Friday, April 15, 2011

bargashta-e-yazdan se kuch bhool hui hai


bargashta-e-yazdan se kuch bhool hui hai
bhatke huye insaan se kuch bhool hui hai


ta had-e-nazar shole hi shole hain chaman mein
phoolon k nigehban se kuch bhool hui hai


jis ahad mein lut jaye faqiron ki kamayi
us ahad ke sultan se kuch bhool hui hai


hanste hain meri surat-e-maftun pe shagufe
mere dil-e-nadan se kuch bhool hui hai


huron ki talab aur mai-o-sagar se hai nafrat
zahid tere irfan se kuch bhool hui hai

No comments:

Popular Posts