Saturday, August 21, 2010

tum meri kon hoo

tammam umar us k i khayyal

who bewafa na tha

Tum Khud Ko Juda Mare Zaat Sa kuch Soch Ka Karna

tu ne dekha hai

Tum Say Hi Bus Ki Hay Her Pal Mohabat May Nay

who bhi akela hai

teri yaad jane kyu

apne mufaad ki khatir

Tum He Sa The Mari Zindgi

Suno! Main thak gaya hoon Meri Palkoon pe ab tak kuch adhooray khawaab jaltay hain


Suno!
Main thak gaya hoon
Meri Palkoon pe ab tak kuch adhooray khawaab jaltay hain
Meri neendoon main tairay wasl ka raisham ulajhta hai
Mairay ansoo mairay chehray pe tairay ghamm ko likhtay hain
Mairay ander kai sadiyun ke sannatoon ka daira hai
Maiary alfaaz baahain wa kiya mujh ko bulatay hain
Mager main thak gaya hoon
Aur main ne khamashi ki goad main sir rakh dia hai

Main baloon main
Tumharay hijr ki narm ungliyan mehsoos kerta hoon
Meri palkoon pe jaltay khawaab hain ab raakh ki soorat
Tumharay wasl ka raisham bhi ab neendain nahin bunta
Mairi aankhon main jaisay THAR kay mausam ka basaira hai
Mujhay ander ke sannatoon main gehri neend aai hai
Suno!
Iss yaad se keh do
Mujhay kuch dair sonay de...!!!

Qarar de kay kabhi beqarar karteay ho



Qarar de kay kabhi beqarar karteay ho

Galay laga kay kaho kitna pyar kartay ho

Nazar nazar se milay aur khumar aa jaye

Labon se kuch na kaho aaitbar aa jaye

Ye dil to bharta nahi chand mulaqaton main

Kitney tarastey rahe bheegi bheegi raaton main

Taveel rasta kiyon ikhtiyar kartey ho

Galay laga kay kaho kitna pyar kartay ho

Lage na kiyun khud se mujhko pyaara, kabhi samandar kabhi sitaara


Lage na kiyun khud se mujhko pyaara, kabhi samandar kabhi sitaara
Meri musaafat ka ista'aara, kabhi samandar kabhi sitaara

Teri meri qurbaton ka mausam bikhar k simtte simatt k bikhre
Isi liye aankh mein utaara, kabhi samandar kabhi sitaara

Naya naya ishq karne waalo! hameeN se is ka zeyaaN bhi poocho
Bisaat-e-hasti pe ham ne haara, kabhi samandar kabhi sitaara

Tere liye jaagne ko mehkein kabhi gulistaaN kabhi charaaghaaN
Mere liye khwab ka ishaara, kabhi samandar kabhi sitaara

Wo kehkashaaN-zaad o sail-e-nikhat hamaare hamraah chal parra tha
Kahan tha varna hamein gavaara, kabhi samandar kabhi sitaara

Mere bhattakne pe jaan-e-Mohsin ye tanz kaisa k is jahaaN mein
Huey hain be-simt o be-kinaara, kabhi samandar kabhi sitaara

teri surat jo dilnasheen ki hai aashna shakal her haseen ki hai


teri surat jo dilnasheen ki hai
aashna shakal her haseen ki hai

husan sey dil laga k hasti ki
her ghari hum ney aatsheen ki hai


subh_e_gul ho k shaam_e_may khana
madah us rooey nazneen ki hai


shaikh sey bey hiraas miltey hain
hum ney toba abhi nhi ki hai


zikre_e_dozakh,bayan_e_ hoor _o_qasoor
baat goya yaheen kaheen ki hai

ashk to kuch bhi rang la na sakey
khoon sey tar ,aaj aasteen ki hai

kesey maney haram k sahal pasand
rasam jo ashiqoan k deen ki hai

Faiz! oaj_e_khayaal sey hum ney
aasmaan Sindh ki zameen ki hai

guzar rahe hain shab_o_roz tum nahi ateen


guzar rahe hain shab_o_roz tum nahi ateen
ryaz_e_zeest hai azurda_e_bahar abhi
merey khayal ki dunya hai sogwar abhi

jo hasratain terey gham ki kafeel hain piyari
abhi talak meri tanha'eyoun main basti hain
taweel ratain abhi tak taweel hain piyari
udaas aankhain teri deed ko tarasti hain

bhar_e_husan pe pabandi_e_jafa kab tak?
ye azmaaish_e_sabre_e_guraiz pa kab tak?

qasam tumhari bohat gham utha chuka hun main
ghlat tha dawa_e_sabr_o_shakeeb ,aa jaao
qarar_e_khatir_e_beytaab thak gya hun main

chashm -e- maigoon zara idher ker dey


chashm_e_maigoon zara idher ker dey
dast_e_qudrat ko bey asar ker dey

taiz hai aaj dard_e_dil saqi
talkhi_e_maiy ko taiz tar ker dey

josh_e_wehshat hai tishna kaam abhi
chaak daman ko ta jiger ker dey

meri qismat sey khailney waley
mujh ko qismat sey bey khabar ker dey

lut rahi hai meri mataey nayaz
kash wo is taraf nazar ker dey

faiz takmeel_e_arzoo maloom!
ho sakey to younhi basar ker dey

Chaahat ka rang tha na wafa ki lakeer thi


Chaahat ka rang tha na wafa ki lakeer thi
Qaatil k haath mein to hina ki lakeer thi

Khush hoon k waqt-e-qatl mera rang surkh tha
Mere laboN pe harf-e-dua ki lakeer thi

Main kaarvaaN ki raah samajhta raha jise
Sehra ki reit par wo hawa ki lakeer thi

Sooraj ko jisne shab k andheron mein gum kia
Mauj-e-shafaq na thi wo qaza ki lakeer thi

Guzra hai shab ko dasht se shaayad wo parda-daar
Har naqsh-e-pa k saath rida ki lakeer thi

Kal uska khat mila k saheefa wafa ka tha
Mohsin har ek satr haya ki lakeer thi

jamaal-e- yar ko dekhon qmaal-e-yar se pehlay


jamaal-e- yar ko dekhon qmaal-e-yar se pehlay
mai khushbu ki tara mehkon khayal-e-yar se pehlay

karishme husan k suraj, sitare, phol zahir hain
magar mai kis trf dekhon misal-e-yar $e pehlay

duaon me meri yun tou boht taseer hy lekin
khuda se or bhala kia maangun sawal-e-yar se pehlay

hy adat door rhne k, gur wo sam'ne aaey
main sham-e-zindgi chahon visal-e-yaar se pehlay

sabhi mosam hon us k leay khushiyon k, jahan us ka basaira ho
zamanay ko he badal daalon zawaal-e-yar se pehlay

Halaat jo mere bhi thore se saazgar hote



Halaat jo mere bhi thore se saazgar hote …..
To shayed dilon main mohabbat ke karobar hote …..

Magar kiya Karen mujhe mohabbat raas nahin aati…
Koi bhi haseena mere pass nahin aati ……..
Jin adaon se dil ko lubhaya jata hai ….
Mujhe woh ada koi khaas nahin aati ….

Hum bhi jo thore se samajhdar hote ..
To shayed dilon main mohabbat ke karobar hote …

hamen chehre pe naqab charhana nahin aata….
Dil tor ker kisi ka muskurana nahin aata ….
Hamari sadgi hi bani hai hamari dushman ..
Jhoote wadon se dil lubhana nahin aata….

Aap jo thore se wafa shuar hote ….
To shayed dilon main mohabbat ke karobar hote …

Kiya Karen ke hum se naaz uthaye nahin jate
Kandhon se kisi ke zulfen hataye nahin jate ..
Uljhane pehle hi kafi hain mere saath ….
Aur jhamele mujh se barhaye nahin jate ..

Jo na hamare saath ghame rozgar hote ….
To shayed dilon main mohabbat ke karobar hote …..

Kisi ke husn ke qaseede main parh nahin sakta ..
Deewangi main kisi ke had se barh nahin sakta ..
Larta rahta hoon roz apne hi halat se main ..
Kisi ke khatir zamane se lar nahin sakta …


Junoone mohabbat jo sar pe sawar hote..
To shayed dilon main mohabbat ke karobar hote

Na rozi ka thikana hai na rozgar ka …
Dekha nahin note kab se maine hazar ka …
Roz hi jeete marte hain dil main hasraten ..
Kaise rakhoon hisab arzoo –e-beshumar ka ..

Jo hum na yun bilkul bekar hote …
To shayed dilon main mohabbat ke karobar hote…..

Kiya faida kisi se ab shikayet ka …
Main bhi hissa hoon zamane ki riwayet ka..
Kahaniyan humne bohat suni to thi magar …
Liya na asar koi buzurgon ki hidayet ka ..

Na dil main shikway hazar hote ..
To shayed dilon main mohabbat ke karobar hote

Humne bhi kabhi kisi se dil lagaya tha …
Ab tak yaad hai *** aisa dil pe khaya tha
Jab baat chali dagha ki to uski yaad ayee..
Bari mushkil se humne jise bhulaya tha…..

Tajrubay aise talkh na agar yaar hote …
To shayed dilon main mohabbat ke karobar hote

Hijr ki dhoop mein chha'on jaisi baaten karty hain


Hijr ki dhoop mein chha'on jaisi baaten karty hain..
Aansu bhi toe maao'n jaisi baaten karty hain

Rasta dekhny wali ankhon k anhony khwab
Pyaas mein b daryao'n jaisi baaten krty hain

Khud ko bikhrty dekhty hen kuch kr nahi paaty
Phir b log Khudao'n jaisi baaten krty hain

Ek zara se jhoot k bal per andhyaro'n se ba'er
Pagal diye hawaon jaisi baaten krty hain

Rang se khushbu'on ka naata toota
Phool se log khizao'n jaisi baaten krty hain

tum se izhar-e-mohabbat na kar pate to achha tha


tum se izhar-e-mohabbat na kar pate to achha tha.......
kaash dil ki baat na batate to achha tha............

meri mohabbat ko vo mahaz naam-e-kashish kahte hai........
kaash unka naam hi na batate to achha tha............

aaj kahte hai pahli si kashish nahin hai hum mein........
kaash vo kashish pahle hi na jagate to achha tha.............

fir vo hi hijr-e- mohabbat ka aalam hai.........
kaash unki baaton main na aate to achha tha.......

dil khol ke jo rakha saamne to bewafa ka naam mila........
kaash is se pahle hi mar jaate to achha tha.........

vo hi dost,vo hi samaa,vo hi gagan,vo hi ghata.........
kaash raaz-e-udasi jaan paate to achha tha.........

bhoole to na the lekin maar chuke the ehsaas saare hum......
kaash vo ehsaas fir na jagate to achha tha..........

maangne ko to kuchh nahin....bas ek guzarish hai khuda se..........
humko bhi pyaar k kabil banate to achha tha..........

Ik to usko mere ishk ki keemat na hui


Ik to usko mere ishk ki keemat na hui
aur mujhko bhi izhaar ki himmat na hui

Do din ko mera dil manga tha usne,
itne din baad wapsi ki neeyat na hui


Log to ishk me marne ko hai
aur humko yaha jeene ki fursat na hui


Itne hain dard ki rona bhi mushkil sa hua
do ghadi hansne ki hame tabiyat na hui


Aaj kahti hu ki nazron ko samajh
fir na kahna ke tumko mohabbat na hui

Is kadr ruswah hue baithe hain yaha
aaj tere dar pe ishk ki izzat na hui

Meri nazron mein to bas tu hai mera khuda
aur tere ishk se badke koi ibaadat na hui

ho sakay tu pyar ka etbar kar k dekhna


ho sakay tu pyar ka etbar kar k dekhna.
phir lafzon se iqrar kar k dekhna.

januon ki had se aaghy nikal jaein ghy.
faqat ak bar lafzon se izhar kar k dekhna.

hota hai keyuon dil betab-o-beqara
ek lamhay ko kabhi intazar kar k dekhna.

hijar mein katty hein shab-o-roz kis tarha.
ghrhi ki tak tak shumar kar k dekhna.

tere intazr mein umar b ghanwa de.
ek bar mera intazar kar k dekhna.

tere husan ki kashish teri sadgi JAANA
yeh sab kuch us peh nesar kar k dekhna...

Ghar mai sooraj k utarnay ka bahut ranj huwa


Ghar mai sooraj k utarnay ka bahut ranj huwa.
kal mujay raat guzarnay ka bahut ranj huwa

Jis ne kar dala meri zaat ko reaza reaza
Muj ko uss k bhi bikharnay ka bahut ranj howa

Youn tou is shehr me ab jhoot koi aib nahi
Janay kyon tairay mukarnay ka bahut ranj huwa

Ab tujhay dekhnay, milnay ki taman'na hi nahi
Niyat-e-shooq ke bharnay ka bahut ranj huwa

kooch bhi kar jaayen gay "Mohsin"tou kahay ghi dunya
Hum ko ik shakhs k marnay ka bahut ranj huwa.

har muhabbat waafa nahi hoti har waafa aada nahi hoti



har muhabbat waafa nahi hoti
har waafa aada nahi hoti

kya tamana ki ab zaroorat hai
pori har dua nahi hoti

mil gaye har ghum per
dosti woh dawa nahi hoti

sab ke haton main diye lakin
roshni aye khuda nahi hoti

aasman yeh qayam hoga ab
qimat-e-zameen aada nahi hoti

dhondhte ho kya shahar main ab
har surat tu ashna nahi hoti...

Dost jaisi kabhi dushman kee tarah lagti hai


Dost jaisi kabhi dushman kee tarah lagti hai
Zindagi bhee kisi uljhan kee tarah lagti hai

Tairai aankhooN main udassi hai mairay ghar kee tarah
Tairi haalat mairay aangan kee tarah lagti hai

Aik lamhay main mairay mann ko bhego daiti hai
Uss ke her baat hee Sawan kee tarah lagti hai

Tu bhee chahat ke taqazoon se nahin waqif hai
Tairi Uljhan Mairi Uljhan Kee Tarah Lagti Hai

maut jo muntzir ankhon ko band kar rahi hai


maut jo muntzir ankhon ko band kar rahi hai
mariz-e-ishk se kis kadar wafa kar rahi hai

shaayad aaGaaz huaa phir kisii afasaane kaa


shaayad aaGaaz huaa phir kisii afasaane kaa
hukm aadam ko hai jannat se nikal jaane kaa


un se kuchh kah to rahaa huun magar allaah na kare
vo bhii mafahuum na samajhe mere afasaane kaa


dekhanaa dekhanaa ye hazarat-e-vaa_iz hii na hon
raastaa puuchh rahaa hai koii maiKhaane kaa

beta'alluq tere aage se guzar jaataa huun
ye bhii ek husn-e-talab hai tere diivaane kaa


hashr tak garmii-e-hangaamaa-e-hastii hai "Shakeel"
sil-silaa Khatm na hogaa mere afasaane kaa

Bisaat-e-Dil Pe Ajab Hai Shikast-e-Zaat Ka Lutf


Bisaat-e-Dil Pe Ajab Hai Shikast-e-Zaat Ka Lutf..

Jahan Pe Jeet Attal Ho Wo Chaal Kabi Haar K Dekhna

bheer main bhi tanhayi wafa ker rahi hai


bheer main bhi tanhayi wafa ker rahi hai...
dekh teri perchyi phir picha ker rahi hai..!!!!!

ek eshaara de raha tha chaar pal ka milan
qarz saare aansouon se aada ker rahi hai...!!!!!

dhoondne ko phechaan apni aya tha aayina bhi
yun basi teri surat nighaon se sajda ker rahi hai...!!!!!!

kis waja se aaj yun tanha raahein hoyi
yaad teri 'jaan' milan ki duwaa ker rahi hai..!!!

main maroon ya jion wasta na tha zindaghi ko
teri ye judayi aaj apne hi wojood se khafa ker rahi hai..!!

cheenkhein ye meri aahein ke tu hai kaha
her qadm pe qadm yaad koi haadsa ker rahi hai..!!!

bheed main bhi tanhayi wafa ker rahi hai
dekh teri perchyi fir picha ker rahi hai..!!!

mariiz-e-muhabbat unhiin kaa fasaanaa


mariiz-e-muhabbat unhiin kaa fasaanaa
sunaataa rahaa dam nikalate nikalate
magar zikr-e-shaam-e-alam jab bhii aayaa
chiraaG-e-sahar bujh gayaa jalate jalate

iraadaa thaa tark-e-muhabbat kaa lekin
fareb-e-tabassum mein phir aa gaye ham
abhii khaake Thokar sambhalane na paaye
ki phir khaaii Thokar sambhalate sambhalate

unhen Khat mein likhaa thaa dil muztarib hai
javaab un kaa aayaa muhabbat na karate
tumhen dil lagaane ko kisane kahaa thaa
bahal jaayegaa dil bahalate bahalate

vo mehamaan rahe bhii to kab tak hamaare
huii shammaa gul aur Duube sitaare
"Qamar" is qadar un ko jaldii thii ghar kii
vo ghar chal diye chaandanii Dhalate Dhalate

loot gae hum to tujh pe bharosa ker ke


loot gae hum to tujh pe bharosa ker ke
tum ne dekha hi kaha meri taraf jii bher ke..!!

pyaar kaisa ye tum mujh se jatate ho
ke nazre bhi na mila sake zamane ke dar se..!!!!

maang taaron se nahi pyaar se lab choom ker hi bher dete
jeene ke qabil main rahoon itna to karam mujh pe ker dete..!!!

aaj jo tum ne apni berukhi ka sitam dhaya hai
aas meri toot gayi dil dard se bher aaya hai
hum tu be maot mar rahein hai ek tujh pe mar ke..!!!

hai inayat ye teri hi ab kya kahe hum
hum jo baaghi bane hai aaj tujh se pyaar ker ke..!!!!

Dil mera tor ke tu chahe laakh namaazi ban...
Kuch bhi na hoga haasil sajde hazaar karke..!!!!

Zulm phir zulm hai, barhta hai to mit jaataa hai


Zulm phir zulm hai, barhta hai to mit jaataa hai
khoon phir khoon hai, tapkega to jam jaayega

Khaak-e-sehra pe jame yaa kaf-e-qaatil pe jame
farq-e-insaaf pe yaa paa-e-salaasal pe jame
tegh-e-bedaad pe yaa laasha-e-bismil pe jame
khoon phir khoon hai tapkega to jam jaayega

Laakh baithe koi chhup chhup ke kameen gaahon mein
khoon khud deta hai jalaadon ke maskan ka suraagh
saazishein laakh uraati rahein zulmat ka naqaab
le ke har boond nikalti hai hatheli pe chiraagh

Zulm kii qismat-e-nakaarah-o-rusvaa se kaho
jab’r kii hikmat-e-purkaar ke eema se kaho
mehmal-e-majlis-e-aqwaam kii laila se kaho
khoon diiwana hai, daaman pe lapak sakta hai
shola-e-tund hai, khirman pe lapak sakta hai

Tum ne jis khoon ko maqtal mein dabaanaa chaaha
aaj vo kuchaa-o-bazaar mein aa nikla hai
kahiin shola kahiin naarah kahiin patthar ban ke
khoon chalta hai to rukta nahiin sangeeno se
sar jo uthtaa hai to dabtaa nahiin aaeeno se

Zulm ki baat hi kya, zulm ki auqaat hi kya
zulm bas zulm hai, aaghaaz se anjaam talak
khoon phir khoon hai, so shakl badal sakta hai
aisi shaklein ke mitaaoo to mitaaye na bane
aise shole k bujhaao to bujhaaye na bane
aise naare k dabaao to dabaaye na bane.. 

Zulm phir zulm hai, barhta hai to mit jaataa hai
khoon phir khoon hai, tapkega to jam jaayega

phir usi raah guzar par shaayad


phir usi raah_guzar par shaayad
ham kabhi mil sakain magar shaayad...

jaan pahachaan se kya hoga
phir bhi ai dost Gaur kar shaayad...

muntazir jin ke ham rahe tum ho
mil gaye aur ham_safar shaayad...

jo bhii bichere hain kab mile hain 'Faraz'
phir bhi tuu intazaar kar shaayad. 

Guzre Hain Kuch Is Tarah Mohabbat Ke Mukaam Se



Guzre Hain Kuch Is Tarah Mohabbat Ke Mukaam Se
Khauff Aata Hai Bahot Hamen Ulfat Ke Naam Se

Rangeen Thi Shaamein Aur Raatein Haseen Thi
Kaise Bhoola Den Hum Woh Lamhe Benaam Se

Taqdeer Ka Faisla To Na Badal Sakenge Ab Hum
Shikwa To Zaroor Hoga Humen Umr-e-Tamaam Se

Ek Daur Guzar Gaya Hai Mujhse Tumhe Bicchde Hue
Kaise Bicchad Paoge Tum Magar Is Dil-e-Nakaam Se

Phir Miloge Kabhi Humse Is Baat Ka To Yakeen Hai
Na Jaane Kyun Darte Hain Hum Apne Anjaam Se

Yeh husn yeh aada yeh nazakat yeh aankhen


Yeh husn yeh aada yeh nazakat yeh aankhen,
Sab khubiya hai magar bewafa hai tu,
Pechle baras tha khuff tujhe kho na do,
Ab ke baras yeh hai tera samna na ho,
Woh hai salamat to addabat ka maza hai,
Dushman ko kabhi jaan se mara nahi karte,
Guzre hai hum ishq ki aisi makaam se,
Ke nafrat si hogai hai muhabbat ke naam se ,
Naseeb ki mehfil main bewafai ka darwaza khul gaya.

karon to ahir kis lia malaal us ka


karon to ahir kis lia malaal us ka,
usey nahi to muje b nahi hai khyal us ka*

mari wafa ne banaya hai be-wafa usey,
ksi ada par nahi hai kamaal us ka*

mare naseeb ki b ye khush nasibi hai,
k muje dekh kar sub pochtey hain haal us ka*

ye dua mein karon har baras k pahle din,
mare bageir na guzrey koi b saal us ka*

mare uroj ko us k naseeb main likh dey,
muje sonp de sub zawaal us ka*

Khatm-e-shor-e-tuufaa.N thaa duur thii siyaahii bhi


Khatm-e-shor-e-tuufaa.N thaa duur thii siyaahii bhii
dam ke dam me.n afasaanaa thii merii tabaahii bhii



iltafaat samajhuu.N yaa beruKhii kahuu.N is ko
rah gaii Khalish ban kar usakii kamanigaahii bhii



yaad kar vo din jis din terii saKhtgiirii par
ashk bhar ke uThii thii merii begunaahii bhii



shama bhii ujaalaa bhii mai.n hii apanii mahafil kaa
mai.n hii apanii ma.nzil kaa raahabar bhii raahii bhii


gumbado.n se palaTii hai apanii hii sadaa "Majrooh"
masjido.n me.n kii jaake mai.n ne daadaKhvaahii bhii

Roodaad-e mohabbat kya kehiye kuch yaad rahi kuch bhool gaye


Roodaad-e mohabbat kya kehiye,
kuch yaad rahi kuch bhool gaye
do din ki musarrat kya kehiye,
kuch yaad rahi kuch bhool gaye

kuch haal k andhey saathi they,
kuch mazi k ayyar sajan
ahbaab ki chahat kya kehiye,
kuch yaad rahi kuch bhool gaye

kaanton sey bhara hai daman-e dil
shabnam sey sulagti hain palkien
pholoun ki sakhawat kya kehye
kuch yaad rahi kuch bhool gaye

ab waqt k nazuk hounton par
majrooh taranum raqsaan hai
bedaad mushiyyat kya kehiye
kuch yaad rahi kuch bhool gaye

ab apni haqeeqat bhi sagar
bey rabt kahani lagti hai
dunya ki haqeeqat kya kehye
kuch yaad rahi kuch bhool gaye

Wo Siskiaan Leti Hui Apne Ap Se Kuch Kehti Hui


Wo Siskiaan Leti Hui
Apne Ap Se Kuch Kehti Hui

Apne Ansoowoon Ko Roke Huwe
Alfaaz Us K Behke Huwe

Pir Ik Wo Faryaad Karti Hai
Taza Ik Wo Yaad Karti Hai

Our Phir

Har Roz Kisi Bhi Lamhe
Wo Siskiaan Leti Hui
Wo Kiaaloon Main Ati Hui

Kehti Hai
K Ab To Kaheen Baras Beet Gahe

K Mazi Ab Tum Laut Aao
Meri Taraaf Ab Tum Pallat Aao

Aghosh-e-sukoon se wisl kiye muddat hui


Aghosh-e-sukoon se wisl kiye muddat hui,
ke ankhlag jaye to dar jata hu main.

is dil ko tanhayon ki adat si hui,
ke baronaq jhumghaton se palat ata hu main.

is zehn ko bharoson se nafrat si hui,
ke haath koi thaamay to dar jata hu main.

yu to rafeekon ki kami nahi is jahan main,
gar koi apna sa lagay to dar jata hu main.

pachtawa to hota hai sookha pairh(tree) dekh kar,
phir chashm se ashkon ke hijr pe pachtata hu main.

is dunya ki rangeeniyan aisi pheeki si hui,
ke gehra lagay koi rang to dar jata hu main.

sirf ek shakhs ki yaad taaza hai is dil main,
gar wo yaad na aye to murjha jata hu main

Kabhi Rah Main Mil Jao Samne Ajao To Kya Karoon


Kabhi Rah Main Mil Jao
Samne Ajao To Kya Karoon

Aankhen Karloon Band
Ya Nazar Andaz Karoon

Tu To Hochuka Bewafa
Ab Bata Main Kya Karoon

Jo Pochte Hain Tera
Bata Unse Kya Kahoon

Yaad Aati Hai Teri
Us Yaad Ka Kya Karoon

Barsat Phir Se Aai Hai
Mosam Hai Suhana Main Kya Karoon

Un Tohfoon Ka Un Safhoon Ka
Jo Nishani Hain Tere Payr Ki

Un Ko Dil Main Basa Lon
Ya Jala Kar Raakh Karoon

Itna Hi Bata De Sang Dil
Ab Jiyoon Ya Jag Chor Chaloon

saamne aane se kyuN ghabra raha hai


saamne aane se kyuN ghabra raha hai
apni nadaani pe woh sharma raha hai

zindagi bhar ik mujhe khatka raha hai
kaise kah dooN dil mera tanha raha hai

jis ko main apna chuka tha pahle hi
mujhko kitni der se apna raha hai

chorh kar mujh ko har tareeki meN
kab mera saaya mera apna raha hai

"iss tarah ham aan mile hain saath, ke"
lamha lamha wasl ka ghabra raha hai

ishq meN se kar mujhe saada fareb
kitni chalaaki se woh bahla raha hai

"dil ka tukda tha, meri woh jaan tha"
jisko kho kar dil mera pachhta raha hai

"jis pe main marta hoon dekho shaikh woh"
kis be rahmi se mujhe tarhpa raha hai

Kanch ki hoti hai sapno ki duniya, jo pal bar me toot jati hai


Kanch ki hoti hai sapno ki duniya, jo pal bar me toot jati hai,
Jab kadam rakh hi liya is raah me aab, to aab gabrane se kya?

Koshish agar karoge, sheeshe me haqiqat ke rang dhalne ki,
Toot kar chubne lagega ankhon me sapna, phir ashk bahane se kya?

Dil pe jo *** lagegi to khoon-e-arman bahega,
Bhar na sakhe jo zakhm unpe marham lagane se kya?

Phenk de in tukdon ko jo bikre hai tere daman me aab,
Toote kanch ki is dhul ko aab seene se lagane se kye?

us ne mujh se kaha tum ko mujh se jo gila hai


us ne mujh se kaha....!!!!!!!
tum ko mujh se jo gila hy.....
kiya hy?????
kbhi fursat mily to yeh socho.....
manzlen kyu hain!!!!
fasla kiya hy!!!
apny apny safar par nikly hue log.....
mushtrik raston par chalty hain......
hamrahi k hisar men...
hazaron din nikalty hain.....
charagh jalty hain....
apni apni umeed k dar o baam.....
zindgi k safar men milty hain...
mustakil dard.....
arzi aram......
us ne mujh se kaha....!!!!!
"tum mere humsafar to ho lekin.....
"hum kahin se bichar bhi sakty hain".....
dair tak ik taweel rasty par.......
" sath to ajnabi bhi chalty hain"

Duniya ke log khushiyaan manaane mein reh gaye


Duniya ke log khushiyaan manaane mein reh gaye
ham bad-nasiib ashk bahaane mein reh gaye

kuchh jaaN- nissaar aise bhi guzare hain dehr mein
mit kar bhi jin ke naam, zamaane mein reh gaye

mismaar ho gayaa thaa mera ghar fasaad mein
taa- umr apnaa ghar hi banaane mein reh gaye

aansuu chhalak paRe tau, khabar sab ko hi gayii
ham apne dil ke daaGH chhupaane mein reh gaye

khud sar-baland ho na sake umr-bhar kabhi
apne harif ko jo jhukaane mein reh gaye

sikhaa nahi zamaane se chhotaa sa ik sabaq
taa-uumr duusroon ko sikhaane mein reh gaye

apne hunar se aur tau zardaar ban gaye
ham log khote sikke chalaane mein reh gaye

insaan bhi jalaaye gaye lakriyoon ke saath
ham hain k apni jaan bachaane mein reh gaye

Mujhe Us Say Yeh Kehna Tha



Mujhe Us Say Yeh Kehna Tha
Kay MuJh Ko Yaad Na Kerna
Tarap Ker Tum Judayee Main
Yeh Dil Barbad Mat Kerna
Tum Hontoo Pay Hansi Koi
Kahin Say Qaid Ker Laina
Joh Mujh Say Door Bhi Ho Jao
Isay Azaad Mat Kerna
Kisi Bhi Tor Jii Lain Gay
Magr Tum Zindagi Say Ab,,,
Koi Feryad Mat Kerna-
Magr Yeh Sab Joh Kehna Tha
Yeh Us Say Kab Kaha Main Nay


"TUMHARAY BIN NAHI JEENA"


Bus Itna Keh Diya Main Nay...!!!

Humsafar hota koi to baant lete dooriyaan


Humsafar hota koi to baant lete dooriyaan
Raah chalte log kya samjhe meri majbooriyaan..!!

Muskuraate khwaab chunti gun-gunaati ye nazar
Kis tarah samjhe meri kismat ki na-manzooriyaan..!!

Haadison ki bheer hai chalta hua ye kaarwaan
Zindagi ka naam hai laachaariyaan majbooriyaan..!!

Phir kisi ne aaj chaira zikr-e-manzil is tarah
Dil ke daaman se lipatne aa gayi hain dooriyaan..!!

Tassavur jo kabhi sakaar hota hai


Tassavur jo kabhi sakaar hota hai,
Bas, tumara he deedar hota hai.

Mer ker bhi jane kyon, zinda hain hum
Tere aane ka shayed, intzaar hota hai.

Dil ki dherkan main basaker tumko
Is gumain jahan ko bhool jaye hum.

In hansi yadon ko liye
Derde duniya se guzer jayen, hum.

Door tek tu nazer nahin aati
Apna saya bhi hum pe hansta hai.

Tere milne ki aas ab tek hai,
Baaki ye saans teb tek hai.

Kyun pyaar karne ki hadein hoti hein


Kyun pyaar karne ki hadein hoti hein,
Kyun dil dene ki waje hoti hein,
Kyun jazbaaton ko dabana padta hai,
Kyun iss dil ko samjana padta hai,
Kyun har dil ko ye mehsoos nahin hota,
Kyun sabko ye manzoor nahin hota,
Kyun dil se dil nahin milta,
Kyun pyaar ka phool nahin khilta,
Kyun dil ke naghme dil nahin gaata,
Dil mein kya hai ye keh nahin pata,
Kya dil dene ki yahi saza hai,
Kya pyaar karne mein yahi mazaa hai

Qadam qadam pe naya marhala tha kya karta


Qadam qadam pe naya marhala tha kya karta,
Taweel hota gaya faasla main kya karta!

Her ek shakhs ko tha zaum-e rehbari kitna,
Bhatak raha tha mera qaafila main kya karta?

Gham-e Hayaat, Gham-e Ishq aur Gham-e Janaan'
Ulajh gaya tha her ik silsila main kya karta!

Tumhare saath kise failse ki fursat thee,
Tumhari baad bhala faisla main kya karta.

Bahut sambhaal ke rakha tha Dil main raaz tera,
Wo ban ke ashk jo girne laga main kya karta.

Mujhi se maangne aayi wo le ke majboori,
Ab usse us ki jaffa ka Gilla main kya karta.

Wo aansuon ki zabaan' jaanti na thi meri,
Mujhe bayaan' ka na tha hosla main kya karta.

Aaj kuch kami si hai tere bagair


Aaj kuch kami si hai tere bagair
Na rang na roshni hai tere begair


Waqt apni raftaar se chal raha hai
Bas dharkan thami si hai tere bagair


Na barish hai na he dhuan
Phir bhi dil mein tapish si hai ter bagair


Bohat roka hai badal ko barasney se aaj
Phir bhi ankhon mein nami si hai tere bagair

Popular Posts