Friday, April 15, 2011

Yahan Lehroon Nay Saahil Say Judda Hona Hi Tha


Yahan Lehroon Nay Saahil Say Judda Hona Hi Tha
Jis Tarhan Hum Nay Chaha Us Tarhan Hona Hi Tha

Raiza Raiza Ho Kar Beekhra Fizzaon Main Baddan
Chaandni Ki Chaah Main Yeh Haadsa Hona Hi Tha

Hadoon Say Ghuzar Kar Hum Nay Pooja Tha Jinhain
Un Haseen Logon Nay Aakhir Dewata Hona Hi Tha

Ummar Bhar Dil Shaad Rehta Tark-E-Ulfat Pay Mera
Ek Baar Tu Woh Poochta Agar Bewafa Hona Hi Tha

Hain Mundaamil Ab Chahatoon K Woh Zakham
Jal K Dil Ki Raakh Nay Aakhir Dawa Hona Hi Tha

Doob Rahi Hain Saansein Magar Ye Ghumaan Baaqi Hai


Doob Rahi Hain Saansein Magar Ye Ghumaan Baaqi Hai
Aaney Ka Kisi Shakhs Ke Abhi Imkaan Baaqi Hai

Mudat Hui Ek Shakhs Ko Bichrey Lekin
Aaj Tak Maire Dil Pe Ek Nishaan Baaqi Hai

Woh Sayibaan Chin Gaya To Koi Gham Nahin
Abhi To Maire Sar Pe Ye Aasmaan Baaqi Hai

Kashti Zara Kinarey Ke Kareeb Hi Rakhna
Biphri Hui Lehron Mein Abhi Toofaan Baaqi Hai

Ghamon Say Keh Do Ke Abhi Na Rakht-e-Safar Baandhein
Ke Abhi To Maire Jism Mein Kuch Aur Jaan Baaqi Hai

Jaa Chuke Gain Sab Log Khamosh Pari Hai Basti
Magar Kisi Aas Pe Ek Makeen-e-Makaan Baaqi Hai.

Khwaboon key jhansoon main aa key ansoo chupa leyta hon


Khwaboon key jhansoon main aa key ansoo chupa leyta hon
zindgi teri khatir main kitnay ghum utha leyta hon

tu aa kay dil hi tour ja mera hi maray humnasheen
iss tanhai main bus ye hi dua laboon pay sjjaa leyta hon

kahiin maloom na per jaay merey dil ki haqeeqat iss dunia ko
yahi sooch key meri jann main muskra layta hon

mitney hi nahi deta teri yadoon ko main aur mera awara mann
har din teri yadoon ka naya kanwal khilaa leta hon

ho teare gumoon ka rajj sagar kii zindgi pey
tery daman main hoon khushyan dua key liye haath utha leta hon

Main raat toot ke roya tou chain se soya


Main raat toot ke roya tou chain se soya
Ke dil kaa dard meri chashm-e-tar se nilkla tha

Woh Qais abb jisey Majnoo pukarte hain Faraz
Teri tarah koi Deewana ghar se nikla tha

Zaat ki kehkashaN say hat kar hay


Zaat ki kehkashaN say hat kar hay
Wo jo Zam hay wajood k andar

Baharein Le Kar Aye Tay Tum Jahan Se


Baharein Le Kar Aye Tay Tum Jahan Se
Woh Ghar Sunsaan Jungle Ho Gaye

Be-faiz Mushilat Aisa BHi Hota hai


Be-faiz Mushilat Aisa BHi Hota hai
K Rehjaan Ko Ameer Karavaan Kehta Hi Parta Hai

Ab milain ge to khubb rulayain ge us sangdil ko


Ab milain ge to khubb rulayain ge us sangdil ko faraz,

suna hy rote mai usko lipat jane ki aadat hy.....

Ab Pyar ki KhushBoo main Do din hi guzariengay


Ab Pyar ki KhushBoo main Do din hi guzariengay
Roothay ko manaanay mian Ik Umr lagi Hum ko

Ay ishq ki bay'taabi! kya un say kaha tu nay?


Ay ishq ki bay'taabi! kya un say kaha tu nay?

Jis par unhein ghussa hay, inkar bhi, hairat bhi

Yeh Kya Aik Toor Se Guzaray Tamam Umer


Yeh Kya Aik Toor Se Guzaray Tamam Umer
Jee Chahta Hai Ab Tere Siwa Koi Bhi Hoo

Bholta hon usay yaad aye magar bol main kia karon



Bholta hon usay yaad aye magar bol main kia karon
jeenay daiti nahin us ki pehli nazar bol main kia karon

teergi khob hay, koi hamdam nahin, koi rehbar nahin
mujh ko darpaish hai aik lamba safar,bol main kia karon

khud say hi bhag kr main kahan jaon ga,yunhi mar jaon ga
koi sorat bhi ati nahi ab nazar, bol main kia karon

meri tanhai nay mujh ko ruswa kia, ghar bhi zandan hai
mujh pay hansnay lagay ab to dewaar o dar,bol main kia karon

urr bhi sakta nahi,aag aisi lagi, kis ko ilzam don
dheeray dheeray chalay hain meray bal o par,bol main kia karon

tu mera ho gaya, main tera ho gaya, ab koi azam nahin
phir bhi dil main bicharnay ka rehta hai dar,bol main kia karon

Woh Sahilon Pe Ganay Waly Kya Hue


Woh Sahilon Pe Ganay Waly Kya Hue,
Woh Kashtiyaan Jalanay walay Kya Hue,

Woh Subha Atay Atay Reh Gayi Kahan,
Jo Qaafilay Thay Anay Wahay Kya Hue,

Main Jin Ki Raah Dekhta hoon Raat Bhar,
Woh Roshnii Dekhanay Walay Kya Hue,

Yeh Kon Log Hain Mere Idhar Udhar,
Woh Dosti Nibhanay Walay Kya Hue,

Imaartein Toh Jal K Raakh Hogayin,
Imartay Bananay Walay Kya Hue,

Yeh Aap Hum Toh Bojh Hain Zameen Ka,
Zameen Ka Boojh Uthanay Walay Kya Hue

Na jaane aaj ye kis kaa Khayaal aayaa hai


Na jaane aaj ye kis kaa Khayaal aayaa hai
Khushii kaa rang liye har malaal aayaa hai


vo ek shaKhs ki haasil na thaa jo Khud ko bhii
miTaa kisii pe to kaisaa bahaal aayaa hai

zubaa.N pe harf-e-talab bhii nahii.n ko_ii phir bhii
nigaah-e-dost me.n rang-e-jalaal aayaa hai

kiyaa na zikr bhii jis kaa tamaam umr kabhii
hamaare kaam bahut vo malaal aayaa hai

nahii.n hai tum se ko_ii dostii bhii ab to magar
qadam qadam pe ye kaisaa vabaal aayaa hai

Wafa ke Khvaab muhabbat kaa aasara le jaa


Wafa ke Khvaab muhabbat kaa aasara le jaa
agar chalaa hai to jo kuchh mujhe diyaa le jaa

maqaam-e-suud-o-ziyaa.N aa gayaa hai phir jaanaa.N
ye zaKhm mere sahii tiir to uThaa le jaa

yahii hai qismat-e-saharaa yahii karam teraa
ki buu.Nd buu.Nd ataa kar ghaTaa ghaTaa le jaa

Guruur-e-dost se itanaa bhii dil_shikastaa na ho
phir uTh ke saamane daaman-e-iltajaa le jaa

nadaamate.n ho.n to sar baar-e-dosh hotaa hai
'Faraz' jaa.N ke evaz aabaruu bachaa le jaa

Tum Ne Poocha Hai ke Dukh kiya Hota Hai


Tum Ne Poocha Hai ke Dukh kiya Hota Hai
To Suno.....
Aisa Karna
Kabhi kisi ko Chahna
aur Chahate Hi Rehna...
Din Bher uss ko Sochte hi Rehna....
Apne Haath ki Lakeeron mein uss ka Naam Tarashte hi Rehna...
aur Jab kabhi Wo,
in Riyazaton ka Hisaab Mangne ke Liey,
samne aaey to .......
Tum "ANAA" ka Hath Thaam Lena.
Ager Wo kuch kahey to,
Muskura ker Anjaan Ban Jana.
Aur Jab Wo Mayoos Ho ker Laut Jaey to...

Apne Ander Jhankna,
aur,
Khud se Poochna .....
Tab Tumhara Dil Tumhain Bataey ga,
Ke....
Dukh kisko kehtey Hain.
aur...
Dukh kiya Hota Hai.

bargashta-e-yazdan se kuch bhool hui hai


bargashta-e-yazdan se kuch bhool hui hai
bhatke huye insaan se kuch bhool hui hai


ta had-e-nazar shole hi shole hain chaman mein
phoolon k nigehban se kuch bhool hui hai


jis ahad mein lut jaye faqiron ki kamayi
us ahad ke sultan se kuch bhool hui hai


hanste hain meri surat-e-maftun pe shagufe
mere dil-e-nadan se kuch bhool hui hai


huron ki talab aur mai-o-sagar se hai nafrat
zahid tere irfan se kuch bhool hui hai

kab say hai teri khoj main ay subha-e-bay nishaan


kab say hai teri khoj main ay subha-e-bay nishaan
bay chehra sama'aton ka thaka hara kar'waan

khud say hi bandh lo koi paymaan-e-dosti
dhoodho gay is safar main koi hamsafar kahan

ankhain karon main band to dasti hai teergi
daikhon to chubnay lagti hai khawabon ki kirchiyan

aya naseem-e-subha ki surat wo shehar main
khulnay lagin udaas makanon ki khirkiyan

jab po phati to kehnay lagi oos ki rida!
sab chal diye gharon ko magar jaon main kahan

mana kay ta-abad nahin jaiye gi us ki baas
laikin wo phool aisa badan aye to yahan!

tere dar pe vo aa hi jaate hain


tere dar pe vo aa hi jaate hain
jin ko piine kii aas ho saaqii

aaj itanii pilaa de aa.Nkho.n se
Khatm ri.ndo.n kii pyaas ho saaqii

halqaa halqaa suruur hai saaqii
baat koi zaruur hai saaqii

terii aankhain kisii ko kyaa de.ngii
apanaa apanaa suruur hai saaqii

terii aankhon ko kar diyaa sajadaa
meraa pahalaa qusuur hai saaqii

tere ruKh pe ye pareshaa.N zulfein
ik a.Ndhere mein nuur hai saaqii

terii aankhain kisii ko kyaa de.ngii
apanaa apanaa suruur hai saaqii

piine vaalon ko bhii nahi maaluum
maikadaa kitanii duur hai saaqii

dewana banaanaa hai to dewaanaa banaa de


dewana banaanaa hai to dewaanaa banaa de
warnaa kahii.n taqdiir tamaashaa na banaa de

aye dekhanewaalo.n mujhe ha.Ns ha.Ns ke na dekho
tum ko bhii mohabbat kahii.n mujh saa na banaa de

mai.n Dhuu.NDh rahaa huu.N merii wo shammaa kahaa.N hai
jo bazm kii har chiiz ko parwaanaa banaa de

aakhir koii suurat bhii to ho Khaanaa-e-dil kii
Kaabaa nahii.n banataa hai to but_Khaanaa banaa de

"Behzad" har ek jaam pe ek sajdaa-e-mastii
har zarre ko sang-e-dar-e-jaanaa.N naa banaa de

Wo to milta hay jahaN rakha gaya tha


Wo to milta hay jahaN rakha gaya tha,
sochta huN maiN kahaN rakha gaya tha

jany aansu kis amal se ban gaye haiN,
aankh meiN to bas dhuaN rakha gaya tha

jab-keh donoN meiN koi aisa nahiN tha,
kis ko dhoky meiN kahaN rakha gaya tha

kuch to sang-e-meel hona tha , lehaza,
aasmaN ko dermiyaN rakha gaya tha

choR aa'ye haiN bohat peechy jisy ham,
naam us ka La-makaN rakha gaya tha

barisheN is ko baha sakti nahiN haiN,
khawb aankhoN se nihaN rakha gaya tha

maiN wohi eijaz Shakir huN, meri jaaN
aap ko to bad-gumaN rakha gaya tha

Sakuut-e-shaam-e-KhizaaN hai qariib aa jaao


Sakuut-e-shaam-e-KhizaaN hai qariib aa jaao
ba.Daa udaas samaa.N hai qariib aa jaao

na tum ko Khud pe bharosaa na ham ko zom-e-vafaa
na aitabaar-e-jahaa.N hai qariib aa jaao

raah-e-talab me.n kisii ko dhyaan nahii.n
hujuum-e-ham_safaraa.N hai qariib aa jaao

jo dasht-e-ishq me.n bichha.De.n vo umr bhar na mile
yahaa.N yahaa.N dhuaa.N hii dhuaa.N hai qariib aa jaao

ye aa.Ndhiyaa.N hai.n to shahar-e-vafaa kii Khair nahii.n
zamaanaa Khaak_fashaa.N hai qariib aa jaao

faaqih-e-shahar kii majalis nahii.n ke duur raho
ye bazm-e-piir-e-maGaa.N hai qariib aa jaao

'Faraz' duur ke suuraj Garuub samajhe gaye
ye daur-e-kam_nazaaraa hai qarib aa jaao

Itne dinon ke baad tu aayaa hai aaj


Itne dinon ke baad tu aayaa hai aaj
sochataa huu.N kis tarah tujh se miluu.N

mere andar jaag uThii ik chaa.Ndanii
mai.n zamii.n se aasamaa.N tak ek ang huu.N

aur ujalaa ho gayaa qurbat kaa chaa.Nd
aur gaharaa ho gayaa teraa fusuu.N

ai saraapaa rang-o-nikahat tuu bataa
kis dhanak se teraa pairaahan bunuu.N

saare gul_buuTe tar-o-taazaa hue
duur tak pahu.Nchii hai merii mauj-e-Khuu.N

kar rahe hai.n lamhe lamhe kaa hisaab
mil ke phir baiThe hai.n yaaraan-e-junuu.N

dasht-e-Gam kii dhuup me.n mujh par khulaa
mai.n Khud apanaa saayaa-e-diivaar huu.N

naaz kar Khud par ki tuu hai beshumaar
qadr kar merii ki mai.n bas ek huu.N

Muntazir kab se tahayyur hai teri taqariir kaa



Muntazir kab se tahayyur hai teri taqariir kaa
baat kar tujh par gumaa.N hone lagaa tasviir kaa

raat kyaa soye ki baaqii umr kii niind u.D ga_ii
Khvaab kyaa dekhaa ki dha.Dakaa lag gayaa taabiir kaa

jaane tuu kis aalam me.n bichha.Daa hai ki tere baGair
aaj tak har lafz fariyaadii merii tahariir kaa

jis tarah baadal kaa saayaa pyaas bha.Dakaataa rahe
mai.n ne vo aalam bhii dekhaa hai terii tasviir kaa

kis tarah paayaa tujhe phir kis tarah khoyaa tujhe
mujh saa munkir bhii to qaa_il ho gayaa taqadiir kaa

ishq me.n sar pho.Danaa bhii kyaa ke ye be-meher log
juu-e-Khuu.N ko naam dete hai.n juu-e-shiir kaa

jis ko bhii chaahaa use shiddat se chaahaa hai 'Faraz'
si_-silaa TuuTaa nahii.n dard kii zanjiir kaa

Nama to humne bheja hai usko saba ke haath


Nama to humne bheja hai usko saba ke haath
ab dekhiye lage na lage aashna ke haath

phir yaad aa gaii.n mujhe mehroomiya.n meri
dil beTh sa gaya dua ko uTha ke haath

jaane kis aastee.n se pukaare mera luhu
munsif adaalato.n mein hain beThay chhupa ke haath

duniya bhi tere saath hai dil bhi teri taraf
ab mera tera faisla Thehra khuda ke haath

us sard meher ki sitam ijaadiyaa.n na pooch
jo taapta tha mere khato.n ko jalaa ke haath

umro.n ki dosti ka sil yeh mila ke woh
rukhsat hua to bas yunhi rasman hila ke haath

aye shikwa sanj-e-shiddat-e-aghyaar shukr kar
tujhko lage nahin hain kisi aashna ke haath

tajdeed-e-dosti hai to aye mere zood ranj
thoRa sa muskura ke zara sa baRha ke haath

chaak-e-qaba pe meri nazar thi ke yaar ne
jaldi se rakh diye meri aankhon pe aa ke haath

saaqi ne kitne pyar se dekha FARAZ jab
maangi sharab main ne pyala bana ke haath

Khushi ne mujh ko Thukaraayaa hai ranj-o-Gam ne paalaa hai


Khushi ne mujh ko Thukaraayaa hai ranj-o-Gam ne paalaa hai
gulo.n ne beruKhii kii hai to kaa.NTo.n ne sambhaalaa hai

muhabbat me.n Khayaal-e-saahil-o-manzil hai naadaanii
jo in raaho.n me.n luT jaaye vahii taqadiir vaalaa hai

charaaGaa.N kar ke dil bahalaa rahe ho kyaa jahaa.N vaalo
andheraa laakh raushan ho ujaalaa phir ujaalaa hai

kinaaro.n se mujhe ai naaKhudaa duur hii rakhanaa
vahaa.N lekar chalo tuufaa.N jahaa.N se uThane vaalaa hai

nasheman hii ke luT jaane kaa Gam hotaa to kyaa Gam thaa
yahaa.N to bechane vaalo.n ne gulashan bech Daalaa hai

Kaj-e-dil tak to bay nishan pohanchay


Kaj-e-dil tak to bay nishan pohanchay
phir na janay kahan kahan pohanchay

tishnage ki sabeel jari the
ham musafir jahan jahan pohanchay

aik mud'dat kay bad ham akhir
apnay or us k darmiyan pohanchay

kaisay sir ho ye roshni ka pahar
kaisay manzil pay khasta jaan pohanchay

ik parinda hai ye zameen daikhain
kis shajar pay ye bay zuban pohanchay

lams-e-gul bhi na main karon manzoor
is ki jaan ko agar ziyan pohanchay

kahne ki bat ho to use kah sunayiye


kahne ki bat ho to use kah sunayiye
jo dil pe ban rahi ho, kyon kar dikhayiye



dunya ki ho hawas to dil-o-din ginwayiye
yan khoyiye bahut-sa to kuch ja k payiye



ye kya k dil hai dair mein aur kabe mein maqam
ho rahiye bas wahin k, jahan dil lagayiye



gar jan ka zarar hai mohabbat mein naseho
ham jan hi se baithe hain bezar jayiye



aur aitabar khote hi apna raha-saha
bas a gaya yaqin hamein, qasmein na khayiye



hoti hujum-e-gam mein hai, kyon zahar ki talash
Hali' batayen ap ko, gar kuch khilayiye

Dhoop ke saath gayaa saath nibhaane waalaa


Dhoop ke saath gayaa saath nibhaane waalaa
ab kahaa.N aayegaa vo lauT ke aane waalaa

ret par chho.D gayaa naqsh hazaaro.n apane
kisii paagal kii tarah naqsh miTaane waalaa

sabz shaaKhe.n kabhii aise to nahii.n chiiKhatii hai.n
kaun aayaa hai parindo.n ko Daraane waalaa

aariz-e-shaam kii surKhii ne kiyaa faash use
pardaa-e-abr me.n thaa aag lagaane waalaa

safar-e-shab kaa taqaazaa hai mere saath raho
dasht pur_haul hai tuufaan hai aane waalaa

mujh ko dar_pardaa sunaataa rahaa qissaa apanaa
agale vaqto.n kii hikaayaat sunaane waalaa

shabanamii ghaas ghane phuul larazatii kirane.n
kaun aayaa hai Khazaano.n ko luTaane waalaa

ab to aaraam kare.n sochatii aa.Nkhe.n meri
raat kaa aaKhirii taaraa bhii hai jaane waalaa

Dil Kahan, Karab-e-Dil Azaari Kahan?


Dil Kahan, Karab-e-Dil Azaari Kahan?
Zulzaloo'n Ki Zud Mai Hai Kacha Makaa'n

Lamha Bher Kay Hijar Ne Phaila Dia
Ik Zamanaa Teray Meray Dermiyaa'n

Nachti Hai Dhoop Si Ankhoo'n Mai Jub
Barishoo'n Mai Bheeghti Hain Larkiyaa'n

Kal Usay Dekh Naye Malboos Mai
Jaisay Rangoo'n Kay Bhanwer Mai Kehkishaa'n

Baadbaa'n Jub Se Hawa Ki Zud Mai Hai
Sahiloo'n Se Khoof Khayain Kashtiyaa'n

Jangloo'n Kay Pair Hain Sehmay Howay
Jugnoo'n Ko Dhondthi Hain Bijliyaa'n

Neend Kia Touti Kay Dil Murjhaa Gaya
Orrh Gayee'n Khawboo'n Ki Sari Titliyaa'n

Sochna Mohsin Saffer Kay Shoor Mai
Gher Ka Sanaata Tha Kitna Meherbaa'n

Azaab-e-Deed Mai Ankhain Lahoo Lahoo Ker Kay


Azaab-e-Deed Mai Ankhain Lahoo Lahoo Ker Kay
Mai Sharumsaar Howa Teri Justujo Ker Kay

Khander Ki Teh Se Bareedha Baddan Siroon Kay Siwa
Mila Na Kuch Bhi Khazanoo'n Ki Arzoo Kar Kay

Suna Hai Shaher Mai Zakhumi Diloo'n Ka Maila Hai
Chalain Gay Hum Bhi Mager Pairhan Raffu Kar Kay

Musaafut-e-Shub-e-Hijraa'n Kay Baad Bhaid Khula
Hawa Dukhi Hai, Chiraaghoo'n Ki Abruu kar Kay

Zamee'n Ki Piyaas Usi Kay Lahoo Ko Chaat Gaye
Wo Khush Howa Tha Samander Ko Abb-Joo Kar Kay

Yeh Kis Ne Hum Se Lahoo Ka Khiraaj Phir Manga Hai
Abhi Tu Soai Thay Maqtil Ko Surkhroo Kar Kay

Jaloos-e-Ehal-e-Waffa Kis Kay Der Pay Phoncha Hai
Nishaan-e-Touq-e-Waffa Zeenat-e-Guloo Kar Kay

Ujaar Rut Ko Gulaabi Bannai Rukhti Hai
Humari Ankh Teri Deed Se Wazzu Kar Kay

Koi Tu Habs-e-Hawa Se Yeh Pochta MOHSIN
Mila Hai Kia Usay Kaliyoo'n Ko Be-Namuu Kar Kay

misl-e-Khayaal aaye the aa kar chale gaye


misl-e-Khayaal aaye the aa kar chale gaye
duniyaa hamaarii Gam kii basaa kar chale gaye

phuulo.n kii aas dil se lagaaye hue the ham
kaa.NTe vo raaste me.n bichhaa kar chale gaye

aayii na thii hamaare chaman me.n bahaar abhii
vo Khvaab aashiyaa.N me.n lagaa kar chale gaye

bhuule se bhii kabhii na dil ham bhulaa sake
dil se hame.n vo apane bhulaa kar chale gaye

aap agar ham ko mil gaye hote


aap agar ham ko mil gaye hote
baaG mein phuul khil gaye hote

aap ne yuun hii ghuur kar dekhaa
hont to yuun bhii sil gaye hote

kaash ham aap is tarah milate
jaise do vaqt mil gaye hote

ham ko ahal e Khirad mile hii nahii.n
varanaa kuchh munfaiil gaye hote

us kii aankhein hii kaj nazar thiin Adam
dil ke parde to hil gaye hote

Zabaan Sukhan Ko Sukhan Baankapan Ko Tarsega


Zabaan Sukhan Ko Sukhan Baankapan Ko Tarsega,
Sukhan-Kadaa Meri Tarz-e-Sukhan Ko Tarsega,

Naye Pyaalay Sahi Tere Dour Mein Saaqi,
Yeh Daur Meri Sharaab-e-Kohan Ko Tarsega,

Mujhe Toh Khair Wata Chor K Aman Na Mili,
Watan Bhi Mujhse Gareeb-ul-Watan Ko Tarsega,

Unhi K Dam Se Farozaan Hain Millaton K Charaagh,
Zamana Sohabat-e-Arabaab-e-Fan Ko Tarsega,

Badal Sako Toh Badal Do Yeh BaagBaan Verana,
Yeh Baag Saaya-e-Sard-o-Samaan Ko Tarsega,

Hawa-e-Zulam Yahi Hai Toh Dekhna Ek Din,
Zameen Pani Ko Sooraj Kiran Ko Tarsega......!!!!

Qariya-e-girya sajany ko gharoN se nikly


Qariya-e-girya sajany ko gharoN se nikly,
ham wo deewany thy jo deedawaroN se nilky

koi surat nazar aaye k ye halat ho bahaal,
koi tadbeer kye soda saroN se nikly

daam-e-sayyad jala aur hua khakastar,
kuch sharar paoN se kuch mery paroN se nikly

kon imdaad ko aata tha hawa-e-khud sar,
kon thy jo teri dastak pe gharoN se nikly

izn hi zaad-e-safar tha, tery hijrat zaady
be amaN be sar o samaN jo gharoN se nikly

kya tera zikr chiRa zikr-e-wafa se pehly
kuch khirad mand bhi aashufta saroN se nikly

apanii zulfo n ko sitaaron ke havaale kar do


apanii zulfo n ko sitaaron ke havaale kar do
shahar e gul baadaagusaaron ke havaale kar do

talKhi e hosh ho yaa mastii e idaraak e junuun
aaj har chiiz bahaaron ke havaale kar do

mujh ko yaaro na karo rahnumaaon ke supurd
mujh ko tum rahguzaaron ke havaale kar do

jaagane vaalo.n kaa tuufaan se kar do rishtaa
sone vaalon ko kinaaron ke havaale kar do

merii taubaa kaa bajaa hai yahii ejaaz Adam
meraa saaGar mere yaaron ke havaale kar do

Meri afsurdgi sey pareshaan naa ho


Meri afsurdgi sey pareshaan naa ho
Too meri talkhiyun kaa sabab tou nahin

Teri aankhain tou meri hi damsaz hain
Thein kabhi ajnabi lakin abb tou nahin

Tujh ko meri musarrat muqaddam sahi
Tera gham mujh ko wajh-e-tarab tou nahin

Tera ehsaan hay too ney meray liye
Apni palkoon say raahon key kantay chuney

Khud kari dhoop main reh key merey liye
Tou ney zulfoon kay shadaab saye bunay

Meri khatir zamanay ko paagal kahaa
Meri khatir zamanay kay tanay sunay

Aarzu ye nhi k ghum ka tufaan tal jaye


Aarzu ye nhi k ghum ka tufaan tal jaye.

Fiqar to ye hy k tumhara dil na badal jae.

Kabhi b mujh ko agar bhulana chaho.

Tum dard itna dena k mera dum nikal jae..

“Mere Dil may ik dharkan teri hai,

Uss dharkan ki kasam tu zindgi meri hai,

Meri saanso may ik saans teri hai,

Woh saans jo ruk jae to maut meri hai.

Sza na do mj ko beqasur hu me,

Tham lo mj ko ghmo se choor hun me,

Uski duri ne krdia pagal mj ko,

Or logo ka kehna hy k mghrur hu me.

Buhat khubsorat he ye dua hamari,

Phoolon ki tarha mehke ye zindagi tumhari,

Mujhe kiya chahiye or zindagi mein

Kabhi khatam na ho bas ye Muhabbat hamari

Yun dil ko jlana tera eman ho Shayad…

tery Seny me B koi tofan ho Shayad…

Mat mujhy Azma Itna K dam nikal jaye…

Mery Wajud me teri B Jan ho shayad..

Sahar ki yaad ho tum aur kheyaal-e-shaam ho tum


Sahar ki yaad ho tum aur kheyaal-e-shaam ho tum
jo ban geya hai mera jazw-e-lab woh naam ho tum

Tumhe kehyaal ki ra'anaaiyoN meN dekha hai
tumhe ummeed ki tanhaaiyoN meN dekha hai
tumhiN to roop ki gahraaiyoN meN dekha hai
jidhar bhi aankh uthaayi hai farogh-e-baam ho tum

Sahar ki yaad ho tum aur kheyaal-e-shaam ho tum
jo ban geya hai mera jazw-e-lab woh naam ho tum

har ik ummeed ka meri tumhi ho gah'waara
tumhiN ho jaise har ik dard ka mere chaara
tumhiN pe aa ke tahrati hai chashm-e-awaara
har ibtadaay-e-tamanna ka ikhtetaam ho tum

Sahar ki yaad ho tum aur kheyaal-e-shaam ho tum
jo ban geya hai mera jazw-e-lab woh naam ho tum

MaiN kaun ik gul-e-afsurda-o-dil-e-nashaad
tum ik chaman ki zeenat tum ik chaman ki muraad
kahaN tum aur kahaN mujh sa zindagi barbaad
mere naseeb ki jis meN nahiN woh jaam ho tum

Sahar ki yaad ho tum aur kheyaal-e-shaam ho tum
jo ban geya hai mera jazw-e-lab woh naam ho tum

ufaq hayaat ka phir bhi tumhiN se hai zareeN
har ik khawaab-e-tassavur tumhiN se hai rangeeN
tumhaari simt hai dil ki nigaah baaz paseeN
andheri zeest ki ik zar nagaar shaam ho tum

Sahar ki yaad ho tum aur kheyaal-e-shaam ho tum
jo ban geya hai mera jazw-e-lab woh naam ho tum

karooN maiN arz-e-tamanna meri majaal nahiN
sawaal dil meN hai aur jurrat-e-sawaal nahiN
tumhaari yaad se ghaafil magar kheyaal nahiN
maiN kuchh kahooN na kahooN hsaail-e-kalaam ho tum

Sahar ki yaad ho tum aur kheyaal-e-shaam ho tum
jo ban geya hai mera jazw-e-lab woh naam ho tum

khamoshiyoN meN hai damsaaz kaun tum jo nahiN
nazar nazar ka meri raaz kaun tum jo nahiN
nafas nafas ki hai awaaz kaun tum jo nahiN
peyaam bar hooN agar maiN mera peyaam ho tum

Sahar ki yaad ho tum aur kheyaal-e-shaam ho tum
jo ban geya hai mera jazw-e-lab woh naam ho tum

kissi nigaah ka jo dil ghulaam ho na saka
jo sar kissi ki chhokhat pe aaj tak na jhhuka
tumhaare dar pe wohi aaj hai jabeeN-farsa
to kya jahaaN ka mulla se inteqaam ho tum

Sahar ki yaad ho tum aur kheyaal-e-shaam ho tum
jo ban geya hai mera jazw-e-lab woh naam ho tum

waqt ki oat se pehron, main khara dekhta hoon


waqt ki oat se pehron, main khara dekhta hoon

khwab or'rhey huey yadon k sitarey tankey
bikhri zulfon main gaey lamhon ki mehkar liye
apni sanson main kisi dard ki chehkar liye
apni aankhon main sambhaley huey ashkon k diy''ye

sooni poron pe kisi reshmi hiddat ki pukar
sard aankhon main sulagtey huey lamhon ki jalan
naram pairon pe lapetey hue raston ki thak'an

ye her ik shkhas se tum kis ka pata puchti ho
janey kyuon badliyan simtain to guman hota hai
tum jisey dhundti phirti ho kaheen main to nhi
kya her ik shkhas se tum mera pata puchti ho

waqt ki oat main pehron, main khara sochta hun
tum jisey dhundti phirti ho kheen main to nhi

Sapnoon main tujhey aaney ki ijazat nahi hey


Sapnoon main tujhey aaney ki ijazat nahi hey
ye bin barsat key roona meri aadat nahi hey

ghamoon sey tu hey apna jeevan bher ka rishta
khushiyon sey tu pal ki raafaqt nahi hey

gira key tu daikh ansoon key do qatreyabbasi
ye khali sa aik sujda ebaadat nahi hey

Khizaon ki udaasi hai jo ab tak dil pai chaayi hai


Khizaon ki udaasi hai jo ab tak dil pai chaayi hai
Baharon ka haseen mausam kahin sai saath lana tum..

Yeh mana aur bhi tum ko jahan mai hain bohat sai kaam
Magar duniya kai mailon mai hamein mat bhool jana tum..

Mairay ashaar hain jitnay.. Tumharay naam kerta hoon
Ghazal mairy sunno jab bhi.. Ghazal mai doob jana tum..

Agar tum sai koyi mairay baray mai poochay tu
Faqat itni si khuwahish hai.. Mujhay apna batana tum..


Koyi jab Alwida-ee mausam ka zikar chairay tu
Nammi ankhon mai matt rakhna.. Hamesha muskurana tum..

AB MAIN RASHAN KI QATARON MAIN NAZAR ATA HON


AB MAIN RASHAN KI QATARON MAIN NAZAR ATA HON
APNE KHETON SEY BICHADNE KI SAZA PATA HON

ITNI MEHANGAI KEY BAZAR SEY KUCH LATA HON
APNEY BACHON MAIN USEY BANT KEY SHERMATA HON

APNI SOCHON KA LAHOO PONCHNEY KI KOSHSH MAIN
JAGTEY JAGTEY THAK JATA HON SOJATA HON

KOI CHADER SAMAJH K KHEENCH NA LEY IS KO KHALIL
MAIN KAFAN ODH KEY FOOT PATH PEY SOJATA HON

Us ki yadon ka tha safar logo


Us ki yadon ka tha safar logo,
Neend aati kya raat bhar logo.

Zakhm mujko milay judai main,
Mai raha phir bi bay kahbar logo.

Kis tarah se usay manata main,
Lafz sare thay be asar logo,

Sirf aankon say ashk behtay thay,
Khuwab saray thay dar badar logo,

Tanha tanha hai aaj bhi
Zindagi ho gi kia basar logo.

Us ki jaam-e-jam aaNkhein shiisha-e-badan meraa


Us ki jaam-e-jam aaNkhein shiisha-e-badan meraa
us kii band muTThii me.n saaraa baa.Nkpan meraa

aao aaj ham dono.n apanaa apanaa ghar chun le.n
tum tabaah-e-dil le lo Khittaa-e-badan meraa

mai.n ne apane chehare pe sab hunar sajaaye the
faash kar gayaa mujh ko saadaa pairahan meraa

dil bhii kho gayaa shaayad shahar ke suraabo.n me.n
ab merii tarah se hai dard bevatan meraa

ek dasht-e-Khaamoshii ab hmeraa muqaddar hai
yaad besadaa terii zaKhm bechaman meraa

roz apanii aa.Nkho.n ke Khvaab Khuun karataa huu.N
haaye kin Ganiimo.n se aa pa.Daa hai ran meraa

maGrabii havaa ne phir ye sandeshaa bhejaa hai
muntazir tumhaaraa hai Khushbuo.n kaa ban meraa

Bar bar kya karty eitbar kya karty


Bar bar kya karty
eitbar kya karty

haar man beTha tha,
us pe waar kya karty

tu bata k tery bad,
mery yaar! kya karty

khud se bhi adawat thi,
tum se pyar kya karty

wo ana se khela tha,
derkinar... kya karty

pyar pyar hota hay
karobar kya karty

gham se pyar tha Shakir,
ghamgusar kya karty

Gaye Dinon Ka Chiraag LeKar Kidhar Se Aaya Kidhar Gaya Woh


Gaye Dinon Ka Chiraag LeKar Kidhar Se Aaya Kidhar Gaya Woh,
Ajeeb Manoos Ajnabi Tha Mujhe Toh Hieeran Kar Gaya Woh,

Bas Ai Moti Si Chub Dikha KarBas Aik Mithi Si Dhun Suna Kar,
Sitara Sham Ban K Aya Barang Khuwab Shehr Gaya Woh,

Khushi Ki Raat Ho K Gham Ka Mousam Nazar Usay Dhundti Hai Har Dam,
Woh Buye Gal Tha K Naghma Jaa'n Maray Toh Dil Mein Utar Gaya Woh,

Na Ab Woh Yadon Ka Charta Darya Na Fursaton Ki Udas Barkha,
Yunhi Zara Si Kasak Hai Dil Mein Jo Zakham Gehra Tha Bhar Gaya,

Kuch Ab Shanbalnay Lagi Hai Jaan Bhi Badal Chala Door Asmaan Bhi,
Jo Raat Bhari Thi Thal Gayi Hai Jo Din Khara Tha Guzar Gaya Woh,

Woh Jis K Shanay Par Hath Rakh K Safar Kiya Tunay Manzilon Ka,
Teri Gali Se Najanay Kyun Aj Sar Jhukaye Guzar Gaya Woh,

Woh Raat Ka Be Nawa Musafir Woh Tera Sahir Woh Tera "NASIR",
Teri Gali Taq Hum Ne Dekha Tha Phir Najanay Kidhar Gaya Woh......!!!!

Tu Hai Ya Tera Saya Hai



Tu Hai Ya Tera Saya Hai,
Bhesh Judayi Ne Badala Hai,

Dil Ki Havelii Par Muddat Se,
Khamoshi Ka Qufl Para Hai,

Cheek Rahay Hain Khali Kamre,
Shaam Se Kitni Teaz Hawa Hai,

Darwazay Sar Phor Rahay Hain,
Kon Is Ghar Ko Chor Gaya Hai,

Hickhki Thamati Hi Nahi "NASIR"
Aaj Kissi Ne Yaad Kiya Hai......!!!!

Main hon majnoon mera andaz zamanay wala


Main hon majnoon mera andaz zamanay wala
teri nagri main to pathar nahin khany wala

tu nay daikha hi nahi sath mery chal ky kabhi
main hon tanhai ka bhi sath nibhanay wala

mujh ko tum dasht e taheer main no choro tanha
khof taari hai ajab dil ko daranay wala

khof ata hai mujhy apni hi tanhai sy
roth jata hai koi mujh ko mananay wala

dil wo sheesha k tera aks liye phirta hai
roz aata hai koi is ko mitanay wala

is ki har bat sir ankhon pay liye phirta hon
mujh ko accha bhi to lagta hai rulanay wala

is qadar ajnabi andaz sy kiun daikhta hai
main wohi hon tera kirdaar fasanay wala

har qadam soch samjh kr hi uthana ay dil!
tera rehbar to nahin rah batanay wala

chahay jitni bhi safarish karo is ki
main teri baton main hargiz nahin anay wala

Popular Posts