Lage na kiyun khud se mujhko pyaara, kabhi samandar kabhi sitaara
Meri musaafat ka ista'aara, kabhi samandar kabhi sitaara
Teri meri qurbaton ka mausam bikhar k simtte simatt k bikhre
Isi liye aankh mein utaara, kabhi samandar kabhi sitaara
Naya naya ishq karne waalo! hameeN se is ka zeyaaN bhi poocho
Bisaat-e-hasti pe ham ne haara, kabhi samandar kabhi sitaara
Tere liye jaagne ko mehkein kabhi gulistaaN kabhi charaaghaaN
Mere liye khwab ka ishaara, kabhi samandar kabhi sitaara
Wo kehkashaaN-zaad o sail-e-nikhat hamaare hamraah chal parra tha
Kahan tha varna hamein gavaara, kabhi samandar kabhi sitaara
Mere bhattakne pe jaan-e-Mohsin ye tanz kaisa k is jahaaN mein
Huey hain be-simt o be-kinaara, kabhi samandar kabhi sitaara
No comments:
Post a Comment