Friday, April 2, 2010

Muhabbat saat sur main behti waadiyon ka naghma hai

Muhabbat saat sur main behti waadiyon ka naghma hai,

Isi ke dhanak rangon se to dil abaad hote hain

Wafaen payas banti hain

Zakhm betaab hote hain

Ye chupke se kisi dil main

Diye se roshan karti hai

Ke jese tez suraj ki shuaaen safar karti hain !



Muhabbat bekaran jazbon main beh jaane ka lamha hai,

Kisi meethi si saat main

Ye boondon si barasti hai

Kahin seraab karti hai

Kabhi betaab karti hai

Ye behti hi chali jaati hai

Boondon ki guzarish main

Ke jese bheegte parbat hain barish ke tasalsul main !



Muhabbat har kali ki band khushbu se nikalti hai,

Ye har mosam ke sang chalti

Hawaon main machalti hai

Ye har dil ke nehan khanon main

Shamma ban ke jalti hai



Muhabbat har zamane ki rag-e-jan main bhi basti hai

Ye behti wadiyon ke saat rangon main damakti hai !







_________________

2 comments:

Unknown said...

wow am surprixd to see my poem posted here.....anyways thanx for posting my poem here...nice forum

FAYSAL'S POETRY said...

its okay dear...........

Popular Posts