Saturday, December 25, 2010

Aao Kisi Shab Mujhe Toot Ke Bikharta Dekho


Aao Kisi Shab Mujhe Toot Ke Bikharta Dekho
Meri Ragon Mai Zehr Judaai Ka Utarta Dekho
Kis Kis Adaa Se Tujhe Maanga Hai Khuda Se
Aao Kabhi Mujhe Sajdon Mai Sisakta Dekho

Piyaare Lamhe Aayen Ge Aur Majboori Mit Jaye Gi


Piyaare Lamhe Aayen Ge Aur Majboori Mit Jaye Gi
Hum Dono Mil Jayen Ge Aur Sab Doori Mit Jaye Gi

Har Dam Bahane Wali Aankhon Ki Mala Bhi Tootey Gi
Teri Meri Hasti Is Bairi Bandhan Se Chootey Gi

Lekin Yeh Sab Baatein Hain Apne Jee Ke Behlaaney Ki
Dukh Ki Raat Mai Dheere Dheere Dil Ka Dard Mitaane Ki

Rotey Rotey Hanstey Hanstey Ruktey Ruktey Gaane Ki
Sukh Ka Sapna Sookha Hai Aur Sookha Hi Reh Jaye Ga

Sooni Saij Pe Prem Kahani Premi Yun Keh Jaye Ga
Hote Hote Sara Jeewan Aankhon Se Beh Jaye Ga

Anjaane Nagar Mann Maane The


Anjaane Nagar Mann Maane The
Mann Maane Nagar Anjaane Rahe
Apni Baaton Ki Masti Mai
Suntey Rahe Dil Ki Basti Mai
Wohi Geet Jo Kuch Mann Maane Rahe
Wohi Raag Jo Sukh Ke Bahaney Rahe
Raatein Beeteen, Din Beet Gaye
Raat Bhi Nai Phir Din Bhi Naye
Moorakh Mann Aesa Hatela Hai
Isey Yaad Wo Rang Puraane Rahe
Anhoni Ka Jese Dehaan Na Raha
Honi Ne Isey Chupke Se Kaha
Na Wo Baatein Raheen, Na Zamane Rahe
Jo Rahe Bhi To Baqi Afsaane Rahe
Ab Geet Mai Rass Tapkaatey Hain
Yun Dil Ki Aag Bujhaatey Hain
Ab Sukh Ki Taan Sunaai Di
Ik Duniya Naii Dikhaai Di
Ab Sukh Ne Badla Bhais Naya
Ab Dekhen Ge Hum Dais Naya
Jab Dil Ne Ram Duhaai Di
Ik Duniya Naii Dikhaai Di
Is Dais Mai Sab Anjaane Hain
Apne Bhi Yahan Begaane Hain
Peetam Ne Sab Se Rihaai Di
Ik Duniya Naii Dikhaai Di
Har Rang Naya Har Baat Naii
Ab Din Bhi Naya Aur Raat Naii
Ab Chain Ki Raah Sujhaai Di
Ik Duniya Naii Dikhaai Di
Ab Apna Mehal Banaen Ge
Ab Aur Ke Dar Pe Na Jayen Ge
Ik Ghar Ki Raah Sujhaai Di
Ik Duniya Naii Dikhaai Di

Sab Se Ache Lafz


Sab Se Ache Lafz

Mai Subh-O-Shaam Likhta Hun

Zameen Par Jis Qadar Achi Zabanein Boli Jati Hain

Mai In Se Harf Chunta

Aur Tumhara Naam Likhta Hun

Popular Posts