Friday, April 2, 2010

Aaj udaasi nay phir chheRaa hai saaz

Aaj udaasi nay phir chheRaa hai saaz

Aaj dard phir kuch sunaayega

Tanhaayiii nay baaNdhay haiN ghuNgroo

Aaj waqt bhi thahar jaayega



ChaaNd ! apni chaaNdni idhar rakh jaanaa

Aanay haiN aaj kuchh bhoolay huay say chehray

Ashko ! aaj tum bhi ji bhar kay beh lenaa

Behal jaayeN aisay hi shaayad ahsaasoN kay safeenay

Naghmo !Aaj qadam saMbhal saMbhal kay rakhna

Aaj ki raat khwaaboN kay naam hai

In lamhoN ka hai chalan aisaa

Ki aaj tarpaygi takhleeq lefz dar lafz

Khaamoshi ka zehr subko pilaayaa jaayega



Aaj ki raat zindagi pay bhaari hai

Aaj jalaiNgay khwaahishoN kay alaav

HaNstay haNstay hoga aaj umeedoN ka qatl

Meri zindagi aaj phir mayzbaan bani hai

Woh baras jab jazbaat nay li thi pehli angRaayii

Us baras ki yaad aaj mehmaan bani hai



Woh door ufaq pay uthtay haiN ghubaar

MehmaanoN kay qaafily pahuNchnay waalay haiN

Dard-e-dil ko saMbhaaluN ab main

Ai faza’oN tum hawaaoN pay likh lena

BehoshioN main nazm jo banaa loon ab main





_________________

No comments:

Popular Posts