Monday, April 27, 2009

Ke main ab dost koi banata nahi

Kehte hai, kuch log zindagi main aate hai istarah
Kab, kaise jigar jaan dost ban jaate hai kya pata
Par meri viraan zindagi main yeh hota nahi
Ke main ab dost koi banata nahi. 

Kuch log mile the mujhe bhi raah-e-zindagi main
Saath chalenge woh mere aisa vaada tha unka
Koi kisi ke liye yaha rukta nahi
Ke main ab dost koi banata nahi. 

Har baar mujhe ek chot lagi hai kuch aise
Ke tukde hue hai kai aitbaar ke mere
Bikhare un tukdo ko main samete ta nahi
Ke main ab dost koi banata nahi. 

Mere dil ke tukde to har koi le gaya mujhse
Badle main bas ek suna pan degaya har koi
Ke mera dil bhi ab mere paas nahi
Ke main ab dost koi banata nahi.

main jal raha hun dhuup mein' woh maanta nahin

main jal raha hun dhuup mein' woh maanta nahin
sar par muhabat ki ridaa taanta nahin  

Jiss ghar ki eent eent pe likha hai mera naam
iss ghar mein aab koee mujhe pehchantaa nahin 

kya chahtaa hun uss se meri aarzoo hai kya
sab kuch woh janta hai magar janta nahin 

sulee pe tanktaa hai magar iss adaa ke saath
mujrim bhi pyar ka mujhe gardantaa nahin 

hoati hai sab koa ishq mein soadoziyaan ki aas
meri tarah toa khaaq koee chantaa nahin 



Yadoon ka Aik Jhoka Aya Hum Say Milnay Barsoo Baad

Yadoon ka Aik Jhoka Aya Hum Say Milnay Barsoo Baad
Pehlay Itna Rooiay Nahi Thay Jitna Rooiay Barsoo Baad
Lamha Lamha Dil Ujra Hai Muskil Say Yeh Ehsas Hoa
Pathar Aiay Barsoon Pehlay Shishay Tootay Barsoon Baad
Bhool Jaon Kis Nay Tora, Kaisay Tora, Kyon Tora
Dhoodh Rahay Hoo Galiyoon Main Dil Kay Tokray Barsoon Baad
Dastak Ki Umeed Lagaiay Kab Taak Akhir Jeetay Hum
Kal Ka Wada Karnay Walay Milnay Aaiay Barsoon Baad..
Yadoon ka Aik Jhoka Aya Hum Say Milnay Barsoo Baad
Pehlay Itna Rooiay Nahi Thay Jitna Rooiay Barsoo Baad

kuChh keh na sake, kuChh bhool gaye

iqra ar.e.vafaa, ummeed.e.karam! kuChh keh na sake, kuChh bhool gaye!
vade voh tire mubham, mubham! kuChh keh na sake, kuChh bhool gaye!

sar.shaaree.e.ulfat kaa aalam! kuChh keh na sake, kuChh bhool gaye
jazbaat kee voh dheemee sargam kuChh keh na sake kuChh bhool gaye!

aalaam kee voh yoorish peham! kuChh keh na sake, kuChh bhool gaye!
Doobee huee nabzoN kaa aalam, kuChh keh na sake kuChh bhool gaye!

yaadoN kee Khalish voh shaam.o.saHar, maayoos se voh deevaar.o.dar
iHsaas kee lau maddham maddham! kuChh keh na sake kuChh bhool gaye!

kyaa vehm.o.gumaaN, kyaa ilm.o.yaqeeN, kyaa fikr.o.Gham.e.duniya a.o.deeN
hastee ke voh saare pech.o.Kham, kuChh keh na sake, kuChh bhool gaye!

voh sher.e.mujassam jaane.e.suKhan, her saaNs meiN yooN hai naGhma.zan
afsaana.e.Gham, roodaad.e.alam, kuChh keh na sake, kuChh bhool gaye!

kab daur.e.KhazaaN aayaa aur kab ruKhsat voh gul.e.ranaaee huaa
meHroomee.e.jaaN, majbooree.e.Gham! kuChh keh na sake, kuChh bhool gaye

dil aise puraane paapee ko kyaa kaam hai deen.o.eemaaN se?
voh saaz.e.kaleesa, soz.e.Haram, kuChh keh na sake kuChh bhool gaye!

hastee ke fasaane Khwaab hue, daryaa.e.junooN paayaab hue
aaNsoo aksar, haNsnaa kam kam! kuChh keh na sake kuChh bhool gaye!

unvaan yehee Thehre Sarwar afsaana.e.hastee ke tere
yaa qalb.e.HazeeN yaa deeda.e.nam, kuChh keh na sake, kuChh bhool gaye!

sekhawat ka namood-afrooz manzar he nahi aa'ya

sekhawat ka namood-afrooz manzar he nahi aa'ya
saa'khi bethay rahay koi guda'ghar he nahi aa'ya

ye soocha tha teri khaa'tir koi moti niqalooN gha
maiN jis rastey maiN tha is maiN samandar he nahi aa'ya

pahaN kar aa'eenay phirti rehi dewanghi apni
tamana thei bohat jis ki wo pather he nahi aa'ya

bharhiN bailaiN jharay paa'tey lagay jaalay dareechoN per
makeeN ay'saa gaya ghar se palat kar he nahi aa'ya

chamak jis ki bula laiti uqaa'booN ko nashay'mun se
fizaa'ooN maiN koi aisa kabooter he nahi aa'ya

dafenooN ki tarha dil maiN khizanay rah gaye saa'ray
samandar kai karay koi shana'war he nahi aa'ya

dee'ya he jab nahi ho gha hawa kis ko bhuja'ey ghi
chiraag-e-rah maiN ab k jala k he nahi aa'ya

KABHI HUM BHEEGTEY HEIN

KABHI HUM BHEEGTEY HEIN CHAHTON KI TAIZE BARISH MEIN
KABHI BERSON NAHIN MILTEY KISSI HALKI SI RANJISH MEIN

TUMHI MEIN DEEWTAOWN KI KOI KHO BO NA THI WARNA
KAMI KOI NAHIN THI MEREY ANDAZ-E-PARASTISH MEIN 

YEH PEHLAY SOOCH LO PHIR OR BHI TANHA NA HO JANA
USEY CHONEY KI KWAHISH MEIN USEY PANEY KI KOOSHISH MEIN

BOHOT SAY ZAKHM HEIN DIL MEIN MAGAR EIK ZAKHM AISA HAI
JO JAL UTHTA HAI RATON MEIN JO LOO DAITA HAI BARISH MEIN

main bhula chuka shabhee wastay jo the manzelooo ke hasool main

main bhula chuka shabhee wastay jo the manzelooo ke hasool main
maree manzelooo ke hasool main tareee rah ayeee tu kya kerooo

jo pukarta tha her aik ghare jo jura the dil se laree laree
kio shaks aiesa ager kabhi mujheee bhool gayee tu kya keroon

kabhi sath tha jo ke do badooo tha hamiesha maree he robaroo
jo bhara rha tha qadem maree who he dagmagyee tu kya keroon 

who cherag e der jo jala kabhi main bugha chuka hoon mager kabhi 
ke bugha huwa bhee diya ager mera gher galaa-e tu kerooon

main ne aks tak tu mata dayee sahbhee aienyee bhee chupa dayee
tujheee dheekta koi door se mare pass ayeee tu kya keroon

teRey tabsarey heiN be-khabar meri daastaan-e-hayaat sey

teRey tabsarey heiN be-khabar meri daastaan-e-hayaat sey
tu keh raha ha dil jisey wo meRi khahishoN ka mazaaR hey

teRa shukriya aey tabeeb-e-jaaN ye khaloos apni jaga magaR
teRi masihaai bhi kya karey meRa dard hi be-shumaaR hey

meRey raastoN meiN jo aa gaya meRey qaafley ko jo kha gaya
wo tufaN to kab ka guzaR gaya paR dil meiN ab tak gubaar hey

aey meharbaaN dost suN meRi mushkiloN ko samajh ke meiN
teri mohabatoN ka kya karooN kisey dil pe ab ikhtiyar hey!

naey mosamoN ko bulao mat ke mujhey khusbuoN ki talab nahi
meri rah rehney do khaar khaar meRey leye to yehi bahaaR hey

jo nafratoN sey jhulas gaya usey dil sey saarey duwaeiN do
par us sitam-zada ka kya kareiN jo mohabatoN ka shikaaR hey!

sar-e-raah kuch bi kaha nahin

sar-e-raah kuch bi kaha nahin, kabhi us ke ghar main gay nahin
ham janam janam say usi kay hain, usay aaj tak ye khabar nahin 

usay paak nazron say choomna, bhi ibadton main shumar hay
koi phool lakh qareeb ho, kabi mene usko chuwa nahin

ye khudai den bhi ajeeb he , ke usi ka naam naseeb hay
jise tum ne chaha woh mil gya, jise mene chaha woh mila nahin

isi shehar main kai saal se, mere kuch qareebi aziz hain
unhain meri kuch bhi khabar nahin, mujhe unka koi pata nahin

Raaz-e-ulfa

Raaz-e-ulfat chhupa kay dekh liya
Dil buhot kuch jalaa kay dekh liya

Woh meray ho kay bhee meray na hooay
Un ko apna bana kay dekh liya,,

Aur kiya dekhnay ko baaqi hai
Aap say dil laga kay dekh liya,...

'Faiz', takmeel-e-gham bhee ho na sake
Ishq ko aazma kay dekh liya,......

kisi sheR maiN na uter sakaY teRay rang teRi saba'hataiN

kisi sheR maiN na uter sakaY teRay rang teRi saba'hataiN
kisi haRf maiN be na dhal sakaiN teRi khwab khwab refa'qtaiN

mujhaY yuN be zu'am sakhuN na tha k ye meRa shewa fun na tha
teRay roO'barOo rahin surkhro meRay aa'jaz fun ki nidaa'mtaiN

koi aisa phool k khil sakaY meRi aa'rzoo k day'yaaR maiN
koi aisa khawab k day sakaY mujhay subha noO ki bashartaiN

ye talsim-e-deed ka rang hia k ja'nooN ka koi taRang hai
ye qadam qadam teRi aa'hataiN ye nazaR nazaR teRi surataiN

meray rooz-o-shab ki na pooch tu teRay baad aiey gham aa'rzoo
na ragooN maiN daRd ki hidataiN na shidataiN na wo raa'hataiN

ye nahi k sirf mujhi pe haiN meRay paish Ro be bhughat chukaY
meRay shehaR teRi nawazishaiN meRi jaaN ! teRi anaa'yataiN

Aankhain meri talwon se mil jaye to accha

Hai hasrat-e-paboos nikal jaye to accha 
Woh subha ko aayen to karoon ba'aton mein dopehar 
Aur chahoon ke din thora sa dhal jaye to accha 
Dhal jaye din to karoon ba'aton main phir sham 
Aur sham ko chahoun ke woh kal jaye to accha 
Jab kal ho to phir wohi kahoon kal ki tarah se 
Gar aaj ka din bhi younhi tal jaye to accha 
Alqissa naheen chahta woh jayen yahan se 
Dil uska yaheen garche bahal jaye to accha 
Hai qatta rahe ishq main aye "Zoaq" adab-e-sh'art 
Aye shama tu ab sar hi ke bal jaye to accha

'Tujhe Kahaan kahaan dhoondhaa'

Safar mein dhoondha rehguzar mein dhoondhaa
Har gali modh kuchaa har shajar mein dhoondhaa
PattoN mein dhoondhaa chanaroN mein dhoondhaa
Lehron mein dhoondhaa kanaroN mein dhoondhaa
MausamoN ki chanchal hawaaoN mein dhoondhaa
Nasheman aur chaman mein fazaaoN mein dhoondhaa
RutoN mein ButoN mein girijaoN mein dhoondhaa
Parastish mein dhoondhaa duwaaoN mein dhoondhaa
Muqammal musalsal aabadiyoN mein dhoondhaa
NazaroN SitaroN haseeN vaadiyoN mein dhoondhaa
Kya dhadkan mein dhoondaa kya saansoN mein dhoondaa  
Kya tasawwur mein dhoodaa kya khayaloN mein dhoondaa

O be-wafaa aa sun zara meri rooh pe guzreeN jo qayamateiN

O be-wafaa aa sun zara meri rooh pe guzreeN jo qayamateiN
mera dil dukha to bohat magar merey lab pe ab bhi gilaa nahi

teraa bas naa tha to kiuN mujhey naey mosmoN ki naveed di
tu mujhey peshgi meiN jo de gaya wo phool ab tak khilla nahi

thi jin mosmoN meiN teri wapsi meiN ab bhi hooN unka muntazir
par wo fasl-e-gul kahaaN reh gai mujhey ab to kuch bhi pataa nahi

tera raaz jo mujh pe na khul sakaa mujhey doosroN sey pata chala
terey ehd-o-pemaaN sey bharey huwey kisi bhi lafz meiN wafa nahi

terey dostoN meiN tera bharm rahey yehi soch kar meiN chup raha
jo nigaah meiN tha wo chupa liya jo dil meiN tha wo kahaa nahi

sulagtey labon pey giraa aur paanii

sulagtey labon pey giraa aur paanii 
barii tishnigii hai pilaa aur paanii 

sunaa jab wahaa'n pyaas bujhtii hai sab kii 
samandar kiii jaanib gaya aur paanii 

chaleingey to taazaa raheingey hameshaa 
hawaa, khoon, samaa, raastaa aur paanii 

tahey Khaak e sehraa milii aur khushkii 
samandar kii teh sey milaa aur paanii 

sunaa hai k shehro'n mein biktey hain aksar 
lahoo, jism, insaan, wafaa aur paanii 

samandar nadii piii gaya aur bolaa 
zaraa aur paani, zaraa aur paanii 

Feroz us ney poochaa k kyun aankh nam hai 
merii aankh mein bhar gaya aur paanii

Teri rehmatoun kai dayar main,terey badloun ko pata nahi

Teri rehmatoun kai dayar main,terey badloun ko pata nahi
Abhi aag sard hui nahin,abhi ik alaao bujha nahin

Meri bazm-e-dil tou ujar chuki,mera farsh-e-jaan tou simat chukka
Sabhi ja chukey merey hamnasheen,magar aik shkhas gaya nahin

Darr-o-baam sab ney saja liye,sabhi roushni main naha liye
Meri ungliyan bhi jhulas gayein,magar ik charag jala nahin

Gam-e-zindagi teri raah main,shabe-aarzoo teri chaah main 
Jo ujar gaya who basa nahin ,jo bichar gaya who mila nahin

Jo dil-o-nazar ka saroor tha,merey pass reh kai bhi door tha
Wohi ik gulab umeed ka,meri shakh-e-jaan pai khila nahin

Kitney mousam sargardaan they mujh sey hath milaney main

Kitney mousam sargardaan they mujh sey hath milaney main
Main ney shayed dair kar di khood sey bahar aaney main

Ik nighah ka san�nata hai ik aawaz ka banjar pan 
main kitna tanha betha hoon qurbat kai veeraney main

bistar sey karwat ka rishta toot gaya ik yaad kai sath
khwab sarhaney sey uth betha takiye ko sarkaney main

aaj uss phool ki khooshboo mujh main paiham shour machati hai
jis ney be had ujlat barti khilney aur mujrjhaney main

baat bananey wali ratein rang nikharney waley din
kin rastoun par chor aaya main umr ka sath nibhaney main

aik malal ki gard sametey main ney khood ko paar kia
kaisey kaisey wasl guzarey hijr ka zakhm chhupaney main

jitney dukh they jitni umeedein,sab sey brabar kaam lia
main ney apney ainda ki ik tasweer bananey main

aik wazahat kai lamhey main mujh par ye aehwaal khula
kitni mushkil paish aati hai apna haal bataney main

pehley dil ko aas dila kar beparwah ho jata tha
ab tou Azm bikhar jata hoon main khood ko behlaney main

Tairi Uljhan Mairi Uljhan Kee Tarah Lagti Hai

Dost jaisi kabhi dushman kee tarah lagti hai
Zindagi bhee kisi uljhan kee tarah lagti hai

Tairai aankhooN main udassi hai mairay ghar kee tarah
Tairi haalat mairay aangan kee tarah lagti hai

Aik lamhay main mairay mann ko bhego daiti hai
Uss ke her baat hee Sawan kee tarah lagti hai

Tu bhee chahat ke taqazoon se nahin waqif hai
Tairi Uljhan Mairi Uljhan Kee Tarah Lagti Hai

Main shaam yadoon kay jangalooN main guzarta hooN k kuch likhooN ga

Main shaam yadoon kay jangalooN main guzarta hooN k kuch likhooN ga
Yeh sheher sara hee so chukka hai main jagta hooN k kuch likhooN ga

Main pichlay mausam kee baarishooN ko phir apni aankhooN main la raha hooN
K ab kay sawan ke rutt main, main bhee yeh sochta hoon k kuch likhooN ga

Woh saaray rastay kay jin pe hum ne muhabatooN ke safar kiya thay
Main ab jo un per kabhi gaya tu yeh janta hooN k kuch likhooN ga

Bahar rut k woh khawaab saray jo mairi palkooN pe aa sajjay thay
Woh khawaab aankhooN main jal chukkay hain main jal raha hooN k kuch likhooN ga

Main lafz palkooN se xhun raha hooN, main khawaab kaghaz pe bun raha hooN
Main tairi aahat bhee sun raha hoon, main janta hoon k kuch likhooN ga

Ajeeb rutt hai judaiooN kee udaas din hain udaas raatain !!!!
Main chan muhmil se lafz likh ker yeh sochta hoon k kuch likhooN ga

sabhi kuch hai tera diya hua

sabhi kuch hai tera diya hua sabhi raahatein sabhi kalafatein 
kabhi sohbatein kabhi furqatein kabhi duuriyaauN kabhi qurbatein 

ye suKhan jo ham ne raqam kiye ye hain sab varaq teri yaad ke 
koi lamhaa subah-e-visaal kaa, kai shaam-e-hijr ki qurbatein 

jo tumhaari maan lein naasihaa to rahegaa daaman-e-dil mein kya 
na kisi uduu ki adaavatein na kisi sanam ki muravvatein 

chalo aao tum ko dikhaayeiN ham jo bachaa hai maqtal -e-shahar mein 
ye mazaar ahal-e-safaa ke hain ye hain ahal-e-sidq ki turbatein 

meri jaan aaj kaa Gham na kar ke naa jaane kaatib-e-vaqt ne 
kisi apane kal mein bhi bhuul kar kahin likh rakhi ho masarratein

kitni mushkil se kati kal ki meri raat na pooch

kitni mushkil se kati kal ki meri raat na pooch
dil se nikli hui honton me dabi baat na pooch

wo kis adaa se merey saamnay guzraa hai abhi
kis tarha mainay sambhaley merey jazbaat na pooch

waqat jo badley to insaan badal jaatey hain
kya nahi dikhlaatey yeh gardish-e-halaat na pooch

kisi ka ho wo gaya or mujhey khabar na hui
kuch iss tarah se chhuraya hai mera haath na pooch

nahi hai pyar tera ai sanam to kuch bhi nahi
bana'ii thii barhi mushkil se kayenaat na pooch

Hath Mai Leke Mera Hath Ye Wada Kar Lo

Hath Mai Leke Mera Hath Ye Wada Kar Lo
Ab Na Choroge Mera Sath Ye Wada Kar Lo

Tm Na Badloge Badlte Hoe Mosam Ki Tarah
Beetne Waali Hai raat ye wada KarLo

Log Halaat Badlte Hi Badal Jaate Hain
Tum Na Badloge Riwayat Ye Wada KarLo

Tm To Wade b Bhula Dete Ho Aksar
Ab Na Bhuloge Koi Bat ye wada karlo

Hum bht dur nikal aaye hain chaltay chaltay

Hum bht dur nikal aaye hain chaltay chaltay
Ab thehr jayen kahin sham k dhaltay dhaltay

Meray andar ka andheron ki ya chhoti si chubhan
Gehray Zakhmon mein hi dhal jaye gi paltay paltay

Garm sehra mein kahan dhundun tujhay jan-e-jahan
HO chalay paon bhi aadi yahan jaltay jaltay

Raat K bad sehar hogi magar kis k liye
Hum bhi shayed na rahain raat k dhaltay dhaltay.....

Milna itifaak tha bicharna naseeb tha

Milna itifaak tha bicharna naseeb tha
wo utna he door ho gaya jitna kareeb tha

hum usko dekhne k liye taraste he rahe
jis shaks ki hatheli pe hamara naseeb tha.

Tere paas aane ko jee chahta hai
Naye zakhm khaanay ko jee chahta hai

Ider aaye shayed woh moj-e-tarannum
Ghazal gungunane ko jee chahta hai

Zamana mera aazmaya hua hai
Tujhe aazmane ko jee chahta hai

Wohi baat reh reh k yaad aa rahi hai
Jise bhool jane ko jee chahta hai

Laboun per mere khelta hai tabassum
Jab aansoo bahane ko jee chahta hai

Kayi martuba dil pe bijli giri hai
Magar muskurane ko jee chahta hai

Rukh-e-zindagi se nikab ulat ker
Hakeekat dikhane ko jee chahta ha

ajeeb lo`g haiN kyaa khuub munsifii kee hai

ajeeb lo`g haiN kyaa khuub munsifii kee hai
hamaare qatl ko kehte haiN khud-kushii kee hai

ye baaNkpan thaa hamaaraa ke zulm per hamne
bajaaye naalaa-o-faryaad shaairii kee hai

hamaari qadr karo chauNdaviiN ke chaaNd haiN ham
Khud apne DaaG dikhaane ko raushnii kee hai

udaasiyoN ko Hafeez aap apne ghar rakhkheN
ke anjuman ko zaruurat shaguftagii kee hai

Wahashat-e-dil silaa-e-aablaa_paaii le le

Wahashat-e-dil silaa-e-aablaa_paaii le le
Mujh se Yaa Rab mere lafzon kii kamaaii le le


Aql har baar dikhaatii thii jale haath apne
Dil ne har baar kahaa aag paraaii le le


Main to uss subha-e-darakhshaan ko tawangar jaanuun
Jo mere shahar se kashkol-e-gadaaii le le


Tuu ghanii hai magar itnii hain sharaayat merii
Ye mohabat jo hamain raas na aaii le le


Apne diiwaan ko galiyon main liye phirtaa huun
Hai koii jo hunar-e-zakhm_numaaii le le

Dost milte hain yahaan dil ko dukhaane ke liye

Dost milte hain yahaan dil ko dukhaane ke liye
Ungliiyaan rakhte hain wo ham pe uthaane ke liye


Kiyaa qusoor un kaa ye ik rasm chalii aaii hai
Tohamatain hotii hain duniyaa main lagaane ke liye


Naa-Khudaa maan ke baithe hain jin kii kashtii main
Wo hamain maujon main laaye the Dubaane ke liye


Wo hawaaon kii tarah rukh ko badal lete hain
Ham nasiibon se larre the jinhain paane ke liye

Mohabbat ka smr milta nhi hy

Mohabbat ka smr milta nhi hy
Ye sikka ub yahan chlta nhi hy..

Hmein kya jo sukhn duniya mein goonja
Jisy sunna tha wo sunta nhi hy..


Hm el e dil sr bazaar e duniya
Khdey hyn raasta milta nhi hy..

Safr jaari agr hy ' Rehnumao!
To phir kyun faasla ght'ta nhi hy..

Tum apny baadbaan kholo na kholo
Smndr to kbhi bhi rukta nhi hy..

Seher sey shaam honey ko agai hy
Koi dard aashna milta nahi hay..

Mera dil to yoon hy qsr e jahan mein
Wo pathar jo kaheen lagta nahi hy..

Zamana aap hi badly to badly
Kisi ka zor to chlta nhi hy..

Nahi faysal koi qeemt wafaa ki
Ye sauda ub yahan bikta nhi hy................*

Habs e sheher ho to ujaaly bhi tere sheher sey aayn

Habs e sheher ho to ujaaly bhi tere sheher sey aayn
Khwaab dekhoon to hawaaly bhi tere sheher sey aayn..

Tere hi shehr mein sr tn sy juda ho
Khoon baha maagny waaley bhi tere sheher sey aayn..

Mehzr e jaan tlbi per bhi tere naam ki mohr
Jaan sey jaaoon to naaly bhi tere shehr sey aayn..

Wqt agr bait e hr sng pr israar kry
Aaina maangny waaly bhi tere shehr sey aayn..!!

yaar se pyar ki bato'n ko ghazal kehte hain

yaar se pyar ki bato'n ko ghazal kehte hain
zulf o rukhsar ki bato'n ko ghazal kehte hain

pyar se mehki hui hosh'ruba rato'n mai
dil se dildaar ki bato'n ko ghazal kehte hain

kabhi iqrar ki bato'n ko batatey hain ghazal
kabhi inkar ki bato'n ko ghazal kehte hain

dil jo saudai kisi zulf e girah geer ka ho
uss giraftar ki bato'n ko ghazal kehte hain

barhi kamyab huwa karti hai daulat gham ki
gham se do'chaar ki bato'n ko ghazal kehte hain

jiss chaman zzar mai hoti hain dilo'n ki batai'n
uss chaman zaar ki bato'n ko ghazal kehte hain

ki hain jin laugo'n ne tanhai mai batai'n wo laug
dar o deevar ki bato'n ko ghazal kehte hain

kabhi vaayez k khayalo'n se chalakti hai ghazal
kabhi mai'khuwar ki bato'n ko ghazal kehte hain

ho gaya ho jisey dekehe huwe ik arsaa Obaid
uss k deedar ki bato'n ko ghazal kehte hain

-----------------------------------------------

Mere Ehsas-e-Junoon Ko Wo Hawa Di Jay

Mere Ehsas-e-Junoon Ko Wo Hawa Di Jaye
Mujhko Neend aaye To Zanjeer Hila Di Jaye

sabhka Ghar Jalne Ka Mujhe Kuch to Ghum Ho
Mere ghar Ko Bhi Zara aag Laga Di Jaye

Mere Munsif Ne Bhi Ye Tay Ker Liya hai Shayyad
Jurm Jo Bhi Kare Mujhko Saza Di Jaye

Wo Hai pardon Main to Taskeen-e-Nazar Ki Khatir
Mujhko uski Koi tasveer dikha Di Jaye

Mujhko Marna Tha To Main Mar Hi Rahii hoon
Mere Qatil Ko Lambi umar Ki Dua Di jaye

HANSATA THA MUJHKO TO PHIR RULA BHI DETA THA

HANSATA THA MUJHKO TO PHIR RULA BHI DETA THA,
KAR K WO MUJHSE AKSAR WADEY BHULA BHI DETA THA,,,

BEWAFA THA BOHAT MAGAR ACHA LAGTA THA DIL KO,
KABHI KABHI BATEIN MOHABBAT KI SUNA BHI DETA THA,,,

THAM LETA THA HATH MERA KABHI YUNHI KHUD,
KABHI HATH APNA MERE HATH SE CHURA BHI LETA THA,,,

KABHI BE WAQT CHALA ATA THA MILNEY KO,
KABHI QEEMTI WAQT MOHABBAT K GANWA BHI DETA THA,,,

AJAB DHOOP CHAON SA MIZAJ THA USKA faysal,,,
MOATBAR BHI KARTA THA NAZRON SE GIRA BHI DETA THA..........

Wo payar yun krta hai snblnay nhe deta

Wo payar yun krta hai snblnay nhe deta,
Phir dukh k smndar main ubarnay nhe deta,

Us ki jafa b mashroot hai wafa k sath,
Wo dard to deta hai per ronay nhe deta,

Karta hai wo war marham ko khanjar pe lga k,
Wo zakham to deta hai per mrnay nhe deta,

o torta hai dil to ansu b bahata hai,
Brbad to krta hai per ujrnay nhe deta,

Mehboob mila hei ham ko ajeeb .
Wo aag to lgata hai per jalnay nhe deta,,,,,

Kabhi yadein kabhi sapnay suhanay bhej deta hai

Kabhi yadein kabhi sapnay suhanay bhej deta hai

Mujhay aksar wo yaadon k khazane bhej deta hai

Main jab guzray dinon ki talkhiyon ko bhool jaata hun

Mujhay phir se koi beetay zamane bhej deta hai

Kabhi qasmein kabhi ehd-e-wfa-o- hosla de kar

Humein wo zinda rehnay k bahanay bhej deta hai.

Mere Ehsas-e-Junoon Ko Wo Hawa Di Jaye

Mere Ehsas-e-Junoon Ko Wo Hawa Di Jaye
Mujhko Neend aaye To Zanjeer Hila Di Jaye

sabhka Ghar Jalne Ka Mujhe Kuch to Ghum Ho
Mere ghar Ko Bhi Zara aag Laga Di Jaye

Mere Munsif Ne Bhi Ye Tay Ker Liya hai Shayyad
Jurm Jo Bhi Kare Mujhko Saza Di Jaye

Wo Hai pardon Main to Taskeen-e-Nazar Ki Khatir
Mujhko uski Koi tasveer dikha Di Jaye

Mujhko Marna Tha To Main Mar Hi Rahii hoon
Mere Qatil Ko Lambi umar Ki Dua Di jaye

Aey saarb hasratoN ke zara baat suntey jaana

Aey saarb hasratoN ke zara baat suntey jaana
jo choor choor ho pehley usey aur kya sataana!

ye taqdeer ki heiN chaaleiN ke badli hui hey bazi
jo mera chara'gar tha meiN usi ka hooN nishana

wo lamha jab sey meiN ney teri ulfat ka jaam khoya
chatkha huwa hey tab sey sochoN ka har pe'maana

abhi tamheed hi suni thi ke bilak ke ro parra wo
jo meiN kehney ja raha tha wo tha asal fasaana

hoNtoN pe kuch nahi hey, aaNsu-bhari heiN aaNkheiN
lagta hey aaj us ney seekha hey naya bahaana

jo agan tu ney di hey meiN usi meiN jal raha hooN
mujhey door hi sey takna merey paas ab na aana

ye udasiyoN ki raateiN chalo andherey meiN hi kaateiN
jo chiraagh bujh chukey heiN ab kya unhey jalaana

ye dhanak mohabbatoN ki merey paas ab na laao
jo rang bigarr gaey heiN unhey phir sey kya sajaana

ye be'rukhi ke nashtar to meiN kab sey seh raha hooN
is baar tum milo to koi zakhm naya lagaana!

Popular Posts