tum Se Koi Jawab Na Ban Parre Ga

Tum Ko Apni Zehanat Ka Dawa He To Suno

——– Mein Poochtaa Hoon———

:::::: TUM Mujhe Keon Yaad Aati Ho????::::





_________________

Kisi mausam ka jhonka tha

Kisi mausam ka jhonka tha ..

jo is deewar pe latki hui tasveer tirchee kar gaya hai ..

gaye saawan mein ye deewarein seemee nahi theen ..

na jaane is dafa kyon.....inmein seelan aa gayi hai ..

dararein pad gayi hain ..

aur seelan is tarah bahti hai jaise ..

khusk ruksaaron pe geele aansoon chalte hain. ..



Ye baarish....gungunati thee

isi chat ki munderon pe

ye baarish gungunati thee isi chat ki munderon pe

ye ghar ki khidkiyon ke kaanch par

ungli se likh jaati thee sandese

bilakhti rahti hai baithi hui

ab band roshandanon ke peetche



Dophaharein aisi lagti hain

bina mohron ke khali khane rakhhein hain

na koi khelne waala hai baazi

aur na koi chaal chalta hai



Na din hota hai na ab raat hoti hai

sabhi kuch ruk gayaa hai

wo kya mausam ka jhonka thaa

jo is deewar pe latki hui tasveer tirchee kar gaya hai.....





_________________

inhi raaston main kisi morr per

inhi raaston main

kisi morr per

kon thakk gaya, haar gaya

pathreeli raahon ka zehar, chup chaap kis ko maar gaya ?

kon kahay kissay

chamakti aankhon se diyay

bujh kiyoon gaey

weeraan hai aashiyaan

makeen kidher jaa basay

wehshat-zada saa koi in weeraanon mein

khaamosh, udaas kiyoon chup chup rota hai

urrti khaak kis ko yaad kerti hai

meenh bina bersay kis ko bhigota hai

kon kahay kissay

keh raahi raah kiyoon bhattak gaya

safar shuru bhi na huwa aur koi bay-tarah thakk gaya.....





_________________

mere hathoon main aa ker

mere hathoon main aa ker

rang batain kernay lagtay hian

main in rangoon se

apnay dil ki batain paint kerta hoon

meri in paintings ko dekh ker

duniya ye kehti hai

tumharay khawab sachay hein

tumharay khawab achay hein

main us dam muskurata hoon

unhain batla nahi sakta

ke is rangoon bhari duniya ke peechay

dard ke kitnay samandar hain

kai dukh narsai ke

meri aankhon main rehtay hain

jinhain main keh nahi sakta

magar kab log mere dil ke andar

jhank saktay hein

ke is rangoon bhari dunya ke peechay

dard ke kitnay samandar hein

wo bas ik baat kehtay hain

tumharay khawab sachay hain

tumharay khawab achay hain

magar dukh narsai ke

wo kaise jaan paen ge!!!





_________________

tumhari poron ka lams ab tak

tumhari poron ka lams ab tak

meri kaf-e-dast par hai

aur mai ye sochta hoon

woh lamhay kitnay darogh-go thai

woh keh gaey thai

ke ab kay jo haath tairay haathon ko chhu gaey haiN

tamaam hontoN ke saaray lafzon se mu’tabar haiN

woh keh gaey thai

tumhari porain

jo meray haathon ko chhu rahi theeN

woh to qismat-taraash haiN

aur apni qismat ko

saaray logoN ki qismatton se buland jaano

hamaari maano

to ab kisi aur haath ko haath matt lagana

main uss samay se

tamaam haathon

woh haath bhi

jin mai phool

shaakhon se barrh ke lutf-e-namu utthaaeyn

woh haath bhi jo sada kay mehroom thai

aur un ki hathailiyaan zakham zakham theeN

aur woh haath bhi jo chiraagh jaisay thai

aur rastay mai sang farsang ki tarah jaa-bajaa gaRay thai

woh haath bhi

jin ke naakhunoN ke nishaaN

ma’soom gardanoN par misaal-e-toq-e-sitam parray thai

tamaam na-meharbaan aur meharbaan haathon se

dast-kash yuN ho raha hoon jaisay

yeh mutthiyaaN main ne khol deeN to

woh saari sachhaayyoN ke motti

musarratton ke tamaan jugnu

jo be-yaqeeni ke janglon mein

yaqeen ka raasta banaatay haiN

roshni ki lakeer ka qaafla banatay haiN

meray haathon se rooTh jaaeyn ge

phir na taaza hawa chalay gi

na koi shama-e-sada jalay gi

mai zabt aur intezaar ke iss hissaar mein mudatton raha hoon



magar jab aik shaam

aur woh patt-jhaR ki akahri shaam thi

hawa apna aakhri geet ga rahi thi

meray badan mein mera lahu khushk ho raha tha

to mutthiyaaN main ne khol deeN

aur main ne daikha

keh meray haathon mai

koi jugnu

na koi motti

hathailiyon per faqat meri naa-muraad aankhain dhari huwi theeN

aur unn mein

qismat ki sab lakeerain mari huwi theeN





_________________

Na hareef-e-jaaN… na shareek-e-gam

Na hareef-e-jaaN… na shareek-e-gam

Shab-e-intezaar… koi to ho

Kissey bazm-e-shauq mey laayeN hum…

Dil-e-beqaraar, koi to ho

Kissey zindagi hai azeez abb!,

Kissey aarzoo-e-shab-e-tarabb

Magar aye nigar-e-wafa-talabb…

Teraa aitebaar, koi to ho



KahiN taar-e-daaman-e-gul mileyN,

To yeh maan leyN ke chamann khiley

Ke nishaan fasl-e-bahaar kaa…

Sar-e-shaakhsaar, koi to ho



Yeh udaas udaas se baam-o-darr,

Yeh ujaar ujaar si rah-guzarr

Chalo humm nahiN, naa sahi magarr…

Sar-e-kuey yaar koi to ho



Yeh sukoon-e-jaan ki ghari dhaley,

To charaagh-e-dil hi na bujh chaley

Woh balaa se ho ghamm-e-ishq yaa….

Ghame-roosgaar, koi to ho



Naa hareef-e-jaaN… naa shareek-e-gham....







_________________

Khwaabon Ki Dekh Bhaal Mein Aankhien Ujar Gaien

Khwaabon Ki Dekh Bhaal Mein Aankhien Ujar Gaien

tanhaiyon Ki Dhoop ne Chehray jala Diye

Lafzon Ke jorney Mein Ebarat Bikhar Chalii

Aaiyena dhoondney Mein Kaii Aks Kho Gaye

Aaye Na Phir wo loat Ke Aik Baar jo Gaye



wo Din, wo Waqt, wo Rut, wo mousam, wo Sarkashi

Aey Gardisht e Hayaat, Aey Raftaar e Mah o Saal

Kya Jamma Is Zameen Pe Nahien hongey Phir Kabhi ?

jo humsafar Farak Kii Daldal Mein Kho Gaye



Patay jo Girr Ke Pair Se Raston Ke kho Gaye

Kya Phir Kabhi Na loat Ke Aaye Gii wo Bahaar

Kya Phir Kabhi Na Aankh Mein Utray Gii wo Dhanak

Jis Kay Wafoor e Rang Se jhalkii hoii Hawa

Kartii hai Aaj Tak

Aik Zulf Mein Sajay hoye Phoolon Ka Intezaar



Lamhay Zamaan e Hijr Ke Phailay Kuch Is Trah

Dagay e Rawaan e dasht Ki Tamsaal ho Gaye



Is dasht e Pur Saraab Mein Bhatkay hain Kuch Is Qadar

Naqsh e Qadam Thai Jitnay Bhi Pamaal ho Gaye



Ab to Kahien Khatam ho Rasta gumaan Ka

SheeShay Mein Dil Ke Sarey Yaqeen Baal ho Gaye



Jis Waqe’ay Ne Aankh Se Cheenii Thii Meri Neend

Us Waqe’ay ko ab to Kaii Saal ho Gaye







_________________

Raat baaqi thi abhi sar-e-baaleeN aa kar

Raat baaqi thi abhi sar-e-baaleeN aa kar

chaand ney mujh sey kaha –

“jaag sehar aai hey

jaag is shab jo mey-khaab tera hissa thi

jaam ke lab sey tah-e-jaam utar aai hey”



aks-e-jaanaaN ko widaa kar ke utthi meri nazar

shab ke ttherey huwey paani ki siyah chaadar par

ja-bajaa raqs meiN aaney lagey chaandi ke bhaNwar

chaand ke haath se taaroN ke kaNwal gir gir kar

doobtey, teyrtey, murjhaatey rahey, khiltey rahey

raat aur subh bohat dair galey miltey rahey





_________________

Popular Posts