Monday, March 22, 2010

Mairi Hasti Mein Jo Likha Hai

Mairi Hasti Mein Jo Likha Hai Mitaoon Kaisey
Abb Tum Hi Bataao Ke Tumhein Bhulaoon Kaisey

Log Kehtey Hain Ke Main Jo Hoon Woh Tum Hi To Ho
Terey Honey Ko Main Sab Say Chupaoon Kaisey

Jaagti Aankhon Say Bhi Daikhoon To Tera Sapna Daikhoon
Apni Aankhon Mein Kissi Aur Ke Khwab Sajaoon Kaisey

Main Jo Chaahoon Bhi To Keh Na Paaoon Kuch Bhi Tum Say
Mairi Jo Halat Hai Woh Main Tujh Ko Sunaoon Kaisey !
__________________

jab hum nahi honge

humein kho kar bohat pachtaao ge
jab hum nahi honge
bhari duniyaa ko weeraan paao ge
jab hum nahi honge

hazaaroon manzilein hongi
hazaaoon kaarwaan honge
nigaahein hum ko dhondeingi
na-jaane hum kahaa honge

humein apnaa nahi jana tamanna-e-gham tumharaa hai
ke phir kis par sitam farmaao ge
jab hum nahi honge

bohat aasaan sahi, rahein wafaa ki manzilein lekin
akele kahaan tak jaao ge
jab hum nahi honge

humein kho kar bohat pachtaao ge
jab hum nahi honge
bhari duniyaa ko weeraan paao ge
jab hum nahi honge!
__________________

us ne mere sinay pe apna sarr rakh ke poocha

"us ne mere sinay pe apna sarr rakh ke poocha..
"jaana...apne jeewan ka woh lamhaa to batlao mujh ko
jis ke badlay mil sakte hain sabhi sitaare..
dariyaaoon ke saare mooti..
saawan ki pehli baarish ke saare katre..
ojlay chaand ki saari kirnein..
dhartii ke siinay se liptay sabhii khazaane..
saare mausam...sabhi duaaein..
phooloo ki rangeen kabaein..
patti patti parhne waali biinii shabnam..
ism-e-aazam.."

us ne mere sinay pe apna sarr rakh ke poocha..
"jaanaa..apne jeewan ka woh lamhaa to balao mujh ko
jis ke badle sab kuch apna..sab kuch..SAB KUCH..
apna sab kuch de sakte ho...?"

mainne uska maathaa chooma...aur bola
"pehli baar mere sinay pe jab sarr rakha tah...!"
__________________

main tum ko chaahta hoon

main tum ko chaahta hoon
junoo ke dusht mein
jaan se guzar jaane ki hadd tak...

main tum ko jaanta hoon
muattar rooh ke be-ant saagar mein
utar jaane ki hadd tak...

main tum ko poojta hoon
muhabbat ki haseen dewi se sarr takra ke
marr jaane ki had tak...

main tum ko sochta hoon
kabhi duniya...kabhi khud se
marr jaane ki hadd tak...

main tum ko dekhta hoon
faseel-e-darr pe rakhe mehakte khwaab ki khushboo
bikhar jaane ki hadd tak...

YAKIIN jaano...ke main yeh jurm ik pall mein
hazaaroo baar karta hoon...
tumein maloom hota
KAASH!!!
ke main tum se KITNAA piyaar karta hoon!!!

Zinda rahen tu Kya hai Jo mar jayein ham to kya

Zinda rahen tu Kya hai Jo mar jayein ham to kya

Dunya mein khamoshi se guzar jayein ham tu kya

Hasti hi apni kya hay zamane ke samnay

Ek khuwab hai jahan mein biklhar jayein ham tu kya

Ab kaun muntazir hay hamare liye wahan

Sham aa gayi hay lout ke ghar jayein ham tu kya

Dil Ki Khalish tu sath rahgi tamam umr

Dariya e gam kay paar utar jayen ham tu kya

Zinda rahen tu kya hay jo mar jayein ham tu kya

Duniya main khamoshi se guzar jayein ham tu kya

aadat he banaa lee ha is sheher k lougo na

aadat he banaa lee ha is sheher k lougo na
andaaz badal lena
aawaaz badal lena
dunya ki mohabbat main
atwaar badal lena
mausam jo naya aaey
raftaar badal lena
ehbaab badal lena
aadat he banaa lee ha is sheher k lougo na
rastay main ager milna
nazro ko jhuka lena
aawaaz ager do to
katraa k nikal jaana
her ik say judaa rehna..
her ik say khafaa rehna
her ik ka gila kerna
jaatay huay raahi ko
manzil ka pata day ker
rastay may rula dena
Sach...
aadat hee bana lee hay...!!
__________________

Khud Apni Pehchaan Se Anjaan Hoon Main

Khud Apni Pehchaan Se Anjaan Hoon Main,
Apna Tarruf Aapse Karwaoon Kaise..

Kuch Simti Hui Chhoti Si Duniya Hai Meri,
Iss Dil Ki Gehraiyon Mein Aapko Le Jaoon Kaise..

Aasman Ki Uchaiyon Tak Mere Khwab Bikhre Hain,
Apne Armaano Ki Hadd Main Dikhaoon Kaise..

Muskurana Meri Aadat Hai Aansuon Ko Chhupa Kar,
Par Har Gham Ko Apni Hassi Se Behlaoon Kaise..

Dosti Hi Meri Chahat Hai Aur Dost Meri Zindagi,
Ishq Se Apni Berukhi Ka Sabab Bataoon Kaise..

Hokar Meri Sarhadon Mein Shamil
Aap Hi Jaan Lo Mujhe,
Kisi Aur Tarha Aapko ShaiL Se Milwaoon Kaise

Mohabbaton ki saza bemisal di uss ne

Mohabbaton ki saza bemisal di uss ne
Udas rehne ki aadat si dal di uss ne
Wo mere jism pe jab apne zakham dekh chuka
To jan boojh k kanton ki shaal di uss ne

Bichar kar phir milein yaqeen kitna tha
Tha to ek khawab par haseen kitna tha
Mere zawal se pehle hi wo mujh ko chor gaya
Haseen to tha hi zaheen kitna tha

Phir yun huwa k raaste yakja na ho sake
Wo bhi anaa prast tha, ham bhi anaa prast

meri ankhon ke samandar mein jalan kaisi hai

meri ankhon ke samandar mein jalan kaisi hai...
aaj phir dil ko tarapne ki lagan kaisi hai...

ab kisi chhat pe charagon ki qatarein bhi nahin...
ab tere shehar ki galiyon mein ghutan kaisi hai...

baraf ke roop mein dhal jayeinge saare rishtey...
mujh se poochho muhabbat ki agan kaisi hai...

mein tere wisal ki khuwahish ko na marne doonga...
mausam-e-hijar ke lehje mein thakan kaisi hai...

regzaron mein jo banti rahi kaanton ki rida...
us ki majboor si aankhon mein kiran kaisi hai...

Mujhe Masoom si Pagal Larki Pay Taras ata hai
usey dekho to muhabbat mein magan kaisi hai...

naam le le ker na mera shehar ki nazron mein aa

naam le le ker na mera shehar ki nazron mein aa...
mujh se milna hai to mere dil ke sehraon mein aa...

us safar mein dekh ghul jaata hai mitti ka badan...
mujh se milne ki na khuwahish ker na barsaton mein aa...

log tujh ko gungunyein meri khuwahish ki tarah...
ik achhote shehar ki soorat meri gazal mein aa...

be hunar logon ne phir maanga mere fan ka saboot...
aa meri sachayi ki khushbu mere lafzon mein aa...

ghar ke darwaze pe aakar kion qadam rakhne lage...
aa meri tanhayi, meri muntazir banhon mein aa...

Kabhi Khud hee meray pass aa

Kabhi Khud hee meray pass aa

Meri baat sun, Mera sath day

Jo Khalish hay DIL say nikal ker

Mujhay uljhano say nijaat day

Tujhay sochna mera mashgala

Tujhay dekhna meri arzoo

Mujhay din day apnay khiyal ka

Mujhay qurb ki koi raat day

Meri zindagee meray sath chal

Meray hath main zara hath day

Mujhay gam, khuchi sub qabool hain

Tu jo agar mera sath day

Khwaab aankhoon mein chubhoo kar dekhoon

Khwaab aankhoon mein chubhoo kar dekhoon
kaash mein bhi kabhi soo kar dekhoon

shayed ubhre teri tasweer kaheen
mein teri yaad mein ro kar dekhoon

is khowaish mein mita jata hoon
tere paoon teri thokar dekhoon

ashuk hain wehum ki shbnum k lahoo?
apni palkoon mein tu bhigo kar dekhoon

kaisa lagta ha bichar k milna....?
mein achanak tujhe kho kar tou dekhoon

ab kahaan apne girebaan ki bahaar?
taar mein zakhum peroo kar dekhoon

mere hone say na hona behtar
tou jo chahe,tera ho kar dekhoon?

rooh ki gurd say pehlay Mohsin!
daagh damun ka tou dhoo kar dekhoon  

Main khawab bohat deakhta hoon

Main khawab bohat deakhta hoon
Aisay khawab!
Jin main wisal k rastay behar ki waadi say ho k nahi guzartay
Jin main mohabbat humesha adh-khulay phool ki tarhan khubsurat
Aur bachay ki muskaan ki tarhan pakeeza hoti hai
Aisay khawab
Jahan aik muskurahat ki qeemat hazar aansu nahi hotay
Meri palkoon ki shakhoon par kaiee aisay khawab baithay hain
Un ki gungunahat mujhay jeenay pay uksati hai
Naiea rastoon ki aur lay chalti hai
Mujhay apnay khawboon say mohabbat hia
un khawaboon main rehnay waalay aik aik shakhs say mohabbat hai
Un khawbaoon main dikhnay waali aik aik shay say mohabbat hai
K Ye sub mera hai sirf mera
Meray khawab meray ilawah koi nahi deakh sakta
Jub tak main na inhay deakhana chaoon
Koi unhay meri aankhoon say chura nahi sakta
Jub tak main khud na kisi ki aankhoon main saka doon
Meray khawboon
Aj main iqraar karta hoon
Ye sach hai k mujhay un aansoon say dar nahi lagta
Magar main phir shayad isliya roonay say darta hoon
K In aankhoon main tum rehtay ho
Tumhara hona mera hona hai
Aur main tumhay khoonay say darta hoon........!!

meri aankhoon k bjhte diae ki lou

aey meri aankhoon k bjhte diae ki lou..
abhi meray qadmoon ki simt
meri hii azmaish ha
k teri hii khowaish ha
abhi koi bazi nahi hari
abhi damun ki gurd nhi jhari
k rait k har zar're mein teri purchain ha
dil ki har dharkan mein tere lafzoon ki
mere guzre hoay lamhoon ki
aik dilnasheen saraey ha
sub titlyoon k dhang tekhay hain
k muhabat k subhi rung phekay han
har aahut p gumaan teri aahut ka hota ha
dil ka dharkna kyoon besabab hota ha
abhi tuk har sans ki sulgti ha aanch
kia meri aankhoon k bujhte diay ki aakhri lou ho tum
...........

Wo ishq jo hum say rooth gaya

Wo ishq jo hum say rooth gaya
ub uss ka haal bataien kya
koi mehril nahi koi qehril nahi
yeh sacha shair sunaien kya

ik hijr jo humko laahuq hai
ta zer usay dohraien kya
wo zehr jo dil mein utaar diya
phir uss kay naaz uthaien kya

ik aag ghum-e-tanhai ki
jo saray badan mein phail gai
jub jism he sara julta ho
phir daman-e-dil ko bachaien kya

hum naghma sara kuch ghazloun kay
hum soorat hein kuch khawaboun kay
bay juzba-e-shoq sunaien kya
koi khawab na ho tu bataien kya

Ager Hum Dost Hotay Tu

Ager Hum Dost Hotay Tu
To Karam Ki Inteha Kartay
Tumay Palkon Mein Basatay Hum
Ager Tum Rooth Jatay To
Tumhay Kitna Manatay Hum
Jo Milnay Tum Nahi Aatay To
Aa Kar Khud Tumhan Miltay
Tumhari Laghzishon Ko Bhi
Hansi Main Hum Ura Detay
Ager Apni Khata Hoti
To Khud Ko Bhi Saza Detay
Magar Ye Sab Jabhi Hota
Ager Hum Dost Hotay To
Magar Itna Hi Jana Hai
K Tum Ney Aaj Tak Hum Ko
Paraya Keh Ker Jana Hai
Kabhi Hamdam Naa Mana hai
Ager Hum Dost Hotay To.....
__________________

Mar bhee jaaoun to............mat ronaaa

Mar bhee jaaoun to
beetee huee baaton ko jaage huee raaton ko
yaad karna.yaad karna aour jee lainaa
tum meray naam ko kabhee apnay naam say
bicharnay na dena
meray kadmon ke chaap ghar kay darwaazay say
nikalny na dena
mujhay marnay na dena
apnee palkain tum na bhigona mat rona
beetee huee baaton ko jaage huee raaton ko
yaad karna ,yaad karna aour jee laina
main apnee awaaz aour apnay saary geet
tumahin day jaaoun ga
meree sab cheezon ko yunhee rahnay dena
jaisay sham dhaltay he
main lot kay aaoun gaa
mujahy kho kar bhee kabhee na khona,mat rona
beetee huee baaton ko jaage huee raaton ko
yaad karna .yaad karna aour jee lain
Mar bhee jaaoun to............mat ronaaa
__________________

Har baar he teri narazgi say dartay hain hum

Har baar he teri narazgi say dartay hain hum
par har baar he tujh say piyar tu kartay hain hum

jawab na milay ga is baar bhe jaantay hain hum
par is baar bhe jawab k tu muntazir hain hum

tu zindagi bhar na chahay ga ye maantay hain hum
phir bhe teri chahat k tu muntazir hain hum

Ye saadgi apni k jitna bhoolna chahain
utnay he tere piyar main doba gaye hain hum

takleef ka ehsaas bhe itna k bas na pooch
tere khayal say har zakhum ko marham kiye hain hum

tere saath guzra hoa aik aik pal ha shamil mujh main
par teri tu guftagoo main bhe shamil nahe hain hum
__________________

Youn tou hum zindagi guzar dein tumharey bina

Youn tou hum zindagi guzar dein tumharey bina
Magar kiya karein dil dhadkta nahin tumharey bina,

Jahan mein sab kuch tha mayesser pehley tumharey bina
Lekin ab yeh jahan hi nahin hai tumharey bina,

Soocha tha khush rahein gay tumharey bina
Per khushi bhi rooth Gaye hum sey tumharey bina,

Har mehfil, har tehvaar baa rounaq thay tumharey bina
Ab yeh mehfil-o-tehvaar be rung hain tumharey bina,

Tanhai bhatii thi mujh KO tumharey bina
Ab tou dar-o-deewar bhi sataatey hein ger jo hoon tumharey bina,

Soocha tha key kuch ker dikhlaein gay tumharey bina
Per Dou kadam bhi Na chal PAYE _ _ _ _ _ _ tumharey bina"

Aansu jo beh rahey hein inhein behney do

Aansu jo beh rahey hein inhein behney do
Yeh keh rahey hein dil ki baat, kehney do

Buhat bawafa ho tum, yeh ham ko hai maloom
Tum apni wafa ki baat, apney tak hi rehney do

Mila to kia mila tumhein chahney kay baad
Bas dukh hi seh rahein hein, hamein sehney do

Tum ney to keh dala sab haal-e-dil apna
Ab mujh ko apni daastaan bhi kehney do

Mar hi gaye auroon kay liye hum
Tum apni khatir hum ko Zinda rehney do

us ko mera halka sa ehsaas to hai

us ko mera halka sa ehsaas to hai
be dard sahi woh meri humraaz to hai

woh aaye na aaye mere paas lekin
shidat se mujhe us ka intezaar to hai

abhi nahi to kya hua mil hi jayengi kabhi
mere dil main us se milan ki aas to hai

pyaar ki gawahi mere aankoon se na maang
barasti nahi aankhen magar dil uddas to hai

__________________

Tum aaye ho na shub`e intezaar guzri hey

Tum aaye ho na shub`e intezaar guzri hey
talaash mey hey seher, bar bar guzri hey

junoo me jitni bhi guzri hey, bekaar guzri hey
agurche dil pe kharaabi, hazaar guzri hey

howi hey hazrate naseh sey gooftagoo jis shub
wo shub zaroor sire koowey yaar se guzri hey

wo baat saare fasane mey jis ka ziker na tha
wo baat onko bohet nagwaar guzri hey

na gull khile hain na un sey miley, na mey pee hey
ajeeb rung mey aub ke yeh bahaar guzri hey

chamun pe gharet ghunchain peh jaaney kia guzri hey
qafus se aaj saba beqarar guzri hey

__________________

kuch Log Badal Gaye Hain

kuch Log Badal Gaye Hain
Is Raat Ki...Tanhayeeon K
Sab Rang Badal Gaye Hain
Chand Nikla Hai Waisay He
Andharay Badal Gaye Hain

Jin K Bharosay Theen Khushian
Woh Badal Thahar Gaye Hain
Manzilain To Ab Bhi Woh He Hain
Kuch Rastay Badal Gaye Hain

Jin Pe Kiya Tha Bharosa Hum Nay
Woh Dost Bichar Gaye Hain
Dekhay Thay Jo Hum Nay
Woh Khwab Badal Gay Hain

Jo Banay Thay Kabhi Humsafar
Aaj Woh He Mukar Gaye Hain
Iss Tutay Huay Dil K Saray
Jazbaat Badal Gaye Hain
__________________

Hawa Ko Likhna Jo Aa Gaya Hai

Hawa Ko Likhna Jo Aa Gaya Hai
Ab Us Ki Marzi
K Woh Khizaa.n K Bahaar Likh De
Bahaar Ko Intzaar Likh De
Safar Ki Khwahish Ko Wahamo.n K Azaab Se Humkinaar Likh De
Wafa K Rasto.n Pe Chalne Walo.n
Ki Qismato.n Mein Ghubaar Likh De
Hawa Ko Likhna Jo Aa Gaya Hai
Hawa Ki Marzi K Wisal Mausam Mein Hijr Ko Hissa-Daar Likh De
Muhabbaton Mein Guzarne Wali Ruto.n Ko Naa-Paidaar Likh De
Shajar Ko Kum-Sayadaar Likh De
Hawa Ko Likhna Sikhaane Waalo
Hawa Ko Likhna Jo Aa Gaya Hai..!!!

Baad Muda'at ussay dekha, logo

Baad Muda'at ussay dekha, logo
Wo Zara bhi nahi badla, logo

Khuch na thaa mujh say bichart ker wo bhi
Uss kay cheray pay likha thaa, logo

Uss ki ankhain bhi kah deti theen
Raat bher wo bhi na soya, logo

Ajnabi ban kay jo guzra hay abhi
Thaa kisi waqat main apna, logo

Doost tu khair koi kiss ka hay
Uss nay dushman bhi na samjha, logo

Raat wo dard mray dil main uthaa
Subh tuk chain na aya, logo

Piyaas sehraoon ki phir teaz hoi
Abar phir tut kay barsa, logo

Itna waqt kyun laagta hai???

Khushi.jo nazar mein nahin hai

Par samaksh khari hain.

Usko prateet hone mein,

itna waqt kyun lagta hai?

Gham.jo nazar mein ade hain

Par door khare hain.

Unko andekha hone mein,

itna waqt kyun lagta hai?

Khushi mein.zindagi hai.

Zindagi mein.gham hain.

Yaani khushi gham se bari hai..

Phir aansuaon ko sukhaane mein,

Itna waqt kyun lagta hai?

Muskuraane ke liye kyun wajah dhoondhte ho?

Jab aansoo bina pooche gaalon pe lurak jaate hain.

Jeena shuru karo to zindagi bahut lambi hai.

Subkiyon se..khilkhilaahat ..bari hai ..

Gehri hai agar aah

To muskuraahat aseem hoti hai.

Phelaana to shuru karo.

Ye lakeer bahut door tak jaati hai.

Tumhaare chehre se ho kar.

Kisi ke dil mein utar jaati hai..

Kisi ki nazar mein bas jaati hai..

Par tumhein us aah ki aawaaz mitaane mein,

Itna waqt kyun laagta hai???

kaash tum meare sahil hotey

kaash tum meare sahil hotey
mean tum tak aakar tehar jaati

kaash tum badal hote
aur mujh pur baras jatey

kaash mean tumhari hansi hoti
har waqt tumhare honton pur rehti

kaash mean tumhari dharkun hoti
hameesha tumhare dil mean rehti

kaash mean ik phool hoti
tum meare bhanwrey hote
mujhe choma karte

kaash mean tumhari hoti
hamesha tumhare saath rehti

Iss se pahale ke yaad tu aaye

Iss se pahale ke yaad tu aaye,
meri aankhon mein phir lahu aaye,
tujhase rista main tor jaaunga,
main tera shahar chor jaunga,
main tera shahar chor jaunga..

mujhako gum hai teri judaaie ka,
ranz hai apani bewfaaie ka,
apane vaade se phir gaya hoon main,
apani najaroN se gir gaya hoon main,
iss se pahale ki tu mujhe chhoDe,
mujhako Thukarye mera dil tore,
apana dil khud main tor jaunga,
main tera shahar chor jaunga..

tera mujarim main tera harjaaie,
saath le jaaungaa ye rushvaaie,
daag daaman se ye mita dunga,
khud ko etani baDee saja dunga,
iss se pahale ke log taane dain,
tere aanshu na mujhako jaane dain,
ye talluuk main tor jaunga,
main tera shahar chor jaunga..

haN mera entajaar to hoga,
ab bhi kuchh aitbaar to hoga,
tu khula chhoD degi dervaja,
per galat hai ye tera andaja,
iss se pahale ke aah dil bher de,
sab gunahoN ko maaf tu ker de,
ye bharam bhi main tor jaunga,
main tera shahar chor jaunga..

iss se pahale ke yaad tu aaye,
meri aankhoN mein phir lahu aaye,
tujhase rista main tor jaaunga,
main tera shahar chor jaunga..
main tera..shahar chor jaunga..

__________________

Niiyat-e-shauq bhar na jaaye kahiin

Niiyat-e-shauq bhar na jaaye kahiin
tuu bhii dil se utar na jaaye kahiin

Aaj dekhaa hai tujhe der ke baad
aaj kaa din guzar na jaaye kahiin

Na milaa kar udaas logon se
husn teraa bikhar na jaaye kahiin

Aarazuu hai ke tuu yahaan aaye
aur phir umr bhar na jaaye kahiin

Jii jalaataa huun aur ye sochataa huun
raayegaan ye hunar na jaaye kahiin

Aao kuchh der ro hii len ' 
phir ye dariyaa utar na jaaye kahiin

__________________

Kharay hain khwab hathaili pe rakh kar

Kharay hain khwab hathaili pe rakh kar

aur us main band hain wo jugnu lamhay

tumhari dastakain gum ho rhi hain

na aanay k bahanay dhoondhtay ho

samajhna hai, samajh jao

jo jana hai chalay jao......

magar ye dil q ab tak keh rha hai

zara thehr jao......zara thehr jao

jab tere shahar se guzarata hun

jab tere shahar se guzarata hun
dil bhii karataa hai yaad chhup ke tujhe
naam letii nahii zubaan teraa

ye bhii nahi mujhe maalum
kis mohalle main hai makaan teraa
kaun sii shaaKh-e-gul pe raqsaan hai
rashk-e-firdaus aashiyaan teraa
jaane kin vaadiyon men Theharaa hai
Girat-e-husn kaaravaan teraa
kis se puchun gaa main Khabar terii
kaun batalayega nishan teraa

terii rusvaa_iiyon se Darataa hun
jab tere shahar se guzarataa hun

haal-e-dil bhii na kah sakaa garche
tu rahii muddaton qariib mere
kuch terii azmaton kaa Dar bhii thaa
kuch Khayalat the ajiib mere
aaKhir kaar vo gharti aaie
baar-e-dar ho gaye raqiib mere
tuu mujhe cho.D ke chalii bhii gaie
Khair qismat merii nasiib mere

ab main kyon tujh se pyaar kartaa hun
jab tere shahar se guzarataa hun

vo zamana terii muhabbat kaa
ek bhuli hui kahani hai
tere kuche men umr bhar na gaye
sari duniya kii Khaak chani hai
lazzat-e-qarb ho ke zaKhm-e-firaaq
jo bhii hai terii meharabani hai
kis tamanna se tujh ko chaha thaa
kis muhabbat se haar maanii hai

apanii qismat pe naaz karta hun
jab tere shahar se guzarata hun

Hum tere shehar mein aaye hain musaafir ki tarha


Hum tere shehar mein aaye hain musaafir ki tarha
Sirf ek baar mulaakat ka mouka de day...

Meri manzil hai kahaan, mera tikhaana hai kahaan
Subha tak tujh se bichar kar mujhe jaana hai kahaan
Sochne ke liye ik raat ka mouka de day...

Apni aankhoon mein chuppa rakhay hain jugnoo mein ne
Apni palkoon pe saja rakhay hain aansoo mein ne
Meri aankhoon ko bhi barsaat ka mouka de day...

Aaj ki raat mera dard-e-muhabbat sun lay
Kap'kapaatay huwe hontoon ki shikaayat sun lay
Aaj izhaar-e-khayaalaat ka mouka de day...

Bhoolna thaa tu yeh iqraar kiya hi kyon thaa
Bewafa tu ne mujhe pyar kiya hi kyon thaa
Sirf do chaar sawaalaat ka mouka de day...

Hum tere shehar mein aaye hain musaafir ki tarha...
Sirf ek baar mulaakat ka mouka de day...

EID MUBARAK!

EID MUBARAK!

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

Hum nay Hilal e Eid kay haath bihjwaya yeh sandesa
Kerta hay koi yaad tumhain baar baar kahna !!!!!!!!!
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

Gaeroon main hay Shaad ussay Eid Mubarak
Jis ko nahi hum yaad ussay Eid Mubarak

Masoom say Armanoon ki Masoom si dunya
Jo ker gaya barbaad ussay Eid Mubarak
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

Daaman main jitnay mohabat kay phool hain
Tum ko khoshi main EID ki kerta hoon pesh
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

Ankh Num ker gaya bichartay hoyay logoon ka khyal
Dard e dil day kay humain doob gaya EID ka chand
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

EID ki her bahar dekho tum
Aish e lail o nahar dekho tum

Eik iss EID per kiya hay Moqoof?
Esi Eideen hazar dekho tuum
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

Aey shaam..........

Aey shaam..........

Yeh tu bata kay tu kun roz aa jati hay

Teray aatay hee kisi kay

Hontono ki surkhi, woh masoom chahra

Uss ka bohla pan

Kun yaad aa jata hay

Tub hum teray nasheman ki truf

Munh ker kay

Hawaoon main.. milay teray

Sansoon ki khoshboo say batain kertay hain

Kiya batain kertay hain?

Yeh kay kiya hoa hay tum ko, Janay bhi day.. Kun kay

Teray jesay, our bhi hain, our bhi hain

kathin hai zindagi kitni

kathin hai zindagi kitni

safar dushwar hai kitna

kbi paaon nahi chaltay

kbi rasta nahi chalta

hamra sath de payee

koi aisa nahi milta

fakat aisae guzaron tau

ye roz-o-shab nahi kat'tay

ye kat'tay thay kbi pehlay

magr haan ab nahi kat'tay

k ab har sans pe jana'n

hamari jaan nikati hai

muje phir b mere malik

koi shikwa nahi tuj se

main jaan pe khail sakti hon

sabhi dukh jhail sakti hon

agr tu aaj he kar de

muhabbat hamsafar meri


muhabbat hamsafar meri

meray liyee tu apnay muqadar sy maat ulaahj

meray liyee tu apnay muqadar sy maat ulaahj
meri koi lakeer tery hath may kahaa

muhj sy mera sitara-e-tukdeer tang hai
muhj gurdishi ku seel-e-hawadaas kee dur kahaan

behaty hu meray saamny jaari hai guftagoo .....
lykin chulay gaaye hu mujay choor ker kahaan


dunoon jahaan ghum thay tumari nigah may ....
jata tum ku choor k jata magar kahaan


meray liyee tu muj sy ziada koi nhi .......
apna nhi hai khouf tu duniyaa ka der kahaan

ye jaanany k unn ka tahakub keroon ga may ....
.ye loag ja rahay hain mujay choor ker kahaan

Ab ke hum bichre to shayad kabhi khwabon mein milein

Ab ke hum bichre to shayad kabhi khwabon mein milein
Jis tarah sookhey hue phool kitabon mein milein

Dhoond ujray hue logon mein wafa ke moti
Yeh khazane tujhe mumkin hai kharabon mein milein

Ghum-e-duniya bhi ghum-e-yaar mein shamil karloon
Nasha barhta hai sharabein jo sharabon mein milein

Tu Khudah hai na mera ishq Farishton jaisa
Dono insaan hain to kyun hijabon mein milein

Aaj hum dar yeh khainchein ge jin baaton par
Kya ajab kal woh zamane ko naseebon mein milein

Ab na woh hain, na woh tu hai, na woh mazzey hain  
Jaise do shakhs tamanna ke sailabon mein milein

Sard shamoo’n si uski yaadein hoon

sard shamoo’n si uski yaadein hoon
jo pal mey dhal jaaein,

aur mujhey ta daer…
un aziyyat bharey lamhoo’n ko na jeena parey

jo mujh sey meray jeenay ki
taaqat chheentey hein,

mujhey dar lagta hey!!!
main peeghal na jaaoo’n…

khud sey keyey waa’doo’n ka paas keyey bina
na uski nafrat mey jal jaaoo’n,

k main ab toot chuki hoon

uski chahat thi meri taaqat…
uski duuri hey kamzori,

so kaash uski yaadein
sard shaamoo’n si ho jaaein…
jo pal mey dhal jaaein,
__________________

USSAY MUJH SE MUHABBAT HAI..!!

wohi andeshay farqat ke
wohi gumnaam se kasak
wohi har baat per ranjish
wohi har baat per larna
wohi likhna humaray naam ko bay reham mojon per
wohi apni kitabon mai gulabi titlian rakhna
wohi bay mani baton mai humara zikr lai aana
humay pardai se chup ker dekhna aur muskura dena
wohi muskan dheemi se
wohi kuch bolti aankhein
wohi chup chaap sa lehja
wohi bechain se halchal
wohi sayai se ghubrana
wohi sakhion se katrana
wohi kehnay se kuch derna
whi be wajah uthlana
sab hi aasaar keh tay hain

USSAY MUJH SE MUHABBAT HAI..!!   
__________________

Dua hai meri khuda say kayh !!!

Dua hai meri khuda say kayh !!!

Har qadam tumhara manzil ki taraf uthay
Aakash kay sitaro ko choo lo tum
Khushiyan har dam tumhari raha takay
Jugnuoo ki tarah jhilmilaoo tum

Kaash kay aisa ho jaye!

Kisi qadam par mehsoos na ho kami meri
Kisi maqam per mujh ko yaad na karo tum
Khushiyo may aisay apni magan raho
Kabhi mazi kay warq na palto tum

Magar yeh bhi yaad rakhna!

Agar kisi manzil per pahaunch kar koi dard mil jaye
Aankh tumhari jo kabhi pur nam ho jaye
Kabhi kisi apnay ki kami mehsoos karo to
To tum mujhay pukar laina

Aur agar yeh bhi na kar pao to!

Dil ko apnay simayt laina
Aur bas yaad mujhay tum kar laina
Aankho kay duwaro ko band kar laina
Mehsoos mujhay tum kar laina

Aur phir yun karna kay!

Saray raaz apnay dil kay
Tum mujh say keh laina
Saray dard apnay dil kay
Tum mujh say baant laina

Bas meri ek aakhri khuwaish yaad rakhna!

Jab meri hayat ka safar tamam honay lagay
Meray qadam meri akhri manzil ki taraf rawan honay lagay
Mujhay lahayd tak lay janay walay chaar apnay kandho may
Ek kanhdha tumhara bhi ho!

__________________

dil aaj bhi hai tumhain chahta

dil aaj bhi hai tumhain chahta
Aaj bhi is dil main basi hai chahat us ki

Jo beech bhanwar main tanha chor gaya hai mujhay
Lagta hai mujh ko aisay

Us say bechray huae jaisay sadiyan beet gain
Kay ek wo hi to tha hasil mera

Main kaisay samjhaon is dil ko………
Jo kisi pal manta hi nahi kay woh meri zindagi say door jaa chukka haii

Aaj main kisay apna mujrim kahoon?
Is dil ko jis nay chaha hai us ko?

Phir kisi yad nay shab bhar hay jagaya mujh ko

Phir kisi yad nay shab bhar hay jagaya mujh ko
Kiya saza di hay mohabat nay khudaya mujh ko


Din ko aaram hay na rat ko hay chain kabhi
Janay kis khaak say qudrat nay banaya mujh ko

Dukh to yeh hay keh zamanay main milay ghair sabhi
Jo mila hay woh mila ban kay paraya mujh ko

Jab koi bhi na raha kandha meray ronay ko
Ghar ki deewaron nay seenay say lagaya mujh ko

Uoon to umeed-e-wafa tum say nahein hay koi
Phir charaghon ki tarah kis nay jalaya mujh ko

Kabhi Kabhi Merey DIL Mein.......

Kabhi Kabhi Merey DIL Mein.......

Kabhi kabhi merey dil mein…..
Khayal aata hai….
Ke jaisey tujh ko…
Banaya gaya hai merey liyey

Toou iss se pehley sitaaron mein bus rahi thi kaheen
Tujhey zameen pe bulaaya gaya hai merey liyey

kabhi kabhi merey dil mein khayal aata hai
ke yeh badan ,yeh nigaahein meri amaanat hein
yeh gaisoo'oun ki ghani chaaon hai meri khatir
yeh hont aur yeh baanhein meri amaanut hain

kabhi kabhi merey dil mein kahayal aata hai….
Ke jaisey bajti hain sheh'naaiyaan si rahon mein

Suhaag raat hai,ghoonghat utha raha hoon mein
Simut rahi hai…tu sharma ke apni baanhon mein

Kabhi kabhi merey dil mein khayal aata hai
Ke jaisey toou mujhey chahey gee umer bhar yoonhi
Uthey gee meri taraf pyar ki nazar yoonhi
Mein janta hoon ke tu ghair hai ,magar yoonhin

Kabhi kabhi merey dil mein khayal ata hai
Kabhi kabhi….

Chandni tera naam aur chand ki roonaq tu hai

Chandni tera naam aur chand ki roonaq tu hai

Rashk khud per hai mujhe meri muhabat tu hai

Jab bhi soochon too khayaloon main tujhe hi soochon

Meri sooch samander aur is ki halchal tu hai

Tujh se qayem hai mere khuwaboon ki mehfil

Shab ki rahoon main mera sath mera humdam tu hai

Qayem hai tere hoone se meri sansoon ka rishta

Mera saya hai, meri zaat ke hisa tu hai

Sath *****e tera is tasawor se hi mer jaon ga

Merey Humdam,merey jeeney Ka Sahara tu Hay

Usay Matt Chhor Ke Jao

Suno!
Tum Azm Walay Ho
Bala Ka Zabt Rakhtay Ho
Tumhain Kuch Bhi Nahi Hoga
Magar Dekho
Jisay Tum Chhoray Jatay Ho
Usay Tou Theek Se Shayad
Bichharna Bhi Nahi Aata
Suno!
Tum Azam Walay Ho
Usay Matt Chhor Ke Jao

Nukta cheen hai, ghum-e-dil us ko sunaye na bane

Nukta cheen hai, ghum-e-dil us ko sunaye na bane
kia bane baat, jahan baaat banaye na bane

main bulata to hoon us ko, magar ae jazba-e-dil
us pe ban jaye kuch aisee, ke bin aaye na bane

khail samjha hai, kahin chor na de, bhool na jaye
kaash! yun bhi ho ke bin mere sataye na bane

gha'ir phirta hai liye yun tere khat ko keh agar
koi poochay ke ye kia hai, to chupaye na bane

is nazakat ka bura ho, wo bhale hain, to kia
haath aayen, to unhain haath lagaye na bane

keh sake ga kaun, ye jalwa gari kis ki hai
parda chora hai wo us ne ke uthaye na bane

maut ki rah na dekhoon? ke bin aaye na rahe
tum ko chahoon? ke na aao, to bulaye na bane

bolh wo sir se gira hai ke uthaye na uthe
kaam wo aan para hai ke banaye na bane

ishq par zor nahin, hai ye wo aatish
ke lagaye na lage, aur bujhaye na bane
__________________

Mohabat, Pyar, Chahat, Ishaq hotay hee adhuray hain

Adhuray Khoab kay ander

Kabhi palkain bichana maat

Adhuray khoab ankhoon ko bohat takleef detay hain

Adhuri yad ko dil ki zameen main maat bona

Adhuri yad dahrtkan main cubhti , siskati hay

Khalish ban ker kahtakti hay

Lahoo main bijlian ban ker bahtakti hay

Adhuray piyar ko......Lekin chlo tum janay do iss ko

Mohabat, Pyar, Chahat, Ishaq hotay hee adhuray hain
__________________

Kaash kay tum yeh jaan sako!

Kaash kay tum yeh jaan sako!

Tum bin kitnay tnha hain

Kaash kay tum yeh jaan sako

Khaeef her her lamha hain

Kaash kay tum yeh jaan sako

Aao kabhi chupkay say dekho

Jahank kay dil kay jhronkay say

Gum sum saray manzar hain

Kaash kay tum yeh jaan sako

Tumhari yaad kay saeay

Kitnay hain nazdeek hamaray

Jesay soonay jewan main

Aashaoon kay deep saharay

Kaash kay tum yeh jaan sako.........
__________________

Dil ki batain dil main reh jati hain

Dil ki batain dil main reh jati hain

Mulaqatain aduhuri reh jati hain

Batain rukti hain laboon pay aa kay

Esa tu siruf hamaray sath nahi hota

Yeh soch kay tasali ho jati hay

Ger kahna ho kuch tu mat sochana ziada

Warna sochain reh jati hain

Dil ki batain dil main reh jati hain

Mulaqatain adhuri reh jati hain

aik tasweer thi aur wo b kheen gum ker di

saanp hi saanp nazar atey hain khaboan main mujhey
zindgi gherney wali hai azaboan main mujhey


aik tasweer thi aur wo b kheen gum ker di
umer bhar dhundna ab apni kitaboan main mujhey

jab se utra hai terey dard ka nsha mujh main
lutf ata nhi dunya ki sharaboan main mujhey


wo mujhey chor'r gya tha kisi rangeeni main
wo jo ab dhundta rehta hai kharaboan main mujhey


tum ne ik umer kia hai nazar andaz Wasi
aur ab dhundtey phirtey ho saraboan main mujhey


zarb_o_taqseem  ishq main lahasil hai
janey q khojtey rehtey ho hisaboan main mujhey

Popular Posts