Friday, April 2, 2010

aaj ki raat bhi phir khawaab jagayein ge mujhay

aaj ki raat bhi phir khawaab jagayein ge mujhay

phir wo kerwaT se khayaalooN ke tasalsul ko mitanay ki kasheed e koshish

jism ke dard ko silwaT mein samo ke

wohi bistar pe TaRapte hovay, mehjoori e janaaN ko

kabhi aah, kabhi saans ki gehraai mein, shal kerne ki

sa’i e nakaam

yeh bi maloom hai

yeh neem rassi, fehm ki deevaar talak jast

yeh saaye ki tasveer, kisi shakl o shabahat ke tasalsul ke nishaan hein lekin

na’saboori, yeh badan toRti angRaiyaaN

hoontooN pe mehkti larzish

baat ko rabt ke aahung mein laanay ki talab

meere seenay ka dhuwaaN, aankhein sharaboor kiay

her bun e moo ki mulaqaat ka joya ker de

aankh chaRtay hovay dariya ki tarah hei pur’aab

paoon phislay hei tou phir saans ka rishta na rahe

hum tou chaaheiN magar iss dil ko yeh accha na lagay

jaaN’kunni hud se baRhi chaaragaro kuch tou karo!!!





_________________

No comments:

Popular Posts