Sunday, April 26, 2009

Hum jo toote to is tarah toote

Hum jo toote to is tarah toote
jaise hathon se girr k pathar par
koi shafaaf aaiina toote
jaise palkon se toot tha aansoo
jaise seene main ik kamaan toote
jaise umeed ki nazuk daali
barg mosam main na gahaan toote
jaise aankhon main khwab ki doori
waqt e takmeel se ulajh jaye
jaise pairon tale zameen nikle
jaise sar par yeh asmaan toote
jaise ik shaakh pe bharosa kia
is pe jitne thay aashiyaan toote
jaise wehshat se hosh aa jaye
jaise ta dair main dheyaan toote
ab jo raiza howay to sochte hain
kis nay dekha tha tootna apna
hum jo toote to raayegaan toote

~*~koi yun hi bhula de~*~

mera safar kabhie kam nahi hota
magar dil hai madghum nahi hota

sehraa ne meri khaiti ujaar di
aasman hai zara num nahi hota

jo zeesat ka mafhoom na samjhaye
woh ghum tow ghum nahi hota

unn soch k mandarron ko baich daalo
jahaan teri yaad ka sanam nahi hota

koi yun hi bhula de
dukh yeh bhi kam nahi hota

raahain tay ho jayen tab bhi chund ek rastay reh jatay hain

raahain tay ho jayen tab bhi chund ek rastay reh jatay hain
khuwaab mukamil ho janay par loug adhoray reh jatay hain

aisa bhi ishq kiya jo khud se chupaye phirtay hain
aisay bhi kuch shairr k jin ko likhtay likhtay reh jatay hain

khushbo se phir kaisa rishta, kiya mausam ka aye, jaye
andar jab pathjarr bas jaye, baagh mehaktay reh jatay hain

koi parinda lambi udaarri marzi ki jab bharr leta hai
yun lagta hai, jeevan jaal main dhaagay kachay reh jatay hain

sehraaon ki wus-at jin ki ankhon main bus hati hai
darriya paas paraao dalain phir bhi piyasay reh jatay hain

ankh aur zehan ko jabarr ka mausam zard khizaan sa kar deta hai
haath main kaantay ugg aatay hain kaghaz soonay reh jatay hain

Aag lagi thi sina sina, her saula jawala tha

Aag lagi thi sina sina, her shaula jawala tha
ab k sheher mein raushniyun ka manzar dekhnay wala tha

darwazoon per parray ho'ey thay ddhear shakista khaabon k
dalanoon mein nafrat k aaseeb nay ddera ddala tha

galiyun galiyun bhatak raha tha aik sunhera khaab, jisay
meray barron nay apni lakhoon neendein bech k pala tha

apni apni kashti lay ker yun darya mein kaud parray
jesay sirf jahaz he is taufan mein ddobnay wala tha

FAYSAL ye taqdeer thi us ki ya qudrat ka kheal?
gira jahan per raat ka panchi, thorri dor ujala tha

sans letay thay sabhi per koi bhi zinda na tha

sochta rehta tha mein jo wo kabhi dekha na tha
aur jo dekha tha mein nay wo kabhi socha na tha

ye meri taqdeer ki tarikiyan he hon tou hon
raat ki aankhoon ka kajal is qadar gehra na tha

log chehray per meray apnay he gham likhtay ga'ey
jab bhi roya tha mein apnay wastay roya na tha

qurbaton ki duroyan shayad issi ka naam hai
"samnay betha tha meray aur wo mera na tha"

sach kahoon tou ye mohabat raas he aa'ey naheen
khou deya wo kuchh bhi is mein jo kabhi paya na tha

tha mujhay apna samajhnay ka bohat da'awa tumhein
keun mera aansoo tumhari aankh say ttapka na tha

sans lenay ki rewayat si parri thi sheh meiner
sans letay thay sabhi per koi bhi zinda na tha

janay kesay dour mein ham ji rahay thay dostoo
aa'enay bhikray parray thay aik bhi chehra na tha

is dafa Aatif khizan aa'e ajab andaz say
sabz theen sab ttehniyan patta koi bikhra na tha

Yeh Raat Bepanah thi aur may Ghareeb Tha

Yeh Raat Bepanah thi aur may Ghareeb Tha
Woh Jis Nay yeh Chiragh Jalaya Ajeeb Tha..

Woh Roshni keh Aankh Utha'e nahi Gai…….
Kal Mujh say mera Chand bohat he Qareeb Tha

Rakhta na Kyun may Rooh-o-Badan Uskay samnay
Woh yun bhi tha Tabib ,woh yun bhi Tabib Tha

Her Silsila tha Uska Khuda say mila hoa…….
Chup ho K Lub Kusha ho ,Bala ka Khateeb Tha

May Bhi Raha hoon Khalwat-e-Janaa me Aik Shaam
Yeh Khawab hay ya Waqai May Khush Naseeb Tha

Herf-e-Dua-wa-Dast-e-Sakhawat kay Bab me
Khud Mera Tajorba hay Woh behad Najeeb Tha

Dekha hay Usko khalwat-o-Jalwat me Barha
Woh Aadmi bohat hi Ajeeb-o-Ghareeb Tha

Likhho Tamam Umr magar Phir bhi Tum FAYSAL
Usko Dikha na pao woh Aisa Habib Tha.

jab bhi sochon k shabistan main jagain jughno

khowab jo dekhta hon un ki saza deta hy,
neend ati hy tu woh phir say jaga deta hy,

jhankta jab bhi hon mazi k jharokon say usy
sare manzar meri ankhon say hata deta hy,

dhoop k sehar main aa jay agar us ko nazar
koi saaya tu woh dewaar gira deta hy,

jab bhi sochon k shabistan main jagain jughno,
woh meri aas k sab deep bujha deta hy,

sach ki targeeb bhi woh deta hy pehlay "hikmat"
phir ussi jurm main soli say charha deta hy.....!!
 

DIL_KE_AKS 14





DIL_KE_AKS 13





Popular Posts